Posts

Showing posts from June 22, 2015

Yahi Teri Kaboliyat Ki Bina Hai

Yahi Teri Kaboliyat Ki Bina Hai Tu Dushman Hai Lekin Bara Dilruba Hai . Muhbat Boht Hi Galat Shay Hai Mana Magar Dosri Kon Si Kuch Baja Hai . Kisi Ki Jo Karta Nahi Aaib Joi Wo Insaan Intihai Parsaa Hai . Duaain Bhi Waqf Bani Hai Kisi Ki Tu Meri Koi Khobsorat Dua Hai . Gareebo Ko Milna Buri Shay Nahi Par Tumhari Khushi Hai Tumhari Raza Hai . Wo Kis Darja Khush Hai Ye Maloom Kr K "Adam" Kitna Nadaan Or Sar Phira Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Jahan Hum Faqeero K Dairay Rahain Gay

Jahan Hum Faqeero K Dairay Rahain Gay Wahan Meh Jabeeno K Phairay Rahain Gay . Jo Raatain Katain Gi Tere Saath Unki, Bare Khobsorat Sawairay Rahain Gay . Tu Takleef Day Ga Main Khidmat Karonga, Yahi Mashgale Tere Mere Rahain Gay . Ye Barsaat Ki Aarzi Rut Nahi Hai, Wo Gaisu Hamaisha Ghairay Rahain Gay . To Hasil Hamain Ho Na Ho Aay Pari Wash, Magr Hum Talabgaar Tere Rahain Gay . "Adam" Mera Batin Bhi Mithra Kaahin Hai Yahaan Goopiyon K Basairay Rahain Gay....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Lutf Ho Ya Itaab Ho Jaye

Lutf Ho Ya Itaab Ho Jaye Koi Kaar E Sawaab Ho Jaye . Roz E Mehshr Bhi Hum Tarastay Rahe K Hamara Hisaab Ho Jaye . Jis Ko Saqi Ki Ungliyan Chu Lain Wo Piyala Rubaab Ho Jaye . Haath Phaila K Daikh Lon Shayad Tera Anchal Jawab Ho Jaye . Harj Kya Hai Jo Aik Manoher Say Jurm Ka Irtikaab Ho Jaye . Mera Dil Us K Sar Par Saj K "Adam" Chand Kya Aftaab Ho Jaye....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Kon Kis Ki Madad Ko Aata Hai

Kon Kis Ki Madad Ko Aata Hai Waqt Hai Khud Hi Beet Jata Hai . Teri Tafreeh Ko Nazar Na Lage Q Faqeeron Ka Dil Dukhata Hai . Kya Koi Rokta Nahi Us Ko Kon Ye Mortain Banata Hai . Shab Labeeda Hai Alam E Hasti Koi Aata Hai Koi Jata Hai . Ye Tumhain Kis Nay Wahem Dala Tha Rehnuma Rah Bhi Dikhata Hai . Us Jaga Tak Na Sath Ly Jana Jis Jaga Saath Choott Jata Hai . Teri Nazrain Chorti Hi Nahi Daikhta Hai Tu Ya Bulata Hai . Jurm Ho Jaye Ga Koi Mujh Say Q Mera Hosla Barhata Hai . Yun Bikharti Hai Kakalain Uski Jaise Silaab E Noor Aata Hai . Na-Khuda To "Adam" Wohi Hai Jo Naao K Saath Doob Jata Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Bister Teri Gali Sy Uthaya Na Ja Sake

Bister Teri Gali Sy Uthaya Na Ja Sake . Ye Zulf Apni Jaan Py Dhaya Na Ja Sake . Isko Shab E Firaaq Kahon K Shab E Wisal . Wo So Gaya Mujh Sy Jaga Na Ja Sake . Darta Hai Meri Wehshat E Dil Say Is Tarha . Chahay Bhi Gar To Pyar Karaya Na Ja Sake . Mozon Jaga Py Lafz Wohi Hai Jar'ra Howa . Joota Abd Wahan Sy Uthaya Na Ja Sake . Hai Infaradiyat Yahi Insan Ki "Adam" . Husn Uski Shakhsiyat Ka Churaya Na Ja Sake....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Mujhko Kis Shay Ki Talab Hai Mujhko Kya Darkaar Hai

