Posts

Showing posts from July 5, 2014

Yun Torti Rahti Hai Baraber Teri Yadain

Image
Yun Torti Rahti Hai Baraber Teri Yadain . Aaina Mera Jism Hai Pather Teri Yadain . Bahir Say To Lagta Hai K Chit-Naar Hon Lekin . Deemak Si Lagi Rahti Hai Ander Teri Yadain . Oroon Pay Tera Haath Teri Chaaon Hai Lekin . Soraj Ki Tarha Hai Mere Sar Par Teri Yadain . Katt Katt K Boht Door Hoi Jaati Hon Tujh Say . Sahil Hai Mera Jism Samander Teri Yadain . Tanhai Parindon Ki Tarhaa Cheekh Rahi Hai . Yaa Shor Machati Hai Mere Ghar Teri Yadain . Ye Dil To "Qamer" Girti Hoi Chatt Ki Tarha Hai . Is Khof Say Ho Jayain Na Bay-Ghar Teri Yadain,,,'*'SA'* . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti

Image
Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti . Kisi Ki Ho K Bhi Dunya Say Katt Nahi Sakti . Mera Ye Dukh Hai K Sahil Pay Aik Laher K Sath . Main Aa Gai Thi Magar Ab Palat Nahi Sakti . Ye Log Q Mujhe Taqseem Karna Chahte Hai . Main Tott Sakti Hon Hisson Main Batt Nahi Sakti . Bandhay Hoay Hai Mere Haath Peeth Par Lekin . Tujhe Gila Hai Main Tujh Say Lipat Nahi Sakti . "Qamer" Main Usko Bolaaon Sahailiyun Main Kya . Usay To Daikh K Ungli Bhi Katt Nahi Sakti,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Kya Usay Qaid Kare Ga Koi Tadbeer K Saath

Image
Kya Usay Qaid Kare Ga Koi Tadbeer K Saath . Kabhi Khushboo Nahi Bandhi Gai Zanjeer K Sath . Larkhyaan Apne Khado Khaal Pay Khush Hai Warna . Log To Ishq Karte Hai Jageer K Sath . Kis Tarha Ab Koi Pahchan Sake Ga Mujh Ko . Meri Sorat Nahi Milti Meri Tasveer K Sath . Wo Mere Dil Say Nikal Kar Jahan Chahe Jaye . Main Usay Ghair Lay Aaogi Tadbeer K Sath . Chaaye K Cup Par Bula Laiti Hon Uski Yadain . Or Phr Khob Guzarti Hai Tasaveer K Saath . Jo Gila Us Say Hai Wo Bhi Nahi Karti . Usk Jate Hi Ulajh Parti Hon Taqdeer K Saath . Marr Bhi Jaaon To Muhabt Nahi Jaye Gi "Qamer" . Dil Ka Kanta Hai Ye Nikle Ga Nahi Teer K Saath,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Pyar Main Pagal Ho Jate Hai

Image
Pyar Main Pagal Ho Jate Hai . Log Mukammal Ho Jate Hai . Tum Ankh Pay Hath Na Rakho . Hum Khud Hi Ojhal Ho Jate Hai . Tanhai Par Jhaari Hai Jab . Khawab Mo'at'tul Ho Jate Hai . Jab Bhi Soraj Daikhne Niklon . Sar Pay Badal Ho Jate Hai . Mera Is Main Dosh Nahi . Log Hi Pagal Ho Jate Hai . Dard Paaneeri Bonay Waalo . Ghar Bhi Jangal Ho Jate Hai,,,'*'SA'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Paayal Pahen K Jhomne Gaane Lagi Hon Main

Image
Paayal Pahen K Jhomne Gaane Lagi Hon Main . Uski Tarf Say Khud Ko Maanane Lagi Hon Main . Anchal Ko Khanch Kar Kabhi Churi Ko Tor Kar . Kis Kis Tarha Khud Ko Satane Lagi Hon Main . Lagta Hai Mujhko Us Say Muhabt Nahi Rahi . Us Say Har Aik Baat Chupane Lagi Hon Main . Q Tujh Say Mera Pyar Chupaya Nahi Gaya . Tujh Main Kisi Ko Q Nazar Aane Lagi Hon Main . Laine Lagi Hon Khud Say Muhabt Ka Intiqam . Tere Sabhi Khaatot Jalane Lagi Hon Main . Logo Ko Is Liay Bhi Meri Fikar Parr Gai . Apna Alag Chiragh Jalane Lagi Hon Main . Jab Uska Saath Day Nahi Sakna Mujhe "Qamer" . Phr Q Kisi Ki Aas Bandhnay Lagi Hon Main,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Ghar K Har Konay Say Aik Jhankaar Si Aai Mujhe

