Posts

Showing posts from December 25, 2013

Chain-O-Aaraam

Image
 TaYpEd By  TLASH25 Chain-O-Aaraam Kis Ne Khoye Hain, Ham Ye Ehsas Kar Ke Roye Hain.* *Bhai Ka Bhai Ho Gaya Dushman ,Beej Nafrat Ke Aise Boye Hain.* .*Kis Ko Dikhlayen Hal-E-Dil Apna, Zakham-E-Dil Ansuon Se Dhoye Hain.* .*Jo Muhafiz Bana Ke Bhaije Gaye, Hath Khoon Mein Unhon Ne Dhoye Hain.* .*Dais Ka Haal Mere Kiya Hoga "EWAZ" Ham Isi Soch-O-Pan Mein Khoye Hain ....!Book Name Nagma E Dil Poet By Dr. Ewaz Zaidi Keranwi .eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Jab Yaad Tumhari Aati

Image
Type by   Tlash25 Jab Yaad Tumhari Aati Hai Ro Ro Ke Guzara Karta Hon, Ankhon Se Jo Ansu Behte Hain Pee Pee Ke Sahara Karta Hon.* .*Tum Ishq Se Nadan Nawaqif Tum Raz-E-Muhbat Kya Jano Raaton Ko Mein Taare Gin Gin Kar Yon Raat Guzara Karta Hon.*. *Ek Simt Hai Wo Ek Simt Hai Hum Aur Beech Mein Parda Hayal Hai Wo Mujh Ko Ishara Karte Ho Mein Unko Ishara Karta Hon.*. *Jab Chashm Meri Furqat Mein Teri Aye Wadi-E-Dil So Jati Hai,  Mein Khuwab K Andar Bhi Aksar Bus Tumko Pukara Karta Hon.* .*Dunya Se Kyun Ghabrate Ho Aur Mujh Se Kyun Sharmate Ho Mein Bhi To Muhbat K "Ewaz" Toheen Gawara Karta Hon.....! Book  NameNagma E Dil. Poet Dr. Ewaz Zaidi Keranwi .eND Follow Tlash25 Send To 8001

Unki Nazron Ke

Image
TaYpEd By  TLASH25 Unki Nazron Ke Ye Ishare Hain, Tum Hamare Ho Ham Tumhare Hain.* .*Bahr-E-Lulfat Mein Dobne Wale, Dekh Wo Samne Kinare Hain.* .*Chand Nikla Hai Phool Mehke Hain, Aa Bhi Jaao Haseen Nazare Hain.* .*Raat Bhar Karwatein Badalte Rahe, Aise Lamhaat Bhi Guzare Hain.*. *Zikar Chaira Hai Kis Ne Saaqi Ka, Dabe Jazbat Phir Ubhare Hain.* .*Bachna Mushkil Hai Aaj "Ewaz" Ka, Teer Dil Pe Kis Ne Maare Hain......! Book NameNagma E Dil. Poet By Dr. Ewaz Zaidi Keranwi. eND .Follow Tlash25  Send To 8001

