Posts

Showing posts with the label Poetess Rabia Basri

Judaiyon Ki Fasal Hum Nay

Poetess Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Judaiyon Ki Fasal Hum Nay..* - - Apne Hathon Say Utha Rakhi Hai..* - - Wagarna Ab Bhi..* - - Agar Jo Chahain..* - - To Haath Barha K Tum Ko Paalain..* - - Bas Ik Sada Dain Tumhain Bula Lain....'*SA*' - - Book:- Ankhain Bhigona Nahi

Ab Hamare Shaher May Nahi Loutna

Poetess;- Rabia Basri . Type By *-.SA-Ki-JAN.-* . Ab Hamare Shaher May Nahi Loutna . Wo Pagli Jo Teri Yad K Phol Daman May Rakhe Hoay Thi . Teri Ankh K Ansuon Ko Apni Ankh May Bhr Laiti Thi . Apne Narm Anchal Sy Teri Mazbot Hathailiyon Py Aya Pasina Ponch Deti Thi . Teri Halki Si Takleef Pay Rutjagay Kat'ti Thi . Tere Hissy K Dukh Apne Daman Main Bhr Jane Ki Dua Mangti Thi . Or Apne Hissy Ka Hr Sukh Tujh Py War Deti Thi . Teri Talkhi Py Saihem Jati Thi . Ankhain Bhigo Leti Thi . Tujh Sy Rothti To Khafgi Ka Izhar Krne K Badly . Khud Hi Maan Jati Thi . Tujhe Rothny Nahi Daiti Thi . Teri Hr Khata Maf Kr Deti Thi . Teri Kuj Adai Muskura K Seh Jati Thi . Apne Dukh Ka Saya Bhi Tujh Py Parne Nahi Deti Thi . Wo Larki Wohi Masoom Pagli . Aj Khud Tot Baithi Hai . K Ab Us K Hr Sabr Kh Had Ho Gai . So Meri Mano To Hamare Shaher Nahi Lotna . K Ab Wahan Tumhain Kisi Anchal Ka Saya Nahi Mil Sake Ga....*SA*

Us Nay Pocha

Poetess Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Us Nay Pocha..* - - Ankhain Kaisi Bheegi Hai..* - - Roi Roi Lagti Ho..* - - Maine Us K Samne Ankhain Ponchi..* - - Palkon K Geelay Farsh Saaf Kiay..* - - Hans K Boli..* - - Ankh Main Meri Hi Palkon Ka Baal Gaya Tha..* - - Ankhain Geeli Kar K Usay Nikala Hai..* - - Dard Bari Hi Shiddat Par Tha..* - - Or Ab ,, Ab Main Thek Hon..* - - Roi Nahi Hon....*SA* - - Book Ankhain Bhigona Nahi.

Kabhi Raat Gaye Doston K Hamrah Phirtay Hoay

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Kabhi Raat Gaye Doston K Hamrah Phirtay Hoay..* - - Tumhain Hawa Main Nami Si Mehsos Ho..* - - Fiza Main Udasi Lage..* - - To Jaan Laina..* - - Koi Tumhare Liay Is Qadar Rutjagay Kat'ta Hai..* - - Kah Uski Ankhain Neend Ka Zaiqa Bhol Baithi Hai..* - - Kaheen Ik Pagli Hai..* - - Jiski Palkain Ab Bhi Tumhare Liay Bheegti Hai....'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi

Sab Kehte Hai Tum Boht Muskurati Ho

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Sab Kehte Hai Tum Boht Muskurati Ho..* - - Khanaktay Hoay Shokh Lehjay Main Jab Bolti Ho..* - - To Lagta Hai Dunya Haseen Ho Gai Hai..* - - Tumhari Hansi Boht Khobsorat Hai..* - - Tum Mukammal Nazr Aati Ho..* - - Hamain Kitna Khush Rakhti Hai..* - - Main Phr Sy Hans Daiti Hon..* - - Sochti Hon Inhain Apne Wajood Ka Wo Hissa Dikhaon..* - - Jisay Weraaniyan Chaat Baithi Hai..* - - Or Wo Zakhm Dikhaon Jo Un K Aa'ta Karda Hai..* - - Jin K Liay Zindagi Waar Di Thi..* - - Phr Mere Andar Sy Aik Awaz Aati Hai..* - - Nahi Aisa Na Krna Inhain Khush Rakho..* - - Dukh Na Daina Sach Mat Kehna..* - - Ye Sab Tere Chahne Wale Hai..* - - Tujhe Pyar Karte Hai..* - - Bas Un K Liay Apna Hr Ghum Chupa..* - - Muskura Muskura..*SA* - - Book Ankhain Bhigona Nahi.

