Posts

Showing posts with the label Poet Mohsin Naqvi

Muhabbat

Image
بھڑکائیں میری پیاس کو اکثر تیری آنکھیں صحرا میرا چہرہ ہے سمندر تیری آنکھیں بوجھل نظر آتی ہیں بظاہر مجھے لیکن کھلتی ہیں بہت دل میں اُتَر کر تیری آنکھیں اب تک میری یادوں سے مٹائے نہیں مٹتا بھیگی ہوئی شام کا منظر ، تیری آنکھیں ممکن ہو تو اک تازہ غزل اور بھی کہہ لوں پھر اوڑھ نا لیں خواب کی چادر تیری آنکھیں یوں دیکھتے رہنا اسے اچھا نہیں محسن وہ کانچ کا پیکر ہے تو پتھر تیری آنکھیں

Jab Zakhm Daiheknay Wale Hon

Jab Zakhm Daiheknay Wale Hon Or Khushbo K Paighaam Milain..* - - Or Apne Dareeda Daman K Jab Chaak Silain..* - - Dil Dukhta Hai..* - - Jab Ankhain Khud Say Khawab Bunain Khawabon Main Basray Chehro Ki..* - - Jab Bheer Lage Us Bheer Main Jab Tum Kho Jao..* - - Dil Dukhta Hai..* - - Jab Habs Barhay Tanhai Ka Jab Khawab Jalain Jab Ankh Bujhay Tum Yaad Aao..* - - Dil Dukhta Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - - Poet Mohsin Naqvi Book Azaab E Deed

Wo Bhi Kiya Din K Pal Mein Kar Diya Karte The Hum.

Wo Bhi Kiya Din TaYpEd By TLASH25 Wo Bhi Kiya Din K Pal Mein Kar Diya Karte The Hum. = Umar Bhar Ki Chahatein Har Ek HarJaayi K Naan. = Wo Bhi Kiya Subhein Thi Jin Ki Muskurahat Ka Fasoon. = Waqf Tha Ihl E Bazm Ki Ranaayi K Naam. = Wo Bhi Kiya Shamein Thi Jin Ki Shuhratein Mansoob Thin. = Be Sabab Khullte Howe Ballon Ki Ruswaayi K Naam. = Ab K Wo Rutt Hai K Har Taza Qayamat Ka Aazaab. = Apne Dil Mein Jagte Zakhmon Ki Gehraayi K Naam. = Ab K Apni Yadon K Sab Shikasta Aaaeine. = Kuch Zamane K Liye Kuch Apni Tanhai K Naam...! = Poet By Mohsin Naqvi. = Book Name Azaab E Deed. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Har Ghari Raigan Guzarti Hai Zindagi Ab Kahan Guzarti Hai.

Har Ghari Raigan TaYpEd By  TLASH25 Har Ghari Raigan Guzarti Hai Zindagi Ab Kahan Guzarti Hai. = Dard Ki Sham Dakhit E Hijran Soorat E Karwan Guzarti Hai. = Ajab Guzarti Hain Bijliyan Dil Par. = Subh Aatish Bajan Guzarti Hai. = Zakham Pahle Mehekne Lagte The. = Ab Hawa Be Nishan Guzarti Hai. = Apni Galiyon Se Aman Ki Khuwahish. = Tan Pe Orhe Duwan Guzarti Hai. = Muskuraya Na Kar K Mohsin Par. = Ye Sakhawat Garan Guzarti Hai...! = Poet By Mohsin Naqvi. = Book Name Azaab E Deed = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Neem Shab Ka Ujaar Sannata

Neem Shab Ka TaYpEd By  TLASH25 Neem Shab Ka Ujaar Sannata Khuwab Aalood Be Sada Raste. = Teergi Se Aati Huwi Gallian. = Khurdare Sakht, Be Charagh Kawar Sehmi Sehmi Hawa Ki Dastak Se. = Saans Lete Hain Be Hawasi Mein. = Pair Par Chand Zard Ru Patte Tootte Hain. = Zameen Par Girte Hain. = Jaise Be Shakal chaap Par Aksar Koi Beemar Dil Dharakta Hai. = Aisi Tanhayion Mein Bhi Ab Tak Mein Tere Naam Jagte Sote. = Kheriyat K Khatoot Kikhta Hon...! = Poet By Mohsin Naqvi. = Book Name. Azaab E Deed. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Hai Kis Ka Aks Dil K Kareen Char Soo Hai Kon.

