Posts

Showing posts from December 1, 2014

Bhagwan Ek Qasoor Ki Itni Bari Saza.

Bhagwan Ek TaYpEd By   TLASH25 Bhagwan Ek Qasoor Ki Itni Bari Saza. = Dunya Teri Yahi Hai To Dunya Se Mein Chala. = Bhagwan Ek Qasoor. = Duniya K Zalimo Ne chalayein Wo Aandhiyan. = Sare Chiraag Bujh Gaye Mein Dekhta Raha. = Dunya Teri Yahi Hai. = Mein Ye Samajh Raha Tha Mere Daag Dhul Gaye. = Ho Ga Kuch Aur Khoone Jigar Ye Pata Na Tha. = Dunya Teri Yahi Hai. = Mujh Sa Bad Naseeb Na Ho Ga Jahan Mein. = Jo Bhi Mila Usi Ne Gunahgar Hi Kaha. = Dunya Teri Yahi Hai...! = Poet By Shakeel Badyuni. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Bhanwira Ba Nadan Hai Bagiya Ka Mehmaan Hai.

Bhanwir Ba TaYpEd By   TLASH25 Bhanwira Ba Nadan Hai Bagiya Ka Mehmaan Hai. = Phir Bhi Jane Na Jane Na Jane Na. = Kaliya Ki Muskan Hai Kabhi Urr Jaayein Kabhi Mandlaaye. = Bhed Jiya K Khole Na Samane Aaye Naina Milaaye. = Mukh Dekhe Kuch Bole Na. = Akhiyon Mein Rach Ke Chale Bach Bach Ke. = Jaise Ho Koi Begaana. = Rahe Sang Dil Ke Mile Nahin Mil Ke. = Ban Ke Rahe Wo Anjana. = Koyi Jab Roke Koi Jab Toke. = Gungun Karta Bhaage Re. = Na Kuch Pooche Na kuch Booje. = Kaisa Anari Laage Re...! = Poet By Shakeel Badyuni. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Yad Aayi Teri Aj Barso K Bad

Yad Aayi Teri Aj TaYpEd By  TLASH25 Yad Aayi Teri Aj Barso K Bad Chalak Pare Ansu Aj Barso K Bad. = Tere Ansuo Se Bhega Huwa Wo Akhari Khat Parh K Ro Dya Aj Barson K Bad. = Bazahir Jo Shakhs Pathar Nazar Aya Karta Tha. = Kanch Ki Manind Bikhar Gaya Aj Barso K Bad. = Bichare Huwe Yaro Ne Uthai Ungli Mujh Par Ruswa Huwa Mahfil Me Aj Barso K Bad. = Ay Khuda Is Waqt Ko Thora Sa Qaleel Kar De Mere Pas Wo Betha Aj Barson K Bad. = Meri Halat Dekh Kar Asman B Ro Para Badal Tot Kar Barsa Aj Barso K Bad. = Wo Jo Kahti Thi Hazaro Milte Hain Roz Tere Jaise. = Us K Hathon Par Mahndi Lagi Aj Barso K Bad. = Tote Huwe Khilone Jab Dekhe To Yad Aa Gaya Wo Bachpan Aj Barso K Bad. = Dekha Jab Kisi K Chahre Par Haya Ka Parda. = Yad Ya Gayi Teri Sorat Aj Barso K Bad. = Laila O Majnu Heer O Ranjha Nakam Rahi In ki Qismat. = Hussnain Likhi Jaye Gi Teri Dastan Aj Barso K Bad...! = Poet. Mirza Hussnain Azam

Yad Hai Mujh Ko Wo Wisal K Din

Yad Hai Mujh Ko TaYpEd By  TLASH25 Yad Hai Mujh Ko Wo Wisal K Din Jab Kaha Tha Tum Ne. = Tum Mujh Ko Jo Itna Satate Ho. = Meri Aankhein Naam Dekh Kar Khosh Hote Ho. = Dekhna Mein Bhi Tumhein Sataon Gi. = Tumhari Ankhon Mein Ansu Laon Gi. = Ek Din Tum Ko Chor Jaon Gi. = Such Kaha Tha Tum Ne Chhor Diya...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Patharon Ki Tabeeyaton Mein Khud Ko Parakhne Wale.

Patharon Ki TaYpEd By   TLASH25 Patharon Ki Tabeeyaton Mein Khud Ko Parakhne Wale. = Patharon K Shahar Mein Dil Laga K Kiya Karna. = Nikal Aaye Baton Baton Mein Agar Mera Tazkira. = Khatayen Chupa Kar Meri Sifat Biyaan Karna. = Tujhe Chahne Walon Ki Jo Fehrisit Likhne Betho. = To Halka Sa Naam Hamara Bhi Shumaar Karna. = Jane Se Pahle Bus Yahi Bat Yad Rakhna. = Jab Bhi Dil Lagao To Muhbat Lazawaal Karna. = Tham Lo Kisi Aur Ka Hath Bhi Lekin Zindigani Apni Bus Hamare Hi Naam Karna. = Hussnain Chahe Chheen Lein Log Tum Se Tumhara Piyar. = Bus Khuda Ki Zat Par Hi Bharosa Karna...! = Poet By Mirza Hussnain Raza. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Chalo K Phir Se Zindagi Aabad Kare.

Chalo K Phir Se TaYpEd By  TLASH25 Chalo K Phir Se Zindagi Aabad Kare. = Ujre Huwe Gulshan Ko Phir Se Aabad Kare. = Tarikhiyan Jo Nazar Aati Hain Har 4 Char So. = Mita K Inhein Phir Zindagi Aabad Kare. = Dihshat Ki Dori Se Jo Bandh Diya Hum Ko. = Tor Kar Usi Ko Naya Jeewan Aabad Kare. = Tail Laga Kar Jis Ko Jalaya Hai Aghiyar Ne. = Aao K Usi Ko Bujha Kar Mulk Aabad Kare. = Zakhmon Se Chor Insaniyat Ko Jalaya Hum Ne. = Ban K Marham Inhi Ka Dais Aabad Kare. = Hussnain Jo Chupa Rakhi Thi Tu Ne Muhbat Lahu Mein. = Nichawar Kar K Apnon Par Naya Pakistan Aabad Kare...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mujhe Milne Aayi Wo Aakhari Bar.

