Posts

Showing posts from January 2, 2014

Ye Theek Hai Ke

Image
TaYpEd By TLASH25 Ye Theek Hai Ke Buhat Wahshatein Bhi Theek Nahin Magar Hamari Aadatein Bhi Theek Nahin. Agar Milo To Khule Dil Ke Sath Ham Se Milo Keh Ye Rasmi Rasmi Si Ye Chahatein Bhi Theek Nahin. Ta'alluqat Mein Gehraiyan To Achi Hai Kisi Se Itni Magar Qurbatein Bhi Theek Nahin. Dil-O-Dimagh Se Ghayal Hai Tere Hijar Naseeb Shikasta Dar Bhi Hai Un Ke Chattein Bhi Theek Nahin. Tum "Aitbar" Pareshan Bhi In Dinon Ho Buhat Dikhai Parta Hai Kuch Sohbatein Bhi Theek Nahin. Qalam Utha Ke Chalo Haal Dil Hi Likh Dalo Kayi Raat Din Ki Buhat Furtein Bhi Theek Nahin....! Book Name Ye Sham Tumhare Naam. Poet By Aitbar Sajid. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Muhbat Kam Nai

Image
TaYpEd By Ameer Ali Shah Meri Ankhen Salamat Hain Mera Dil Mere Seene Mein Dharakta Hai. Mujhe Mehsoos Hota Hai Muhbat Kam Nahi Ho Gi. Muhbat Ek Wada Hai Jo Sachai Ki Undhekhe Kisi Saat Mein Hota Hai. Kisi Rahat Mein Hota Hai, Ye Wada Shayari Ban Ke Mere Jazbon Mein Dhulta Hai. Mujhe Mehsoos Hota Hai Muhbat Kam Nahi Ho Gi. Muhbat Ek Mosam Hai Ki Jis Mein Khuwab Ugte Hain To Khuwabon Ki Hari Shakhen Gulabon Ko Bulati Hain. Unhen Khushbu Banati Hain, Ye Khushbu Jab Hamari Khirkyon Mein Dastakein De Kar Guzarti Hain. Mujhe Mehsoos Hota Hai Muhbat Kam Nahi Ho Gi....! eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Hoor Dunya Mein Mili Thi Pr Manega Kon,

Image
TaYpEd By TLASH25 Hoor Dunya Mein Mili Thi Pr Manega Kon,  Janat Apne Ghar Men Hi Thi Pr Meri Manega Kon. Ghunche Urte Phir Rahe Thay Roshni Me Abar Ki Chandni Khushbu Bhari Thi Pr Meri Manega Kon. Khushnuma Qos-E-Qaza Thi Jugnuon K Jism Par Titliyon Me Roshni Thi Pr Meri Manega Kon. Rat Ki Barkha Mein Dhul K Khil Uthy Lab K Gulab , Barishon Me Tishnagi Thi Pr Meri Manega Kon. Shehar-E-Khamoshan Me Nisf-E-Shab Ki Suiyan Milte Hi Zindagi Hi Zindagi Thir Pr Meri Manega Kon. Ankhon Dekha Waqya Hai Ek Zidi Dilruba Is Ghazal Par Mar Miti Thi Pr Meri Manega Kon. Mulk Me Wo Aman Tha K Badshah K Hukam Pr Zulm Ki Ghanti Bajti Thi Meri Manega Kon. Aaine Se Jab Zara Sa Door Hat K Ro Par Aks Se Bichri Kali Pe Shabnami Qatre Na The wo Titli Ro Rahi Thi Pr Meri Manega Kon. Shakal Parast Ehbab Ko Me Qais Go Ye Keh Don Ye Gzl Kuch Aam Thi Pr Meri Manega Kon.!

Hai Tery Paas HOny Ka Bahana

Image
,,+"+,_,+"+,_,+"+,, SHAAM HONY TAK "+,,+""+,,+""+,,+" *-------------------* Hai Tery Paas HOny Ka Bahana Shaam HOny Tak, Yaha'n Hai Aarazi Meraa Thikanaa Shaam HOny Tak..> "+,, Yaha'n Charrhty Huwe SOOraj Kaa Har KOii Salaaami Hai, Bhulaa Detaa Hai Har Ek KO Zamana Shaam HOny Tak..> "+,, Agar Chalnaa HO TO Taareek RahOOn Par Bhi Challnaaa Hai, Agar Wapis Hi Janaa Hai TO  Janaa Shaam HOny Tak..> "+,, Subah Say DhOOndny Nikla Hun SOOraj Sar Pay Aaa Tahera, Kahen Par Bhi Bananaa Hai Thikanaa Shaam HOny Tak..> "+,, Humaraa Saath Kab Tak Hai, Kahan Tak Hai, Ye POOcha Thaa, Sisak Kar Ye Kaha Ussny Kahan Na Shaam HOny Tak..> "+,, AndherOoOn Mein Meraa KOi Thikanaa Aur Thahry Gaa, K Mujh KO MIR HOnaa Hai Rawanaa Shaam HOny Tak..........-> ""+,_,+""+,_,+"" Type__By,,,,,,,,-* Qais__e__Laila "+,,+" PoEt: Mir HassaN "+,,+""+,,+"