Hai Kis Ka Aks Dil TaYpEd By TLASH25 Hai Kis Ka Aks Dil K Kareen Char Soo Hai Kon. = Gard E Gumaan Chate To Khule Robaroo Hai Kon. = Kis K Badan Ki Dhoop Ne Lehrein Uchaal Dein. = Ay Aks E Mahtab Teh E Aab Nao Hai Kon. = Kiya Jane Sang Baar Hawa Kooay Yaar Ki Pewand Kis Qaba Mein Lage Be Rafu Ha Kon. = Nok E Seena Pe Kiyon Na Saje Apni Sarkashi. = Juz Shaher Yaar Shaher Mein Apna Adu Hai Kon. = Aaye Maslehat Ki Tez Hawa Juz Ghareeb E Shaher. = Is Shaher E Nang O Naam Mein Be Aabroo Hai Kon. = Palkon Pe Kon Chunta Hai Ruswaiyon Ki Dhool. = Ruswa Humare Sath Yahan Kiyon Be Kuha Kon. = Mohsin Ab Apna Ap Bhulaya Hai Is Tarah. = Mujh Se Khud Apne Aks Ne Pocha K Tu Hai Kon...! = Poet By Mohsin Naqvi. = Book Name Azaab E Deed. = eND. = Follow Tlash25 Send

Rahen E Khof Na Waqif E Heras Rehta Hai.

Rahen E Khof TaYpEd By  TLASH25 Rahen E Khof Na Waqif E Heras Rehta Hai. = Magar Ye Dil Hai K Aksar Udas Rahta Hai. = Ye Sanwali Si Fizaein Ye Be Charag Nagar. = Yahin Kahin Wo Sitara Shanas Rahta Hai. = Usi Ko Aorh K Soti Hai Rat Khud Pe Magar. = Wo Chandni Ki Tarah Be Libas Rahta Hai. = Mein Kiya Parhon Koi Chahra K Meri Ankhon Mein. = Tere Badan Ka Koi Iqtabaas Rahta Hai. = Kahan Bhulaye Us Ko K Wo Bichar K Sada. = Khayal Bun K Muheet E Hawas Rahta Hai. = Bhatak Bhatak K Use Dhondte Phiro Mohsin. = Wo Daramiyaan E Yaqeen O Qiyaas Rahta Hai...! = Poet By Mohsin Naqvi. = Book Name Azaab E Deed. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Sukoon K Din Se Furaghat Ki Rat Se Bhi Gaye.

Sukoon K Din Se TaYpEd By  TLASH25 Sukoon K Din Se Furaghat Ki Rat Se Bhi Gaye. = Tujhe Ganwa Ke Bhari Kaainat Se Bhi Gaye. = Juda Huwe They Magar Dil Kabi Na Tota Tha. = Khafa Huwe To Tere Iltfat Se Bhi Gaye. = Chale To Neel Ki Gahraaiyaan Thi Aankhon Mein. = Palat Ke Aaye To Mouj E Furat Se Bhi Gaye. = Khiyaal Tha Ke Tujhe Pa Ke Khud Ko Dhondein Ge. = Tu Mill Gaya Hai To Khud Apni Zat Se Bhi Gaye. = Bichar Ke Khat Bhi Na Likhe Udaas Yaaron Ne. = Kabi Kabi Ki Adhori Si Bat Se Bhi Gaye. = Wo Shaakh Shaakh Lachakte Huwe Badan Mohsin. = Mujhe To Mill Na Sake Tere Hath Se Bhi Gaye...! = Poet By Mohsin Naqvi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Junoon Mein Shoq Ki Gahraaiyon Se Darta Raha.

Junoon Mein TaYpEd By  TLASH25 Junoon Mein Shoq Ki Gahraaiyon Se Darta Raha. = Mein Apni Zat Ki Sachaaiyon Se Darta Raha. = Muhbton Se Shanasa Huwa Mein Jis Din Se Phir Us Ke Bad Shanasaaiyon Se Darta Raha. = Wo Chahta Tha Ke Tanha Milon To Bat Kare. = Mein Kiya Karon Ke Mein Tanhaaiyon Se Darta Raha. = Mein Regzar Tha Mujh Mein Base They Sanate. = Isi Liye To Mein Shahnaaiyon Se Darta Raha. = Mein Apne Baap Ka Yosif Tha Is Liye Mohsin. = Sukoon Se So Na Saka Bhaaiyon Se Darta Raha...! = Poet By Mohsin Naqvi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mujh Ko Ye Bhi Nahin Maloom Kahan Rehta Hai.

