Posts

Showing posts with the label Poet Amjid Islam Amjid

Han Suno Doston Jo Bi Dunya Kahe

Han Suno Doston TaYpEd By TLASH25 Han Suno Doston Jo Bi Dunya Kahe Is Ko Parkhein Bina Maan Lena Nahin. = Sari Dunya Ye Kahti Hai Parbat Pe Charhne Ki Nisbat Utarna Sehal Hai. = Kis Tarah Maan Li Tum Ne Dekha Nahin. = Sarfarazi Ki Dhun Mein Koi Aadmi. = Jab Bulandi K Raste Pe Chalta Hai To. = Sans Tak Theek Karne Ko Rukta Nahin. = Aur Isi Shakhs Ka Umar Ki Seerhiyon Se Utarte Huwe Paon Uthta Nahin. = Isi Liye Doston Jo Bi Dunya Kahe. = Is Ko Parkhe Bina Maan Lena Nahin...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mujhe Khud Se Hain Shikayatein Mujhe

Mujhe Khud Se TaYpEd By  TLASH25 Mujhe Khud Se Hain Shikayatein Mujhe Zindagi Se Gila Nahin. = K Jo Chaha Mein Ne Wo Paa Liya Nahin Aisa Kuch Jo Mila Nahin. = Mere Aas Paas Hai Roshni Mere Raston Mein Chiraag Hain. = Ye Tere Karam Ka Hai Mojza Meri Justuju Ka Sila Nahin. = Teri Aankh Se Jo Haseen Ho Wo Nigaah Jag Mein Bani Nahin. = Tere Rukh Ko Jis Se Misaal Don Koi Aisa Phool Khila Nahin. = Ye Jo Teri Zulf Ka Hai Hashiya, Ye Jo Tera Chahra Khushnuma. = Koi Rat Aisi Siyah Nahin Kisi Subah Mein Ye Jila Nahin. = Ye Jo Mehr O Maa Ki Hain Haaltein Ye Jo Aainon Ki Hain Hairtein Hain. = Azal Se Ye Isi Tarah Koi Apni Ja Se Hilaa Nahin...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mein Azal Ki Shaakh Se Tota Huwa.

Mein Azal Ki TaYpEd By  TLASH25 Mein Azal Ki Shaakh Se Tota Huwa. = Phir Raha Hon Aj Tak Bhatka Huwa. = Dekhta Rahta Hai Mujhi Ko Rat Din. = Koi apne Takhit Par Betha Huwa. = Chand Taare Door Peeche Rah Gaye. = Mein Kahan Par Aa Gaya Urta Huwa. = Band Khirki Se Hawa Aati Rahi Ek Sheesha Tha Kahin Toota Huwa. = Khirkiyon Mein Kaghizon Mein Mez Par. = Saare Kamre Mein Hai Wo Phela Huwa. = Apne Maazi Ka Samandar Chaniye. = Ek Khazana Hai Yahan Dooba Huwa. = Doston Ne Kuch Sabak Aise Diye, Apne Saaye Se Bhi Hon Sehma Huwa. = Kis Ki Aahat Aate Aate Ruk Gayi. = Kis Ne Mera Sans Hai Roka Huwa...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Koi Bhi Aadmi Poora Nahin Hai

Koi Bhi Aadmi TaYpEd By  TLASH25 Koi Bhi Aadmi Poora Nahin Hai Kahin Ankhein Kahin Chehra Nahin Hai. = Yahan Se Kiyon Koi Begana Guzre. = Ye Mere Khuwab Hain Rasta Nahin Hai. = Jahan Par They Teri Palkon K Saaye. = Wahan Ab Koi Saaya Nahin Hai. = Zamana Dekhta Hai Har Tamasha Ye Larka Khel Se Thakta Nahin Hai. = Hazaron Shaher Hain Hamrah Us K. = Musafir Shaher Mein Tanha Nahin Hai. = Ye Kaise Khuwab Se Jaagi Hain Ankhein. = Kisi Manzar Pe Dil Jamta Nahin Hai. = Jo Dekho To Har Ek Janib Samandar. = Magar Peene Ko Ek Qatra Nahin Hai. = Khuda Ki Hai Yahi Pahchan Shayad. = K koi aur us Jaisa Nahin Hai...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Hamein To Wo Buhat Ache Lage Hain.

Hamein To Wo TaYpEd By  TLASH25 Hamein To Wo Buhat Ache Lage Hain. = Na Jane Ham Unhein Kaise Lage Hain. = To Kiya Ye Par Nikalne Ka Hai Mosam. = Hawa Mein Jaal Se Khulne Lage Hain. = Naye Qaatil Ka Istaqbal Hai Kiya Purane Zakham Kiyon Bharne Lage Hain. = Ajab Hai Ye Talisim Ham Zubani. = Paraaye Log Bhi Apne Lage Hain. = Dilon Ka Bhaid Allah Janta Hai, Ba Zahir Aadmi Ache Lage Hain...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dil K Darya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai.

