Posts

Showing posts from October 10, 2014

Aah E Saher Nay Sozish E Dil Ko Mita Diya

Aah E Saher Nay Sozish E Dil Ko Mita Diya....* . Is Baad Nay Hamain To Diya Sa Bujha Diya....> . Sabhi Na Baad Subah Ko Aa Kar Utha Diya....> . Is Fitna E Zamana Ko Na-Haq Jaga Diya....> . Posheeda Raaz E Ishq Chala Jaye So Aaj....> . Bay-Taqati Nay Dil Ka Wo Parda Utha Diya....> . Is Moaj Khaiz Daiher Main Hum Ko Kaza Nay Aah....> . Pani K Bulbulay Ki Tarha Mita Diya....> . Thi Laag Uski Taig Ko Hum Say So Ishq Nay....> . 2no Ko Maa'arkay Main Galay Say Mila Diya....> . Sab Shour E Maa O Man Ko Liay Sar Main Marr Gaye....> . Yaaron Ko Is Fasane Nay Akhir Sila Diya....> . Awargaan E Ishq Ka Pocha Jo Main Nay Nishaan....> . Masht E Gubaar Lay K Saba Nay Uraa Diya....> . Ajzaa Badan K Jitne Thay Pani Ho Kar Beh Gaye....* . Akhir Gudaad E Ishq Nay Hum Ko Baha Diya....'*'SA'*' . Kya Kuch Na Tha Azal Main Taa'lay To Thay Darust....> . Hum Ko Dil E Shikasta Nay

Zindagi Se Bari Koi Saza Hi Nahin.

Zindagi Se Bari TaYpEd By      TLASH25 Zindagi Se Bari Koi Saza Hi Nahin. = Aur Kiya Jurm Hai Pata Hi Nahin. = Jab Do Chandi Mein Chahe Sone Mein. = Aaina Jhoot Bolta Hi Nahin. = Sach Ghate Ya Barhe To Sach Na Rahe. = Jhoot Ki Koi Inteha Hi Nahin. = Itne Hisson Mein Bat Gaya Hon Mein. = Mere Hisse Mein Kuch Bacha Hi Nahin...! = Poet By Abdul Hameed Aadam. = eNd = Follow Tlash25 Send To 8001

Khush Hon Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya.

Khush Hon Ki TaYpEd By       TLASH25 Khush Hon Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya. = Mujh Ko Supurd E Gardish E Ayaam Kar Diya. = Saaqi Siyaah-Khana E Hasti Mein Dekhna. = Roshan Charagh Kis Ne Sar E Sham Kar Diya. = Pehle Mere Khuloos Ko Dete Rahe Fareb. = Aakhir Mere Khuloos Ko Badnaam Kar Diya. = Kitni Duaaein Don Teri Zulf E Daraaz Ko. = Kitna Waseea Silsila E Daam Kar Diya. = Wo Chashm E Mast Kitni Khabardaar Thi Adam. = Khud Hosh Mein Rahi Humein Badnaam Kar Diya...! = Poet By Abdul Hameed Adam. = eNd. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dekh Kar Dilkashi Zamane Ki

Dekh Kar Dilkashi TaYpEd By        TLASH25 Dekh Kar Dilkashi Zamane Ki. = Arzoo Hai Fareb Khaane Ki. = Aye Ghum E Zindagi Na Ho Naraaz. = Mujh Ko Aadat Hai Muskurane Ki. = Zulmaton Se Na Dar Ki Raste Mein. = Roshni Hai Sharaab-Khaane Ki. = Aa Tere Gesuon Ko Pyaar Karon. = Rat hai Mishalen Jalaane Ki. = Kis Ne Saagar Adam Buland Kiya. = Tham Gayi Gardishen Zamaane Ki...! = Poet By Abdul Hameed Adam. = eNd. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mekhana E Hasti Mein Aksar Hum Apna Thikaana Bhool Gaye.