Hasan Kozahgar

Image
TaYpEd By  TLASH25 Jahan Zad Neeche Gali Mein Tere Dar k Aage Ye Mein Sokhta Sar Hasan Kozahgar Hon. Tujhe subho Bazaar Mein Borhe Ataar Yosuf Ki Dukan Par,Mein Ne Dekha To Teri Nigahon Mein Wo Taab Naaki Thi Mein Jis Ki Hasrat Mein Nau Saal Dewana Phirta Raha. Jahan Zad Nau Saal Dewana Phirta Raha Ye Wo Dor Tha Jis Mein Main Ne Kabi Apne Ranjoor Koozon Ki Janib Palat Kr Na Dekha, Wo Kooze Mere Dast-E-Chabuk K Putle Gil-O-Rang-O- Raughan Ki Makhloq-E-Bejan. Wo Sargoshyon Mein Ye Kehte Hasan Kooza Gar Ab Kahan Hai Wo Hamse Khud Apne Amal Se Khudawand Ban Kar Khudaon Ki Manind Hai Roo-E-Gardan Janan Zad. Nau Saal Ka Dor Yon Mujhpe Guzra K Jaise Kisi Shehr-E-Madfoon Par Waqt Guzre Tagharon Mein Miti Kabhi Kiski Khushbu Se Warafta Hota Tha Mein. Sang Basta Pari Thi Suraahi-O-Meena-O-Jaam-0-Subhu  Aur Faanoos-0-Guldaan Meri Heich Maya.! Maeeshat Ke Izhaar-E-Fan Ke Sahaare Shikasta Pare They Mein Khud Mein Hasan Koozahgar. Pa-Ba-Gil Khaaksar Bar-Barehna Sar-E-Chaak. Zoleeda Mu Sar-B

Ussay Jiss ROzz Bhi Yaaaro Sanwartay

Image
Ussay Jiss ROzz Bhi Yaaaro Sanwartay Hum Nay Dekhaa Hai, TullOO-E-Subah Kaa Manzzar Ubhartay Hum Nay Dekhaa Hai..> "+,, Ajjab Thaa Uss Ki Angrrai Kaa Aalam Peash Manzzar Mein, BhaarOon KO QataarOon Mein Utartay Hum Nay Dekhaa Hai..> "+,, Boht Hii Naaaz Kartaa Thaa JO Apni Sarfrazi Par, Haseen VO Chand Dariyaa Mein Utratay Hum Nay Dekhaa Hai..> "+,, KOi TO Shakhs Bhi HOtaaa Jissay Hum Humsafar Kahtay, Jissy Dekhaa Ussy Rastaa Badaltay Hum Nay Dekhaa Hai..> "+,, Milaai Roshni Say Jab Nazar TOu Ny Mery Hum Dam, Teri AankhOon Mein Chandaaa KO Sanwartay Hum Nay Dekhaa Hai..> "+,, Nadi Thi PursakOon Paani Bhi Thaa Thahraa Huwaa Shaayar, Achaanak Aik Pathar Say Bapharty Hum Nay Dekhaa Hai...............-> "+,,+" Type__By,,,,,,,-* Qais__e__Laila  "+,,+" PoEt: Shayar Ali Shayar BOOK VO Chaand Jaisaa Shakhs Page 176 ""+,,+""+,,+""

Kuch Ishq Tha

Image
TaYpEd By TLASH25 Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi So Mein Ne Jeevan Waar Diya. Mein Kaisa Zinda Aadmi Tha Ek Shakhs Ne Mujh Ko Maar Diya. Ye Saja Sajaya Ghar Saqi Meri Zaat Nahin Mera Haal Nahin Aai Kash Kabhi Tum Jan Sako Jo Us Sukh Ne Aazar Diya. Mein Khuli Huwi Ek Sachai Mujhe Jan'ne Wale Jante Hain. Mein Ne Kin Logon Se Nafrat Ki Aur Kin Logon Se Pyar Kiya. Wo Ishq Buhat Mushkil Tha Magar Aasan Na Tha Yon Jeena Bhi. Us Ishq Ne Zinda Rahne Ka Mujhe Zarf Diya Pindar Diya, Ek Sabz Shakh Gulaab Ki Tha Ek Dunya Apne Pyar Ki Tha. Wo Ek Bahaar Jo Aai Nahin Us Ke Lye Sab Kuch Haar Diya. Mein Rota Hon Aur Aasman Se Tare Tot'te Dekhta Hon Un Logon Par Jin Logon Ne Mere Logon Ko Aazar Diya. Wo Yaar Hon Ya Mehboob Mere Ya Kabhi Kabhi Milne Wale Ek Lazat Sab Ke Milne Mein Wo Zakham Diya Ya Pyaar Diya....! eNd Poet By Ubaidulah Aleem eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Mein Cigrete Ko

Image
Type by  Tlash25  Mein Cigrete Ko Hatheli Par Ulat Kar Khaali Karta Hon, Phir Us Mein Daal Kar Yadein Tumhari Khoob Malta Hon. Zara Sa Gham Milata Hon, Hatheli Ko Ghumata Hon Basa Kar Tujhko Saason Mein, Mein Phir Cigrete Banata Hon. Laga Kar Apne Honton Se Muhbat Se Jalata Hon, Tujhe Sulgha K Cigrete Mein, Mein Tere Kash Lagata Hon. Dhuwaan Jab Mere Honton Se Nikal Kar Raqs Karta Hai, Mere Charon Taraf Kamre Mein Tera Aks Banta Hai, Mein Us Se Bat Karta Hon. Wo Mujh Se Bat Karta Hai, Ye Lamha Bat Karne Ka Bara Anmol Hota Hai, Teri Yadein, Teri Batein Bara Maahol Hota Hai.....! eND. Follow Tlash25 Send To 8001