Mujh Milne Aayi TaYpEd By   TLASH25 Mujhe Milne Aayi Wo Aakhari Bar. = Ashkon Ki Barish Huwi Aakhari Bar. = Us Din Bhi Aayi Wo Bari Dair Se. = Mein Ne Kiya Us Ka Intizar Aakhari Bar. = Pagalon Ki Tarah Wo Dekhti Rahi Idhar Udhar. = Anaa Ki Hadein To Tori Thi Aakhari Bar. = Dar Dar K Apne Ansuon Se Hussnain. = Kitaab E Maazi Ko Khola Aj Aakhari Bar...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Teri Yadon K Sahare Ek Aur Saal Beet Gaya

TaYpEd By  TLASH25 Teri Yadon K Sahare Ek Aur Saal Beet Gaya Teri Nafraton K Sahare Ek Aur Saal Beet Gaya. = Wo Din Jab Pas Huwa Karte The Hum Kabi Unhi Dino Ko Soch Kar Hi Ek Aur Saal Beet Gaya. = Suni Thi Tune Jo Kabi Gairo Ki Batein Wo Sach Thi Ya Jhoot Isi Kashmakash Me Hi Ek Aur Saal Beet Gaya. = Kiya Kiya Us Baras Tujh Se Muhbat K Siwa Is Bebasi Ko Sochte Hi Ek Aur Saal Beet Gaya. = Tere Dil Me Kiya Mukam Tha Mera Wahi Oqat Sochte Hi Ek Aur Saal Beet Gaya. = Para Hai Jo Meri Kitab Me Wo Akhari Khat Unhi Alfaz Ko Parhte Hi Ek Aur Saal Beet Gaya. = Jo Karti Thi Mujh Se Muhbat Ya Majbor Thi Ana K Hathon Inhi Majboryon Ko Sochte Hi Ek Aur Saal Beet Gaya. = Huwi Thi Akhari Mulaqat College K Per K Neche Usi Mutabar Peer K Neche Hi Ek Aur Saal Beet Gaya. = Is Saal Buhat Zakham Khaye Hain Dosto Se Inhi Zakhmo Ko Dekhte Hi Ek Aur Saal Beet Gaya...! = Poet. Mirza Hussnain Azam

Yad Hai Tum Ko Wo Campus Ka Pair

Yad Hai Tum Ko TaYpEd By   TLASH25 Yad Hai Tum Ko Wo Campus Ka Pair. = Saaye Mein Jis K Betha Karte The. = Aur Tum Balon Mein Hath Phairte Pocha Karti Thi. = Kiya Tum Mera Sath Umar Bhar Nibhao Ge. = Kiya Tanhaiyon K Sahra Mein Chor To Nahin Jao Ge. = Kiya Mere Liye Zamane Se Takra Jao Ge. = Aur Phir Wahi Huwa Na. = Takra Gaye Na. = Zamane Se Nahin. = Magar Tum Se Haan. = Magar Tum Se...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ab Bhula Do Mujh Ko Kisi Kamzor Lamhe Ki Tarah.

Ab Bhula Do Mujh TaYpEd By   TLASH25 Ab Bhula Do Mujh Ko Kisi Kamzor Lamhe Ki Tarah. = Kisi Beete Huwe Sawan Ki Tarah. = Kisi Kayi Huwi Achai Ki Tarah. = Kisi Guzre Huwe Sawan Ki Tarah. = Kisi Bachpan Mein Suni Huwi Kahani Ki Tarah. = Kisi La Jawab Karte Huwe Sawal Ki Tarah. = Kisi Gungunaye Huwe Geet Ki Tarah. = Kisi Gire Huwe Ansu Ki Tarah. = Ab Bhula Do Mujh Ko Bhula Do...! = Poet By Mirza Hussnain Mirza. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Us Ki Majbori Ka Mujh Ko Ihsas Buhat Hai.

TaYpEd By  TLASH25 Us Ki Majbori Ka Mujh Ko Ihsas Buhat Hai. = Judai Ki Aziyat Me Bi Lutaf Buhat Hai. = Koshish Buhat Ki K Mita Sakon Un Ko Tere Mere Bech Phir Bi Fasala Buhat Hai. = Zarori Nahi Hai Kisi Talwar Se Zer Karne Ki Mere Dushman Ki Haar K Liye Meri Jeet Hi Buhat Hai. = Chor Dia Hath Us Ka Bus Yahi Kah Kar Teri Har Khushi Mujh Ko Anmol Buhat Hai. = Na Samajh Yon K Kahi Mur Jayen Ge Tere Bin Tere Intizar K Liye Meri Sans Buhat Hai. = Hath Nahi Phelta Ab Kahin Bi Ja k Nawazine K Liye Ek Hi Zat Buhat Hai. = Karta Hon Bus Me Hi Tujh Ko Muhbat To Bi Mujh Ko Chahe Ye Hasrat Buhat Hai. = Zarori Nahi Hai Kisi Ko Noha Sunane Ki Ansu Girane K Liye Meri Dastan Hi Buhat Hai. = Chor De Ab Har Kisi Ka Hath Thamina Tujhe Chahne K Liye Hussnain Buhat Hai. = Yaqeen Aa Gaya Hai Hussnain Ab Hum Ko Bi. = Muhbat K Raste Par Chalna Dushwar Buhat Hai...! = Poet. Mirza Hussnain Mirza

Meri Ankhon Mein Najane Kiya Parh Raha Tha.

Meri Ankhon TaYpEd By  TLASH25 Meri Ankhon Mein Najane Kiya Parh Raha Tha. = Shayad Us Mein Apna Naam Parh Raha Tha. = Ye Dekh Kar Us Ka Wajood Bhi Kanp Utha. = Mujh Pe Beeti Huwi Jab Dastan Parh Raha Tha. = Judai Ki Aafat Bhi Usi Waqt Hi Aayi Thi. = Jab Wo Mere Hath Ki Lakeerein Parh Raha Tha. = Pal Bhar K Liye Bhi Kiya Use Meri Yad Na Aayi. = Us Shajar Par Likha Jab Apna Naam Parh Raha Tha. = Shayad Yaqeen Aa Hi Gaya Tha Mere Piyar Par Usey. = Jab Lahu Se Likha Mera Khat Parh Raha Tha. = Hussnain Mehsos Ho Rahi Thi Usey Apni Zat Bhi. = Mere Seene Ki Jab Wo Dharkan Parh Raha Tha...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Zamane Wale Kabhi Bhi Apne Nahin Hote.

Zamane Wale TaYpEd By   TLASH25 Zamane Wale Kabhi Bhi Apne Nahin Hote. = Harjayi Chahre Wafa Ka Pekar Nahin Hote. = Jin K Pas Hoti Hain Umar Bhar Ki Yadein. = Wo Log Tanhai Mein Bhi Tanha Nahin Hote. = Na Dekh Yon Kisi Gareeb Ko Neech Nazron Se. = Koi Majbori Na Ho To Hath Phaile Nahin Jate. = Waste Dete Hain Ab Khuda K Tujhe. = Aur Hum Se Ab Jabbur Sahne Nahin Hote. = Shayad Aaj Mein Tere Naseeb Mein Hota. = Agar Tum Mere Ansuon Par Hanse Nahin Hote. = Bhool Jate Hain Jo Apni Muhbat Ko. = Ankhon Mein Un K Ansu Nahin Hote. = Phot'ta Hai Jin K Andar Chashma Muhbat Ka. = Daman Un K Kabhi Mele Nahin Hote. = Hussnain Chahte Hain Jo Kisi Ko Sache Dil Se. = Ek Din K Wo Muhtaaj Nahin Hote...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mere Mil Me Chupe Huwe Raz Mangti Hai Wo

TaYpEd By  TLASH25 Mere Mil Me Chupe Huwe Raz Mangti Hai Wo = Pagli Mujh Se Meri Jan Mangti Hai = Rakhti Hai Hasas Apni Simat Ko Wo Samandar Ki Lehron Se Khamoshi Mangti Hai = Ajab Faryad Karti Hai Wo Khuda Se Hath Utha Kar Meri Mot Ki Dua Mangti Hai = Karti Hai Koshishe K Mil Jaye Use Kahi Se Wafa Kitni Nadan Hai Sehra Se Samandar Mangti Hai = Kahti Hai K Ab Mita Do Apni Zindagi Se Mujhe Mujh Se Meri Zat Ka Ikhtiyar Mangti Hai = Koi To Samjha De Yaro Use Ye Hai Pagalpan Rat Ki Andheri Se Jab Subah Ka Ujala Mangti Hai = Hoti Hai Pahle Khud Hi Door Mujh Se = Phir Wo Judai Ka Sabab Bhi Mangti Hai = Mangti Hai Wo Apni Sari Yadein Wapis = Mujh Se Meri Zindagi Ka Asasa Mangti Hai = Rakhti Hai Gire Huwe Paton Ko Shajar Par Khizan K Mosam Me Bhi Khile Gulab Mangti Hai = Koi To Jala De Meri Zindagi Ki Shama Dunya Ab Badnaseebi K Raz Mangti Hai...! = Poet. Mirza Hussnain Azam

Mehsos Hota Hai Dard Dil Ka Yad Karta Hon Jab Tumhein Mil Mein

Mehsos Hota Hai TaYpEd By TLASH25 Mehsos Hota Hai Dard Dil Ka Yad Karta Hon Jab Tumhein Mil Mein. = Karne Gaya Tha Tujh Se Izhar E Muhbat Rah Gayi Dil Ki Batein Mere Dil Mein. = Bhool Na Jo Chaha Har Ek Ka Chahra To. = Bus Gayi Sirf Teri Soorat Kahin Dil Mein. = Chor Diya Hai Mein Ne Ab Har Ek Ko. = Basaya Tha Zamane Ko Kabhi Dil Mein. = Kabhi Zaroorat Pari To Shayad Kaam Hi Aa Jaye. = Tere Thane Sambhal Rakhe Hain Dil Mein = Kabhi Milen Fursatein To Lot Aana Tum. = Jaga Bacha Rakhi Hai Ab Bhi Dil Mein. = Na Poch Ye Sun Kar Takleef Hi Ho Gi. = Tere Ghumon Ko Chupa Rakha Hai Dil Mein. = Jo Suna Hai Kiya Such Suna Hai. = Bus Gaye Ho Tum kisi Gair K Dil Mein. = Hussnain Zamane Ko Kahin Khabar Hi Na Ho Jaye. = Chupaye Rakhte Hain Har Khuwahish Dil Mein...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Humsafar Le Chale Wahan Jahan Tere Siwa Kuch Na Ho.

Humsafar Le TaYpEd By   TLASH25 Humsafar Le Chale Wahan Jahan Tere Siwa Kuch Na Ho. = Jahan Qaid Na Ho Umar Ki Jahan Qeemat Na Ho Jazbon Ki. = Jahan Hawas Na Ho Chahat Ki Jahan Muhtaji Na Ho Lafzon Ki. = Humsafar Le Chale Wahan Jahan Tere Siwa Kuch Ha Ho. = Jahan Koyal Geet Gati Ho Jahan Hawa Raqas Karti Ho. = Jahan Prem Ki Nadiya Bahti Ho Jahan Chaman Khushiyan Manaati Ho. = Humsafar Le Chale Wahan Jahan Tere Siwa Kuch Na Ho. = Tere Lamas Ki Chahat Nahin Tere Jism Ki Bhook Nahin. = Tere Honton Ki Lalach Nahin Tere Joban Ki Piyas Nahin. = Humsafar Le Chale Wahan Jahan Tere Siwa Kuch Na Ho. = Apni Chahaton Ki Roshni De Apni Sochon Ki Timtimahat De. = Apni Sakoot Ka Biyaan De Apni Dharkanon Ka Qarar De...! = Poet By Mirza Hussnain Azam. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Neemcha Yar Ne Jis Waqt Baghal Mein Maara.

Neemcha Yar Ne TaYpEd By  TLASH25 Neemcha Yar Ne Jis Waqt Baghal Mein Maara. = Jo Charha Monh Use Medan E Ajal Mein Maara. = Us Lab O Chashm Se Hai Zindagi O Mot Apni. = Kab Kabhi Pal Mein Jilaya Kabhi Pal Mein Maara. = Ajal Aayi Na Shab E Hijar Mein Or Hum Ko Falak. = Be Ajal Tu Ne Tamana E Ajal Mein Maara. = Ankh Se Ankh Hai Larti Mujhe Dar Hai Dil Ka. = Kahin Ye Jaye Na Is Jang O Jadal Mein Maara. = Na Huwa Par Na Huwa Meer Ka Andaz Naseeb. = Zauq Yaron Ne Buhat Zor Gazal Mein Maara...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Phirta Liye Chaman Mein Hai Deewana Pan Mujhe.

