Posts

Showing posts with the label Poet Akhtar Sheerani

Ay Ishq Kahi Le Chal Is Paap Ki Basti Se.

Ay Ishq Kahi TaYpEd By  TLASH25 Ay Ishq Kahi Le Chal Is Paap Ki Basti Se. = Nafrat Gah E Alam Se Lanat Gah E Hasti Se. = In Nafs Parasto Se Is Nafs Parasti Se. = Dor Or Kahi Le Chal Ay Ishq Kahi Le Chal. = Hum Prem Pujari Hain Tu Prem Kahaniya Hai Tu Prem Kahaniya Hai Ye Prem Ki Naya Hai. = Ye Prem Ki Naya Hai Tu Is Ka Khiwaya Hai. = Kuch Fikar Nahi Le Chal Ay Ishq Kehi Le Chal. = Be Raham Zamane Ko Ab Chor Rahe Hain Ham. = Be Dard Azeezo Se Monh Mor Rahe Hain Ham. = Jo Aas K Thi Wo Bhi Ab Tor Rahe Hain Ham. = Bus Ta'ab Nahi Le Chal Ay Ishq Kahi Le Chal. = Ye Jabar Kada Azad Afkar Ka Dushman Hai. = Armano Ka Qatil Hai Umeedo Ka Rehzan Hai. = Jazbat Ka Maqtal Hai Jazbat Ka Mad Fun Hai. = Chal Yan Se Kahi Le Chal Ay Ishq Kahi Le Chal. = Aapas Mein Chhal Or Dhokey Sansar Ki Reete Hain. = Is Pap Ki Nagri Mein Ujri Si Pretein Hain...! = Haan Niyaya Ki Harein Hain Un Niyaya Ki Jeetein Hain. = Sukh Chain Na

Raat Bhar Un Ka Tassawur Dil Ko Tarpata Raha

Raat Bhar Un Ka TaYpEd By  TLASH25 Raat Bhar Un Ka Tassawur Dil Ko Tarpata Raha = Ek Naqsha Samne Aata Raha Jata Raha. = Sub Na Milne Tak Ki Batein Thi Jab Aa K Mil Gayi. = Sare Shikwe Mit Gaye Sara Gila Jata Raha. = In Labon Ko Hi Na Tha Gustakhyon Ka Hosla. = Ham Ne Mana Umar Bhar Wo Ham Ko Tarsata Raha. = Us Hareem E Naz Ka Ab Tak Na Paya Kuch Pata. = Mudaton Kumbakhit Dil Galyon Mein Bahkata Raha. = Zikar E Rahat Kiya K Taskeen Tak Na Hasil Ho Saki. = Garche Ek Alam Hamare Dil Ko Bahlata Raha. = Us Taraf Us Naznen Seene Mein Moj E Iztirab. = Is Taraf Nadan Dil Seene Mein Ghabrata Raha. = Mahfil E Janan Mein Sub Ko Apni Apni Fikar Hai. = Koi Akhtar Se Bhi Poche Tera Kiya Jata Raha...! = Poet Akhtar Sheerani. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dil E Deewana O AndazE Be Bakana Rakhte Hain.

Dil E Deewan TaYpEd By   TLASH25 Dil E Deewana O AndazE Be Bakana Rakhte Hain. = Gada E Mekadah Hain Wazaye Azadana Rakhte Hain. = Mujhe Mekhana Thar Tharata Huwa Mahsos Hota Hai. = Wo Mere Samne Sharma K Jab Pemana Rakhte Hain. = Bazahir Ham Hain Bulbul Ki Tarah Mash'hoor Harjayi. = Magar Dil Mein Guraz E Fitrat E Parwana Rakhte Hain. = Jawani Bhi To Ek Moj E Sharab E Tund O Rangeen Hai. = Bura Kiya Hai Agar Ham Mashrab E Rindana Rakhte Hain. = Kisi Magroor K Aage Hamara Sar Nahi Jhukta. = Faqeeri Mein Bhi Akhtar Gerat E Shahana Rakhte Hain...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Nikhat E Zulf Se Nendon Ko Basa De Aa Kar