Maine Ap K Saaye Ko Poja Hai

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Maine Ap K Saaye Ko Poja Hai..* - - Jahan Say Guzri Hai..* - - Us Zameen Ko Muqad'das Samjha Hai..* - - Maine Ap Ko Khud Say Ziada Chaha Hai..* - - Main Pal Pal Ap K Liay Roya Hon..* - - Boht Tarsa Hon..* - - Ap Nahi Jaanti Ap Meri Kachi Umar Ka Pehla Khawab Hai..* - - Or Khawab Jab Tot'tay Hai..* - - To Ta Umar Unki Chubhan Ankhon Main Rehti Hai..* - - Honton Say Rusti Hai Palkon Say Behti Hai..* - - Magr Apko Is Say Kya.*? - - Ap K Khawab Salamat Rahain..* - - Inhain Kabhi Kuch Na Ho..* - - Kabhi Mazi Main Jhankain To Aik Dewane Ko Yad Kar K Hans Diya Kijiay Ga..* - - Us Boht Meherban Shakhs Ki Ankhain Or Lab Ye Sab Keh Rahe Hai..* - - Magr Main Apni Ankh Or Khawab..* - - Boht Pahle Kaheen Raihann Rakhwa Chuki Hon....'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi.

Is Sy Pahle Kah Meri Rooh Parwaz Kar Jaye

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Is Sy Pahle Kah Meri Rooh Parwaz Kar Jaye..* - - Waqt Urr Jaye..* - - Main Haath Multi Reh Jaon..* - - Dar Takti Reh Jaon..* - - Akhri Baar Aana..* - - Meri Band Hoti Palkon Ko Dheeray Say Chhona..* - - Or Keh Daina Jo Maine Sun'na Hai..* - - Keh Daina..* - - Tum Nay Faqat Mujhe Chaha Hai..* - - Baqi Jo Sang Hai..* - - Wo Mosam K Rang Hai..* - - Suno Ye Alfaaz Mere Liay Akseer Hon Gay..* - - Chahay Jhoot Hi Hon..* - - Or Main Usi Lamhay..* - - Tumhare Hathon Py Sar Rakh K Mar Jaon Gi...'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi.

Jab Koi Dheemi Si Awaz Main Bolta Hai

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Jab Koi Dheemi Si Awaz Main Bolta Hai..* - - Ya Mud'hum Suron Main Hansi Bikhairta Hai..* - - Tum Mujhe Yaad Aate Ho..* - - Jab Koi Jazbon Ko Jhutla K..* - - Muhabt K Wajood Say Munkir Ho Jata Hai..* - - Madiyat Pasandi Us K Rag O Pay Main Ruch Jati Hai..* - - Aaise Main Wo Kisi Piyare Ko Nazron Say Gira K..* - - Kaheen Dosri Our Murr Jata Hai..* - - Tum Mujhe Yaad Aate Ho..* - - Or Jab Kisi Bebas Wajood Ko..* - - Bina Apni Marzi Sisakty Hoay Daikhti Hon..* - - Kisi Ka Maan Tot'tay Hoay Daikhti Hon..* - - Koi Bharam Jazbat Ki Rou Main Behtay Hoay Daikhti Hon..* - - Main Aaina Samne Rakh K..* - - Khud Ko Yaad Karti Hon.....'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi.

Ab Hamari Ankhon Main

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Ab Hamari Ankhon Main Ab Hamari Baaton Main Ab Hamare Haathon Main..* - - Phool Hai Na Kaliyan Hai Rang Hai Na Mooti Hai Chah Aisi Hoti Hai..* - - Jo Mita K Rakh Choray Jo Jala K Lay Jaye Zeest Ki Sabhi Khushiyaan..* - - Muskura K Lay Jaye Sahilon Py Aai Mouj Ki Tarha Baha K Ly Jaye..* - - Sab Dikha K Lay Jaye Yun Jita K Lay Jaye Pichay Rahne Walon Ki..* - - Zindagi Badal Jaye Pori Zaat Jal Jaye Or Un K Haathon K..* - - Phool Or Sabhi Kaliyaan Rang Or Sabhi Moti Ansuon Main Beh Jayain..* - - Sirf Un K Honthon Pay Hasratain Hon Khawahish Ho Yun Na Azmaish Ho....'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi.