Phirta Liye TaYpEd By  TLASH25 Phirta Liye Chaman Mein Hai Deewana Pan Mujhe. = Zanjeer E Pa Hai Moj E Naseem E Chaman Mujhe. = Hon Shamma Ya Ki Shola Khabar Kuch Nahi Magar. = Fanoos Ho Raha Hai Mera Perahan Mujhe. = Koche Mein Teri Kon Tha Leta Bhala Khabar. = Shab Chandni Ne Aa Ke Pehnaya Kafan Mujhe. = Dikhlata Ek Ada Mein Hai 100 Sao 100 Sao Tarah Banaaw. = Kis Sada Pan K Sath Tera Barak Pan Mujhe. = Aaya Hon Noor Le Ke Mein Bazm E Sukhan Mein Zauq. = Ankhon Pe Sub Bithayein Ge Ihl E Sukhan Mujhe...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Marte Hain Tere Piyar Se Hum Or Ziyada.

Marte Hain Tere TaYpEd By  TLASH25 Marte Hain Tere Piyar Se Hum Or Ziyada. = Tu Lutf Mein Karta Hai Sitam Or Ziyada. = Den Kiyon Ki Na Wo Daag E Alam Or Ziyada. = Qeemat Mein Barhe Dil K Diram Or Ziyada. = Kia Howe Ga Do Chaar Qadah Se Mujhe Saqi. = Mein Lon Ga Tere Sar Ki Qasam Or Ziyada. = Wo Dil Ko Chura Kar Jo Lage Ankh Churane. = Yaron Ka Gaya Un Pe Bharam Or Ziyada. = Kiyon Mein Ne Kaha Tujh Sa Khudai Mein Nahi Or. = Magroor Huwa Ab Wo Sanam Or Ziyada. = Lete Hain Samar Shakh E Samarwar Ko Jhuka Kar. = Jhukte Hain Sakhi Waqt E Karam Or Ziyada. = Jo Kunj E Qana'at Mein Hain Taqdeer Pe Shakir. = Hai Zauq Barabar Unhein Kam Or Ziyada...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kal Gaye They Tum Jise Beemar E Hijran Chor Kar.

Kal Gaye They TaYpEd By  TLASH25 Kal Gaye They Tum Jise Beemar E Hijran Chor Kar. = Chal Basa Wo Aaj Sub Hasti Ka Samaan Chor Kar. = Tifl E Ashk Aisa Gira Daman E Mizshagan Chor Kar. = Phir Na Utha Kocha E Chak E Gireban Chror Kar. = Sard Mehari Se Kisi Ki Aag Se Dil Sard Hai. = Yan Se Hat Ja Dhop Ay Abar E Baharan Chor Kar. = Gar Khuda Deve Qanat Mah E Yak Hafta Ki Tarah. = Dore Sari Ko Kabhi Aadhi Na Insan Chor Kar. = Gar Khuda Dewe Qanaat Maah E Yak Hafta Ki Tarah. = Dore Sari Ko Kabhi Aadhi Na Insan Chor Kar...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Laayi Hayat Aaye Qaza Le Chali Chale.

Laayi Hayat TaYpEd By  TLASH25 Laayi Hayat Aaye Qaza Le Chali Chale. = Na Apni Khushi Aaye Na Apni Khushi Chale. = Behtar To Hai Yahi K Na Dunya Se Dil Lage. = Par Kia Karein Jo Kaam Na Be Dil Lagi Chale. = Ho Umar E Khizar Bhi To Kahein Ge. = Ba Waqt E Marg Hum Kia Rahe Yahan Abhi Aaye Abhi Chale. = Dunya Ne Kis Ka Rah E Fana Mein Dia Hai Sath Tum Bhi Chale Chalo. = Yon Hi Jab Tak Chali Chale. = Nazan Na Ho Khirad Pe Jo Hona Hai Wo Hi Ho. = Danish Teri Na Kuch Meri Danishwari Chale. = Kam Hon Ge Is Bisat Pe Hum Jaise Badqimaar. = Jo Chaal Hum Chale Wo Nihayat Buri Chale. = Ja Ki Hawa E Shoq Mein Hain Is Chamman Se Zauq. = Apni Bala Se Bad E Saba Kahin Chale...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Hai Tere Kan Zulf E Mombar Lagi Huwi

Hai Tere Kan TaYpEd By  TLASH25 Hai Tere Kan Zulf E Mombar Lagi Huwi. = Rakhe Gi Ye Na Bal Barabar Lagi Huwi. = Bethe Bhare Huwe Hain Khum E Mai Ki Tarah Hum. = Par Kia Karein K Muhar Hai Monh Par Lagi Huwi. = Mayat Ko Ghusl Di Jo Na Khaksar Ki. = Hai Tan Pe Khak E Kocha E Dilber Lagi Huwi. = Nikle Hai Kab Kisi Se Bhi Us Ki Mizha Ki Nok. = Hai Phans Si Kaleje K Andar Lagi. = Ay Zauq Daikh Dukhtar E Raz Ko Na Monh Laga. = Chotati Nahi Hai Monh Se Ye Kafir Lagi Huwi...! = Poet By Ibrahim Zauq = Follow Tlash25 Send To 8001

Mein Wo Majnu Hon Jo Niklon Kunj E Zindan Chor Kar.