Mekhana E Hasti TaYpEd By      TLASH25 Mekhana E Hasti Mein Aksar Hum Apna Thikaana Bhool Gaye. = Ya Hosh Mein Jaana Bhool Gaye Ya Hosh Mein Aana Bhool Gaye. = Asbaab To Ban Jaate Hain Taqdeer Ki Zid Ko Kiya Kahiye. = Ek Jaam Lo Puhuncha Tha Hum Tak Hum Jaam Uthana Bhool Gaye. = Aaye The Bikhre Zulfon Ko Ek Roz Humaare Marqad Par. = Do Ashk To Tapke Ankhon Se, Do Phool Charhana Bhool Gaye. = Chaaha Tha Ki Un Ki Ankhon Se Kuch Rang E Bahaaran Leeje. = Taqreeb To Achi Thi Lekin Oo Aankh Milana Bhool Gaye. = Maloom Nahin Aaine Mein Chupke Se Hansaa Tha Kon Adam. = Hum Jaam Uthaana Bhool Gaye, Wo Saaz Bajana Bhool Gaye..! = Poet By Abdul Hameed Adam. = eNd. = Follow Tlash25 Send To 8001

Jumbish E Kaakul E Mahbob Se Din Dhalta Hai.

Jumbish E Kaakul TaYpEd By            TLASH25 Jumbish E Kaakul E Mahbob Se Din Dhalta Hai. = Haaye Kis Khoobi E Usloob Se Din Dhalta Hai. = Phenk Kulfat-Zada Sooraj Pe Bhi Chheente Us Ke. = Jis Mayy E Dilkash O Marghoob Se Din Dhalta Hai. = Koshish E Banda-Daana Nahin Kaamil Hoti. = Sohbat E Banda D Majzoob Se Din Dhalta Hai. = Mehar Ke Walwala E Raast Se Pau Phatti Hai. = Mehar Ke Jazba E Maqloob Se Din Dhalta Hai. = Saaqiya Ek Adam Ko Bhi Phureri Us Ki. = Jis Khanakte Huwe Mashroob Se Din Dhalta Hai...! = Poet By Abdul Hameed Adam. = eNd. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ay Saqi E Mehwish Ghum E Dauraan Nahin Uthta.

Ay Saqi-E-Mehwish TaYpEd By         TLASH25 Ay Saqi E Mehwish Ghum E Dauraan Nahin Uthta. = Darwesh Ke Hujre Se Ye Mehmaan Nahin Uthta. = Kehte The Ki Hai Baar E Do-Aalam Bhi Koi Cheez. = Dekha Hai To Ab Baar E Garebaan Nahin Uthta. = Kiya Mere Safeene Hi Ki Dariya Ko Khatak Thi. = Kiya Baat Hai Ab Kyon Koi Tofaan Nahin Uthta. = Kis Naqsh E Qadam Par Hai Jhuka Roz E Azal Se. = Kis Weham Mein Sajde Se Bayabaan Nahin Uthta. = Be-Himmat E Mardaana Nasaafat Nahin Katti. = Be-Azm E musammam Qadam Aasaan Nahin Uthta. = Yon Uthti Hain Angdaai Ko Wo Marmarin Baanhen. = Jaise Ki Adam Takht E Suleman Nahin Uthta...! = Poet By Abdul Hameed Adam. = eNd. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kitni Be-Saakhta Khata Hon Mein.

Kitni Be-Saakhta TaYpEd By       TLASH25 Kitni Be-Saakhta Khata Hon Mein. = Aap Ki Raghbat-O-Razaa Hon Mein. = Maine Jab Saaz Chherna Chaaha. = Khaamoshi Cheekh Uthi Sadaa Hon Mein. = Hashar Ki Subah Tak To Jaagon Ga. = Raat Ka Aakhri Diya Hon Mein. = Aap Ne Mujh Ko Khoob Pehchana. = Waaqeyi Sakht Bewafa Hon Mein. = Maine Samjha tha Mein Muhbat Hon. = Maine Samjha Tha Mudda Hon Mein. = Kaash Mujh Ko Koi Bataaye Aadam. = Kis Pariwash Ki Baddua Hon Mein...! = Poet By Abdul Hameed Adam. = eNd. = Follow Tlash25 Send To 8001