Dil K Dariya Ko TaYpEd By  TLASH25 Dil K Darya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai. = Itna Be Simat Na Chal Lot K Ghar Jana Hai. = Us Tak Aati Hai To Har Cheez Thehar Jati Hai. = Jaise Pana Hi Usey Asal Mein Mar Jana Hai. = Bol Aai Sham E Safar Rang E Rihayi Kiya Hai. = Dil Ko Rukna Hai K Taron Mein Thahar Jana Hai. = Kon Ubharte Huwe Mahtaab Ka Rasta Roke Us Ko Har Tor Su E Dasht E Sahar Jana Hai. = Mein Khila Hon To Isi Khak Mein Milna Hai Mujhe. = Wo To Khushbu Hai Usey Agle Nagar Jana Hai. = Wo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gham E Dil Har Musafir Ko Isi Ghaat Utar Jana Hai...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

itaron Ko Badalna Chahte Hain Tere

Sitaron Ko TaYpEd By  TLASH25 Sitaron Ko Badalna Chahte Hain Tere Hamraah Chalna Chahte Hain. = Buhat Barhaq Sahi Paste Hamaare. = Magar Ab Ham Sanbhalna Chahte Hain. = Shair Jaise Bhi Ho Phir Bhi Shair Hain. = Shab E Gham Se Nikalna Chahte Hain. = Chaton Se Barf Rukhsat Ho Rahe Hai. = Ye Mosam Ab Badalna Chahte Hain. = Mehakte Shokh Jazbon Ki Tarah Ham. = Tere Dil Mein Machalna Chahte Hain. = Nahin Rukte Samme Ki Tez Aandhi. = Diye To Kab Se Jalna Chahte Hain...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Labon Pe Phul Khilte Hai Kisi K Naam Se Pehle.

Labon Pe Phul TaYpEd By  TLASH25 Labon Pe Phul Khilte Hai Kisi K Naam Se Pehle. = Dilon K Deep Jalte Hai Chiraag E Sham Se Pehle. = Kabi Manzar Badalne Par Bi Qisa Chal Nahi Paata. = Kahaani Khatam Hoti Hai Kabi Anjam Se Pehle. = Yahi Tare Tumhari Ankh Ki Chillman Mein Rahte They. = Yahi Suraj Nikalta Tha Tumhare Baam Se Pehle. = Huwi Hai Sham Jungle Mein Parindein Lot'te Hon Ge. = Ab Inko Kis Tarah Roke Nawah E Dam Se Pehle. = Ye Sare Rang Murda They Tumhari Shakal Ban'ne Tak. = Ye Sare Harf Mahmaal They Tumhare Naam Se Pehle. = Huwa Hai Wo Agar Munsif To Amjad Ehtyatan Hum. = Saza Tasleem Karte Hai Kisi Ilzaam Se Pehle...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kisi Ki Aankh Jo Purnam Nahin Hai

Kisi Ki Aankh Jo TaYpEd By  TLASH25 Kisi Ki Aankh Jo Purnam Nahin Hai Na Samajho Ye K Us Ko Gham Nahin Hai. = Sawad E Dard Mein Tanha Khara Hon Palat Jaon Magar Mosam Nahin Hai. = Samajh Mein Kuch Nahin Aata Kisi K Agarche Guftagu Mubham Nahin Hai. = Sulagta Kyon Nahin Tareek Jangal Talab Ki Lao Agar Madham Nahin Hai. = Ye Basti Hai Sitam Parvar Digan Ki Yahan Koi Kisi Se Kam Nahin Hai. = Kinara Doosra Dariya Ka Jaise Wo Sathi Hai Magar Mahram Nahin Hai. = Dilon Ki Roshni Bujhne Na Dena Wajood E Teergi Mahkam Nahin Hai. = Mein Tum Ko Chah Kar Pachta Raha Hon Koi Is Zakham Ka Marham Nahin Hai. = Jo Koi Sun Sake Amjad To Suna Dena. = Ba Juz Ek Baz Gasht E Gham Nahin Hai...! = Poet By Amjad Islam Amjad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Marne Ka Tere Gham Main Irada Bhi Nahi Hai