Abhi Zabt Ki Boht Si Haadon Sy Guzarna Hai

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Abhi Zabt Ki Boht Si Haadon Sy Guzarna Hai..* - - Abhi Kamaal Ka Sabar Karna Hai..* - - Us Sy Bichray Hoay Aik Muddat Guzarny Lagi..* - - Magar Abhi Sabar Say Kaam Laina Hai..* - - Kaam Dhandoun Main Masrof Rehna Hai..* - - Kisi Sy Kuch Nahi Kehna Hai..* - - Kah Yahi Waqt E Azmaish Hai..* - - Or Abhi Khud Ko Boht Azmana Hai..* - - Dil Jalana Hai..* - - Ankhain Bhigona Nahi Hai..* - - Abhi Rona Nahi Hai.....'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi

Aik Din Achanak Sy Us Ny Kaha

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Aik Din Achanak Sy Us Ny Kaha..* - - Tumhari Hansi Boht Khobsorat Hai..* - - Bilkul Waise Hi Jaise Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - *._._Dil Ki Moat_._.* - - Jism Ki Moat Par To Sabhi Garya Zari Karte Hai..* - - Marne Walon K PiyarTumhari Ankhain..* - - Or Ab Us K Bicharny K Bad Maine Jana..* - - Kah Meri Hansi Or Ankhain Mushtariq Qadar Rakhti Hon..* - - Dono Bheegi Hoi Hon.....'*on Sy Milte Hai..* - - Unki Dil Jooi Karte Hai..* - - Suno Mera Dil Mar Gaya Hai..* - - Uska Matum Karo..* - - Mere Saath Bain Dalo..* - - Mujhe Dilasa DSA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi.o..* - - Kah Jism Ki Moat Itni Kathin Nahi..* - - Jitni Dil Ki Hai..* - - Kya Tum Nay Sahi Hai....'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi

Tum Apne Sard Partay Haath

Poetess:- Rabia Basri . Type By *-.SA-Ki-JAN.-* . Tum Apne Sard Partay Haath Meri Turbat Pay Rakho Gay..* - - Mere Kutbay Pay Apna Zard Matha Tikao Gay..* - - Meri Qabr Ki Geeli Mat'ti Ko Uthao Gay..* - - Inhain 2no Muthiyon Main Bhar Lo Gay..* - - Or Ro Do Gay..* - - Mere Liay Ye Boht Hoga..* - - Sach Pocho..* - - Tumhara Ye Roop Daikhny K Liay Ab..* - - Mar Jaane Ko Jee Chahta Hai....'*SA*' . Book Ankhain Bhigona Nahi.

Sochti Thi

Poetess Rabia Basri . Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Sochti Thi..* - - Us Say Bichar K Je Na Saakon Gi..* - - Mar Jaaon Gi..* - - Wo Awaaz Na Sun Pai To Or Kya Sun Paaon Gi..* - - Uska Saath Na Mil Paya To Je Kaise Paaon Gi..* - - Wo Chehra Na Daikh Saki To Roshi Kaise Paaon Gi..* - - Uski Sama'at Na Pohnchi To Naaye Lafz Kahan Say Laaongi..* - - Sochti Thi Us Say Bichr Kr Kaise Reh Paaon Gi..* - - Khud Ko Kaise Behlaon Gi..* - - Lekin Daikho..* - - Us Say Door Hoay Mujhko Kitne Mosam Beet Gaye Hai..* - - Wo Chehra Ab Door Hai Mujh Say Wo Alfaz Nahi Milte..* - - Lekin Phr Bhi..* - - Ankhon Ki Beenai Salamat Ab Bhi Hai..* - - Lafzo Ka Ik Bara Zakhera Ab Bhi Hai..* - - Ab Bhi Sanson Ka Wohi Tasalsul Waqfy Waqfy Say Jari Hai..* - - Ab Bhi Banti Sanwarti Hon Ab Bhi Hasti Gaati Hon.....'*SA*' . Ab Bhi Umda Kapray Pehn K..* - - Sab Sy Milne Jati