Image
Ghar K Har Konay Say Aik Jhankaar Si Aai Mujhe . Raat Kis Nay Khawab Main Paazaib Pehnaai Mujhe . Aisa Lagta Hai Phr Koi Ujar Jaane Ko Hai . Jab Kahin Bajti Nazar Aai Hai Shahnaai Mujhe . Is Liay Main Loat Aai Hon Samander Daikh Kar . Apni Janib Khainchti Thi Iski Gehrai Mujhe . Khobsorat Thi Wo Titli Is Liay Maari Gai . Meri Maa Ki Ye Kahawat Ab Samjh Aai Mujhe . Itne Din K Baad Jab Bhi Loat Kar Gai Thi Ghar . Apne Bister Par Ajab Boo Ay Hinaa Aai Mujhe . Ab Bhi Kahti Hai Mujh Say Dosti Kar Lay "Qamer" . Ab Bhi Samajhti Hai Mere Ghar Ki Tanhai Mujhe,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Khirkiya Mat Baja Main Nahi Bolti

Image
Khirkiya Mat Baja Main Nahi Bolti . Jaa O Jhoti Hawa Main Nahi Bolti . Chor Day Meri Dahleez Ko Chor Day . Tujh Say Kah Jo Diya Main Nahi Bolti . Mujh Say Ab Meethay Lahjay Main Baat Naa Kar . Mera Dil Bujh Chuka Main Nahi Bolti . Mujhko Malom Hai Jitni Achi Hon Main . Ab Na Batain Bana Main Nahi Bolti . Ab Kisi Chaal Main Nahi Aaon Gi . Chahay Kasmain Utha Main Nahi Bolti . Ye Jo Aik Moor Mere Angan Main Hai . Jab Nahi Bolta Main Nahi Bolti . Mere Paaon Say Dharti Khisaknay Lagi . Jab Bhi Maa Nay Kaha Main Nahi Bolti . Pahle Us K Liay Sab Say Larti Pheeri . Phr Usay Kah Dia Main Nahi Bolti . Ab Safaai Ka Moqa Na Dongi Usay . Jo Howa So Howa Main Nahi Bolti . Meri Chup Ko Bhi Sazish Samajhta Hai Wo . Aay "Qamer" K Khuda Main Nahi Bolti,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Mujhe Ghar Ko Bachane Main Ujarna Par Raha Hai

Image
Mujhe Ghar Ko Bachane Main Ujarna Par Raha Hai . Meri Jaan Hum Ko Majborun Bicharna Parr Raha Hai . Kabhi Logo Kabhi Bachon Say Naa'laa . Mujhe Us K Liay Kis Kis Say Larna Parr Raha Hai . Ye Kis Bay Aab Khit'tay Main Utara Tu Nay Mola . K Mujh Ko Paaon Mitti Pay Ragarna Parr Raha Hai . Main Apni Zaat Main Taqseem Ho Kar Rah Gai Hon . Mujhe Tere Liay Khud Say Larna Parr Raha Hai . Ye Chir'riyaan Ghonslay Ko Chor Kar Jati Nahi Theeen . Inhain Meri Muhabt Main Ujarna Parr Raha Hai . Kabhi Wo Shakhs Hota Tha "Qamer" K Dil Ki Dharkan . Jisay Dahleez Pay Maatha Ragarnaa Parr Raha Hai,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Main Mangti Mola Ali Di Main Q Ghabraawaa

Image
Main Mangti Molaa Ali Di . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Main Mangti Mola Ali Di Main Q Ghabraawaa . Asad Ul'llah Da Wajad Ul'llad Da Karam Ul'llah Da Aain Ul'llah Da Wird Pakawaan . Main Mangti Mola Ali Di Main Q Ghabraawaa . Ishq Jaado Daa Mann Wich Wasyaa . Qulb Mere Wich Dewaa Jagya . Noor Ujalay Phut Gaye Dil Wichon . Naam Jaado Da Tera Japyaa . Paaya Tan Tay Haider Choola Wird Karaa Main Mola Molaa . Us Day Rang Wich Aisi Rang Gai Muk Gaya Sab Dunya Daa Roola . Main Dukhaa Daa Haar Uthaya, Mera Kisay Naa Dard Wandaya . Main Sochaaa Di Dhoop Wich Sardi Kar Day Mola Kara Da Saaya . Asad Ul'llah Da Wajad Ul'llad Da Karam Ul'llah Da Aain Ul'llah Da Wird Pakawaan . Main Mangti Mola Ali Di Main Q Ghabraawaa,,,'*'SA'* . By Abida Parveen

