Posts

Showing posts from April 14, 2015

Hangama E Ghum Se Tang Aa Kar Izhar E Musarat Kar Bethe.

Hangama E TaYpEd By  TLASH25 Hangama E Ghum Se Tang Aa Kar Izhar E Musarat Kar Bethe. = Mash'hoor Thi Apni Zinda Dili Danista Shararat Kar Bethe. = Koshish To Buhat Ki Hum Ne Magar Paya Na Ghum E Hasti Ka Mafar. = Weerani E Dil Jab Had Se Bari Ghabra K Muhbat Kar Bethe. = Nazron Se Na Karte Pursish E Ghum Khamosh Hi Rahna Bahtar Tha. = Deewano Ko Tum Ne Chher Diya Wallah Qiyamat Kar Bethe. = Har Cheez Nahi Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ek Roz Udhar. = Nafrat Se Na Dekho Dushman Ko Shayad Ye Muhbat Kar Bethe...! = Poet By Shakeel Badayuni = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ankh Se Ankh Milata Hai Koi

Ankh Se Ankh TaYpEd By  TLASH25 Ankh Se Ankh Milata Hai Koi Dil Ko Kheenche Liye Jata Hai Koi. = Wa E Herat K Bhari Mehfil Mein Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi. = Chahiye Khud Pe Yaqeen E Kamil Hosla Kis Ka Barhata Hai Koi. = Sub Karishmat E Tassawur Hai Shakeel. = Marna Aata Hai Na Jata Hai Koi...! = Poet By Shakeel Badayuni = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ishq Ki Kahani Tumhein Bhi Suna Dete Hain.

Ishq Ki Kahani TaYpEd By  TLASH25 Ishq Ki Kahani Tumhein Bhi Suna Dete Hain. = Hum Pe Jo Beeti Hai Tumhein Bhi Bata Dete Hain. = Ek Shakhs Ko Dil O Jaan Se Chaha Tha Hum Ne. = Bichar Gaya Par Usay Ab Bhi Dua Dete Hain. = Pata Nahin Wo Khush Hai Ab Bichar Ke Ya Nahin. = Us Ki Yaad Mein Kabhi Kabhar Ansoo Hum Bhi Baha Dete Hain. = Kabhi Koi Kaw'wa Aa Bethta Hai Mere Ghar Ki Chatt Par To. = Shayad Wo Aa Jayein Us Ki Rahguzar Bhi Saja Dete Hain. = Dastaan E Ghum Hum Sunayein Tum Mein Hai Hosla To Batao Ameer JEe. = Hum Beeti Dastan Gar Batayein To Jiger Walon Ko Bhi Rula Daite Hain...! = Poet By Ameer Ali Shah = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mujhe Bakhshi Khuda Ne Kon Roke Ga Zuban Meri

Mujhe Bakhshi TaYpEd By   TLASH25 Mujhe Bakhshi Khuda Ne Kon Roke Ga Zuban Meri. = Tumhein Har Haal Mein Sun'ni Pare Gi Dastan Meri. = Kabhi To Shahrah E Zindagi Thi Kah Kashan Meri. = Magar Ab Kaarwan Mera Na Gard E Kaarwan Meri. = Abhi Logon K Dil Mein Khar Ki Surat Khatakta Hon. = Abhi Tak Yad Hai Ihl E Chamman Ko Dastan Meri. = Mere Guzre Huwe Tewar Abhi Bhooli Nahi Dunya. = Abhi Bikhri Huwi Hain Har Taraf Parchhaaiyan Meri. = Meri Ankhon Mein Ansu Hain Na Honton Pe Tabasum Hai. = Samajh Mein Kia Kisi Ki Aaye Gi Tarz E Fugaan Meri. = Meri Fitrat Ko Kia Samjhein Ge Ye Khuwab E Gardan Wale. = Sawere K Sitare Ki Chamak Hai Razdan Meri. = Teri Rah E Talab Mein Zakham Sab Seene Pe Khaye Hain. = Bahar E Gulsitan Meri Hayat E Jaduan Meri...! = Poet By Shamsi Minai. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001