Mujh Ko Ye Bhi TaYpEd By  TLASH25 Mujh Ko Ye Bhi Nahin Maloom Kahan Rehta Hai. = Jo Ke Chalti Huwi Saanson Mein Rawan Rehta Hai. = Yon To Har Tarah Se Weeran Hai Dil Ki Basti. = Bin Bataye Hi Magar Koi Yahan Rahta Hai. = Ab Kisi Rat Mein Jalta Nahin Koi Chiraag. = Sham Se Bas Us Ki Yadon Ka Dhuwan Rahta Hai. = Koi 2 Do Din Ko Jo Ho Jata Hai Mahman Dil Mein. = Wo Chala Jaaye To Phir Us Ka Nishaan Rahta Hai. = Aks Us Ka Nazar Aata Hai Har Ek Cheez Mein Mohsin. = Rat Din Bas Us Ka Hi Gumaan Rahta Hai...! = Poet By Mohsin Naqvi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Zidon Samait Kabi Dil Ko Chorna Hoga.

Zidon Samait TaYpEd By  TLASH25 Zidon Samait Kabi Dil Ko Chorna Hoga. = Ye Aaina Kisi Pathar Pe Torna Hoga. = Yahi Nahin Ke Hamein Torr Kar Gaya Hai Koi. = Usey Bi Khud Ko Buhat Dair Jorna Hoga. = Tuli Huwi Hai Buhat Sar Kashi Pe Hijar Ki Rut. = Ye Rut Rahi To Kahin Sar Hi Phorna Hoga. = Qareeb Saahil E Dariya Bachi Hai Piyaas Meri. = Hiwas Ko Daaman E Dariya Nichorna Hoga. = Talab Ko Tu Na Mile Ga To Aur Log Buhat. = Kisi Taraf To Ye Tufaan Bi Morna Hoga. = Kabi Mata E Safar Tha Jo Dilruba Mohsin. = Khabar Na Thi Usey Raste Mein Chorna Hoga...! = Poet By Mohsin Naqvi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kahan Itni Sazaein Thi Bhala Is Zindagi Mein

Kahan Itni TaYpEd By   TLASH25 Kahan Itni Sazaein Thi Bhala Is Zindagi Mein Hazaaron Ghar Huwe Roshan Jo Mera Dil Jala Mohsin. = Faqat Ek Lafz E Muhbat Ki Ham Ne Bheek Mangi Thi Taras Gaye Khushi Ko Ham Mili Hai Ye Saza Mohsin. = Sukon E Zindagi Chora Teri Ek Zat Ki Khatir Magar Phir Bi Meri Chahat Se Tum Ko Hai Gila Mohsin. = Ye Dil Tuta Huwa Le Kar Mein Kis Ke Pas Jaon Ga Ke Kon Hai Wo Kare Ga Jo Mere Dil Ki Dawa Mohsin. = Teri Ankhein Teri SanseinTera Chahra Teri Dharkan Mein Kaise Bhool Paon Ga Teri Har Ek Ada Mohsin. = Kisi Ko Kiya Khabar Mujh Par Ke Har Pal Kiya Guzarti Hai Meri Saari Kahani Se Hai Tu Hi Ashnaa Mohsin...! = Poet By Mohsin Naqvi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Na Poch Mera Hussain Kya Hai

