Posts

Showing posts from July 25, 2013

Mukamal do hi dano pay yeah tasbei mohabt ki.+ ..... Jo aye tesra dana to yah dori tot jati hai.+ ...... Muqarar waqt hy mohabt ki namazo ka ...., Ada jin ki nikal jaye qaza bhi chot jati hai.+ ...,. Mohabt ki namazo main imanat sirf aik ko sonpo.+ ...... Asy takny osy takny say neyat tot jati hai.+ .... Mo.habt rooh ka sajda hai jo hai toheed pay qaaim.+ ..... Nazar ka shirk karne walo say mohabt rooth jati hai.......,! . Typed By ---------------------- |*__S-Ak-Jan__*| ----------------------

Lyrics Ya Rab Dil_e_muslim Ko. Typed by *_RAINY_EYES_* Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de,jo qalb ko garma de jo rooh ko tarpa de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zindah tamana de. Phir vadi_e_faran ke,har zare ko chamka de phir shok_e _tamasha de phir zop_e_taqaza de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de. Mehrom_e _tamasha ko phir deeda_e _beena de. Dekha hai jo kuch maine auron ko bhi dikhla de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de. Batkay hue aahoo ko phir soyay haram le chal is shehr ke khogar ko visatay sehra de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de. Paid dil_e_veran me phir shorish mehshar kar is mehfil khali ko phir shahiday laila de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de. Is daur ki zulmat me har qalb_e _pareshan ko wo daag_e _mohabat de jo chand ko sharma de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de. Rifat maqasid ko hum rosh zulakha kar khudaryay sahil de aazadiyay darya de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de. Be los mohabat ho be baak sadaqat ho senu me ujala kar dil surati me mina de. Ya rab dil_e_muslim ko wo zinda tamana de. Jo qalb ko garma de jo rooh ko tarpa de. End.. Shahzad Roy. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Typed by *_RAINY_EYES_* Aa bhi jao ke mausam badalne lage. Aa bhi jao ke ye dil dhadakne lage. Aa bhi jao ke ab chandni dhalne lage. Ab bhi jao ke shabnam behkne lagi. Aa bhi jao ke shab_e_firaq ab hui tamam. Aa bhi jao ke dil hua tumhare naam. Aa bhi jao ke titlian raqs karne lagi. Aa bhi jao ke saansen machalne lagi. Aa bhi jao ke tum yaad aane lage. Aa bhi jao ke jazbat phir jazbaat hai. Aa bhi jao ke hathon ko hai thamna. Aa bhi jao ke mere ye ehsaas hai. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001

Typed by *_RAINY_EYES_* Aansu Nahi Thamty Meri Aankhon Mein Abi Tak. Jaty Howey Rota Wo Mujhe Chor Gaya Tha. Armano'n Ki Dunya K Anmol Se Sapne, Pal Mein Wo Mere Samney Sub Tor Gaya Tha. Jan Deta Tha Meri Har Baat Pe Lekin Yoonhi. Be_Sabab Dunya Se Meri Rukh Mor Gaya Tha. Din Ki Tanhai Ka Gham, Raton Ki Udasi Hamrah. Rith Uthaey Main Ne YARO! Meri Is MaSoom khwahish Pe NaJanay kyun Duaa Roti hy. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001

Typed by *_RAINY_EYES_* Aj to mera dil kehta hai,tu is wapat akela hoga. Bachpan ki yadon ka dil mein laga ek mela hoga. Bheeg chalein ab raat ki palken,tu ab thak kar soya hoga. Rail ki gehree seeti sun kar,raat ka jangal goonga hoga. Sheher ki khali station par,koi musafir utra hoga. Aangan me phir chidiyan boleen, tu ab so kar utha hoga. Yadon ki jalti shabnam se,phool sa mukhra dhoya hoga. Motee jahse shakal bana kar,aaine ko takta hoga. Sham hoe ab tou bhi shayad,apne ghar ko lauta hoga. Neeli dhundhli khamoshi mein,taron ki dhun sunta hoga. Mera saathi shaam ka taara , tujh se aankh milata hoga. Shaam ke chalte haath ne tujh ko,mera salaam to bheja hoga. Piyasi kurlati koonjon ne,mera dukh to sunaya hoga. Main to aaj bohat roya hoon , tu bhi shayad roya hoga. Main to tera meet purana,tujh ko yaad to aata hoga. Dil mein mujh ko yaad karke,tu bhi to musksaya hoga.

