Posts

Showing posts from December 21, 2014

Short Poetry

Yun To Wo Meri Rag O Jaan Say Say Bhi Thay Nazdeek-Tar....> . Aasoun Ki Dhundh Main Lekin Na Pehchanay Gaye...*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN.....* ////////////// /////////////////////// Hamare Haal Ki Khabar Wo Rakhta Tha.....> . Sari Umar Jo Anjaan Dikhai Diay....*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN...-* ////////////////////////////////// Hum Na Hon Gay Tujhe Kon Saada Day Ga.....> . Hum Fakeeron Ko Nigaahon Say Giraanay Waale....*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN...-* ////////////////////////////////////// Humko Halaat Nay Is Tarha Kiya Tha Yakja.....> . Jaise Guldaan Main Do Phool Galay Milte Hai.....*SA* . .-._.-, '-._.S'A-Ki-JaAN...-* /////////////////////////////////////// .

Ghar Say Dil Thamay Hoay Kya Nikle,

Ghar Say Dil Thamay Hoay Kya Nikle, Kocha E Yaar Main Hum Jaa Nikle.* . Kaash Armaan Mere Dil Ka Nikle, Ghar Say Chal Kar Wo Idhar Aa Nikle.* . Ya Tu Lay Jaye Mujhe Saath Ujal, Ya Koi Ghum Ka Mada'wa Nikle.* . Tha Zamane Main Karam Ka Shahra, Aap To Qaher Sarapa Nikle.* . Har Qadam Par Hai Nigahain Mushtaq, Ghar Say Bay Parda Koi Kya Nikle.* . Kar Gaya Kaam, Tabassum Unka, Jitne Shikway Thay Wo Bay Jaa Nikle.* . Hum Samajhty Thay Jinhain Maah O Najom, Apki Naqsh E Kaf E Paa Nikle.* . Jab Wo Suntay Hi Nahi Baat Meri, Kis Tarha Dil Ki Tamanna Nikle.* . Un K Humrah Adain Nikleen, Wo Kabhi Ghar Say Na Tanha Nikle.* . Maherbar Hum Pay Nahi Jab Wo "Naseer", Kis Tarha Hosla Dil Ka Nikle....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Haqeqat Daikh Lain Khud Jorr Kar Tasveer K Tukray,

Haqeqat Daikh Lain Khud Jorr Kar Tasveer K Tukray, Ye Mere Dil K Tukray Hai Ye Un K Teer K Tukray.* . Dua Ki Thi To Thori Dair Zalim Sabr Krna Tha, Teri Aah O Fagaan Nay Kar Diay Taseer K Tukray.* . Yahi Jaib O Garaiban Thay Mera Sarmaya Lay Day Kar, Janoon Nay Kr Diay Meri Jageer K Tukray.* . Wafa Ka Zikr Bhi Hai Bewafai Ki Shikayat Bhi, Juda Aik Dosray Say Hai Meri Tahreer K Tukray.* . Mukhatib Hai Aa'du Lekin Nishana Meri Chahat Hai, Inhain Main Teer Samjhon Ya Kahun Takreer K Tukray.* . Asar Ho Kum Say Kum Itna Sooz E Shamma E Mehfil, Jo Gul Kutray To Ho Jayain Waheen Gul Geer K Tukray.* . Wafaon Ka Mehel Maine Jatan Kar K Banaya Tha, Jafaaon Sy Uraaye Tu Nay Is Tameer k Tukray.....*SA* . Khatkatay Hai To Dil Mehsos Karta Hai Ajab Lazzat, Tere Taanay K Nishter Hon K Tere Teer K Tukry.* . Khizaan Tak Ye Qafs Hai Ye Aaseri Hai Ye Pabandi, Bahaar Aai To Ho Jayain Gay Khud Zanjeer K Tukray.* . Sharaaron Say Meri Aah O

Ishq Main Sabar Kaargar Na Hoa,

Ishq Main Sabar Kaargar Na Hoa, Aah Ki Aah Main Aasar Na Hoa.* . Nehl E Umeed Baar'war Na Hoa, Jo Na Hona Tha Umar Bhar Na Hoa.* . Itna Aasaan Nahi Kisi Pay Karam, Ap Sharma'ain Gay Agar Na Hoa.* . Hum Hoay Laakh Sab Say Baiganay Wo Na Apna Hoa Magar Na Hoa.* . Jis Tarha Intizaar Main Hum Thay, Is Tarha Apka Guzar Na Hoa.* . Ghair Ghar Kar Gaya Tere Dil Main, Ik Mera Tere Dil May Ghar Na Hoa.* . Hum Wafa Kar K Bewafa Thahray, Koi Ilzaam Tere Sar Na Hoa.* . Mere Halaat Say "Naseer" Ab Tak, Bakhabar Husn E Bekhabar Na Hoa....*SA* . Type By,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Kahne Sun'nay Sy Na Apas Main Safai Hogi,