Image
Na Poch Mera Hussain Kya Hai . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Jahan E Azm E Wafa Ka Paikar . Khrad Ka Markaz, Junoon Ka Mahwar . Jamal E Zahra (R.A) Jamal E Haidar (R.A) . Zameer E Insan Naseer Daawar . Zameen Ka Dil Asmaan Ka Yaawar . Dayar E Sabro Reza Ka Dilbar . Kamal E Essar Ka Payambar . Shaaoor E Aman O Sukoon Ka Paykar . Jabeen E Insaniyat Ka Jhoomar Arab Ka Sahra , Ajam Ka Zaiwar . Hussain (R.A) Taswfer E Ambiya Hai . Na Poch Mera Hussain Kya Hai . Hussain (R.A) Ahl E Wafa Ka Bastee . Hussain (R.A) Aayeen E Haq Parsatee . Hussain (R.A) Sidq E Safa Ka Saathee . Hussain (R.A) Pesh Az Adam Tasawoor . Hussain (R.A) Ne Zindagi Bikhairi Faza Se Warna Qaza Baraste Uroog E Haft Asmaan E Azmat . Hussain (R.A) Ka Naqsh E Pa Ki Masti . Hussain (R.A) Ko Khuld May Na Dhundho . Hussain (R.A) Mehnga , Hai Khuld Saste . Hussain (R.A) Maqsoom E Deen O Imaan . Hussain (R.A) Famhoom E Hal Ata Hai . Na Poch Mera Hussain (R.A) Kya Hai . Hussain (R.A) Dil Hai Hussain (R.

Us Nay Door Rahne Ka Mashwara Bhi Likha Hai

Image
Us Nay Door Rahne . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Us Nay Door Rahne Ka Mashwara Bhi Likha Hai,,,-* . Sath Hi Mohabt Ka Wasta Bhi Likha Hai,,,-* . Usne Ye Bhi Likha Hai K Mere Ghar Na Aana,,,-* . Saaf Saaf Lafzo Main Ghar Ka Pata Bhi Likha Hai,,,-* . Kuch Haroof Likhay Hai Zabt Ki Naseehat Main,,,-* . Kuch Haroof Main Usne Hosla Bhi Likha Hai,,,-* . Shukriya Bhi Likha Hai Dil Say Yaad Karne Ka,,,-* . Dil Say Dil Ka Hai Kitna Faasla Bhi Likha Hai,,,-* . Kya Ussay Likhain Mohsin Kya Ussay Kahain Mohsin,,,-* . Jis Nay Kar Ke Bejan Phr Jan E Jaan Bhi Likha Hai,,,-*,,SA,,* . Poet Mohsin Naqvi

Hum Yousif E Zaman Hai Abhi Kal Ki Baat Hai

Image
Hum Yousif E Zaman . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Hum Yousif E Zaman Hai Abhi Kal Ki Baat Hai,,,-* . Tum Hum Pay Maherban Thay Abhi Kal Ki Baat Hai,,,-* . Wo Din Bhi Thay K Hum Hi Tumhari Zuban Pay Thay,,,-* . Mozoo E Dastan Thay Abhi Kal Ki Baat Hai,,,-* . Aay Karwaan E Inqilaab O Gul Tum Ko Yad Ho,,,-* . Hum Meer E Karwan Thay Abhi Kal Ki Baat Hai,,,-* . Jin Dosto Ki Kami Hai Aaj Hayat Main,,,-* . Wo Apne Darwiyan Thay Abhi Kal Ki Baat Hai,,,-* . Kuch Haadso Say Gir Gaye "MOHSIN" Zameen Par,,,-* . Hum Rashk E Jahan Thay Abhi Kal Ki Baat Hai,,,-*,,SA,,* . Poet Mohsin Naqvi.

Main Tanhai Ka Hasil Hogaya Hun

Image
Usay Asaan Samjh . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Main Tanhai Ka Hasil Hogaya Hun Bhari Dunya Main Shamil Hogaya Hun,,,-* . Usay Asaan Samjh Laine Ki Dhun May Main Apne Ap Mushkil Ho Gaya Hun,,,-* . Bohat Pather Bana Hun Totnay Ko Magr Ik Chott Say Dil Ho Gaya Hun,,,-* . Meri Fitrat Rahi Hai Qatal Hona Magar Qatil Mash'Hor Ho Gaya Hun,,,-* . Mujhe Dariya Say Milne Ki Haws Thi Bikhar Kar Reeg E Sahil Ho Gya Hun,,,-* . Zarori Tha Mera "Mohsin" Say Milna Main Khud Raste Main Haail Hogaya Hun,,,-*,,SA,,* . S*-.___eNd___.-*A . Poet Mohsin Naqvi