Sajda Koron To TaYpEd By0 TLASH25 Ham Aa Ke Tere Shehar Se Wapas Na Jayen Ge, Ye Faisla Kiya Hai Tujhe Dekhne Ke Bad. *.* Kehte Hain Tujh Se Log Maseeha Magar Yahan, Ek Shakhs Mar Gaya Hai Tujhe Dekhne Ke Bad. *.* Sajda Karon Ke Naqsh-E-Qadam Choomti Rahon, Ghar Kaba Ban Gaya Tujhe Dekhne Ke Bad. *.* Sajda Karon Gi Tujh Ko To Kafir Kahen Ge Log, Ye Kon Sochta Hai Tujhe Dekhne Ke Bad. *.* Rehti Hai Khoyi Khoyi Si Har Waqt Ab "HINA" Ye Haal Ho Gaya Hai Tujhe Dekhne Ke Bad....! eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Bat Niklegi To TaYpEd By TLASH25 Bat Niklegi To Phir Door Talak Jayegi, Log Bewajah Udaasi Ka Sabab Pochenge. Ye Bhi Pochenge Tum Itni Pareshan Kyun Ho, Ungliyan Uthengi Sookhe Hute Baalon Ki Taraf, Ek Nazar Dekhenge. Guzare Huwe Saalon Ki Taraf Chooriyon Par Bhi Kayi Tanz Kiye Jayenge. Kaanpte Hathon Pe Bhi Fikare Kiase Jayenge, Log Zalim Hain Har Ek Bat Ka Taana Denge. Baton Baton Mein Mera Zikar Bhi Le Aayenge Unki Baton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena, Warna Chehre Ke Tassuwar Se Samajh Jayenge. Chahe Kuch Bhi Ho Sawalat Na karna, Mere Bare Mein Koi Bat Na Karna Unse, Bat Niklegi To Phir Door Talak Jayegi....! eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Zindagi Kaise TaYpEd By TLASH25 Zindagi Kaise Guzarein Ge Wo Aaram Ke Sath, Ek Tagaful Ho Jaise Gardish-E-Iyyaam Ke Sath. *.* Hai Koi Baat Hi Khatre Ki Khuda Khair Kare, Warna Wade Pe Wo Aatay Mere Pegham Ke Sath. *.* Ma'y Pilani Hai To Is Tarah Pila Aaye Saqi, Teri Mastana Nazar Bhi Ho Mere Jaam Ke Sath. *.* Is Irade Se Chale Aaye Hain Mehfil Mein Teri, Jan Bhi Nazar Karenge Dil-E-Nakaam Ke Sath. *.* Kuch Tujhe Yaad Bhi Hai Bhulne Wale Mere, Koi Dewana Hai Wabasta Tere Naam Ke Sath. *.* Ye To Mumkin Hi Nahin Dil Se Bhula Don Tujhko, Jan Bhi Jism Mein Aati Hai Tere Naam Ke Sath. *.* Tum Bhi Badnaam Zamana Na Kahin Ho "Ewaz" Chairr Achi Nahin Hoti Kisi Gulfam Ke Sath.....! Book Name Nagma E Dil. Poet By Dr. Ewaz Zaidi Keranwi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Totey Umeed To TaYpEd By TLASH25 Totey Umeed To Honton Pe Dua Aati Hai Band Karta Hon Darechy To Hawa Aati Hai. *.* Zindagi Dekhna Ye Zulm Huwa Hai Kis Par Kis Tarah Se Meri Chenkhon Ki Sada Aati Hai. *.* Orh Rakha Hai Sharafat Ne Tawaif Ka Badan Raqs Karti Huwi Ankhon Mein Haya Aati Hai. *.* Sar To Kiya Ghar Se Ho Jata Hai Paani Oncha Jab Ghareebon Ke Muhaly Mein Ghata Aati Hai. *.* Ab Zameeron Se Chupa Leti Hai Chehre Dunya Beth Kar Lash'aa Gairat Pe Annaa Aati Hai. *.* Itna Kamtar Bhi Muzaffar Ko Na Samjho Logon Us Se Milne Ke Liye Yaad Khuda Ki Aati Hai...! Book Name. Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send 8001