Kahne Sun'nay Sy Na Apas Main Safai Hogi, Kuch Kaha Hum Ny To Bigro Gay Larai Hogi.* . Chashm E Sahra Main Nazar Aaye Nami K Aasaar, Haan Sabab Iska Meri Ablaa Paai Hogi.* . Bas Yahi Soch K Lab Basta Hai Tere Khamosh, Monh Say Niklegi Agar Baat Parai Hogi.* . Mere Naalon Main Tha Armano Ka Maatum Shamil, Raat Bhar Neend Kahan Kal Inhain Aai Hogi.* . Kuch To Tab'aan Bhi Thay Shola Rawish O Garam Mizaaj, Yaar Logon Nay Bhi Kuch Aag Lagai Hogi.* . Yun Khula Hai Na Khulay Ga Ye Mu'aam Dil Kaa, Zulf Suljhao Gay To Uqdaa Kashaai Hogi.* . Iltifat E Nigya E Yar Ye Kehta Hai "Naseer", Uski Mehfil Main Kabhi Apni Rasai Hogi....*SA* . Type By,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Haath Aa Jaye Mere Dard Ka Dar'maan Koi,

Haath Aa Jaye Mere Dard Ka Dar'maan Koi, Aisi Gardish Bhi Ho Gardish E Doraan Koi.* . Ab Bujz Qurb Nahi Zeest Ka Makaan Koi, Warna Hota Nahi Sharminda Ehsaan Koi.* . Kho Chala Kocha E Jaa'na Main Dil O Jaan Koi, Yun Bhi Allah Na Ho Bay Sar O Samaan Koi.* . Mutma'in So Na Saka Khulq Main Insaan Koi, Aa Hi Jata Hai Nazar Khawab E Paraishan Koi.* . Yun Tere Mushaf E Rukh Par Hai Nigahain Apni, Shoq Say Jaise Tilawat Kard Quraan Koi.* . Muztarib Main Bhi Zamane Ki Karri Dhoop Maim Hun, Chahta Hun K Chupa Lay Tah E Damaan Koi.* . Husn Aik Qehr Hai Afat Hai Ghazab Hai Yaaro, Dil Lagaye Na Kahin Bhool K Insaan Koi.* . Apki Baat Samjhta Hun Kahun Ya Na Kahun, Aap Daa'na Sahi Main Bhi Nahi Daa'naan Koi.* . Muskurty Hai Mujhe Daikh K Dunya Wale, Mere Allah Na Ho Mujh Sa Paraishaan Koi.* . Hai Ye Iqraar Ki Taqraar K Inkaar Ka Rang, Kah Raha Hai Meri H

Umar Beeti Hai Haal E Ghum Kahte,

Umar Beeti Hai Haal E Ghum Kahte, Or Kya Dastaan Hum Kahte.* . Apni Rudaad E Ranj O Ghum Kahte, Koi Sunta To Us Sy Hum Kahte.* . Aa'ray Aate Hai Dagh E Dil Warna, Kochaa E Yaar Ko Iram Kahte.* . Baat Chirti Agar Tagaaful Ki, Hum Sitam Kahte Wo Karam Kahte.* . Tu Na Chupta Agar Nigaahon Say, Log Pather Ko Q Sanam Kahte.* . Wo Jo Rasmun Bhi Maherban Hota, Hum Isay Ishq Ka Bharam Kahte.* . Haal E Ghum Kah Raha Hon Ruk Ruk Kar, Dil Dharkta Hai Ik Dum Kahte.* . Naam Q Na Liyaa Muqaddar Ka, Unki Zulfon Ka Aik Khum Kahte.* . Kabhi Milte To Apna Apna Ghum, Hum Say Wo Or Un Say Hum Kahte.* . Aik Uftaad Ho To Zikar Karain, Dum Nikalta Hai Haal E Ghum Kahte.* . Kis Nay Apna "Naseer" Saath Diya, Kis Ko Dunya Main Hum-Qadam Kahte....*SA* . Type By,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Amd O Raft Hai Saba Ki Tarha,

Amd O Raft Hai Saba Ki Tarha, Aaye Wo Chal Diay Hawa Ki Tarha.* . Barhami Uski Hai Saza Ki Tarha, Zulf Sar Charh Gai Bala Ki Tarha.* . Kum Nahi Khon E Dil Main Rangeeni, Rang Lata Hai Ye Hina Ki Tarha.* . Un K Ahd E Shabab Say Khush Hun, Parr Gai Khair Sy Haya Ki Tarha.* . Or Kuch Na Ho Honton Main Magr, Bay Niyazi Hai Kuch Khuda Ki Tarha.* . Chand Maa'il Bhi Guraiza Bhi, Ho Ba Ho Mere Dil Ruba Ki Tarha.* . Surkh Ru Kr Diya Zamane Ny, Pees Dala Hamain Hina Ki Tarha.* . Rehzun Rehnuma Nahi Hotay, Baat Karte Rehnuma Ki Tarha.* . Ma'ay Yaqeenun Haraam Hai Zahid, Ghount 2 Ghount Pee Dawa Ki Tarha.* . Main Bhi Mojod Hun Jahaan Main Magr, Ik Khoi Hoi Sada Ki Tarha.* . Unki Ulfat Ka Mud'dai Ho Kar, Dil Hai Nakaam Mud'da Ki Tarha.* . Zindagi Kis Ki Ho Saki "Naseer", Ye Bhi Hai Ik Bewafa Ki Tarha....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book