Nikhat E Zulf Se TaYpEd By   TLASH25 Nikhat E Zulf Se Nendon Ko Basa De Aa Kar. = Meri Jagi Huwi Raton Ko Sula De Aa Kar. = Kis Qadar Teera O Tareek Hai Dunya Meri. = Jalwa E Hussn Ki Ek Shama Jala De Aa Kar. = Ishq Ki Chandni Ratein Mujhe Yad Aati Hain. = Umar E Rafta Ko Meri Mujh Se Mila De Aa Kar. = Zoq E Na Deed Mein Lazat To Hai Magar Naz Nahin. = Aa Mere Ishq Ko Magroor Bana De Aa Kar...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Har Ek Jalwa E Rangeen Meri Nigah Mein Hai

Har Ek Jalwa TaYpEd By  TLASH25 Har Ek Jalwa E Rangeen Meri Nigah Mein Hai. = Ghum E Firaq Ki Dunya Dil E Tabah Mein Hai. = Kisi Ki Yad E Karam Uf Arrey Ma'azallaah. = Tabah Ho K Bhi Zalim Dil E Tabah Mein Hai. = Hazar Pardon Mein O Chupane Wale Ye Sun Le. = Tera Jamal Mere Daman E Nigah Mein Hai. = Jahan Mein Mujhe Bhi Nakam E Arzo Kam Hai. = Na Rang Aah Mein Hai Or Na Soz Aah Mein Hai...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mastana Piye Ja Yon Hi Mastana Piye Ja Pemana To Kiya Cheez Hai Mekhana Piye Ja.

Mastana Piye Ja TaYpEd By  TLASH25 Mastana Piye Ja Yon Hi Mastana Piye Ja Pemana To Kiya Cheez Hai Mekhana Piye Ja. = Kar Gharq May O Jam Ghum E Gardish E Ayyam. = Ab Ay Dil E Nakam Tu Mekhana Piye Ja. = May Noshi K Adab Se Agaah Nahi Tu. = Jis Tarah Kahe Saqi E Mekhana Piye Ja. = Is Basti Mein Hai Wihshat E Masti Hi Se Hasti. = Deewana Ban Or Bada E Deewanaa Piye Ja. = Mekhane K Hangame Hain Kuch Dair K Mahman. = Hai Subah Qareeb Akhtar Deewana Piye Ja...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Meri Sham E Ghum Ko Wo Behla Rahe Hain.

Meri Sham TaYpEd By  TLASH25 Meri Sham E Ghum Ko Wo Behla Rahe Hain. = Likha Hai Ye Khat Mein Ki Hum Aa Rahe Hain. = Thehar Ja Zara Or Dard E Furqat Humare Tasswur Mein Vo Aa Rahe Hain. = Ghum E Aaqbat Hai Na Fikar E Zamana. = Piye Ja Rahe Hain Jiye Ja Rahe Hain. = Nahi Shikwa E Tishnagi Me Kashon Ko. = Wo Ankhon Se Mekhane Barsa Rahe Hain. = Wo Rashk E Bahar Aane Wala Hai Akhtar. = Kanwal Hasrato K Khile Ja Rahe Hain...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mein Arzu E Jan Likhon Ya Jan E Arzu.

Mein Arzu E Jan TaYpEd By  TLASH25 Mein Arzu E Jan Likhon Ya Jan E Arzu. = Tu Hi Bata De Naaz Se Eman E Arzu. = Eman O Jan Nisar Teri Ek Nigah Par. = Tu Jan E Arzu Hai Tu Eman E Arzu. = Ek Wo K Arzuon Pi Jeete Hain Umar Bhar. = Ek Hum K Hain Abhi Se Pasheman E Arzu. = Ankhon Se Ju E Khoon Hai Rawan Dil Hai Daag Daag. = Dekhe Koi Bahar E Gulistan E Arzu...! = Poet By Akhtar Sheerani. = Follow Tlash25 Send To 8001

Wo Kehte Hain Ranjish Ki Batein Bhula Dein.