Typed by *_RAINY_EYES_*Ab ke yun bhi teri zulfon ki shikan tooti hai.Rung phootey kahin khushbu ki rasan tooti hai.Maut aai hai ke taskeen ki saa't aai .Saans tooti hai ke sadion ki thakan tooti hai.Dil shikasta tou kai baar howay thay laikin.Ab ke yun hai ke her ek shaakh _e_badan tooti hai.Itni be_rabt mohabbat bhi kahan thi apni.Darmiyan se kahin zanjeer _e_sukhan tooti hai.Silsla tujh se bicharnay ka kahan khatan howa.Ek zamane se raah_o_rasm_e_khaa'n tooti hai.Mere yaaron ke tabasum ki kiran maqtal mein.Nok_e_neza ki tarah zair_e_kafan tooti hai.Reza reza mein bikharta gaya har suu " Mohsin"Sheesha sheesha meri sangeeni _e_fun tooti hai.Poet.Mohsin Naqvi.Typd by*_RAINY_EYES_*

Typed by*_RAINY_EYES_*Aj saqi sharab rehne do.Tishnagi k azaab rehne do.Ponch dalo na aankh se kajal.Kuch to khanjar pe aab rehne do.Tum sanwaro apni in zulfon ko.Meri halat kharab rehne do.Chand badal mein acha lagta hai.Aadhay rukh pe naqab rehne do.Un ke chehre ki baat ho jaye.Aaj zikr_e_gulab rehne do.Un ki chokhat ko choom lo "MOHSIN"Baqi saarey sawaab rehne do.Poet.Mohsin NaqviTypd by*_RAINY_EYES_*

Typed by *_RAINY_EYES_* Ab kaisi pardah_dari, khabar aam ho chuki, Maa ki rida tou, din howe, neelaam ho chuki. Ab aasmaa,n se chadar_e_shab aaye bhi tou kiya. Be_chadari zameen pe ilzam ho chuki. Ujrey howe diyaar pe phir kiun nigah hai. Is kasht per tou barish_e_ikram ho chuki. Sooraj bhi os ko dhoond ke wapas chala gaya. Ab hum bhi ghar ko lout chalain sham ho chuki. Shimley sambhaaltey hi rahy maslehat pasand. Hona tha jisko pyaar main bad_nam ho chuki. Aankhain hain aur subha talak tera intezaar. Mishal bad'dast raat tere naam ho chuki. Koh_e_nida se bhi sukhan utrey agar,tou kia. Na_sameoo'n main hurmat_e_ilham ho chuki. Poetest. Parveen shakir. TYPD BY. *_RAINY_EYES_*

Typed by *_RAINY_EYES_* Ab yaad dilaen kia tumko. ye saal b aakhir beet gya. aur apna b kch dosh nahin. ye bazi b jag jeet gya. wo sard hawaen ab b hain. rangin fazaen ab b hain. wo bhigay bhigay pani ki. purshor sadaen ab b hain. mein ab b wahan pr jata hon. aur DIL apna sulgata hon. ab tum jo nahin ho sath mere. hote hain KHALI HATH mere. purshor sadaen pochti hain. wo sard hawaen pochti hain. wo kahan gya sathi tera? Kia phr ye ZAMANA jeet gya.!

Typed by. *_RAINY_EYES_* Aaney wali ruton ke aanchal mein. Koi saa'at saeed kya ho gi. Raat ke waqt rang kia pehnon. Roshni ki kuleed kya hogi. Jab ke baadal ki aut laazmi ho. Janti hoo , ke deed kia hogi. Zard mausam ki khushk tehni se. Konplon ki umedd kia hogi. Chand ke koi paas bhi sunaney ko. Ab ke koi naweed kya hogi. Gul na ho ga to jashne khushbu kya. Tum na ho ge tou eid kia hogi. Poetest. Parveen shakir. TYPD BY. *_RAINY_EYES_*

Typed by *_RAINY_EYES_* Abhii afsana-e-ishq anjam tak nahi pohncha. Din hijar ka wasl ki sham tak nhi pohncha. Jane kis raqib ko milte rhy payam tere. K koi b khat mere dr-o-bam tak nahi pohncha. Kya bataon ae masiha teri masihai k baad. Dard kush kam to hua aaram tk nahi pohncha. Ae sanam teri qasam hum sar b kata dete magar. K tera hukam tery ghulam tak na pnhncha. Bhala kis nam se rakhe ga zamana yaad mujhy. K koi nam abhi mujh gumnam tak nahi pohncha.