Us Nay Mujhe Boht Kuch Diya Hai

Poetess:- Rabia Basri . Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Us Nay Mujhe Boht Kuch Diya Hai..* - - Dhair Si Talkh Yadain..* - - Zaher Sy Bujhay Jumlay..* - - Tanziya Lehjay..* - - Malamat Bhare Lafzo K Anbaar..* - - Boht Si Dil Cheer Daine Wali Batain..* - - Ik Sokhta Haal E Dil..* - - Bay Jaan Bay Wq'aat Sa Wajood..* - - Apni Khud Sakhta Majboriyon Ki Fehrist..* - - Bichr Jane Main Behtri Hai Ki Dalilain..* - - Us Nay Mujhe Itna Kuch Day Diya Hai..* - - Main Aksar Ye Sari Chezain Nikaal K Baith Jati Hon..* - - Dil Khool K Hansti Hon..* - - Kah Meri Bay Los Chahat..* - - Or Us K Qarar K Badly..* - - Wo Mujhe Kitna Kuch Day Gaya..* - - Or Ab Main Kitni Ameer Ho Gai Hon....'*SA*' . Book:- Ankhain Bhigona Nahi

Main Shayad Boht Je Na Sakun

Poetess:- Rabia Basri . Type By *-.SA-Ki-JAN.* . Main Shayad Boht Je Na Sakun..* - - Lekin Aik Asasa Chor Chali Hon..* - - Ye Mere Kuch Lafz Hai..* - - Ye Tera Dil Pighla Na Sakay..* - - Haan Tujh Ko Door Lay Jaane Main Paish Paish Thay..* - - Yahi Alfaaz Aik Jaga Chunn K Ab Jaane Lagi Hon..* - - Meri Ankhain Band Kar Laine Par Mat Rona..* - - Haan Unko Parh Laina Aik Dafa..* - - Bas Aik Dafa Palkain Bhigo Laina..* - - Main Samjhon Gi..* - - Lafz Asar Krte Hai...'*SA*' . Book Ankhain Bhigona Nahi

Us Nay Dheemay Sy Narm Lehjay Main Mazrat Ki

Poetess:- Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Us Nay Dheemay Sy Narm Lehjay Main Mazrat Ki..* - - Mujh Say Bola..* - - Suno Mere Liay Ye Mumkin Nahi..* - - Kah Tumhain Ab Dilaso Main Rakhon..* - - Ab Talluq Torny Main Hi Behtri Hai..* - - Mujhe Bhol Jao..* - - Ho Sake To Maaf Kar Daina..* - - Buray Alfaaz Main Yaad Rakhna Nahi..* - - Dil Ye Sun K Boht Ro Diya Tha..* - - Is Qadar K Ab Tak Sanbhal Na Saka..* - - Tum Bare Safaak Thehray..* - - Suno Main Tumhain Maaf Kaise Karongi..* - - Ye Alag Dastan Hai..* - - Mager Raat K Akhri Paiher Main Roz Palkain Bhigoti Hon..* - - Sar Sajday Main Rakh K Usay..* - - Aik Hi Bad Dua Daiti Hon..* - - Khudaya Usay Itni Khushyaan Daina..* - - Kah Uska Daman Tang Parr Jaye....'*SA*' . Book Ankhain Bhigona Nahi

Tum Nay Mujhe Koi Sungi Mujasma Hi Samjha

Poetess Rabia Basri. - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Tum Nay Mujhe Koi Sungi Mujasma Hi Samjha.* - - Kah Jis Par Koi Baat Koi Dukh Koi Takleef Asar Nahi Karti.* - - Mere Dosto.* - - Dhoop Ki Chubhan Mujhe Bhi Hoti Hai.* - - Kisi Ka Sakht Lehja Mujhe Bhi Mehsoor Hota Hai.* - - Baaton K Teer Mujhe Bhi Lagte Hai.* - - Kisi Mazboot Baazu Ka Hisaar Mujhe Bhi Chahiay.* - - Aik Aitbaar Mujhe Bhi Chahiay.* - - Aik Ghar Aik Dareechay Ki Khawahish Mujhe Bhi Hai.* - - Main Koi Sungi Mujasma Nahi Hon.* - - Boht Aam Si Larki Hon.* - - Kaaash Tum Nay Mujhe Kabhi Khaaas Na Samjha Hota......*SA* - - Book Ankhain Bhigona Nah..