Dard Ko Shokhi TaYpEd By TLASH25 Dard Ko Shoki Dildar Kaha Karte Hain Kuch Bhi Ho Pyar Ko Ham Pyar Kaha Karte Hain. *.* Dil Andheron Ka Bhi Ham Se Nahi Tora Jata Shab-E- Hijra Ko Bhi Tehwar Kaha Karte Hain. *.* Aise Logon Se Tijarat Ka Sharf Hai Hamko Qatal Gahoon Ko Jo Bazaar Kaha Karte Hain. *.* Hukmurauo Se Talab Karte Hain Jo Haq Apna Unko Tareekh Mein Gaddar Kaha Karte Hain. *.* Masnah Kar Deti Hain Raiya Jin Ke Chehre Aaino Ko Wohi Deewar Kaha Karte Hain. *.* Kar Diya Jaye Unhein Dafan Badan Mein Unke Khoon Ko Bhi Jo Maze Dar Kaha Karte Hain. *.* Izzatein Raas Hain Unko Nahin Aati Hongi Thokro Ko Bhi Jo Dastaar Kaha Karte Hain. *.* Dilon Jan Ki Yahan Lagti Hai Muzaffar Boli Bikne Walon Ko Khareedar Kaha Karte Hain...! Book Name Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Saqi Bikta Hai TaYpEd By TLASH25 Saqi Bikta Hai Maikhane Bikte Hain Kon Kon Kis Mool Na Jane Bikte Hain. *.* Mosam Koi Bhi Tabdeel Nahin Hota Nayi Chadirain Dagh Purane Bikte Haim. *.* Onchy Onchy Chubaaro Par Matt Jana In Chubaaro Ke Tah Khane Bikte Hain. *.* Mujrim Bura Jama Insaaf Ki Kusri Par Adalatein Bikti Hain Thaane Bikte Hain. *.* Dolat Kis Kis Ka Mounh Kala Karti Hai Nadano Ke Hath Siyane Bikte Hain. *.* Jagne Walon Se Beemaai Kharedi Jaye Soye Hon Mein Khuwab Suhane Bikte Hain. *.* Taluqat Ka Karobar Bhi Hota Hai Tofe Bikte Hain Nazrane Bikte Hain. *.* Dhaak Muzaffar Jinki Aai Werano Mein Shahar Mein Aa Kar Dewane Bikte Hain....! Book Name Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Ye Ulfaten Bi Ajeeb Hen Ye Chahaten Bi Ajeeb Hen, Kbi Mil K Bi Na Pass Hon Kbi Pass Ho K Bi Na Mil Sakay, Kbi Yaad Aye To Beshumaar Kbi Ro Diye To Behisaab, Ye Dil Ki Haalat Bi Ajeeb Hai, Kbi Larzishen, Kbi Ranjishen, Kbi Dooriyaan, Kbi Majburiyan, Ye Uljhanain Bi Ajeeb Hen Ye Mushkilen Bi Ajeeb Hen, Wo Hansay To Sirf Meray Liye Wo Roye To Sirf Meray Liye, Ye Hasraten Bi Ajeeb Hen.. Ye Khuwahishen Bi Shaded Hen..