Mohabt Main Jo Gham Mila Hai Yehi Boht Hai *._.* Wo Jate Jate Dil Pay Jo Zakham Day Gaya Hai Yahi Bohat Hai *._.* Agr Wo Shaks Ab Mera Nahi Hai To Koi Gham Nahi *._.* Gaye Dino Main Mera Raha Hai Yahi Boht Hai *._.* Koi Zarori To Nahi Kisi Ko Main Yad Aaon *._.* Koi Mujhe Yaad Aa Raha Hai Yahi Boht Hai.......! *._.* Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

*__Kab Yaron Ko Tasleem Nahi Kab Koi Ado Inkar Hai__* .... *__Is Kooye Talab Main Hum Ne Bhi Dil Nazr Kya Jan Wari Hai__* .... *__Jab Saaz E Salasil Bajte Thay Hum Apne Lahoo Main Sajte Thay__* .... *__Wo Reet Abhi Tak Baqi Hai Yah Rasm Abhi Tak Jari Hai__* .... *__Kuch Ahl E Sitam Kuch Ahl E Hasham Maikhana Girane Aye Thay__* .... *__Dahleez Ko Choom Kar Chor Diya Dekha K Yah Patthar Bhari Hai__* .... *__Jab Parcham E Jan Le Kar Nikle Hum Khak Nashin Maqtal Maqtal__* .... *__Us Waqt Se Le Ke Aj Talak Jallad Pe Haibat Taari Hai__* .... *__Zakhmon Se Badan Gulzar Sahi Par Unke Shikastaa Teer Gino__* .... *__Khud Tarkash Wale Kah Denge Yah Baazi Kis Ne Haari Hai__* .... *__Kis Zo'm Main Thay Apne Dushman Shayad yeh Unhen Malum Na Tha__* .... *__Yah Khak E Watan Hai Jaan Apni , Or Jaan To Sab Ko Piyaari Hai.........! .... Typer .-"*"-..-"*"-..-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Typed by. *_RAINY_EYES_* Apni hi sada sunun kahan tak? Jungul ki hawa rahun kahan tak? Har baar hawa na hogi dar per. Har baar magar uthun kahan tak? Dum ghut'ta hai ghar mein hubs wo hai. Khushbu ke lye apna raffu karun kahan tak? Saahil pe samandaron se bach kar. Mein nam tera likhon kahan tak? Tanhai ka ek ek lamha humgaamon se qaraz loon kahan tak? Gar lams nahi to lafz hi bhej. Mein tujh se juda rahum kahan tak? Sukh se bhi to dosti kabhi ho. Dukh se hi galay milun kahan tak? Mansoob ho har kiran kisi se. Apne hi lye jalun kahan tak? Aanchal mere bhar ke phat rahay hain. Phool us ke lye chunun kahan tak? ? ? Poetest. Parveen shakir. TYPD BY. *_RAINY_EYES_*

Typed by. *_RAINY_EYES_* Aqs_e_gul ter jala howa tha. Khwaabon ka nagar jala howa thja. Ye dast_e_dua na uth saka tha. Ya us ka asar jalaa howa tha. Har ghar tha luta howa kayi baar. Aur baar_e_gard jalaa howa tha. Ya noch lye gaye thay pattay. Ya saara shajar jalaa howa tha. Aankon ki jaga pe aablay thay. Aur taar_e_nazar jalaa howa tha. Malba tha tamaa, sheher_e_khobi. Aur ho ke khandar jalaa howa tha. Teh _khaana jaan mein tujh ko rakhti. Lekin mera ghar jalaa howa tha. Kuch dair ka sokhta na tha sheher. Ye aath peher jalaa howa tha. Parwaaz ka itna dar qafar mein. Toota howa par jalaa howa tha. Manzil thi ghubar_e_raah mein gum. Aur rakht_e_safar jalaa howa tha. Poetest. Parveen_shakir. TYPD BY. *_RAINY_EYES*