Takra Gai Thi Unki Nazar Say Nazar Kaheen,

Takra Gai Thi Unki Nazar Say Nazar Kaheen, Dil Ko Mere Chain Na Mila Umar Bhar Kaheen.* . Ho Jaaiaye Kabhi Na Jalwagar Kaheen, Sar Phoor Lay Na Apka Ashfita Sar Kaheen.* . Qulb O Nazar Main Hashar Baapa Jaan Muztarib, Is Rah Say Hoa Na Ho Unka Guzar Kaheen.* . Aay Charasaz Sir Na Khapa Apni Rah Ly, Acha Hoa Hai Ishq Main Zakhm E Jiger Kaheen.* . Lil'lah Ap Husn K Taiwar Sanbhaliaye Barbad Ho Na Jaye Maa'ta E Nazar Kaheen.* . Kehna Paregi Khul K Mujhe Dastan E Dil, Jab Chirr Gai To Bat Hoi Mukhtasar Kaheen.* . Majroh E Naish Ka Waqt Ka Allah Ray Ilaaj, Marhum Kaheen Hai Zakhm Kaheen Charagar Kaheen.* . Dil Chahta Hai Shaam E Tamanna Shab E Wisaal, Lekin Dhalay To Ghum Ki Kari Dopeher Kaheen.* . Mujh Say Khichay Hoay Hai To Khush Hai Wo Ghair Say, Us Nay Lagai Ho Na Idhar Ki Udhar Kaheen.....*SA* . Milta Hai Aaj Kal Hamain Ik Shakhs Is Tarha, Baigaana Waar Wo Bhi Sar E Rahguzar Kaheen.* . Sunta Hon Loot Lete Hai

Jo Aastan Sy Tere Low Lagaye Baithay Hai,

Jo Aastan Sy Tere Low Lagaye Baithay Hai, Khuda Gawah Hai Wo Dunya Pay Chaaye Baithay Hai . Chamak Rahi Hai Jabeenain Tere Fakeeron Ki, Tajal'liyat K Sehry Sajaye Baithay Hai . Khuda K Waste Ab Khol Un Pay Baab E Aa'ta, Jo Dair Say Teri Chokhat Pay Aaye Baithay Hai . Jalayegi Unhain Ab Kya Chaman Main Barq E Falak, Jo Aashyana E Hasti Jalaye Baithay Hai . Bare Baron K Siron Say Utar Raha Hai Khumaar, Wo Aaj Khair Say Mehfil Pay Chaaye Baithay Hai . Jahan Bhi Jaaiaye Un K Sitam Ka Charcha Hai, Wo Sari Khulq Main Tofan Uthaye Baithay Hai . Majaal Hai Jo Lab Hilay Sar E Mehfil, Wo Aik Aik Ko Ankhain Dikhaye Baithay Hai . Ye Aik Hum Hai K Apno K Dil Na Jeet Sake, Wo Dushmano Ko Bhi Apna Banaye Baithay Hai . Ajal Main Hum Jo Uthaye Pay Ab Nahi Qadir, Yahan Hum Aaj Kisi Say Bithaye Baithay Hai . Wafa K Naam Pay Dushman Ka Imtihan Bhi Sahi, K Dosto Ko To Hum Azmaaye Baithay Hai "Naseer" Hum Ma

Kitne Dhoky Apni Khushi Sy Humne Aksar Khaye Thy,

Kitne Dhoky Apni Khushi Sy Humne Aksar Khaye Thy, Chandni Chandni Chahre Wale Dil K Kaly Paye Thay . Ghao Dil Pr Khali Daman Ly Kr Wapis Jate Hai, Kya Kya Khawab Bunay Thy Hum Ny Jab Us K Shahr Aaye Thay . Tha Ahsas Sitaro Ko Is Jalti Hoi Tanhai Ka, Isi Liay Wo A A Kr Unki Palkon Py Muskaye Thay . Kanton Ny Jb Jan Lia To Humko Chaira Je Bhr Kr, Humne Ik Gulab Ko Ja Kr Jo Bhi Raz Bataye Thay . Chota Sa Ghar Kacha Angan 2 Aik Phol Tumhain Dunga, Wapis Aana Bhol Gaya Wo Jis Nay Khawab Dikhaye Thay . Sah E Harfi Ik Lafz Faqt Jo Hijar Ko Samjhy Kya Samjhy, Aksar Aik Hi Chingari Ny Jangal Aan Jalaye Hai . Hansti Hoi Ankhon Main Jhanko, Raakh Milegi Jazbo Ki, Pairr Wohi Jalty Daikhy Hai Jin K Thandy Saye Thy . Chalni Kis Ny Kr Dala Ye Q Kr Batla'ain Hum, Samjho Sare Hath Apne Sare Teer Paraye Thay....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poetess Fakhra Batool Book