Jab Dhoop Ke TaYpEd By TLASH25 Jab Dhoop Ke Makaan Bane Pare Mujhe Dewaar Mein Darakht Lagane Pare Mujhe. *.* Andar Ki Roshni Bhi Andheron Ne Cheen Li, Pairon Tale Chiraag Jalane Pare Mujhe. *.* Sare Badan Mein Aag Muhbat Ki Lag Gayi, Bhoky Ki Tarah Zakham Bhi Khane Pare Mujhe. *.* Us Ke Liye Bhi Saaf Kiya Maine Rasta, Pathar Bichaaye Usne Hatane Pare Mujhe. *.* Karta Na Tha Koi Meri Ankhon Ka Aitbar Dekhe Jo Maine Khuwab Dikhane Pare Mujhe. *.* Daaman Zindagi Kabhi Khali Nahi Raha, Baraat Se Janaze Uthane Pare Mujhe. *.* Ustad Hadson Ko Muzaffar Bana Kiya, Saste Buhat Tamam Zamane Pare Mujhe....! Book Name Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Agarcha Pahre TaYpEd By TLASH25 Agarcha Pehre Hamari Uraan Par Hon Ge, Urre Bigair Bhi Ham Asmaan Par Hon Ge. *.* Mein Thek Thek Nishane Pe Unke Khud Puhancha, Mujhe Khabar Thi Shikari Muchaan Par Hon Ge. *.* Har Ek Zakham Se Jab Patiyan Hataonga, Buhat Se Naam Lahu Ki Zuban Par Hon Ge. *.* Tum Apna Haal Batao Na Kimto Ki Tarah, Mein Dard Mand Hon Tajir Dukan Par Hon Ge. *.* Kahan Se Laaon Gawahi, Kidhar Se Teer Aaya, Kisi Ke Haath To Akhir Kaman Par Hon Ge. *.* Khabr Na Thi Ke Muhbat Bhi Aisa Kanta Hai, Chubhe Ga Rooh Mein, Chhale Zubaan Par Hon Ge. *.* Muzaffar Unki Haqeeqat Se Khoob Waqif Hon, Jo Aitraaz Meri Dastan Par Hon Ge....! Book Name Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Bat Niklegi To TaYpEd By TLASH25 Bat Niklegi To Phir Door Talak Jayegi, Log Bewajah Udaasi Ka Sabab Pochenge. Ye Bhi Pochenge Tum Itni Pareshan Kyun Ho, Ungliyan Uthengi Sookhe Hute Baalon Ki Taraf, Ek Nazar Dekhenge. Guzare Huwe Saalon Ki Taraf Chooriyon Par Bhi Kayi Tanz Kiye Jayenge. Kaanpte Hathon Pe Bhi Fikare Kiase Jayenge, Log Zalim Hain Har Ek Bat Ka Taana Denge. Baton Baton Mein Mera Zikar Bhi Le Aayenge Unki Baton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena, Warna Chehre Ke Tassuwar Se Samajh Jayenge. Chahe Kuch Bhi Ho Sawalat Na karna, Mere Bare Mein Koi Bat Na Karna Unse, Bat Niklegi To Phir Door Talak Jayegi....! eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Koi Sham Dasht-E-Firaq Me TaYpEd By TLASH25 Koi Sham Dasht-E-Firaq Me Sar-E-Sham Chehra Kosha Hua Meri Chashm-E-Tar Me Ruka Nahi Keh Tha Rat Jagon Ka Dasa Hua. Mere Dil Ko Rakhta Hai Shadma'n Mere Hont Rakhta Hai Gulfishan Wohi Ek Lafz Jo Ap Ne Mere Kan Me Hai Kaha Hua. Hai Nigah Me Meri Aj Tak Wo Nigah Koi Jhuki Hui Wo Jo Dhiyan Tha Kisi Dhiyan Me Wahi Aj B Hai Laga Hua. Mere Rat Jagon K Fishar Me Meri Khuwahisho K Gubar Me Wohi Ek Wada Gulab Sa Sar-E-Nakhal-E-Jan Hai Khila Hua. Teri Chashm-E-Khush Ki Panah Me Kisi Khuwab-Zar Ki Rah Me Mere Gham Ka Chand Thehr Gaya K Tha Rat Bhar Ka Thaka Hua. Hai Ye Mukhtasir Rah-E-Ishq Pr Nahi Ap Ham Rahe Hamsafar To Lo Kis Lye Ye Mubahisa Kahan Kon Kese Juda Hua. Kisi Dil Kusha Si Pukar Se Usi Ek Bad-E-Bahar Se Kahin Barg Barg Namo Mili Kahin Zakhm Zakhm Hara Hua. Tere Shehr-E-Adal Se Aj Kya Sabi Dard Mand Chale Gaye Nahi Kaghazi Koi Paihan Nahi Hath Koi Utha Hua!

