Posts

Showing posts with the label Poet Firaq Gorakhpuri

Chhalak K Kam Na Ho Aisi Koi Sharab Nahin.

Chalak K Kam TaYpEd By  TLASH25 Chhalak K Kam Na Ho Aisi Koi Sharab Nahin. = Nigah E Nargiz E Rana Tera Jawab Nahin. = Zameen Jaagh Rahi Hai K Inqilab Hai Kal. = Wo Rat Hai Koi Zara Bhi Mahw E Khuwab Nahin. = Zameen Us Ki Falak Us Ka Qaainat Us Ki. = Kuch Aisa Ishq Tere Khanama Kharab Nahin. = Jo Tere Dard Se Mahrom Hai Yahan Un Ko. = Gham E Jahan Bi Hai Suna Hai K Dastiyab Nahin. = Abi Kuch Aur Ho Insan Ka Lahu Pani. = Abi Hayaat K Chahre Pe Aab O Ta'ab Nahin. = Dikha To Daiti Hai Bahtar Hayaat K Sapne. = Kharab Ho K Bi Ye Zindagi Kharab Nahin...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mujh Ko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pehle.

Mujh Ko Mara Hai TaYpEd By  TLASH25 Mujh Ko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pehle. = Di Saza Ishq Ne Har Jurm O Khata Se Pehle. = Atish E Ishq Bharakti Hai Hawa Se Pehle. = Hont Jalte Hain Muhbat Mein Dua Se Pehle. = Ab Kami Kiya Hai Tere Be Sar O Samano Ko. = Kuch Na Tha Teri Qasam Tark O Fana Se Pehle. = Ishq E Bebak Ko Dawe They Buhat Khilawat Mein. = Kho Diya Sara Bharam Sharm O Haya Se Pehle. = Mout K Naam Se Darte They Hum Aayi Shoq E Hayat. = Tu Ne To Maar Hi Dala Tha Qaza Se Pehle. = Hum Unhein Pake Firaq Aur Bhi Kuch Khoye Gaye. = Ye Takaluf To Na They Ihad E Wafa Se Pehle...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Jab Nazar Apki Ho Gayi Hai

Jab Nazar Apki TaYpEd By  TLASH25 Jab Nazar Apki Ho Gayi Hai Zindagi Zindagi Ho Gayi Hai. = Hai Wo Takmeel Purakaryon Ki Jo Meri Sadigi Ho Gayi Hai. = Teri Har Pursish O Maharbani Ab Meri Be-Kasi Ho Gayi Hai. = Bhool Betha Hai Tu Kah K Jo Bat Wo Meri Zindagi Ho Gayi Hai. = Bazm Mein Ankh Uthane Ki Taqasir Aayi Firaq Aj Bhi Ho Gayi Hai...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dor E Aflaq Ka Shabab Hai Tu

Dor E Aflaq Ka TaYpEd By  TLASH25 Dor E Aflaq Ka Shabab Hai Tu Aftabon Ka Aftab Hai Tu. = Roop Aisa Haseen Jaise Gunaah. = Khalq Ka Haasil E Sawab Hai Tu. = Tujh Se Jobhan Ujali Raton Ka Mehtabon Ka Mehtab Hai Tu. = Aur Zair E Shafaq Chiragan Ho. = Aaj Yon Maeel E Hizab Hai Tu. = Ye Sitare Tere Paseene K Shab Ka Dehka Huwa Shabab Hai Tu. = Tu Jo Soorat Pakar Le Hai Wo Khiyaal. = Yak Ba Yak Jaag Uthe Wo Khuwab Hai Tu. = Jo Baharo K Dil Se Uthte Hain. = Unhi Sholon Ka Pecho Tab Hai Tu. = Ankh Parti Hai Ek Zamane Ki. = Bazm E Imkan Mein Intikhab Hai Tu. = Jaise Nagme Lab E Firaq Pa Soye. = Sez Par Yon Hi Mihv E Khuwab Hai Tu...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kuch Ishare The Jinhein Dunya Samajh Bethe They Hum.

Kuch Ishare TaYpEd By  TLASH25 Kuch Ishare The Jinhein Dunya Samajh Bethe They Hum. = Us Nigah E Ashna Ko Kiya Samajh Bethe They Hum. = Rafta Rafta Gair Apni Hi Nazar Mein Ho Gaye. = Waah Ri Gaflat Tujhe Apna Samajh Bethe They Hum. = Hosh Ki Tofeeq Bhi Kab Ihl E Dil Ko Ho Saki. = Ishq Mein Apne Ko Deewana Samajh Bethe They Hum. = Beniyazi Ko Teri Paya Sarasar Soz O Dard. = Tujh Ko Ek Dunya Se Begana Samajh Bethe They Hum. = Bhool Bethi Wo Nigah E Naz Ihd E Dosti. = Us Ko Bhi Apni Tabeeyat Ka Samajh Bethe They Hum. = Hussn Ko Ek Hussn Ki Samajhe Nahi Aur Aayi Firaq. = Meharban Na Meharban Kiya Kiya Samajh Bethe They Hum...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kisi Ka Yon To Huwa Kon Umar Bhar Phir Bi.