Mujhko Kis Shay Ki Talab Hai Mujhko Kya Darkaar Hai . Is Zamin Main Kuch Tera Bhi Faisla Darkaar Hai . Ye Dawa To Tere Honthon K Shafa Khanay Main Hai . Mar Raha Hon Dard E Hasti Ki Dawa Darkaar Hai . Ye Zarorat Itni Na Jaiz Zarorat To Nahi . Aik Humdum Aik Sajan Aik Dilruba Darkaar Hai . 2sron Pr Hi Na Kr Dijiay Tawajja Khatam Sab . Banda Parwar Mujhko Bhi Aik Dilruba Darkaar Hai . Aay Pari Wash Main Wafa Or Sidq Ka Bhoka Nahi . Mujhko Aik Khobsorat Bewafa Darkaar Hai . Jo Ghareebon Sy Bhi Humdardi Ka Karta Hai Salook . Mujh Ko Us Bhagwan K Ghr Ka Pata Darkaar Hai . Khizar Ko Ly Aao Mere Pas Gr Us Shakhs Ko . Waqay'ee Chakhny Ko Kuch Aab E Baqa Darkaar Hai . Qeemti Kaleen Dikhatay Hai Mujhe Tajir "Adam" . Or Mujhe Qeemat Baghair Aik Borya Darkaar Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Sitaron K Agay Jo Abadiyaan Hai

Sitaron K Agay Jo Abadiyaan Hai . Teri Zulf Ki Gumshuda Wadiyaan Hai . Zamana Bhi Kya Ronqon Ki Jaga Hai . Kahin Rona Dhona Kahin Shadiyan Hai . Teri Kakalain Hi Nahi Sabz Paryaan . Meri Arzo Main Bhi Shehzadiyaan Hai . Bari Shay Hai Wabastagi 2 Dilon Ki . Ye Pabandiyaan Hi To Azaadiyan Hai . Jahan Qadr Hai Kuch Na Kuch Admi Ki . Wo Kya Qabil E Qadr Abadiyan Hai . Ghareebon Sy Kya Kaam Asaishon Ka . Wo Onchay Gharaano Ki Shehzadiyaan Hai . "Adam" Sorton Ki Chamak Par Na Jana . Ye Sab Ankh Ki Fitna Ijadiyaan Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Jawaan Bijliyan Pochnay Aaiyaan Hai

Jawaan Bijliyan Pochnay Aaiyaan Hai . Inhain Baliyaan Kis Ny Pehnaiyaan Hai . Ghani Kakalain Hai K Sawan Ka Mosam . Kasheeda Bhanwain Hai K Shehnaiyan Hai . Mubbt Ki Imlaak Kya Or Hogi . Jawani Ki Jageer Ruswaiyaan Hai . Wahan Kya Koi Cheez Sasti Mile Gi . Jahan Tohmaton Ki Bhi Mehgaiyaan Hai . . Koi Asleeyat Bhi Hai Dair O Harum Ki . Kah Khali Kayasat Adaiyaan Hai . Kis Aflaas Sy Zindagi Kat Rahi Hai . Na Bad Namiyan Hai Na Ruswaiyaan Hai . Agar Ap Beemar Ko Hosla Dain . Tawanaiyan Hi Tawanaiyaan Hai . "Adam" Uski Charhti Jawani Hai Raqsaan . Qayamat K Mosam Ki Parchaiyan Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Tere Fayoz Ka Koi Shumar Hai Saqi

Tere Fayoz Ka Koi Shumar Hai Saqi Jidhar Nigah Uthao Bahaar Hai Saqi Baichariyon K Gale Or Kalai Main Grcha Na Koi Gajra Hai Saqi Na Haar Hai Saqi Magr Gareeb O Tahi Dast Nazneno Pr Waqar E Sharam O Sharafat Nisar Hai Saqi Teri Surahi Main Hota Jo Gulaab Ka Ras Zahanaton Ka Haqeqi Nikhaar Hai Saqi Haseen Sakht Tere Nakhon E Tadbar Ki Kaleed E Daftar O Nigar Hai Saqi Utaar Daiti Hai Hr Zang Deeda O Dil Sy Sharab Hosh O Khurd Ka Singhar Hai Saqi Khurd Ka Halqa E Qudrat Boht Wasee Nahi Janon K Pas Bara Iqtadar Hai Saqi Main Pehla Jaam Uthaoga Apni Mrzi Sy Phr Us K Bad Tujhe Ikhtiyar Hai Saqi Wo Aisi Kon Si Shay Hai Jo Usk Pas Nahi Khuda To Nagr O Sarmaya Daar Hai Saqi Mujhe Tajassus O Tahkeeq Ki Hai Adat Mujhe Khuda Pr Yunhi Aitbar Hai Saqi Agr Mata E Faqeeri Bhi Aik Dolat Hai To Phr "Adam" Bara Jageer Dar Hai Saqi...*SA* . Type By .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad - Poet:- Abdul Hameed Adam