Main Muhabt Ki Abtida Or Intiha K Mutaliq Nahi Janti

Poetess Rabia Basri - - Type By *-.SA-Ki-JAN.-* - - Main Muhabt Ki Abtida Or Intiha K Mutaliq Nahi Janti..* - - Main Us K Ma'ini Bhi Samajhti Nahi Hon..* - - Magr Jis K Bina Sans Laina Bhi Mumkin Na Tha..* - - Jis K Bicharny K Khayal Sy Hi..* - - Dil Ki Sari Ragain Tot'ti Theen..* - - Wo Jis Ki Kunj Adai Saahi Nahi Jati Thi..* - - Wo Jiski Aik Pal Ki Bay Rukhi Sy Kumla Si Jati Thi..* - - Wo Jis Ki Halki Si Takleef Mujhe Bokhla Daiti Thi..* - - Wo Jiski Choti Si Farmaish Pori Krne Ko Kya Kya Jatun Karti Thi..* - - Jiski Har Baat Seh Jati Thi..* - - Jisay Rothny Nahi Daiti Thi..* - - Aaj Uski Akhri Tamanna Bhi Pori Kr Aai Hon..* - - Haan Tum Sahi Samjhay..* - - Main Us K Liay Usay Chor Aai Hon..* - - Jis K Na Honay Sy Mere Jeewan K..* - - Sab Rang Khatam Ho Gaye.....'*SA*' - - Book Ankhain Bhigona Nahi

Khuda Kare

Poetess Rabia Basri . Type By *-.SA-Ki-JAN.-* . Khuda Kare Wo Rasta Jo Tum Ny Chuna Hai Is Qadar Sakht Ho Kah Tum Adhi Rahguzar Say Hi Loat Aao.* . Phr Tum Adhay Raston Sy Paalutny Ka Dukh Jaan Lo Gy.* . Khuda Kare K Garmiyon Ki Habs Zada Taveel Dopehr Main Tum Apne Pyare Sy Milne Ka Socho Sujj Ban K Poncho To Wo Tumhain Mil Na Sake.* . Phr Tum Jaano Gy Kah Mayosi Kya Hoti Hai.* . Khuda Kare Tumhari Muskurati Ankhain Jo Neend Ki Bari Kachi Hai Rutjagoon Ki Aadi Ho Jayain.* . Tumhain Bhi Neend Khony K Qurb Sy Ashnai To Ho.* . Khuda Kare Kah Tum Kisi Sy Baat Karo Tumhain Aaisa Lage Kah Ab Har Talash Khatam Hai Tum Usay Khojo Magr Wo Apni Baat Bin Kuch Bataye Tumhain Torr Day.* . Tumhain Andaza Ho K Totna Kya Hota Hai...'*SA*' . Khuda Kare Tum Bhi Pal Pal Us K Liay Tarso Usay Daikhne K Liay, Sun'ny K Liay 2sron Ki Min'natain Karo Khud Ko Gira Do.* . Tumhain Bhi Aa'na K Chatakhnay Ka Ehsaas Ho.* . Khuda Kare Mujhe Is Toti P

Bicharnay K Baad Main Sochti Thi.

Poetess Rabia Basri . Type By *-.SA-Ki-JAN.-* . Bicharnay K Baad Main Sochti Thi.* . Kabhi To Tumhain Meri Wafain Yad Aayain Gi.* . Kabhi To Meri Roti Ankhain Mera Bhiga Lehja Tumhain Apni Or Khainchay Ga.* . Kabhi To Tum Dhair Sare Gulaab Meri Goud Main Rakh K Kaho Gay.* . Suno Main Loat Aaya Hon.* . Sochti Thi Kabhi To Surprize Do Day.* . Khud Aa K Kaho Gy "Jiya Meri Jiya".* . Tum Sy Dori Boht Jan Laiwa Thi.* . Main Boht Thak Gaya Hon.* . Ab Nahi Jaonga Akhri Baar Maaf Kr Do.* . Sochti Thi Meri Tarha Na Sahi.* . Par Kabhi To Mujhe Yad Krte Hi Hon Gay.* . Kabhi Fursat Sy Mere Card Nikaal K.* . Unhain Dheeray Sy Chu K.* . Apna Mobile On Kar K Check Karte Hon Gay.* . Is Aas Pay Kah Shayad Koi Aik Miss Call Meri Bhi Ho.* . Sochti Thi Drive Karte Hoay Kabhi Mere Ghr K Agay Say Guzar K.* . Mere Tairis Ki Our Daikhte Hon Gay....'*SA*' . Is Umeed Par Kah Shayad Main Ab Bhi Waheen Hon