Do Ghoont Ka TaYpEd By TLASH25 Do Ghoont Ka Aaye Saqi Ehsan Nahin Lon Ga, Mein Tishna Labi De Kar Ek Jaam Nahin Lon Ga. Izhaar-E-Tamana Hai Toheen-E-Tamana, Tum Khud Hi Samajh Jao Mein Naam Nahin Lon Ga. Jo Sham Jagati Ho Jo Subah Rulati Ho Wo Subah Nahin Lon Ga, Wo Sham Nahin Loon Ga. Aaye Ehl-E-Chaman Rakh Lo Ye Tohfa-E-Gul Apna, Haq Mera Mujhe De Do Inaam Nahin Lon Ga. Mein Raah Ke Sa'ay Se Kherat-E-Sukoon Kyon Lon, Mein Maang Ke Manzil Se Aaram Nahin Lon Ga. Ek Deeda-E-Khalwat Ki Tum De Do Ejazat Ab Baad Is Ke Muhbat Ka Mein Naam Nahin Longa...! eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Tere Chahre Pay Jo Neqaab Hai --.__.--> |*---....'''''"....---*| |>>>.TYpEr.<<<| |*__S-Ak-Jan__*| *---.....___.......---* --.__.--> Tere Chahre Pay Jo Neqaab Hai --.__.--> Jaise Badal Main Chupa Ik Aftaab Hai --.__.--> Titiiyan Usk Agay Pichay Mandlati Hai --.__.--> Us Main Khushbo Bhi To Bay Hisab Hai --.__.--> Nazrain Jhuka K Khara Hai Mahfil Main --.__.--> Jaise Us Pay Sharmo Haaya Ka Hijaab Hai --.__.--> Nazrain Sab Kii Us Pay Tikki Hai --.__.--> Uski Adain Bhi To Laa Jawab Hai --.__.--> Mahndi Bhi Lagai Hai Hatho Par Kajal Bhi Lagaya Hai Ankhon Main --.__.--> Chaal Bhi Mastani Hai Or Qatilana Uska Shabab Hai --.__.--> Sab K Samne Agar Muskura K Daikhe Wo Hamain --.__.--> Ameer*G --.__.--> To Aisa Lage K Jaise Sab Pay Gira Teezab Hai.......*SA* --.__.--> ._.End._. --.__.--> Poet Tlash25 Sayyad Ameer Ali Shah --.__.--> Follow *__S-Ak-Jan__* Send To 8001

Rooh Par Hai TaYpEd By TLASH25 Rooh Par Hai Dagh Chadar Par Nahin, Mere Andar Dhoop Hai Sar Par Nahin. Neend Kaisi Ab Dhuwan Ankhon Mnin Hai, Aag Par Laita Hon Bister Par Nahin. Haq Meri Tashna Labi Ka Hai Magar, Ansuon Par Hai Samandar Par Nahin. Khud Hi Deta Hon Hawa Mein Dastkein, Khud Hi Keh Deta Hon Mein Ghr Par Nahin. Haath Mera Itna Shal Kyun Ho Gaya, Seene Par Rakha Tha Pather Par Nahin. Baat Kiya Koi Tawajjo Se Sune Ghaar Mein Betha Hon Mimber Par Nahin. Qatilon Se Ho Taaruf Kis Tarah Khoon Gardan Par Hai Khanjar Par Nahin. Ya Muzaffar Ham Buhat Be Simat Hai, Ya Zamana Apne Mahwar Par Nahin....! Book Name Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Un Ankhon Ki TaYpEd By TLASH25 Un Ankhon Ki Gehrai Tak Mein Gaya, Giray Uske Ansoo Chalak Mein Gaya. Mere Hosle Us Ke Qabzay Mein They, Haya Usko Aai Jhijhak Mein Gaya. Zameen Ki Kashish Dekhne Ke Liye,Kai Baar Soye Falak Mein Gaya. Kali Mere Ehsas Ka Aks Thi, Hawa Us Se Lipti Mehak Mein Gaya. Ajab Thi Shareek -E-Safar Zindagi, Chali Zindagi Aur Thak Mein Gaya. Muzaffar Giri Barf Kohsaar Par, Magar Yon Laga Jaise Dhak Mein Gaya...! Book Name Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001