Maidi Gurbat Daikh K Inj Na

Maidi Gurbat Daikh K Inj Na . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Maidi Gurbat Daikh K Inj Na Thi Chun Pyar Dokaan To Naai Milday . Bay Los Ikhlaas Day Paikar Dil, Dildar Dukaan To Naai Milday . Jahre Har Dukh Sukh Wich Saath Daiwin Ghumkhawar Dokaan To Naai Milday . "Danish" Odhaar Dokaan To Mil Wainday Par Yar Dukaan To Naai Milday,,,'*'SA'*

Farz Karo Tumhe Mujh Se Muhbat Hai.

Image
Farz Karo TaYpEd By  TLASH25 Farz Karo Tumhe Mujh Se Muhbat Hai. = Tum Mujhe Manane Aao Me Na Maano To Tum Kya Karo Gi. = Tum Mere Khiyalon Me Khoi Raho. = Par Me Tumhari Parwa Na Karon Tu Tum Kya Karo Gi. = Tum Mere Naam Ki Mehndi Lagao Aur Me Kisi Aur Ka Hath Thaam Kar Aaon. = Tu Tum Kya Karo Gi. = Meri Yad Me Tumhari Ankhein Purnum Rahen Aur Me Dunya Ki Ranginyon Me Khoya Rahon. = To Tum Kya Karo Gi. = Tere Dil Me Mujh Se Milne Ki Hasrat Ho. = Par Me Tumhe Nazar Hi Na Aaon To Tum Kya Karo Gi. = Tum Mujhe Dekhne Ko Meri Rahguzar Pe Roz Aaya Kare. = Aur Me Ek Lambe Safar Par Nikal Jaon To Tum Kya Karo Gi. = Par Choro Jana Ye Sub To Farz Karne Ki Batein Hai Tumhare Liye. = Magar Hum Teri Roz Berukhi Sehte Hai Roz Dil Ko Tarpate Hai. = K Kabhi To Tumhare Pathar Dil Me Hamari Jaga Bane Gi. = K Kabhi To Tu Sarfraz Ki Afsara Bane Gi..! = Poet Sarfraz Ahmad

Bicharte Waqt In Ankhon Ka Bhar Jana Zarori Tha

Image
Bicharte Waqt In Ankho . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Bicharte Waqt In Ankhon Ka Bhar Jana Zarori Tha . Tumhare Bin Mera Chup Chaap Mar Jana Zarori Tha . Main Hans Kar Jhail Laita Dil Pay Saare Waar Kismat K . Mujhe Ba-khaber Kar Dete Agar Jaana Zarori Tha . Meri Ankhon Ko Apne Aks Ko Tum Daikh Na Paaye . So Mera Beniazai Say Guzar Jana Zarori Tha . Qabl Is K Kah Dono Badgumani Main Ulajh Jate . Mere Humdum Mera Tujh Say Bichar Jana Zarori Tha . Main Jewan K Safar Main Hans K Sab Kuch Sah Gaya Lekin . Jo Tum Bichre Tu Phr Bikhar Jana Zarori Tha,,,'*'SA'*'

Wo Ankh Mere Liay Num Hai Kya Kia Jaye,

Image
Wo Ankh Mere Liay Num Hai Kya Kia Jaye, Usay Bhi Aaj Mera Ghum Hai Kya Kia Jaye,,,'*' . Tere Bagair Kahin Mera G Nahi Lagta Tere Bagair Ye Aalam Hai Kya Kia Jaye,,,'*' . Saher Qareeb Hai Ab Kya Wo Aainge Milne Umeed E Wisal Boht Kam Hai Kya Kia Jaye,,,'*' . Khata Maf Khatain To Hum Say Hongi Zaror K Ye To Fitrat E Aadam Hai Kya Kia Jaye,,,'*' . Ilaahi Ab Koi Charah Nahi Dua K Siwaa Mareez E Hijar Lab E Dum Hai Kya Kia Jaye,,,'*' . Wo Mujh Say Milne Ko Aaye Hai Meri Moat K Baad Khoshi Bhi Mere Liay Ghum Hai Kya Kia Jaye,,,'*' . Baraste Rahte Hai Din Raat Hijar Main "Purnum" Ye Haal E Deeda Purnum Hai Kya Kia Jaye,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye . Page 113 " 114