Image
Marne Ka Tere Gham Main . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Marne Ka Tere Gham Main Irada Bhi Nahi Hai . Hai Ishq Magar Itna Ziada Bhi Nahi Hai . Hai Yun K Ibaarat Ki Zuban Or Hai Koi . Kaghaz Meri Taqdeer Ka Sada Bhi Nahi Hai . Q Daikhte Rahte Hai Sitaro Ki Tarf Hum . Jab Un Say Mulaqat Ka Wada Nahi Hai . Q Rah K Manzar Main Ulajh Jati Hai Ankhain . Jab Dil Main Koi Or Irada Bhi Nahi Hai . Q Uski Tarf Daikh K Paaon Nahi Uthtay . Wo Shakhs Haseen Itna Ziada Bhi Nahi Hai . Kis Morr Pay Lay Aya Hamain Hijar Musalsal . Tahad E Nigah Wisal Ka Wada Bhi Nahi Hai . Pathar Ki Tarha Sard Hai Q Ankh Kisi Ki . "Amjad" Jo Bicharne Ka Irada Bhi Nahi Hai.......*,,SA,,* . End . Poet Amjad Islam Amjad Book Zara Phr Say Kahna

Sukhan K Noor Say Kirdar K Ujale Say

Image
*---.___NAAT___.---* . TyPeR -------- *-.__Sarfraz Ahmad__.-* . Sukhan K Noor Say Kirdar K Ujale Say . Ye Kainaat Nabi Hai Tere Hawale Say . Bus Aik Dast E Karam Nay Mita Diay Yaksar . Dilo K Beech Thay Jo Tafarkon K Jaalay Say . Har Ik Takht Say Bala Hai Boria Jis Ka . Hamain Hai Kaam Usi 2 Jahan Wale Say . Tere Jamal Ka Yun Aks Hai Tere As'haab . K Jaise Chand Ka Rishta Hai Apne Haale Say . Raawa Rahain Gay Abd Tak Dilo K Maikhane . Teri Nazar K Suboo Say, Aataa K Piyale Say . Wo Jis Ka Zaiqa Rohain Ujar Daita Hai . Tera Karam K Rakha Door Us Niwale Say . Ajab Hai Shahr E Muhammad (S.A.W.W) Ki Arzo Amjad . K Mera Dil To Sambhalta Nahi Sambhale Say......* . eND . Book Barish Ki Awaaz . Poet Amjad Islam Amjad

Barish Thi Ham The Aur Ghani Ho Rahi Thi Shaam.

Image
Barish Thi Ham TaYpEd By TLASH25 Barish Thi Ham The Aur Ghani Ho Rahi Thi Shaam. Tum Ne Liya Tha Kanpte Honton Se Mera Naam. Mein Ne Kaha Tha Aao Yunhi Bhegte Chalein. In Raston Mein Dair Talak Ghoomte Chalein. Mere Qamar Mein Hath Ye Pholon Sa Dal Kar. Kandhe Pe Mere Rakhe Raho Yun Hi Apna Sar. Hathon Ko Kabhi Mein Balon Ko Choom Lon. Dekho Meri Taraf To Mein Ankhon Ko Choom Lon. Pani Ke Ye Jo Phool Hain Rukh Pe Khile Huwe. In Mein Dhanak Ke Rang Hain Saare Ghule Huwe. Honton Se Unko Chunte Rahein Khush Dili Ke Sath. Teri Hamein Talash Karein Chandni Ke Sath. Yonhi Kisi Darkht Ke Neeche Khare Rahein. Barish Ke Dair Bad Bhi Lipte Khare Rahein. Tum Ne Kaha Tha Aao Chalein Raat Aa Gayi..! Dil Jis Se Dar Raha Tha Wahi Baat Aa Gayi. Beete Samme Ki Yaad Hi Raston Mein Reh Na Jaaye. Ye Dil Kahin Wisal Ki Barish Mein Beh Na Jaaye. Kuch Dair Ek Chup Se Rahi Darmiyan Mein. Girhin Se Jese Parhne Lagi Hon Zu

Door Talak Werana Hai Kab Tak CHalte Jana Hai

Image
<Door Talak Werana> <TaYpEr> *._LEGEND_.*  _ POET>Amjad Islam Amjad _ _` >_>_>Door Talak Werana Hai Kab Tak CHalte Jana Hai_!< =>Aainay K HatHon Main Maqtal Ka Parwana Hai_!< =>Janay Wale Yaad RaHe SHaam DHalay GHar Ana Hai_!< =>Farq Hai KucH Kirdaro Main Baqi KHail Purana Hai_!< =>SacHi Baat Kon Kare Kon YaHan Dewana Hai_!< =>TujH Sa Doja DaikHnay Ko Sara Alam CHana Hai_!< =>Matti BHi Hai Sona BHi Dil BHi Ajeeb KHazana Hai_!< <=EnD=> *_SaD_* Gzl k liay Follow *._LEGENG_.* SEND to 8001