Wo Kehte Hain TaYpEd By  TLASH25 Wo Kehte Hain Ranjish Ki Batein Bhula Dein. = Muhbat Karein Khush Rahein Muskura Dein. = Jawani Ho Gar Jawidani To Ya Rab. = Teri Sada Dunya Ko Janat Bana Dein. = Shab E Wisl Ki Bekhudi Cha Rahi Hai. = Kaho To Sitaron Ki Shamaein Bujha Dein. = Tum Afsana E Qais Kiya Pochte Ho. = Idhar Aao Hum Tum Ko Laila Bana Dein. = Baharein Simat Aayein Khil Jayein Kalyan. = Jo Hum Tum Chamman Mein Kabhi Muskura Dein. = Wo Aayein Ge Aaj Ay Bahar E Muhbat. = Sitaron K Bistar Mein Kalyan Bicha Dein...! = Poet By Akhtar Sheerani. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kiya Keh Gayi Kisi Ki Nazar Kuch Na Pochiye.

Kiya Keh Gayi TaYpEd By  TLASH25 Kiya Keh Gayi Kisi Ki Nazar Kuch Na Pochiye. = Kiya Kuch Huwa Hai Dil Pe Asar Kuch Na Pochiye. = Wo Dekhna Kisi Ka Kan Akhiyon Se Bar Bar. = Wo Bar Bar Us Ka Asar Kuch Na Pochiye. Ro Ro K Is Tarah Se Kati Rat Kiya Kahein. = Mar Mar K Kaise Ki Hai Sehar Kuch Na Pochiye. = Akhtar Dayar E Hussn Mein Puhanchein To Hain Mar K Hum. = Kiyon Kar Huwa Hai Teh Ye Safar Kuch Na Pochiye...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kaam Aa Sake Na Apni Wafaein To Kiya Karein.

Kaam Aa Sake TaYpEd By   TLASH25 Kaam Aa Sake Na Apni Wafaein To Kiya Karein. = Ek Bewafa Ko Bhool Na Jayein To Kiya Karein. = Mujh Ko Ye Aitraf Duaon Mein Hai Asar. = Jaye Na Arsh Par Jo Duaein To Kiya Karein. = Ek Din Ki Bat Ho To Usey Bhool Jayein Hum. = Nazil Hon Roz Dil Pe Balayein To Kiya Karein. = Shab Bhar To Un Ki Yad Mein Tare Gina Kiye. = Tare Se Din Ko Bhi Nazar Aayein To Kiya Karein. = Ihd E Tarab Ki Yad Mein Roya Kiye Buhat. = Ab Muskura K Bhool Na Jayein To Kiya Karein. = Ab Jee Mein Hai Ki Un Ko Bhula Kar Hi Dekh Lein. = Wo Bar Bar Yad Jo Aayein To Kiya Karein. = Tark E Wafa Bhi Jurm E Muhbat Sahi Akhtar. = Milne Lage Wafa Ki Sazayein To Kiya Karein...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mujhe Pyar Karne Wali Tujhe Mujh Se Pyar Kiyon Hai.

Mujhe Pyar TaYpEd By  TLASH25 Mujhe Pyar Karne Wali Tujhe Mujh Se Pyar Kiyon Hai. = Meri Yad Mein Tu Har Dum Yon Hi Beqarar Kiyon Hai. = Tera Rang Zard Kiyon Hai Tera Hal E Zar Kiyon Hai. = Tujhe Iztirar Kiyon Hai Tujhe Mujh Se Pyar Kiyon Hai. = Hain Sitare Sar Ba Sajda Tere Pay Nazneen Par. = Maah O Aftab Qurban Hain Jamal E Dil Nasheen Par. = Hai Bahar E Khuld Sadqe Tere Ru E Yasmen Par. = Tera Dil Figaar Kiyon Hai Tujhe Mujh Se Pyar Kiyon Hai. = Chamman E Jahan Mein Misl E Gul E Daagdar Hon Mein. = K Bahar E Umar E Rafta Ka Alam Gusar Hon Mein. = Tu Hai Rashk E Ghuncha O Gul To Misal E Khaar Hon Mein. = Tu Rahi E Khaar Kiyon Hai Tujhe Mujh Se Piyar Kiyon Hai. = Tere Gham Ko Nazar Kia Don K Ganwa Chuka Jawani. = Kisi Or Aastan Par Mein Mita Chuka Jawani. = Mein Bhula Chuka Muhbat Mein Luta Chuka Jawani...! = Tu Gale Ka Haar Kiyon Hai Tujhe Mujh Se Pyar Kiyon Hai. = Mein Nisar Kar Chuka Hon Hawas E Butan Pe Um

Dil O Dimag Ko Ro Lon Ga Aah Kar Lon Ga.

