Posts

Showing posts from July 28, 2013

Usay Yad Kar K Na Dil Dukha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Kahan Lot Kar Koi Aye Ga Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Naai Subah Hai,Naai Shaam Hai, Naya Shahr Hai, Naya Naam Hai . Jo Chala Gaya Usay Bhol Ja Jo Chala Gaya Wo Chala Gaya . Koi aye Ga Koi Jaye Ga, Koi Jaye Ga Koi Aye Ga . Suno Raston Ki Suno Sada, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Tere Pas Tera Habeeb Hai Jo Mila Wo Naseeb Hai . Koi Phool Kahta Hai Muskura Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Mujhe PatJhar Ki Kahanian Na Suna Suna K Udaas Kar . Naye Mosamon Ka Pata Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Yahan Atbaar o Yaqeen Hai Oa Haqeeqaton Ki Zameen Hai . Zara Dair Ka Khwab Tha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya........! . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Main Ne Teri Ankhon Main Parha Allah Hi Allah . Sab Bhool Gaya Yaad Raha Allah Hi Allah . Phoolon Main Basi Chandni Ratoon Ki Namazain . Khushbo Hi Sitaron Ki Dua Allah Hi Allah . Pairon Ki Safain Paak Farishton Ki Qatarain . Khamosh Paharon Ki Nida Allah Hi Allah . Badal Ki Ibadat Hai Barasta Ho Paani . Ansoo Ki Gzl Hamd o Sanah Allah Hi Allah . Aik Phool Ne Konain Ki Dolat Mujhe Day Di . Ansoo Say Hathaili Par Likha Allah Hi Allah . Aik Naam Ki Takhti Ka Mujhe Shok Howa Tha . Pani Par Hawa Nay Likha Allah Hi Allah . Wo Sorah e YASEEN Kah Kafoor Ki Khushboo . Mahke Howe Phoolon Ki Rida Allah Hi Allah........! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Kahain Chand Rahon Main Kho Gaya kahain Chandni Bhi Bhatak Gai . Main Charag Wo Bhi Bhoja Hoa Meri Raat Kaise Chamak Gai . Kabhi Ujla Ujla Sa Naam Hun Kabhi Khoya Khoya Kalam Hun . Mujhe Subah Kirno Say Bhar Gai Sham Pholon Say Dhak Gai . Tujhe Bhol Jane Ki Koshish Ka Kabhi Kamyab Na Saki . Teri Yaad Shakh e Gulab Hai Jo Hawa Chali To Lachak Gai . Tere Hath Say Mere Pyar Tak Wahi Intazar Ki Piyas Hai . Mere Naam Ki Jo Sharab Thi Kahain Raste Main Chalak Gai . Kabhi Hum Mile Bhi To Kya Mile Wohi Doriyan Wohi Fasle . Na Kabhi Hamare Qadam Barhay Na Kabhi Tumhari Jhijhak Gai . Meri Dastan Ka Urooj Tha Teri Palkon Ki Chaon Main . Mere Sath Tha Tujhe Jagna Teri Ankh Kaise Jhipak Gai........! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Kon Aya Raste Aaine Khana Hogaye Raat Roshan Hogai Din Bhi Suhane Hogaye . Q Hawaili K Ujarne Ka Afsos Karo Sainkaro bay Ghar Parindo K Thikane Hogaye . Jao In Kamro K Aainay Utha Kar Na Phaink Do Bay Adab Kah Rahe Hai Hum Purane Hogaye . Ya Bhi Mumkin Hai Kah Maine Usko Pahchana Na Ho Ab Usay Daikhe Howe Kitne Zamane Hogaye . Meri Palkon Par Yah Ansoo Pyar Ki Toheen Thay . Uski Ankhon Say Giray Moti K Dane Hogaye.......! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Ya Zard Patton Ki Barish Maira Zawal Nahi . Mere Badan Par Kisi Dosre Ki Showl Nahi . Udas Hogai Ik Fakhta Chahakti Hoi . Kisi Ne Qatal Kiya Hai Yah Intaqal Nahi . Tamam Umar Gareebi Main Bawaqar Rahe . Hamare Ahad Main Aisi Koi Misal Nahi . Main Asman Ka Tota Hoa Sitara Hun . Kahn Mili Thi Yah Dunya Mujhe Khayal Nahi . Wo Laa Shareek Hai Uska Koi Shareek Nahi . Wo Bemisal Hai Uski Koi Misal Nahi . Koi Khoshi Ho Main Apni Hadon Main Rahta Hun . Mera Malal Bhi Had Say Sada Malal Nahi.........! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Chal Chal K Ruke Ruk Ruk K Chale Jo Dil Ne Kaha Hum Ne Wo Kya . Phal Phool Rakhe Un Charno Par Jo Saraj K Ghar Jate Hai . Ya Baat Kabhi Utri Na Gale Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya . Mosam K Deen o Mazhab Ko Hum Ne Apna Mazhab Jana . Pholon K Badan Palkon Say Mile Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya . Roshan Roshan Shakhon Pay Khile Jab Sham Dhale Taqoon Main Jale . Moti Chamke Palkon K Tale Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya . Matki Makhhan Ghaghar Chan Chan Rim Jhim Rim Jhim Barse Sawan . Sundar Sundar Godoon Main Pale Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya...............! . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Chirag Le K Tere Shahar Say Guzarna Hai . Ya Tajarba Hamain Bar Bar Karna Hai . Main Wo Pahaar Hun Jo Cut Raha Hon Pani Say . Ya Dil Nahi Hai Mere Ansuon Ka jharna Hai . Mere Aziz Main Utri Nadi Ka Lahja Hun . Mujhe Charhe Howe Darya Ko Paar Karna Hai . Boht Kadeem Hun Laikin Ya Mera Wirsa Hai . Isi Kadeem Gali Say Mujhe Guzarna Hai . Tumhain Khabar Nahi Hai Soraj Hai Aks Mera . Tamam Din Ka Mujhe Intazar Karna Hai . Wo Aik Shakhs Kah Jis Ko Gzl Bhi Kahte Hai . Usi K Nam pay Jeena Usi pay Marna Hai.......! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|