Chamakti Ankhon May

Image
. Type By  *.__Sarfraz Ahmad__.* . Gulab Chahre Pe Muskurahat . Chamakti Ankhon May Shokh Jazbe . Wo Jab Bhi College Ki Seeriyo Se Sahailiyo Ko Liay Utarti . To Aisa Lagta Tha Jaise Dil Main Utar Rahi Ho . Kuch Is Tayaqqun Se Baat Karti Thi Jaise Dunya Usi Ki Ankhon Se Dikhti Ho . Wo Apne Raste May Dil Bichaati Hoi Nigaho Se Huns K Kahti . Tumhare Jaise Boht Say Larko Say Main Ye Batain Boht Say Barso Say Sun Rahi Hun . Main Sahailiyo Ki Hawa Hun . Neele Samandaro K Liay Pani Hun . Wo Sahailiyo Ki Hawa C Larki . Jo Rah Chalti To Aisa Lagta Tha Jaise Dil May Utar Rahi Ho . Wo Kal Mili To Is Tarha Thi . Chamakti Ankho May Shokh Jazbe Gulab Chahre Pay Muskurahat K Jaise Chandni Pigal Rahi Ho . Magar Jo Boli To Us K Lahje May Wo Thakan Thi Jaise . Sadiyo Say Dasht E Zulmat May Chal Rahi Ho........*SA* . END . Poet Amjad Islam Amjad Follow *._SA-ki-Jan_. . * Send To 8001

Poet_Amjad Aslam Amjad TYpEd By *_TaNhA_* = = >Waqt Bhi Kitna Zalim Hai_ >Etne Bars Ki Dori Or Mahjori K Afson e Safaz Mai Lipta Huwa_ >Ik Shaks Achanak Aan Mila_ >Mai Us Ko K Shashdar Tha_ >Wo Mujh Se Siwa Hiran Mila_ >Ye Waqt Bhi Kitna Zalim Hai_ >Es Hijar Mai Kiya Kiya Roye Thay Ham_ >Es Yad Mai Kiya Kiya Khoye Thay Ham_ >Kuch Der To Dono Chup Se Rahe_ >Phir Us Ne Kaha_ >Tum Kese Ho_ >Or Mai Ne Kaha_ >Bus Acha Hon_ >Phir Us Ne Kaha_ >Ye Etne Dino K Bad Ka Milna Khob Raha_ >Koi Puran Dost Mile To Dil Ko Bhala Sa Lagta Hai_ >Ye Shehar To Bilkul Badl Giya_ >Ab Chalti Hon_ >Phir Mai Ne Kaha_ >Mai Sham Same Har Roz Yaha Par Aata Hon_ >Jab Waqt Mile Tum Aa Jana_ >Es Waqt Mujhe Jaldi Bhi Jaldi Hai_ >b Chalta Hon_ >Ye Waqt Bhi Kitna ZaLiM Hai_ END*H

Han Suno Dosto. TaYpEd By TLASH25 Han Suno Dosto, Jo Bi Dunya Kahe, Isko Parkhey Bina, Maan Lena Nahi. Sari Dunya Ye Kehti Hai, Parbat Pe Charhne Ki Nisbat Utarna Sehal Hai. Sarfarazi Ki Dhun Men koi Admi Jab Bulandi K Raste Pe Chalta Hai To Sans Tak Theek Karne Jo Rukta Hai. Aur Isi Shakhs Ka, Umar Ki Seeryo Se Utartey Hue, Paon Uthta Nahi. Isi Liye Dosto!!! Jo Bi Dunya Kahe, Isko Parkhey Bina, Maan Lena Nahi...! Poet By Amjad Islam Amjad. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Poet. Amjad Islam Amjad. TaYpEd Ay *SHANI_M_B* Aisi Hi Sard Sham Thi Wo Bhi Jab Wo Mahndi Rachaye. Apni Ahat K Khuf Se Larazan Surkh Anchal Main Munh Chupaye Howe. Apne khat Mujh Se Lene Aai Thi. Us Ki Sahmi Howi Nigahon Main Kitni Khamosh Iltijayen Thin. Us K Chehre Ki Zard Rangat Main Kitni Majaboriyon k Saye Thay. Mere Hathon se Khatt Pakarte Hi Jane Kia Soch Kar Achanak Wo. Mera Shana Pakar Kar Roi Thi. Us K Yaqut Rang Honton K Kapkapate Howe Kinaron par. Sairkaron An Kahi Fasane Thay. Sard Shamon main Der Tak Aksar Jab ye Manzar Dikhai Deta Hai. Ek Lamha Hinai Hathon se Mujh Ko Apni Taraf Bulata Hai. Hamnasheen Rokh Kar Na Ja Mujh Se. Aisi Hi Sard Sham Thi Wo.