Abhi Ghajar Na Bajao K Raat Baqi Hai

Abhi Ghajar Na Bajao K Raat Baqi Hai . Kuch Or Deep Jalao K Raat Baqi Hai . Dar'ra K Jhotay Sawairy Sy Is Fidai Ko . Na Apni Jaan Chorao K Raat Baqi Hai . Tamam Raat Bahem Katnay Ka Bandhan Hai . Hazor Bhol Na Jao K Raat Baqi Hai . Taloo E Hashr K Hum Munharif Nahi Lekin . Abhi Hamain Na Jao K Raat Baqi Hai . Khuda K Waste Mehshar Main Khol To Zulfain . Mujhe Yaqeen Dilao K Raat Baqi Hai . Abhi Azaan Nai Di Kisi Moo'zin Nay . Abhi Badan Na Churao K Raat Baqi Hai . Zara Si Raat Main Pal Pal Na Kohniyan Jhatkar . Ghar Ghari Na Satao K Raat Baqi Hai . Abhi To Rah Main Jin'naat Ka Amal Hoga . Abhi Nikal K Na Jao K Raat Baqi Hai . Har Aik Chez Ka Hota Hai Apna Apna Mahol . Saher Ko Aag Lagao K Raat Baqi Hai . Bujhi Kahaan Hai Abhi Dil Baron Ki Piyaas "Adam" . Inhain Kuch Or Pilao K Raat Baqi Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book

Tera Or Mera Go Juda Jo Saaz Hai

Tera Or Mera Go Juda Jo Saaz Hai Boht Miltg Julti Si Awaz Hai . Wo Jugnu Hai Soraj Sy Barh Kar Gani Jo Bhatky Musafir Ka Dumsaaz Hai . Teri Dushmani Ka Main Main Shaki Nahi Haseen Zulm Bhi Aik Ijaz Hai . Ye Kaisi Kahani Hai Qissa Sar'ra Na Anjaan Hai Or Na Agaaz Hai . Koi Shay Boht Khobsort Nahi Jo Kuch Bhi Hai Takny Ka Andaaz Hai . Abhi Kaihet E Anwaar Ka Kya Sawaal Abhi To Dar E Maikada Baaz Hai . To Waar O Risan Hi Sy Ghabra Gaya Yahan Sy To Raste Ka Aghaaz Hai . Dikha Doundh Kr Apne Jaisa Koi Mujhe Apni Binai Par Naaz Hai . Muhbt Wo Tofaan Hai Aay Adam Na Sorat Hai Jiski Na Awaz Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Ye Aik Do Din Jo Nadani K Din Hai

Ye Aik Do Din Jo Nadani K Din Hai Yahi Khushyon Ki Tagyani K Din Hai . Jawani, Husn, Masti, Rang, Ronaq Pari Zadon Ki Sultani K Din Hai . Abhi Apni Hifazat Kya Karon Main Abhi Teri Nigaihbani K Din Hai . Dil O Jaan Chahain To Hukam Kijiay Ye Din Cheezon Ki Arzaani K Din Hai . "Adam" Shams O Qamr Ko Kon Pochay Siyah Zulfon Ki Tabani K Din Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Husn Kitna Giraan Sama'at Hai

Husn Kitna Giraan Sama'at Hai Ishq Aik Unsuni Hiqayat Hai . Dosti Mat Barhaiye Lekin Aane Jane Main Kya Kabahat Hai . Humko Bhi Poch Lo Kabhi Itna Kya Tumhain Bhi Koi Zarorat Hai . Waar Dun Jaan Teri Kisi Shay Par Aay Pari Zaad Kya Ijazat Hai . Rooh Is Sy Agr Ho Haleeda Jurm Krna Bhi Aik Ibadat Hai . Choom Laina Haseen Cheezon Ko Ye To Meri Purani Adat Hai . Garcha Mazhat Hai Bay Hisaab "Adam" Deen E Insaniyat Sharafat Hai....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Loot Laina Bhi Agr Reet Hai Maikhano Ki

Loot Laina Bhi Agr Reet Hai Maikhano Ki . Ba Khuda Mujh Ko Zarorat Nahi Paimano Ki . Lot'ty Rahna Bare Pyr Sy Nadano Ko . Asal Taref Yahi Hoti Hai Farzano Ki . Aik Dojy Ko Nahi Janta Jis Ja Koi . Bastiyan Kitni Mobark Hai Wo Insano Ki . Ap Farmain Gy Jo Hukam Wo Ho Jaye Ga . Apni Mrzi Nahi Hoti Koi Dewano Ki . Shaikh Dunya Pujari Bhi Hai Or Deen Ka Bhi . Ye Nai Khaip Koi Hogi Musalmano Ki . Dhondhny Niklo To Milta Nahi Insan Koi . Yun Ki Afraat Hi Afraat Hai Insano Ki . Na Khuda Aqal Ka Dushman Hai To Phr Kya Khadsha . Kashtiyaan Waise Bhi Khorak Hai Tofano Ki . Koi Chahe Bhi To Lutny Sy Nahi Bach Sakta . Itni Buhtat Hai Dunya Main Nigahbano Ki . Chand Soraj K Nasebo Main Kahan Wo Jagmag . Baliyan Jitni Darkhishan Hai Tere Kaano Ki . Bagh E Jannat Ka Muhafiz Ki "Adam" Ki Izzat . Dhaak Hoti Hai Pari Zadoon K Darbano Ki..*SA* . Type By .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad . Poet Abdul Hameed Adam Book

