Sar E Mahsher Butoon Ki Ye Shararat Khud Numa Ho Kar
Sar E Mahsher . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Sar E Mahsher Butoon Ki Ye Shararat Khud Numa Ho Kar, Chale Sachay Khuda K Samne Jhotay Khuda Ho Kar . Ghazab Hai Aik Zara C Baat Par Hum Say Khafa Ho Kar Nigahain Phair Kar Tum Ja Rahe Ho Dilruba Ho Kar . Nasheeli Ankh Par Us Nay Ye Zulfon Ka Bakhaira Hai K Maikhane Pay Badal Chaa Gaye Kaali Ghaata Ho Kar . Chale Aaye Jo Kal Bada Kasho Main Ewaz Farmanay, Janab Shaikh Maikhane Say Nikle Parsaa Ho Kar . Khata Walo Pay Ilzam E Khata Tak Bhi Nahi Or Hum Sazaon Par Sazain Pa Rahe Hai Bay Khata Ho Kar . Gul E Rukhsar E Rangeen Ki Hai Khushbo Aaj, Gulshan Main Zaror Unki Gali Say Aai Hai Baad E Saba Ho Kar . Kahin Phr Raste Main Lutt Na Jaye Karwaan Apna Ilaahi Phr Hamain Rahzun Mile Hai Rahnuma Ho Kar . Sar E Mehfil Na Pocha Jab Haal Us Nay To Aay "Purnum" Mere Ankhon Main Anso Aye Meri Iltija Ho Kar,,,-*,,SA,,* . Poet Purnum Allabad