Marne Wala Hai Beemar E Hasrat

Image
Marne Wala Hai Beemar E Hasrat Ab Kaha Maan Ja Husn Wale, . Daikh Ankhon May Thora Sa Dum Hai Ab To Chahre Say Parda Haata Lay . Chain Paye To Kis Tarha Paye Dil Sanbhale To Kaise Sanbhalay . Jis Ka Dil Parr Gaya Ho Sitamgar Teri Kafir Adaaon K Paalay . Koi Daikhay To Kis Kashmakash Main Aaj Bemaar E Hasrat Hai Unka, . Aaj Hi Hai Moat Aane Wali Aaj Hi Wo Bhi Hai Aane Wale . Hai Bara Tera Ahsaan Mujh Par Tu Nay Bakhshaa Hai Jo Dard E Muhabt . Aa Raha Hai Maza Zindagi Ko Tere Qurbaan Tarpanay Wale . Mujhko Afsos Sab Say Ziada Q Na Ho Sazish E Bagbaan Ka . Apne Hathon Say Apne Chaman Ko Kar Dia Dushmano K Hawalay . Aaj "Purnum" Sirhanay Laihed K Jaane Kya Soch K Dil Bhar Aaya, . Aa Gaye Unki Ankhon Main Aanso Phool Jab Meri Turbut Pay Dalay,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye . Page 115 " 116

Rukh Pay Kya Bikhra K Bay-Kal Ho Gaye

Image
Rukh Pay Kya Bikhra K Bay-Kal Ho Gaye . Baal Un K Hai K Baadal Ho Gaye . Daman Umeedon Ka Tujh Bin Kuch Na Poch . Jaise Bay-Waaon K Anchal Ho Gaye . Kal Wo Mere Ghar Say Kya Rukhsat Howay . Deeda O Dil Kal Say Bay-Kal Ho Gaye . Tere Wade Bhi Sitamger Khob Hai . Kal Say Aaj Or Aaj Say Kal Ho Gaye . Hum Bhi Aashiq Hai Tumhare Jab Kaha . Hans K Kaha Tum Bhi Paagal Ho Gaye . Mar Gaye Beemar Tere Hijar Main . Ghum K Afsaane Mukam'mal Ho Gaye . Waqt E Rukhsat "Purnum" Ashkon Ka Hajoom . Wo Meri Ankhon Say Ojhal Ho Gaye,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye . Page 118 " 119

Tumhari Zaat Muhabt Sha'aar Ho K Na Ho

Image
Tumhari Zaat Muhabt Sha'aar Ho K Na Ho Hamain Hai Tum Say Tumhain Hum Say Pyar Ho K Na Ho . Nishaan Rahe Na Rahe Yadgaar Ho K Na Ho Humheen Nahi Humain Kya Mazar Ho K Na Ho . Hamara Wada Hai Wada Hamare Wade Ka Ye Or Baat Tumhain Aitbaar Ho K Na Ho . Karain Gay Hum To Bar'haal Intizar Un Ka Sakoon Nawaz Shab E Intizar Ho K Na Ho . Hum Ik Nazar K Liay Iltija Karain Gay Zaror Hamari Simt Kabhi Chashm E Yar Ho K Na Ho . Kiay Hai Haar Singhar Apne Yar Ki Khatir Pasand Yar Ko Mera Singhar Ho K Na Ho . Wo Khush Rahe Kya Barbad Ishq Main Jis Nay Mujhe Khushi Mere Parwardigar Ho K Na Ho . Teri Bahaar E Jawani Sada Bahaar Rahe Kisi K Dil K Chaman Main Bahaar Ho K Na Ho . Rahon Ga Us K Liay Ashkbar Aay "Purnum" Kabhi Wo Meri Liay Ashkbar Ho K Na Ho,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye

Yun Na Phr Mil K Bicharne Ki Ghari Ho Jaise,

Image
Yun Na Phr Mil K Bicharne Ki Ghari Ho Jaise, Jaan Kuch Dair Ko Ankhon Main Aa'rii Ho Jaise . Chup Khare Thay Wo Mere Samne Waqt E Ajal Zindagi Moat K Sahil Pay Khari Ho Jaise . Har Ghari Hai Ankhon Main Tere Bicharne Ki Ghari Har Ghari Tere Bicharne Ki Ghari Ho Jaise . Zeast Nadaar Ki Aisi Hai K Wirane Main Aik Bay-Gor O Kafan Laash Pari Ho Jaise . Yun Shab E Dard Alam Daikh K Ghabrata Hoa Samne Mere Meri Moat Khari Ho Jaise . Silsala Waar Hai Yun Hasrat E Armaan K Dagh Daman E Qaber Pay Pholoon Ki Laar'ri Ho Jaise . Chashm E Purnum Ki Judai Main Kisi Ki "Purnum" Ashkbari Hai K Sawan Ki Jhar'ri Ho Jaise,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye . Page 123 " 124

Kya Shaay Hai Muhabt Ye Khaber Hone Say Pahle,

Image
Kya Shaay Hai Muhabt Ye Khaber Hone  Say Pahle, . Maloom Na Tha Dard E Jiger Hone Say Pahle . Mere Dil E Muzter Ki Khaber Hone Say Pahle . Q Aaye Wo Naalo Main Asar Hone Say Pahle . Ulfat Main Kashish Hai To Yaqeenun . Aaingay Wo Milne Ko Saher Hone Say Pahle . Ahbaab Khudarah Meri Mayyat Naaa Uthain . Unko Mere Marne Ki Khaber Hone Say Pahle . Kya Jaane Koi Dard E Muhabt Ki Latafat . Dil Main Khalish E Teer Nazar Hone Say Pahle . Daikha Na Kabhi Qader Ki Nazron Say Kabhi . Jalwa Tera Manos E Nazar Hone Say Pahle . Darya Main Dabo Sakti Nahi Naa'oo Kisi Ko . Halki C Moj Bhanwar Hone Say Pahle . Sadiyun Ka Sitam Sahta Hai Agosh E Sadaf Main . Barsat Ka Aik Qatra Goher Hone Say Pahle . Nazro Say Na Khul Jaye Bharm Ishq Ka "Purnum" . Ankhain Meri Us Bazm Main Tar Hone Say Pahle,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye

Madine Ki Har Shay Ki Zeenat Juda

Image
Madine Ki Har Shay Ki Zeenat Juda . Makeen Or Makaan Ki Hai Nisbat Juda . Shab O Roz Us K Boht Munfarid . Yahan Hai Duaon Main Barkat Juda . Muyas'sar Hai Bay Daam Dana Yahan Parindo Ko Hoti Hai Hasrat Juda . Khuda Ki Muhabt Hi Taskeen Hai, Muhammad (S.A.W.W) Ki Ulfat Ki Azmat Juda . Boht Burguzeeda Faqeeron Ka Ghar, Tareeqiyat Main Milti Hai Dolat Juda,,,'*'SA'* . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Naseem Akhter Book Tajdeed E Arzoo

Yar Jab Say Yar Hogaya

Image
Yar Jab Say Yar Hogaya . Zindagi Say Pyar Hogaya . Un K Sadqe Jan Hogai . Un Pay Dil Nisaar Hogaya . Ishq Main Meri Nazar Ka Noor . Husn Kaa Singhar Hogaya . Gale Main Bahain Daal Kar Koi . Mere Gale Ka Haar Ho Gaya . Teer Unki Chashm E Naaz Ka . Dil K Aa Paar Ho Gaya . Tera Muskurana Bagh Main . Mosam E Bahaar Ho Gaya . Mar Gaya Mareez Shaam E Ghum . Khatam Intizaaar Ho Gaya . Shukar Kijiay "Purnum" Apko . Yaar Say Pyar Ho Gaya,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye . Page 129 " 130

Aaj Koi Baat Ho Gai

Image
Aaj Koi Baat Ho Gai Wo Naa Aaye Raat Ho Gai . Jab Wo Mere Saath Ho Gaye Dunya Mere Saath Ho Gai . Jab Wo Milne Aaye Raat Ko Meri Chand Raat Ho Gai . Mujh Say Barhum Ap Kya Hoay Saari Kainaat Ho Gai . Mar Gaye Tere Mareez E Ghum Dard Say Nijaat Ho Gai . Aay Dil Tabaah Ghum Ye Hai Ruswa Unki Zaat Ho Gai . "Purnum" Aa Gaye Wo Mere Ghar Mut,ma'in Hayat Ho Gai,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Purnum Allabadi Book Phool Daikhay Na Gaye . Page 131 " 132