Sitaron Main Gum Ho Gaya Hoga Sitara Nigaron Main Kho Gai Hai Jawani

Sitaron Main Gum Ho Gaya Hoga Sitara Nigaron Main Kho Gai Hai Jawani . Chamakti Chamakti Dhamakti Dhamakti Baharon Main Kho Gai Hai Jawani . Jawani K Khonay Ka Ye Baankpan Bhi Hamain Ta Qayamat Na Bholay Ga Saqi . Haqaiq K Kanton Say Daman Bacha Kar Isharo Main Kho Gai Hai Jawani . Kisi Waqt Ki Koi Manoos Ahat Sama'at K Zano Py Soi Hoi Thi . Jagatay Jagatay Isay Dour Kr K Absharo Main Kho Gai Hai Jawani . Sharabon Main Dobi Nigahon K Andaz Usko Boht Khobsorat Lage Thay . Isi Waste To Gulabi Gulabi Khumaro Main Kho Gai Hai Jawani . Umangon K Rangeen Marqad To Thay Aay "Adam" Us Pari Ki Khushi Ka Asasa . Gai Thi Charhanay Wahan Phool Lekin Mazaron Main Kho Gai Hai Jawani....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara E Dard

Mere Us Khobsorat Bewafa Ko Dhondh Kr Lao

Mere Us Khobsorat Bewafa Ko Dhondh Kr Lao . Marz Ko Kantay Wali Dawa Ko Dhondh Kr Lao . Khatot Us K Badan K Intiha Hai Ilm E Batin Ki . Kahin Sy Meri Rohani Giza Ko Dhondh Kr Lao . Johr Aab O Hawa Main Taza O Shadab Rehta Hai . Kahin Sy Is Dil E By Mud'da Ko Dhondh Kr Lao . Main Un Dino Sy Na Waqif Hon Apni Khush Naseebi Sy . Bashar Ko Ghair Kr Lao Khuda Ko Dhondh Kr Lao . Khurd Ki Dour Andaishi To Kanton Ka Bichona Hai . Kahin Sy Sadgi Ki Intiha Ko Dhondh Kr Lao . Kali Mayos Goncha Badguman Shabnum Sara Sema . Khud K Waste Bad E Saba Ko Dhondh Kr Lao . Kisi Na'ahil Ko Awaz Q Srkar Ny Di Thi . Mere Sath Aao Or Apni Sada Ko Dhondh Kr Lao . Khizar Aab E Baqa To Dour Ka Jhanjhat Hai Tum Pahle . Kisi Choty Sy Dukh Ki Dawa KoDhondh Kr Lao . "Adam" Tumko Kaha Tha Na Khuda Sy Soch Kr Larna . Nahi Socha To Ab Jao Khuda Ko Dhondh Kr Lao...*SA* - Type By..-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad.-* - Poet

Sab Jhot Tha Jo Chashm E Haiwaan K Pas Tha

Sab Jhot Tha Jo Chashm E Haiwaan K Pas Tha Aab E Baqa Faqt Lab E Jaan K Pas Tha Jeete Rahe Hum Ap Say Milne Ki Aas Pas Kya Husn Aik Jhotay Say Paimaan K Pas Tha Mazloom Panchiyon Ki Tawazo K Waste Aik Dil Fareef Baagh Bhi Zindaan K Pas Tha Aik Din To Admi Ko Wo Daita Khuli Majaal Par Itna Hosla Kahaan Yazdaan K Pas Tha Phr Bhi Adab Ki Had Say Main Agay Na Barh Saka Go Mera Hath Us K Garaiban K Pas Tha Kya Bay Nazeer Cheez Hoi Kis Jaga Naseeb Dil Ka Qarar Zulf E Parishaan K Pas Tha Tehzeeb E Kainat Ka Ilzam Kis Ko Dain Dunya Ka Intizam To Insan K Pas Tha Dunya K Sari Hashmat O Dolat K Bawajod Tha Aik Khuda Ka Naam Jo Insan K Pas Tha Huk'kam Ny Wahan Sy Bhi Mujhko Utha Diya Baitha Howa Main Yar K Darbaan K Pas Tha Ab Bhi Gila Kare Mera Mehman To Kya Kahon Mera Tamam Ghr Mere Mehman K Pas Tha Jo Phol Tha Wo Meri Pohnch Main Na Tha Adam Jo Khaar Tha Wo Meri Rag E Jaan K Pas Tha...'*SA*' . Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz