Posts

Showing posts from February 5, 2014

Tere Lab Se Jo Ada Hote Hain_*

Image
<TaYpEr> *._LEGEND_.* ^ Po3T>MoHsin Naqvi _ _ <><>Tere Lab Se Jo Ada Hote Hain_* _Naseeb Un Lafzon K BHi Kia Hote Hain_* _Main WaHan Ja K TujHe Mang Lon Ga_* _Koi Bata De K Faisly Qudrat K KaHan Hote Hain_* _Teri Yaad Jub HadH Se Guzar Jati Hai_* _Meri AankHon Se Tab Aansu Rawan Hote Hain_* _Main Ab KaHan CHala Jaon Is Dil Ko Le Kar_* _Teri Yaad K LamHy To Har Jaga Hote Hain_* _CHot IsHq Ki KHa K BHi Jo Muskurain 'MOHSIN'_* _Wo Log Sabr Ki IntaHa Hote Hain_* <EnD> _Ik DiN BuLa Do Ge_ Follow *._LEGENG_.* SEND 8001

Kise CHupaon Raaz_E_GHam Dida_E_Tar Ko Kia Karon_*

Image
<TaYpEr> *._LEGEND_.* ^ Po3T>Hasrat MoHani _ _ <> <>Kise CHupaon Raaz_E_GHam Dida_E_Tar Ko Kia Karon_* _Dil Ki TpisH Ko Kia Karon Soz_E_Jigar Ko Kia Karon_* _SHorisH_E_AsHqi KaHan Aur Meri Sadagi KaHan_* _Husn Ko Tere Kia KaHon Apni Nazar Ko Kia kaHon_* _GHam Ka Na Dil Mein Ho Guzar Wasl Ki SHab Ho Yun Basar_* _Sab Ye Qabol Hai Magar KHof_E_SaHar Ko Kia Karon_* _Hal Mera THa Jab Battar Tab Na Hui TumHen KHabar_* _Baad Mere Hua Asar Ab Main Asar Ko Kia Karon_* <EnD> _Ik DiN BuLa Do Ge_ Follow *._LEGENG_.* SEND 8001

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay

Image
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha Hum Ne Pat’ty Sambhaal Kar Rakhay Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay,,,,,,,*SA* Poetess Noshi Gilani

Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai

Image
Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hi Kahani Hai Khail Jo Bhi Tha Jaanan Ab Hisaab Kia Karna Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai Vasl Per Bhi Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai,,,,,,*SA* Poetess Noshi Gilan

Lahu Tak Aankh Se Ab

Image
Lahu Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai Azab-e-Hijr Ab Wapas Palat Jaa Bohat Din Sath Mere Reh Lia Nami Aankhon Se Jaati Hi Nahi Hai Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka Dar-o-Deewaar Se Hi Keh Lia Hai,,,,,,*SA* Poetess Noshi Gilani

Hai Mohabbat Azaab

Image
Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ? Be-Wafai Ne Khaak Kar Dali Chahaton Ki Hari Bhari Dali Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi Us Ne Tasveer Apni Bhijwa di Tere Gham Ki Jazeera-e-Dil Mein Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi Waqt Zaalim Tha Meri Har Khawhish Us Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di,,,,,,*SA* Poetess Noshi Gilani

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?

Image
Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ? Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein Aye Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam,,,,*SA* POetess Noshj Gilani

Tujh se ab aur mohabbat

Image
Tujh se ab aur mohabbat nahi ki ja sakti Khud ko itni bhi aziyat nahi di ja sakti Jaante hain ke yaqeen toot raha hai dil par Phir bhi ab tarq yeh wehshat ki nahi ja sakti Habs ka sheher hai aur is mein kisi bhi sorat Saans lene ki sahulat nahi di ja sakti Roshni ke liye darwaza khula rakhna hai Shab se ab koi ijazat nahi li ja sakti Ishq ne hijar ka azaar to de rakha hai Is se barh kar to reyat nahi di ja sakti,,,,,,,,*SA*

Hamaray Bas Mein

Image
Hamaray Bas Mein  Agar Apne Faislay Hotay To Hum Kubhi Ke Gharon Ko Palat Gaye Hotay Qareeb Reh Ke Sulaghnay Se Kitna Behtar Tha Kisi Muqaam Per Hum Tum Bicharr Gaye Hotay Kubhi Toh rait Ko Ham Muthion Mein Bhar Letay Kubhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hotay Hamaray Naam Pe Koi Charaagh To Jalta Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkaray Hotay Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Letay Hamaray Dil Ne Agar Hoslay Kye Hotay,,,,,,,,,*SA* Poetess Noshi Gilani

Mohabbat se riha

Image
Mohabbat se riha hona zaroori ho geya hai Mera tujh se judaa hona zaroori ho geya hai Wafa ke tajarbey karte huye to umar guzri Zara sa bewafa hona zaroori ho geya hai Meri awaaz tanhaai main marti ja rahi hai Kisi ka ham’nawaa hona zaroori ho geya hai Azaab zulmat-e-shab hai ke ab dil ke labon par Koi harf-e-duaa hona zaroori ho geya hai,,,,,,,,,,* POetsss Noshi Gilani