Typed by. *_RAINY_EYES_* Aqs khushbu hun, Bikharney se na rokay koi. Aur bikhar jaon to mujh ko na samatay koi. Kaanp uthti hon mein ye soch ke tanhai mein. Mere chehray pe tera naam na parh le koi. Jis tarah khwaab mere ho gaye raiza raiza. Is tarah se na kabhi toot ke bikhray koi. Main to is din se hiraasan hun ke jab hukm milay. Khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhay koi. Ab to os raah se wo shakhs guzarta bhi nahi. Ab kis umeed pe darwaazay se jhaankay koi? Koi aahat, koi aawaz, koi chaap nahi. Dil ki galyaan badi sunsaan hain, aaye koi. Poetest. Parveen_shakir. Typd by. *_RAINY_EYES_*

Typed by *_RAINY_EYES_* Ajab makaan hai ke jis mein makeen nahi aata. Hudod_e_sheher mein kia dil kaheen nahi aata. Main jis k ishq mein ghar baar chor bethi thi. Yahi wo shakhs hai mujh ko yakeen nahi aata. Maza hi shair sunaanay ka kuch nahi jub tak. Qaseedah_go yun mein wo nukta cheen nahi aata. Flashaar jaan ke bohat hain agar nazar ayein. Har aik zalzala zair_e_zameen nahi aata. Bharam hai mehr_ o_maa_o_najam ka bhi bas jab tak. Muqaabil in ke wo roshan jabeen nahi aata. Poetest. Parveen shakir Typd by *_RAINY_EYES_*

Ab daikh k jee ghabrata hai sawan ki sohani raaton ko . Piya chor gaye dil tor gaye ab aag lage barsataon ko . Aye jan e mohabt jan e ghzl aao to tumhari nazar karain . Ankhon main sajaye baithe hai hum pyar bhari soughaton ko . Yon pyar ki qasmain kha kha kar q jhoti tassali dete ho . Bus rehnd do hum jaan gaye sarkar tumhari bataon ko . Maska hoa anchal shaanon pe yeh zulf ki lat uljhi uljhi . Ankhon ki khumari kahti hai rehte ho kaheen tum raaton ko . Zulfon ko hawa main lahrana hans hans k tumhara bal khana . Andaz hai sab dil lene k hum jan gaye nai baaton ko . Bedard haseeno ki khatir q hote hai bad nam fana saffak sitamgar kya samjhe hum dil walo ki bataon ko . Ab dekh ke jee ghabrata hai sawan ki sohanai raton ko . Piya chor gaye dil tor gaye ab aag lage barsaton ko.! . SInGaR . NuSrAt FaTaH ALi kHaN . Typed by ---------------------- |*__S-Ak-Jan__*| ----------------------

___.......".Typer.".......___ . *.".Sarfraz AS.".* . Chahre se utha zara naqaab saqi dekho tera chahra.e.aftab saqi . Jaam totnay ka bahana na karo pilado labo se sharab saqi . Jaan bhi hathaili may liay baithay hai hata do zulfon se aaftaab saqi . Mujhay taire maikhane k kashish nahi mujhay kainch lata hai tairi ankh ka hijaab saqi . Qabool ho agar to tham lo daaman mere laye hai apne sath bhi ik gulab saqi . Mooh dikhai ki khatir jaan bhi hazir hai ab to utha do chahre say neqaab saqi.

Typer....'. . *_".Sarfraz AS_."* . Tujhay bhol jana jana mumkin nahi to yad na aye aisa ko din nahi . To yad na aye aisa koi din nahi . Taira jado aisa chaya har zarray may tujh ko paya . Chahay mahol ho shoro gul ka chahe ho virana alam . Har pal hai majodgi tairi har musam hai taira mosam . May karta ho lakh bahane par bin taire dil na mane . Jitna tujh ko bholna chaho utna hi tujhay pas hi pao . To na jane aaye mahboba may taire ishq may kitna doba . Tujhay bhol jana jana mumkin nahi to yad na aye aisa ko din nahi . To yad na aye aisa koi din nahi.