Dil O Dimag Ko TaYpEd By  TLASH25 Dil O Dimag Ko Ro Lon Ga Aah Kar Lon Ga. = Tumhare Ishq Me Sub Kuch Tabah Kar Lon Ga. = Agar Mujhe Na Mile Tum Tumhare Sar Ki Qasam Mein Apni Sari Jawani Tabah Kar Lon Ga. = Mujhe Jo Der O Haram Me Kahi Jagah Na Mili Tere Khiyal Hi Ko Sajdagah Kar Lon Ga. = Jo Tum Se Kar Diya Mehrom Asman Ne Mujhe Mein Apni Zindagi Sarf E Gunaah Kar Lon Ga. = Raqeeb Se Bi Milon Ga Tumhare Hukam Pe Mein. = Jo Ab Talak Na Kiya Tha Ab Aah Kar Lon Ga. = Tumhari Yad Me Mein Kaat Don Ga Hashar K Din Tumhare Hijar Me Ratein Siyah Kar Lon Ga. = Hareem E Hazrat E Salma Ki Simat Jata Hon. = Huwa Na Zabit To Chupke Se Aah Kar Lon Ga. = Ye No Bahar Ye Abar O Hawa Ye Rang E Sharab. = Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunah Kar Lon Ga. = Kisi Haseena K Masom Ishq Me Akhtar. = Jawani Kiya Hai Me Sub Kuch Tabah Kar Lon Ga...! = Poet By Akhtar Sheerani.

Jo Bhi Bura Bhala Hai ALLAH Janta Hai.

Jo Bhi Bura Bhala TaYpEd By  TLASH25 Jo Bhi Bura Bhala Hai ALLAH Janta Hai. = Bande K Dil Mein Kiya Hai ALLAH Janta Hai. = Ye Farsh O Arsh Kiya Hai ALLAH Janta Hai. = Pardo Mein Kiya Chupa Hai ALLAH Janta Hai. = Ja Kar Jahan Se Koi Wapas Nahi Hai Aata. = Wo Kon Si Jagah Hai ALLAH Janta Hai. = Neki Badi Ko Apne Kitna Hi To Chupaye. = ALLAH Ko Sab Pata Hai ALLAH Janta Hai. = Ye Dhop Chhaon Dekho Ye Subah Sham Dekho. = Sab Kiyon Ye Ho Raha Hai ALLAH Janta Hai. = Qismat K Nam Ko To Sab Jante Hain Lekin. = Qismat Mein Kiya Likha Hai ALLAH Janta Hai...! = Poet By Akhtar Sheerani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ay Ishq Na Chair Aa Aa K Humein

Ay Ishq Na TaYpEd By  TLASH25 Ay Ishq Na Chair Aa Aa K Humein Hum Bhoole Huwon Ko Yad Na Kar. = Pehle Hi Buhat Nashad Hain Hum. = Tu Or Hamein Nashad Na Kar. = Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi Kuch. = Ye Taza Sitam Ejad Na Kar = Yon Zulm Na Kar Bedaar Na Kar Ay Ishq Humein Barbad Na Kar. = Jis Din Se Mile Hain Dono Ka Sub Chain Gaya Aaram Gaya. = Chahro Se Bahar E Subah Gayi Ankhon Se Farogh E Sham Gaya. = Hathon Se Khushi Ka Jam Chhota Honton Se Hansi Ka Nam Gaya. = Gumgeen Na Bana Nashad Na Kar Ay Ishq Humein Barbad Na Kar. = Raaton Ko Uth Uth Rote Hain Ro Ro Kar Duaein Karte Hain. = Ankhon Mein Tassawur Dil Mein Khalish Sar Dhonte Hain. = Aahein Bharte Hain Ay Ishq Ye Kaisa Rog Laga Jeete Hain Na Zalim Marte Hain. = Ye Zulam To Ay Jallad Na Kar Ay Ishq Humein Barbad Na Kar...! = Ye Rog Laga Hai Jab Se Humein Ranjeda Hon Mein Beemar Hai Wo. = Har Waqt Tapish Har Waqt Khalish Be Khuwab Hon Mein Bedar Hai Wo.