Mein Wo Majnu TaYpEd By  TLASH25 Mein Wo Majnu Hon Jo Niklon Kunj E Zindan Chor Kar. = Seb E Janat Tak Na Khaon Sang E Tiflan Chor Kar. = Mein Hon Wo Gumnam Jab Daftar Mein Nam Aaya Mera. = Reh Gaya Bas Munshi E Qudrat Jagah Waan Chor Kar. = Ihl E Johar Ko Watan Mein Rehne Deta Gar Falak. = Lal Kiyon Is Rang Se Aata Barakhshan Chor Kar. = Ghar Se Bhi Waqif Nahi Us K Ki Jis K Waste. = Bethe Hain Ghar Baar Sab Hum Khana Weeran Chor Kar. = In Dino Garche Dakan Mein Hai Bari Qadir E Sukhan. = Kon Jaye Zauq Par Dili Ki Galyan Chor Kar...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ihd E Peeri Shabab Ki Batein

Ihd E Pees TaYpEd By  TLASH25 Ihd E Peeri Shabab Ki Batein Aisi Hain Jaise Khuwab Ki Batein. = Us K Ghar Le Chala Mujhe Daikho. = Dil E Khana Kharab Ki Batein. = Sunte Hain Us Ko Cher Cher K Hum Kis Maze Se Atab Ki Batein. = Zikar Kia Josh E Ishq Mein Aaye Zauq. = Hum Se Hon Sabar O Ta'ab Ki Batein...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Jeena Nazar Apna Humein Aisa Nahi Aata

Jeena Nazar TaYpEd By  TLASH25 Jeena Nazar Apna Humein Aisa Nahi Aata. = Gar Aaj Bhi Wo Rashk E Maseeha Nahin Aata Mazkoor Teri Bazm Mein Kis Ka Nahi Aata. = Par Zikar Humara Nahi Aata Nahi Aata. = Aata Hai Dum Ankhon Mein Dum E Hasrat E Deedar. = Par Lab Pe Kabhi Harf E Tamana Nahi Aata. = Beja Hai Gila Us K Na Aane Ki Shikayat. = Kia Kejiye Ga Farmaiye Acha Nahi Aata. = Qismat Se Hi Lachar Hon Ay Zauq Wa Garna. = Sab Fun Mein Hon Mein Taaq Mujhe Kia Nahi Aata...! = Poet By Ibrahim Zuaq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kisi Bekas Ko Aayi Bedadgar Mara To Kia Mara.

Kisi Bekas Ko TaYpEd By  TLASH25 Kisi Bekas Ko Aayi Bedadgar Mara To Kia Mara. = Jo Aap Hi Mar Raha Ho Us Ko Gar Mara To Kia Mara. = Na Mara Aap Ko, Jo Khak Ho Akseer Ban Jata. = Agar Paare Ko Aayi Askeer Gar Mara To Kia Mara. = Hansi K Sath Yan Rona Hai Misl E Qolqol E Meena. = Kisi Ne Qehqaha Ay Bekhabar Mara To Kia Mara. = Gaya Shetan Mara Ek Sajde K Na Karne Mein. = Agar Lakhon Baras Sajde Mein Sar Mara To Kia Mara. = Bare Moozi Ko Mara Nafas E Amara Ko Gar Mara. = Naang O Azhdah O Shair E Nar Mara To Kia Mara. = Dil E Sangeen E Khushro Par Bhi Zarb E Kohkan Puhinchi. = Agar Tesha Sar E Kohsar Par Mara To Kia Mara. = Dil E Bad Khuwah Mein Tha Marna Ya Chashm E Bad Been Mein. = Falak Par Zauq Teer E Aah Gar Mara To Kia Mara...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ankhein Meri Talawon Se Mal Jaye To Acha.

Ankhein Meri TaYpEd By TLASH25 Ankhein Meri Talawon Se Mal Jaye To Acha. = Hai Hasrat E Pa Bos Nikal Jaye To Acha. = Jo Chashm K Benam Hon Wo Ho Kor To Bahtar. = Jo Dil K Ho Bedaag Wo Jal Jaye To Acha. = Furqat Mein Teri Tar E Nafis Seene Mein Mere. = Kanta Sa Khatikta Hai Nikal Jaye To Acha. = Wo Subah Ko Aaye To Karon Batein Mein Dopahar. = Or Chahon K Din Thora Sa Dhal Jaye To Acha. = Dhal Jaye Jo Din Bhi To Isi Tarah Karon Sham. = Or Chahon K Gar Aaj Se Kal Jaye To Acha. = Jub Kal Ho To Phir Wahi Karon Kal Ki Tarah Se. = Gar Aaj Ka Din Bhi Yon Hi Tal Jaye To Acha. = Al Qisa Nahi Chahta Mein Jaye Wo Yan Se. = Dil Us Ka Yahin Garche Behal Jaye To Acha...! = Poet By Ibrahim Zauq. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Hum Hi Mein Thi Na Koi Bat Yad Na Tum Ko Aa Sake.

Hum Hi Mein Thi TaYpEd By  TLASH25 Hum Hi Mein Thi Na Koi Bat Yad Na Tum Ko Aa Sake. = Tum Ne Humein Bhula Dia Hum Na Tumhein Bhula Sake. = Tum Hi Na Sun Sake Agar Qisa E Ghum Sune Ga Kon. = Kis Ki Zuban Khule Gi Phir Hum Na Agar Suna Sake. = Hosh Mein Aa Chuke They Hum Josh Mein Aa Chuke They Hum. = Bazm Ka Rang Daikh Kar Sar Na Magar Utha Sake. = Shoq E Wisal Hai Yahan Lab Pe Sawal Hai Yahan. = Kis Ki Majal Hai Yahan Hum Se Nazar Mila Sake. = Ronaq E Bazm Ban Gae Lab Pe Hikayatein Rahi. = Dil Mein Shikayatein Rahi Lab Na Magar Hila Sake. = Aisa Bhi Koi Naama Bar Bat Pe Kaan Dhar Sake. = Sun Kar Yaqeen Kar Sake Ja K Unhein Suna Sake. = Ihl E Zuban To Hain Buhat Koi Nahi Hai Ihal E Dil. = Kon Teri Tarah Hafeez Dard K Geet Ga Sake...! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001
Ye Kia Muqam TaYpEd By  TLASH25 Ye Kia Muqam Hai Wo Nazaare Kahan Gaye. = Wo Phool Kia Huwe Wo Sitare Kahan Gaye. = Yaran E Bazm E Jurat E Rindana Kia Huwi. = Un Mast Ankhiryo K Ishare Kahan Gaye. = Ek Or Dor Ka Wo Taqaza Kidhar Gaya. = Umde Huwe Wo Hosh K Dhare Kahan Gaye. = Uth Uth K Beth Chuki Gard Rah Ki. = Yaro Qafile Thake Haare Kahan Gaye. = Betab Tere Dard Se They Charagar Hafeez. = Kia Janiye Wo Dard K Maare Kahan Gaye...! = Poet By Hafeez Jalandhri = Follow Tlash25 Send To 8001
Ye Kia Muqam TaYpEd By  TLASH25 Ye Kia Muqam Hai Wo Nazaare Kahan Gaye. = Wo Phool Kia Huwe Wo Sitare Kahan Gaye. = Yaran E Bazm E Jurat E Rindana Kia Huwi. = Un Mast Ankhiryo K Ishare Kahan Gaye. = Ek Or Dor Ka Wo Taqaza Kidhar Gaya. = Umde Huwe Wo Hosh K Dhare Kahan Gaye. = Uth Uth K Beth Chuki Gard Rah Ki. = Yaro Qafile Thake Haare Kahan Gaye. = Betab Tere Dard Se They Charagar Hafeez. = Kia Janiye Wo Dard K Maare Kahan Gaye...! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Khoon Ban Kar Munasib Nahi Dil Bahe.

Khoon Ban Kar TaYpEd By   TLASH25 Khoon Ban Kar Munasib Nahi Dil Bahe. = Dil Nahi Manta Kon Dil Se Kahe. = Teri Dunya Mein Aaye Buhat Din Rahe. = Sukh Ye Paya K Hum Ne Buhat Dukh Sahe. = Bulbulein Gul K Ansu Nahi Chatein. = Un Ko Apne Hi Marghob Hain Cheh Chahe. = Alam E Naza Mein Sun Raha Hon Mein Kia. = Ye Azeezon Ki Cheekhein Hai Ya Qehqahe. = Is Naye Hussn Ki Bhi Adaon Pe Hum. = Mar Mitein Ge Bisharte Ki Zinda Rahe...! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Koi Chaara Nahi Dua K Siwa Koi Sunta Nahi KHUDA K Siwa.

Koi Chaara Nahi TaYpEd By  TLASH25 Koi Chaara Nahi Dua K Siwa Koi Sunta Nahi KHUDA K Siwa. = Mujh Se Kia Ho Saka Wafa K Siwa. = Mujh Ko Milta Bhi Kia Saza K Siwa. = Dil Sabhi Kuch Zuban Par Laya Ek Faqat Arz E Muda K Siwa. = Barsar E Saahil E Muqam Yahan Kon Ubhra Hai Nakhuda K Siwa. = Dil Sabhi Kuch Zuban Par Laya Ek Faqat Arz E Muda K Siwa. = Dosto K Ye Mukhali Sana Teer. = Kuch Nahi Meri Hi Khata K Siwa. = Ye Hafeez Aah Aah Par Aakhir Kia Kahein Dost Wah Wah K Siwa..! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Shayar Hon Mera Kaam Nahi Falsafa Raani.

Shayar Hon Mera TaYpEd By  TLASH25 Shayar Hon Mera Kaam Nahi Falsafa Raani. = Khalti Hai Mujhe Thos Nataaij Ki Garani. = Insan Ki Tasveer Nayi Ho K Purani Matloob Mujhe Hussn Hai Or Hussn E Mani. = ALLAH K Bandon Se Mujhe Bair Nahi Hai. = Yani Meri Dunya Mein Koi Gair Nahi Hai. = Qomon Ki Hilaqat Ka Hunar Daikh Raha Hon. = Ye Roz O Shab O Sham O Sehar Daikh Raha Hon...! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Agar Moj Hai Beech Dhare Chala Chal.

Agar Moj Hai TaYpEd By  TLASH25 Agar Moj Hai Beech Dhare Chala Chal. = Wagar Na Kinare Kinare Chala Chal. = Isi Chaal Se Mere Piyare Chala Chal. = Guzarti Hai Jaise Guzare Chala Chal. = Tujhe Sath Dena Hai Behroopyon Ka. = Naye Se Naya Roop Dhare Chala Chal. = Musalsil Buton Ki Tamana Kiye Ja. = Musalsil Khuda Ko Pukare Chala Chal. = Tujhe To Abhi Dair Tak Khelna Hai. = Isi Mein To Hai Jeet Haare Chala Chal...! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ab To Kuch Or Bhi Andhera Hai

Ab To Kuch Or TaYpEd By  TLASH25 Ab To Kuch Or Bhi Andhera Hai Ye Meri Rat Ka Sawera Hai. = Rehzanon Se To Bhag Nikla Tha Ab Mujhe Rehbaron Ne Ghera Hai. = Aage Aage Chalo Tabar Walon Abhi Jangal Buhat Ghanera Hai. = Qafila Kis Ki Perwi Mein Chale Kon Sab Se Bara Lutera Hai. = So Raho Ab Hafeez Jee Tum Bhi. = Ye Nayi Zindagi Ka Daira Hai...! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dil Abhi Tak Jawan Hai Piyare.

Dil Abhi Tak TaYpEd By  TLASH25 Dil Abhi Tak Jawan Hai Piyare. = Kis Museebat Mein Jan Hai Piyare. = Tu Mere Hal Ka Khiyal Na Kar Is Mein Bhi Ek Shan Hai Piyare. = Rat Kam Hai Na Cher Hijar Ki Bat Ye Bari Dastan Hai Piyare. = Talkh Kar Di Hai Zindagi Jis Ne Kitni Methi Zuban Hai Piyare. = Jane Kia Keh Diya Tha Roz E Azal. = Aaj Tak Imtehan Hai Piyare. = Mein Tujhe Bewafa Nahi Kehta. = Dushmano Ka Biyan Hai Piyare. = Sari Dunya Ko Hai Galat Fehmi Mujh Pe Tu Mahraban Hai Piyare...! = Poet By Hafeez Jalandhri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Bargashta E Yazdan Se Kuch Bhool Huwi Hai.

Bargashta E TaYpEd By  TLASH25 Bargashta E Yazdan Se Kuch Bhool Huwi Hai. = Bhatke Huwe Insan Se Kuch Bhool Huwi Hai. = Ta Had E Nazar Shole Hi Shole Hain Chamman Mein. = Pholon K Nigahban Se Kuch Bhool Huwi Hai. = Jis Ihad Mein Lut Jaye Faqeeron Ki Kamaayi. = Us Ihad K Sultan Se Kuch Bhool Huwi Hai. = Hanste Hain Meri Soorat EMafton Pe Shagoofe. = Mere Dil E Nadan Se Kuch Bhool Huwi Hai. = Horon Ki Talab Or Mai O Sagar Se Hai Nafrat. = Zahid Tere Irfan Se Kuch Bhool Huwi Hai...! = Poet By Hafeez Jalandri = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ay Ishq Kahi Le Chal Is Paap Ki Basti Se.

Ay Ishq Kahi TaYpEd By  TLASH25 Ay Ishq Kahi Le Chal Is Paap Ki Basti Se. = Nafrat Gah E Alam Se Lanat Gah E Hasti Se. = In Nafs Parasto Se Is Nafs Parasti Se. = Dor Or Kahi Le Chal Ay Ishq Kahi Le Chal. = Hum Prem Pujari Hain Tu Prem Kahaniya Hai Tu Prem Kahaniya Hai Ye Prem Ki Naya Hai. = Ye Prem Ki Naya Hai Tu Is Ka Khiwaya Hai. = Kuch Fikar Nahi Le Chal Ay Ishq Kehi Le Chal. = Be Raham Zamane Ko Ab Chor Rahe Hain Ham. = Be Dard Azeezo Se Monh Mor Rahe Hain Ham. = Jo Aas K Thi Wo Bhi Ab Tor Rahe Hain Ham. = Bus Ta'ab Nahi Le Chal Ay Ishq Kahi Le Chal. = Ye Jabar Kada Azad Afkar Ka Dushman Hai. = Armano Ka Qatil Hai Umeedo Ka Rehzan Hai. = Jazbat Ka Maqtal Hai Jazbat Ka Mad Fun Hai. = Chal Yan Se Kahi Le Chal Ay Ishq Kahi Le Chal. = Aapas Mein Chhal Or Dhokey Sansar Ki Reete Hain. = Is Pap Ki Nagri Mein Ujri Si Pretein Hain...! = Haan Niyaya Ki Harein Hain Un Niyaya Ki Jeetein Hain. = Sukh Chain Na

Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain.

Bhulata Lakh TaYpEd By  TLASH25 Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain. = ILAAHI Tark E Ulfat Par Wo Kiyon Kar Yad Aate Hain. = Na Cher Ay Hamnasheen Kefiyat E Sahaba K Afsane. = Sharab E Be Khudi K Mujh Ko Sagar Yad Aate Hain. = Raha Karte Hain Qaid E Hosh Mein Ay Wayi Nakami. = Wo Dashit E Khud Faramoshi K Chakar Yad Aate Hain. = Nahi Aati To Yad Un Ki Maheenon Bhar Nahi Aati. = Magar Jub Yad Aate Hain To Aksar Yad Aate Hain. = Haqeeqat Khul Gayi Hasrat Tere Tark E Muhbat Ki. = Tujhe To Ab Wo Pehle Se Bhi Barh Kar Yad Aate Hain...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Tor Kar Ihd E Karam Na Ashina Ho Jayiye.

Tor Kar Ihd TaYpEd By  TLASH25 Tor Kar Ihd E Karam Na Ashina Ho Jayiye. = Banda Parwar Jayiye Acha Khafa Ho Jayiye. = Rah Mein Miliye Kabhi Mujh Se To. = Az Rah E Sitam Hont Apne Kat Kar Foran Juda Ho Jayiye. = Jee Mein Aata Hai K Us Shokh E Tagaful Kaish Se. = Ab Na Miliye Phir Kabhi Or Bewafa Ho Jayiye. = Haye Re Beikhtiyari Ye To Sub Kuch Ho Magar. = Us Sarapa Naz Se Kiyon Kar Khafa Ho Jayiye...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Daikhna Bhi To Unhain Door Se Daikha Karna.

Daikhna Bhi To TaYpEd By   TLASH25 Daikhna Bhi To Unhain Door Se Daikha Karna. = Shewa E Ishq Nahi Hussn Ko Ruswa Karna. = Ek Nazar Hi Teri Kafi Thi Ki Ay Rahat E Jan Kuch Bhi. = Dushwar Na Tha Mujh Ko Shakeba Karna. = Un Ko Yan Wade Pe Aa Lene De Ay Abar E Bahar Jis Tarah Chaahna. = Phir Bad Mein Barsa Karna. = Sham Ho Ya Ki Sehar Yad Unhin Ki Rakh Le. = Din Ho Ya Rat Hamein Zikar Unhin Ka Karna. = Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ki Ye Kia Hai Hasrat. = Un Se Mil Kar Bhi Na Izhar E Tamana Karna...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dil Ko Khiyal E Yar Ne Makhmoor Kar Dia.

Dil Ko Khiyal TaYpEd By   TLASH25 Dil Ko Khiyal E Yar Ne Makhmoor Kar Dia. = Sagar Ko Rang E Bara Ne Purnoor Kar Dia. = Mayoos Ho Chala Tha Tassali Se Hal E Dil. = Phir Tune Yad Aa K Ba Dastoor Kar Dia. = Gustakh Dastyon Ka Na Tha Mujh Mein Hosla. = Lekin Hujoom E Shoq Ne Majboor Kar Dia. = Kuch Aisi Ho Gayi Hai Tere Ghum Ki Mubtela. = Goya Kisi Ne Jan Ko Mash'hoor Kar Dia. = Betabyon Se Chup Na Saka Majra E Dil. = Akhir Huzoor E Yar Bhi Mazkoor Kar Dia. = Ihl E Nazar Ko Bhi Nazar Aaya Na Roo E Yar. = Yan Tak Hijab E Yar Ne Mastoor Kar Dia. = Hasrat Buhat Hai Martaba Ashiqi Buland. = Tujh Ko To Muft Logon Ne Mash'hoor Kar Dia...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Husn E Beparvah Ko Khud Beeb O Khudara Kar Dia.

Husn E Beparvah TaYpEd By  TLASH25 Husn E Beparvah Ko Khud Beeb O Khudara Kar Dia. = Kia Kia Mein Ne Ki Izhar E Tamana Kar Dia. = Barh Gayn Tum Se To Mil Kar Or Bhi Betabyan. = Hum Ye Samajhe The Ki Ab Dil Ko Shakeeba Kar Dia. = Parh K Tera Khat Mere Dil Ki Ajab Halat Huwi. = Iztirab E Shoq Ne Ek Hashar Barpa Kar Dia. = Hum Rahe Yan Tak Teri Khidmat Mein. = Sirgarm E Niyaz Tujh Ko Akhir Ashina E Naz E Beja Kar Dia. = Ab Nahi Dil Ko Kisi Surat Kisi Pehlu Qaraar. = Is Nighat E Naz Ne Kia Sahir Aisa Kar Dia. = Ishq Se Tere Bare Kia Kia Dilon K Martabe. = Mehar Zaron Ko Dia Qatron Ko Darya Kar Dia. = Teri Mehfil Se Uthata Gair Mujh Ko Kia Majaal. = Daikhta Tha Mein Ki Tune Bhi Ishara Kar Dia. = Sub Galat Kehte The Lutf E Yar Ko Wajah E Sakoon. = Dard E Dil Is Ne To Hasrat Or Dona Kar Dia...! = Poet By Hasrat Mohani.

Kaise Chupaon Raz E Ghum Deeda E Tar Ko Kia Karon.

Kaise Chupaon TaYpEd By  TLASH25 Kaise Chupaon Raz E Ghum Deeda E Tar Ko Kia Karon. = Dil Ki Tapish Ko Kia Karon Soz E Jigar Ko Kia Karon. = Shurish E Ashiqi Kahan Or Meri Sadigi Kahan. = Hussn Ko Tere Kia Kahon Apni Nazar Ko Kia Kahon. = Ghum Ka Na Dil Mein Ho Guzar Wisl Ki Shab Ho. = Yon Basar Sab Ye Qabool Hai. = Magar Khof E Sehar Ko Kia Karon. = Haal Mera Tha Jab Bahtar Tab Na Huwi Tumhein Khabar. = Bad Mere Huwa Asar Ab Mein Asar Ko Kia Karon...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Hai Mashiq E Sukhan Jari Chaki Ki Mushaqat Bhi.

Hai Mashiq TaYpEd By   TLASH25 Hai Mashiq E Sukhan Jari Chaki Ki Mushaqat Bhi. = Ek Tarfa Tamasha Hai Hasrat Ki Tabeeyat Bhi. = Jo Chaho Saza De Do Tum Or Bhi Khul Khelo. = Par Hum Se Qasam Le Lo Ki Ho Jo Shikayat Bhi. = Khud Ishq Ki Gustakhi Sub Tujh Ko Sikha De Gi. = Ay Hussn E Haya Parwar Shokhi Bhi Sharaat Bhi. = Ushaq K Dil Nazuk Us Shokh Ki Khoo Nazuk. = Nazuk Isi Nisabat Se Hai Kar E Muhbat Bhi. = Ay Shoq Ki Be Baki Wo Kia Teri Khuwahish Thi. = Jis Par Unhein Gusa Hai Inkar Bhi Herat Bhi. = Hain Shad O Safi Shayar Ya Shoq O Wafa Hasrat. = Phir Danish O Mehshar Hain Iqbal Bhi Wihshat Bhi...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Yad Hain Sare Wo Aish E Ba Faragat K Mazze.

Yad Hain Sare TaYpEd By  TLASH25 Yad Hain Sare Wo Aish E Ba Faragat K Mazze. = Dil Abhi Bhoola Nahi Agaaz E Ulfat K Mazze. = Wo Sarapa Naz Tha Begana E Rasm E Jafa. = Or Mujhe Hasil Thay Lutf E Be Nihayat K Mazze. = Hussn Se Apne Wo Ghafil Tha Mein Apne Ishq Se. = Ab Kahan Se Laon Wo Na Waqfiyat K Mazze. = Meri Janib Se Nigah E Shoq Ki Betabyan. = Yar Ki Janib Se Agaaz E Sharart K Mazze. = Yad Hain Wo Hussn O Ulfat Ki Nirali Shokhyan. = Iltimas E Uzir O Tamahid E Shikayat K Mazze. = Sehatein Lakhon Meri Bemari E Ghum Par Nisar. = Jis Mein Uthe Barh Un Ki Ayyadat K Mazze...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Masti K Phir Aa Gaye Zamane

Masti K Phir Aa TaYpEd By  TLASH25 Masti K Phir Aa Gaye Zamane Abad Huwe Sharab Khane. = Har Phul Chaman Mein Zar Ba Kaf Hai. = Bante Hain Bahar Ne Khazane. = Sub Hans Pare Khil Khila K Ghoonche. = Chera Jo Lateefa Saba Ne Sarsabz Huwa Nihal E Ghum Bhi. = Peda Wo Asar Kiya Hawa Ne Rindon Ne Pachar Kar Pila Di. = Waiz K Na Chal Sake Bahane Kar Don Ga Mein Har Wali Ko Mekhwar. = Tofeeq Jo Di Mujhe KHUDA Ne Hum Ne To Nisar Kar Diya Dil. = Ab Jane Wo Shokh Ya Na Jane. = Begana E Mein Kiya Hai Mujh Ko Saqi Ki Nigah E Ashina Ne...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ter E Jan K Siwa Kis Ko Banate Qasid.

Ter E Jan K Siwa TaYpEd By  TLASH25 Ter E Jan K Siwa Kis Ko Banate Qasid. = Us Sitam Gar Ko Pegham E Qaza Dena Tha. = Dard Muhtaj E Dawa Ho Ye Sitam Hai Ya RAB Jab Diya Tha. = To Kuch Is Se Bhi Siwa Dena Tha. = Wo Jo Bigre To Khafa Tum Bhi Huwe Kiyon Hasrat. = Pa E Nakhovat Pe Sar E Shoq Jhuka Dena Tha...! = Poet By Hasrat Mohani. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Pas E Aadab Mein Josh E Tamana Liye Huwe.

Pas E Aadab TaYpEd By TLASH25 Pas E Aadab Mein Josh E Tamana Liye Huwe. = Mein Bhi Hon Ek Hubab Mein Darya Liye Huwe. = Rag Rag Mein Or Kuch Na Raha Juz Khiyal E Dost. = Us Shokh Ko Hon Aaj Sarapa Liye Huwe. = Sarmaya E Hayat Hai Hirmane E Ashiqi. = Hai Sath Ek Surat E Zeba Liye Huwe. = Josh E Junoon Mein Chhot Gaya Aastan E Yar. = Rote Hain Munh Mein Daman E Sahara Liye Huwe. = Asghar Hujoom E Dard E Gareebi Mein. = Us Ki Yad Aayi Hai Ek Tilismi Tamana Liye Huwe...! = Poet By Asghar Gondvi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001