***Typer...'. . *..'.Sarfraz AS.'..* . kahan aa ke ruknay thay rastay,kahan morr tha bhool ja jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja wo tere naseeb ki barishen kisi or chat pe baras gai dil-e-bekhabar meri baat sun,,,usay bhool ja wo jo bisat-e-jan hi ulat gaya wo jo rastay se palat gaya usay roknay se hasool kia,usay mat bula usay bhool ja.

Typer...'. . *__".Sarfraz AS."__* . Ab akele akele rahna sekh raha hon dil ki batain khud say kahna sekh raha ho . Usay zarorat nahi meri ab tanha tanha chupke chupke rona sekh raha hon . Ab zakhm apne hatho se seena sekh raha hon baat ajeb hai magar yahi sach hai . Ghum ka zehar thora thora peena seekh raha hon . Umar bhar kisi ka sath kon daita hai pal pal marna pal pal jena sekh raha ho.

Typed by *__S-Ak-Jan__* . Poet Mohsin Naqvi . Kab say tum ko apnaya,is tarha ka ho jana! . Shab ko jagte rahna,din may thak kay so jana . Shahar may to mujh jaisi bay shumar ankhain hai . Tum bhi khair say jao,tum na in may kho jana . Adal k katthairay may jurm bol parta hai . Dag dag daman say kuch to laho dho jana . Tan ki shakh shakh ab choor hai gulabo say . Tum bhi apne hissay ka phol kuch paro jana . Maire bad rasta tum say kat na paye ga . Jo bhi ajnabi daikho,ab usi ka hojana . Jab kabhi paharo may chand dobta daikhon . Mujh ko yad ata hai taire shahar ko jana . Kuch na kuch wirsay may chorna hai . +_Mohsin_+ . Rait rait khaito may kuch to bona jana....!

Typer . **___".Sarfraz AS."___** . Us bewafa say bhala rishta mita kasay do, Wo jan hai mairi usay bhola kaisay dn Apni roh may basa k jisay piyar kiya tha Sochta ho usay ab daga kaisay dn Kitne khwab sajaye thay meri in ankho ne Men apna har khawab bhala jala kaise dn Wo roye ga to anso meray bhi nikle gay Uski bewafai ki saza usay kaise dun Wo kahta hai k us ki khushi ki dua mango may Magar wo kisi or ka ho jaye yah dua kaise dun.

Typed by *__S-Ak-Jan__* . Poet Mohsin Naqvi . Jugnu gohar,charag ujale to day gaya . Wo khud ko dhondnay k hawale day gaya . Ab is say barh kay kaya ho warasat faqeer ki . Bacho ko apni bheek k piyale day gaya . Ab mairi soch saye ki sorat hai us k gird . May bujh k apne chand ko hale to day gaya . Shayad kah fasal.e.sang zani kareeb hai . Wo khalnay ko baraf k gale to day gaya . Ahl.e.talib pay ur k liay farz hai dua . Khairat may wo chand nawale to day gaya . +_Mohsin_+ usay kaaba ki zarorat na thi magar . Dunya ko roz.o.shab k doshalay day gaya.....!

Poet Qateel Shifai . Typed by *__S-Ak-Jan__* .... Afshaa Bus Ek Jhalak Men Kahani Wo Kr Gaya, Apne Badan Se Shola Byani Kr Gaya, .... Jhonka Laga Wo Mujh Ko Basanti Hawa'on Ka, Aya To Meri Shaam Suhani Kr Gaya, .... Likh Kr Chala Gaya Mere Chehre Pe Apna Ghum, Mujh Ko Ataa Ajeeb Nishani Wo Kr Gaya, .... So Jaan De Ke Bhi Na Kisi Ko Wafa Mile, Dil Ke Nagr Men Aesi Wo Garani Kr Gaya, .... Ab Us Ki Chaal Dekh Ke Beh'ti Hen Naddyan, Paband Pani'on Ki Rawani Wo Kr Gaya, ... Mujh Se Anaa Parast Ne Chaha Usey "Qateel" Patthar Ko Apni Aanch Se Pani Wo Kr Gaya..!!