Khawab Ankhon Main Chuboo Kar Daikhon

Image
Khawab Ankhon May . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Khawab Ankhon Main Chuboo Kar Daikhon Kaash Main Bhi Kabhi So Kar Daikhon,,,-* . Shayad Ubhray Teri Tasveer Kahin Main Teri Yad Main Ro Kr Daikhon,,,-* . Isi Khawahish May Mita Jata Hun Tere Paon Teri Thokar Daikhon,,,-* . Ashk Hai Wehun Ki Shabnum K Lahoo Apni Palkain To Bhigo Kar Daikhon,,,-* . Kaisa Lagta Hai Bichar Kar Milna Main Achanak Tujhe Kho Kar Daikhon,,,-* . Ab Kahan Apne Garaiban Ki Bahaar, Taar Main Zakhm Piro Kar Daikhon,,,-* . Mere Hone Say Na Hota Bahter Tu Jo Chahe Tera Ho Kar Daikhon,,,-* . Rooh Ki Gard Say Pahle "Mohsin" Daagh E Daman Ko To Dho Kar Daikhon,,,-*,,SA,,* . S*-.___eNd___.-*A . Poet Mohsin Naqvi

Us Nay Jab Jab Bhi Mujhe Dil Say Pukara Mohsin

Image
Us Nay Jab Jab . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Us Nay Jab Jab Bhi Mujhe Dil Say Pukara Mohsin,,,-* . Maine Tab Tab Ye Bataya K Tumhara Mohsin,,,-* . Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hai,,,-* . Humko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,,,-* . Ho Gaya Jab Ye Yaqeen Ab Wo Nahi Aaye Ga,,,-* . Ansoo Or Ghum Nay Diya Dil Ko Sahara Mohsin,,,-* . Wo Tha Jab Pas To Jeenay Ko Bhi Dil Karta Tha,,,-* . Ab To Pal Bhr Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin,,,-* . Usko Pana To Muqaddar Ki Lakeron Main Nahi,,,-* . Uska Khona Bhi Karain Kaise Gawara Mohsin,,,-*,,SA,,* . S*-.__eNd__.-*A . Poet Mohsin Naqvi

Maine Is Tor Say Chaha Tujhe

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Maine Is Tor Say Chaha Tujhe Aksar Jaana Jaise Mahtab Ko Bay Antt Samandar Chahiay . Jaise Soraj Ki Kiran Saip K Dil Main Utre Jaise Khushbo Ko Hawa Rang Say Hatt Kar Chahe . Jaise Pather K Kalaije Say Kiran Photti Hai Jaise Gunche Khile Mosam Say Hina Mangte Hai . Jaise Khawabo Main Khayalo Ki Kamaan Totti Hai Jaise Barish Ki Dua Abla Paa Mangte Hai . Mera Har Khawab Mere Sach Ki Gawahi Dayga Was'aat Deed Nay Tujh Say Teri Khwahish Ki Hai . Meri Socho Main Kabhi Daikh Sarapa Apna Maine Dunya Say Alag Teri Parastish Ki Hai . Khawahish Deed Ka Mosam Kabhi Dhundla Jo Hoa Noch Dali Hai Zamano Ki Niqabain Maine . Teri Palko Pay Utri Hoi Subho K Liay Tor Dali Hai Sitaro Ki Tanabain Maine . Maine Chaha K Tere Husn Ki Gulnar Fiza Meri Gazlo Ki Qataro Say Dahakti Hai . Maine Chaha K Mere Kafan K Gulistan Ki Bahar Teri Ankho K Gulabo Say Mahakti Jaye,,,-*,,SA,,* . Tay To Ye Tha K Sajata Rahe Lafzo K Kanwal Mere

Meri Hasrat Ke Janaze Ko Uthane Wale

Image
Meri Hasrat Ke TaYpEd By TLASH25 Meri Hasrat Ke Janaze Ko Uthane Wale Kitne Be-Dard Hain Ye Log Zamane Wale. Koi Apna Nahi Matlab Ki Hai Dunya Sari Ab kahan Milte Hein Wo Dost Purane Wale Mein Dua.Go Hon Sada Neenden Hon Mubarik Tujh Ko Hijar Ka Dard Mujhe De Ke Jagane Wale. Bas Yahi Soch Ke Har Baar Manata Hon Usay Lot Ke Aate Nahi Rooth Ke Jane Wale Un Ke Seenon Mein kabhi Jhank Ke Dekho Mohsin Kitne Afsurda Hein Auron Ko Hansane Wale..! Poet By Mohsin Naqvi eND. Follow Tlash25 Send To 8001