Posts

Showing posts with the label Poet Nazeer Banarasi

Ye Karein Ya Wo Karein Aisa Karein Waisa Karein.

Ye Karein Ya Wo TaYpEd By  TLASH25 Ye Karein Ya Wo Karein Aisa Karein Waisa Karein. = Zindagi Do Din Ki Hai Do Din Mein Ham Kiya Kiya Karein. = Gee Mein Aata Hai Ki Dein Parde Se Parde Ka Jawab. = Ham Se Wo Parda Karein Dunia Se Ham Parda Karein. = Sun Raha Hon Kuch Lutere Aa Gaye Hain Shehar Mein. = Ap Jaldi Band Apne Ghar Ka Darawaza Karein. = Is Purani Bewafa Dunia Ka Rona Kab Talak. = Aaiye Mil Jhul K Ek Dunia Nayi Peda Karein...! = Poet By Nazeer Banarasi = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kabhi Khamosh Betho Gi Kabhi Kuch Gun Gunao Gi.

Kabhi Khamosh TaYpEd By  TLASH25 Kabhi Khamosh Betho Gi Kabhi Kuch Gun Gunao Gi. = Mein Utna Yad Aaon Ga Mujhe Jitna Bhulao Gi. = Koi Jab Pooch Bethe Ga Khamoshi Ka Sabab Tum Se. = Buhat Samajhana Chaho Gi Magar Samajha Na Pao Gi. = Kabhi Dunia Mukamal Ban K Aayen Gi Nigahon Mein. = Kabhi Meri Kabhi Dunia Ki Har Ek Rain Bitao Gi. = Kahin Par Bhi Rahein Ham To Muhbat Phir Muhbat Hai. = Tumhein Ham Yad Aayein Ge Hamein Tum Yad Aao Gi...! = Poet By Nazeer Banarasi = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Koi La Sako To Lao Mera Wo Haseen Zamana.

Koi La Sako To TaYpEd By  TLASH25 Koi La Sako To Lao Mera Wo Haseen Zamana. = Jise Mein Ne Kuch Na Samajha Jise Mein Ne Kuch Na Jana. = Mujhe Ghum Nahin Hai Is Ka Ki Badal Gaya Zamana. = Meri Zindagi K Maalik Kahin Tum Badal Na Jana. = Mere Pas Waqt Thora Mere Waqiyat Lambe. = Kahan Sar Guzasht Apni Na Suno Mera Fasana. = Mujhe Yad Aj Bhi Hai Jo Karam Huwa Hai Mujh Pe. = Mujhe Ghum Abhi Hai Taaza Mere Samne Na Aana. = Ye Andheri Rat Mein Tum Kahan Ja Rahe Ho Tanha. = Na Tumhari Raah Roke Kahin Be Aadab Zamana. = Jahan Thehre Qalb E Muztar Wo Nazeer. = Meri Manzil Jahan Ruk K Saans Le Lon Wahin Ab Mera Thikana...! = Poet By Nazeer Banarasi = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ye Inaayatein Gazab Ki Ye Bala Ki Meharbani.

Ye Inaayatein TaYpEd By  TLASH25 Ye Inaayatein Gazab Ki Ye Bala Ki Meharbani. = Meri Kheriyat Bhi Poochi Kisi Aur Ki Zubani. = Mera Gham Rula Chuka Hai Tujhe Bikhari Zulf Wale. = Ye Ghata Bata Rahi Hai Ki Baras Chuka Hai Paani. = Tera Hussn So Raha Tha Meri Chhed Ne Jagaya. = Wo Nigaah Mein Ne Daali Ki Sanwar Gayi Jawani. = Meri Be Zuban Ankhon Se Gire Hain Chand Qatre. = Wo Samajh Sake To Ansu Na Samajh Sake To Paani...! = Poet By Nazeer Banarasi = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001