Kisi Ka Yon To TaYpEd By   TLASH25 Kisi Ka Yon To Huwa Kon Umar Bhar Phir Bi. = Ye Hussn O Ishq To Dhoka Hai Sub Mgr Phir Bi. = Hazar Bar Zamaana Idhar Se Guzra Hai. = Nayi Nayi Si Hai Kuch Teri Raah Guzar Phir Bi. = Khusha Ishaara E Peham Zah E Sukoot E Nazar. = Daraz Ho K Fasana Hai Mukhtasir Phir Bi. = Jhapak Rahi Hai Zaman O Makan Ki Bi Ankhe Mgr Hai Kafila Aamada E Safar Phir Bi. = Shab E Firaq Se Aage Hai Aj Meri Nazar. = Ki Kat Hi Jaaye Gi Ye Sham E Be Sehar Phir Bi. = Kahi Yahi To Nahi Kashif E Hayat O Mam'aat. = Ye Hussn O Ishq Bazahir Hai Bekhabar Phir Bi. = Palat Rahe Hai Gareeb Ul Watan Paltana Tha. = Wo Koocha Roo Kashe Zanat Ho Ghar Hai Ghar Phir Bi. = Lota Huwa Chaman E Ishq Hai Nigaho Ko. = Dikha Gaya Wahi Kia Kia Gul O Samar Phir Bi. = Kharab Ho K Bi Socha Kiye Tere Mahzoor. = Yahi Ki Teri Nazar Hai Teri Nazar Phir Bi...! = Be Niyaz Asar Bi Kabi Teri Miti Wo Keemiya Hi Sahi Rah Gayi Q

Ye To Nahi K Ghum Nahi.

Ye To Nahin K TaYpEd By  TLASH25 Ye To Nahi K Ghum Nahi. = Han Meri Ankh Nam Nahi. = Tum Bhi To Tum Nahi Ho Aaj Hum Bhi To Aaj Hum Nahi. = Ab Na Khushi Ki Hai Khushi. = Ghum Ka Bhi Ab To Ghum Nahi. = Mout Agarche Mout Hai. = Mout Se Zeest Kam Nahi...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ye Mana Zindagi Hai 4 Chaar Din Ki.

Ye Mana Zindagi TaYpEd By  TLASH25 Ye Mana Zindagi Hai 4 Chaar Din Ki. = Buhat Hote Hain Yaron 4 Chaar Din Bhi. = Khuda Ko Paa Gaya Waiz Magar Hai Zarorat Admi Ko Admi Ki. = Mila Hon Muskura K Us Se Har Bar. = Magar Ankhon Mein Bhi Thi Kuch Nami Si Thi. = Muhbat Mein Kahin Kiya Haal Dil Ka. = Khushi Hi Kaam Aati Hai Na Ghum Hi. = Bhari Mehfil Mein Har Ek Se Bacha Kar. = Teri Ankhon Ne Mujh Se Bat Kar Li. = Larakpan Ki Ada Hai Jan Lewa Gazab Ki Chhokri Hai Hath Bhar Ki. = Raqeeb E Ghum Zada Ab Sabar Kar Le. = Kabhi Us Se Meri Bhi Dosti Thi...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mein Hosh E Ana Dil Hon Mushkil Hai Sanbhal Jana.

Mein Hosh E Ana TaYpEd By  TLASH25 Mein Hosh E Ana Dil Hon Mushkil Hai Sanbhal Jana. = Ay Bad E Saba Meri Karvat To Badal Jana. = Taqdeer E Muhbat Hon Mushkil Hai Badal Jana. = 100 Sao Bar Sanbhal Kar Bhi Maloom Sanbhal Jana. = Us Ankh Ki Masti Hon Aayi Bara Kasho Jis Ka. = Uth Kar Sare Mekhana Mumkin Hai Badal Jana. = Ayam E Bahara Mein Deewano K Tewar Bhi. = Jis Simat Nazar Uthe Alam Ka Badal Jana. = Ghanghor Ghatao Mein Sarshar Fizaon Mein. = Makhmoor Hawaon Mein Mushkil Hai Sanbhal Jana. = Hon Lagzish E Mastana Mekhana E Aalam Mein. = Barq Nigah E Saqi Kuch Bach K Nikal Jana. = Is Gulshan E Hasti Mein Kam Khilte Hain Gul Aise. = Dunya Mahak Uthe Gi Tum Dil Ko Massal Jana...! = Mein Saz E Haqeqat Hon Soya Huwa Nagma Tha. = Tha Raz E Nihan Koi Pardon Se Nikal Jana. = Hon Nakhat E Mastana Gulzar E Muhbat Mein. = Madhoshi E Alam Hai Pahlo Ka Badal Jana. = Masti Mein Lagawat Se Us Ankh Ka Ye Kahna. = Mein Khuwar Ki Niyat Hon Mumkin Hai Badal J

Ras Mein Doba Huwa Lehrata Badan Kiya Kehna.

Ras Mein Doba TaYpEd By   TLASH25 Ras Mein Doba Huwa Lehrata Badan Kiya Kehna. = Karwatein Leti Huwi Subah E Chamman Kiya Kehna. = Baag E Janat Mein Ghata Jese Baras K Khul Jaye. = Sondhi Sondhi Teri Khushbu E Badan Kiya Kehna. = Jese Lehraye Koi Shola Qamar Ki Ye Lachak. = Sar Ba Sar Atish E Sayal Badan Kiya Kehna. = Qamat E Naz Lachkati Huwi Ek Qos E Qaza. = Zulf E Shab Rang Ka Chhaya Huwa Jahan Kiya Kehna. = Jis Tarah Jalwa E Firdos Hawaon Se Chheene Perhan Mein. = Tere Rangeni E Tan Kiya Kehna. = Jalwa O Parda Ka Ye Rang Dam E Nazara. = Jis Tarah Adh Khuli Ghoonghat Mein Dulhan Kiya Kehna. = Jagmagahat E Jabeen Ki Hai K Pao Phatati Hai Muskurahat Hai. = Teri Subah E Chamman Kiya Kehna...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Chalak K Ka Na Ho Aisi Koi Sharab Nahi.

Chalak K Kam TaYpEd By   TLASH25 Chalak K Ka Na Ho Aisi Koi Sharab Nahi. = Nigah E Nargas E Rana Tera Jawab Nahi. = Zameen Jaag Rahi Hai Ki Inqilab Hai Kal. = Wo Rat Hai Koi Zara Bhi Mehv E Khuwab Nahi. = Zameen Us Ki Falak Us Ka Qainaat Us Ki. = Kuch Aisa Ishq Tera Khana Kharab Nahi. = Jo Tere Dard Se Mehroom Hai Yahan Un Ko. = Ghum E Jahan Bhi Suna Hai Ki Dastiyab Nahi. = Abhi Kuch Aur Ho Insan Ka Lahu Pani. = Abhi Hayat K Chahre Pe Aab O Ta'ab Nahi. = Dikha To Deti Hai Bahtar Hayat K Sapne. = Kharab Ho K Bhi Ye Zindagi Kharab Nahi...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Rat Bhi Nend Bhi Kahani Bhi Haye Kiya Cheez Hai Jawani Bhi.

Rat Bhi Nend TaYpEd By  TLASH25 Rat Bhi Nend Bhi Kahani Bhi Haye Kiya Cheez Hai Jawani Bhi. = Ek Pegham E Zindagani Bhi Ashiqi Marg E Nagahani Bhi. = Is Ada Ka Teri Jawab Nahi Meharbani Bhi Sargrani Bhi. = Dil Ko Apne Bhi Ghum They Dunya Mein Kuch Balayein Thi Asmani Bhi. = Mansib E Dil Khushi Lutata Hai. = Ghum E Pinha Bhi Pasabani Bhi. = Dil Ko Sholo Se Karti Hai Seraab Zindagi Aag Bhi Hai Pani Bhi. = Shad Kamon Ko Ye Nahi Tofeeq Dil E Ghumgeen Ki Shadmani Bhi. = Lakh Husn E Yaqeen Se Barakar Hai. = In Nigahon Ki Badgumani Bhi. = Tangana E Dil E Malaal Mein Hai Bahar E Hasti Ki Bekarani Bhi. = Ishq E Nakam Ki Hai Parchhaayi Shadmani Bhi Kamrani Bhi. = Dekh Dil K Nigar Khane Mein. = Zakham E Pinha Ki Hai Nishani Bhi. = Khaliq Kiya Kiya Mujhe Nahi Kehti Kuch Sunoon Mein Teri Zubani Bhi...! = Aaye Tareekh E Ishq Mein 100 Sau Bar. = Mout K Dor Darmiyani Bhi. = Apni Masomiyon K Parde Mein Ho Gayi Wo

Sukot E Sham Mitao Buhat Andhera Hai

Sukot E Sham Mitao Buhat Andhera Hai TaYpEd By  TLASH25 Sukot E Sham Mitao Buhat Andhera Hai Sukhan Ki Shama Jalao Buhat Andhera Hai Dayar E Ghum Me Dil E Beqarar Chot Gaya Sambhal K Dhondne Jao Buhat Andhera Hai Ye Rat Wo K Soojhe Jahan Na Hath Ko Hath Khayalo Dor Na Jao Buhat Andhera Hai Laton Ko Chahre Pe Dale Wo So Raha Hai Kahi Zaya E Rukh Ko Churao Buhat Andhera Hai Hawaein Nim Shabi Hon Ki Chadar E Anjum Naqab Rukh Se Uthao Buhat Andhera Hai Shab E Siyah Me Gum Ho Gai Hai Rah E Hayat Qadam Sambhal K Uthao Buhat Andhera Hai Guzashta Ihd Ki Yado Ko Phir Karo Taza Bujhe Chirag Jalao Buhat Andhera Hai Thi Ek Uchati Huwi Nend Zindagi Uski firaq Ko Na Jagao Buhut Andhera Hai Chiragh E Toor Jalao Buhat Andhera Hai Zara Naqab Uthao Buhat Andhera Hai Abi To Subah K Mathe Ka Rang Kaala Hai Abi Fareb Na Khao Buhat Andhera Hai Mujhe Khud Apni Nigaho Pe Aitmad Nahi Mere Qareb Na Aao Buhat Andhera Hai! Poet Firaq Gorakhpuri

Buhat Pehle Se Un Qadmo Ki Aahat Jan Lete Hai.

Buhat Pehle Se TaYpEd By  TLASH25 Buhat Pehle Se Un Qadmo Ki Aahat Jan Lete Hai. = Tujhe Ay Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hai. = Meri Nazrein B Aise Qatilo Ka Jan O Emaan Hai. = Nigahein Milte Hi Jo Jan Aur Eman Lete Hai. = Tabeeyat Apni Ghabrati Hai Jub Sunsan Raton Me. = Hum Aise Me Teri Yado Ki Chadar Taan Lete Hai. = Khud Apna Fesla B Ishq Me Kafi Nahi Hota. = Usey B Kese Kar Guzrein Jo Dil Me Thaan Lete Hai. = Jise Surat Batate Hai Pata Deti Hai Seerat Ka. = Ibarat Dekh Kar Jis Tarah Maani Jan Lete Hai. = Tujhe Ghata Na Hone Dein Ge Karobar E Ulfat Me. = Hum Apne Sar Tera Ay Dost Har Ihsan Lete Hai. = Humari Har Nazar Tujh Se Nayi Sogandh Khati Hai. = To Teri Har Nazar Se Hum Naya Pegam Lete Hai. = Firaq Aksar Badal Kar Bhais Milata Hai Koi Qafir. = Kabi Hum Jan Lete Hai Kabi Pehachan Lete Hai...! = Poet By Firaq Gorakhpuri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Sar Me Soda B Nahi Dil Me Tamana B Nahi

Sar Mein Soda TaYpEd By  TLASH25 Sar Me Soda B Nahi Dil Me Tamana B Nahi Lekin Is Tark E Muhbat Ka Bharosa B Nahi = Yon To Hangame Uthate Nahi Dewana E Ishq Mgr Ay Dost Kuch Aiso Ka Thikana B Nahi = Mudate Guzre Teri Yad B Aai Na Hame Aur Ham Bhol Gaye Hon Tujhe Aisa B Nahi = Ye B Such Hai K Muhbat Me Nahi Majbor Ye B Such Hai K Tera Husn Kuch Aisa B Nahi = Dil Ki Ginti Na Yagano Me Na Begano Me Lekin Is Jalva Gah E Naz Se Uthta B Nahi = Badguman Ho K Mil Ay Dost Jo Milna Hai Tujhe Ye Jhijhakte Huwe Milna Koi Milna B Nahi = Shikwa E Zor Kare Kia Koi Us Shokh Se Jo Saf Qayal B Nahi Saf Mukarta B Nahi = Meharbani Ko Muhbat Nahi Kahte Ay Dost Aah Mujh Se To Meri Ranjish E Bejan B Nahi = Bat Ye Hai K Sukon E Dil E Wihshi Ka Muqam = Konj E Zindan B Nahi Wusa'at E Sehra B Nahi = Monh Se Ham Apne Bura To Nahi Kahte K Hai Tera Dost Mgr Admi Acha B Nahi! = Poet. Firaq Gorakhpuri