Posts

Showing posts with the label Tlash25 typed gZL

Gaisu O Taab Daar Ko Aur Bhi Taab Daar Kar.

Gaisu E Taab TaYpEd By  TLASH25 Gaisu O Taab Daar Ko Aur Bhi Taab Daar Kar. = Hosh O Khurd Shikaar Kar Qulb O Nazar Shikaar Kar. = Ishq Bhi Ho Hijaab Mein Husn Bhi Ho Hijab Mein. = Ya To Khud Ashkaar Ho Ya Mujhe Ashkaar Kar. = Tu Hai Moheet E Be Karaan Mein Hon Zara Si Aabijo. = Ya Mujhe Humkinaar Kar Ya Mujhe Be Kinaar Kar. = Mein Hon Sadaf To Tere Hath Mere Qoher Ki Abro. = Mein Hon Khazaf To Tu Mujhe Gohar E Shahwaar Kar. = Nagma E Nu Bahaar Agar Mere Naseeb Mein Na Ho. = Is Dum Neem Sooz Ka Taairik Bahaar Kar. = Baagh E Behshat Se Mujhe Hakeem E Safar Diya Tha Jiyon. = Kaar E Jahaan Daraaz Hai Ab Mera Intizaar Kar. = Roz E Hisaab Jab Mera Paish Ho Daftar Aamal. = Ap Bhi Sharamsaar Ho Mujh Ko Bhi Sharamsar Kar...! = Poet By Allama Iqbal. = Book Name Baal E Jibreel. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mere Nawaye Shoq Se Shor Hareem E Zaat Mein.

Mere Nawaye TaYpEd By  TLASH25 Mere Nawaye Shoq Se Shor Hareem E Zaat Mein. = Galgala Haye Alamaan But Kada Sifat Mein. = Hoor E Farishta Hai Aseer Mere Takhliyaat Mein. = Meri Nigah Se Khalal Teri Tajal'liyat Mein. = Garcha Hai Meri Justaju Dair O Haram Ki Naqsh E Band. = Meri Fagaan Se Rastakhaiz Kaba O Somanaat Mein. = Gaah Meri Nigah E Taiz Cheer Gayi Dil E Wajood. = Gaah Ulajh Ke Rah Gayi Mere Tohmaat Mein. = Tu Ne Ye Ghazab Kiya Mujh Ko Bhi Faash Kar Diya. = Mein Hi To Ek Raaz Tha Seena E Kainaat Mein...! = Poet By Allama Iqbal. = Book Name Baal E Jibreel. = Page No .5. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dard Ki Lehar Hai Ghum Ka Tofaan Hai

Dard Ki Lehar TaYpEd By  TLASH25 Dard Ki Lehar Hai Ghum Ka Tofaan Hai. = Aankh Numnaak Hai Dil Paraishan Hai. = Har Taraf Aaj Ibrat Ka Samaan Hai. = Ek Tanbiha Ek Elaan Hai. = Is Museebat Mein Bas Sahara Hai Tera. = Rab'bana Baab E Rehmat Khula Hai Tera. = Maang Ujri Huwi Ghar Ujre Huwe. = Kitni Maan Se Bache Hai Bichre Huwe. = Dekh In Ke Khilone Hai Toote Huwe. = Apne Piyaron Se Piyare Hai Chote Huwe. = Ghum Ki Shiddat Mein Bas Aasra Hai Tera. = RAB'BANA Baab E Rehmat Khula Hai Tera. = Zalzale Zameen Ki Jarein Kaat Di Dekhte Dekhte Sarhadein Kaat Di. = Mout Ne Zindagi Ki Ragein Kaat Di Dard Ne Zabt Ki Sab Hadein Kaat Di. = Rahum Kar Rahum Kar Rahum Shaiwa Tera. = RAB'BANA Baab E Rahmat Khula Hai Tera...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page 159.160. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Tumhein Dekha Nahin Jana Nahin Phir Bhi Ye Lagta Hai.

Tumhein Dekha TaYpEd By TLASH25 Tumhein Dekha Nahin Jana Nahin Phir Bhi Ye Lagta Hai. = Qibla Ek Hai Apna. = Wahi Dard E Judai Hai Wahi Bheegi Huwi Palkein. = Naseeba Ek Hai Apna. = Kisi Se Kuch Nahin Kahna Koi Shikwa Nahin Karna. = Kareena Ek Hai Apna. = Kisi Ki Yaad Se, Weerana Dil Jagmaga Lena. = Khazeena Ek Hai Apna. = Yaqeen Ki Aakhri Had Tak Milan Ki Khush Gumaani Hai. = Nateeja Ek Hai Apna...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name. Muhbat Khush Guma Hai. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dil Buhat Zor Se Dharak Utha

Dil Buhat Zor Se TaYpEd By  TLASH25 Dil Buhat Zor Se Dharak Utha Sansanahat Ragon Mein Dour Gayi. = Kapkapane Laga Badan Saara. = Aur Palkein Jhipkana Bhool Gayi. = Ahd E Paimaan Zabt Toot Gaye. = Hosh Rukhsat Hawaas Choot Gaye. = Kiya Ghazab Thi Bala Thi Wo Ankhein. = Kaisi Aahon Ruba Thi Wo Ankhein. = Mein Samandar Mein Jaise Doob Gaya...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page 158. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001 

Hum Dasht Nasheeno Ko Bhi Ghar Bakhsh Diya Hai.

Hum Dasht TaYpEd By   TLASH25 Hum Dasht Nasheeno Ko Bhi Ghar Bakhsh Diya Hai. = Ek Khuwab Ne Jeene Ka Hunar Bakhsh Diya Hai. = Kamyabi Asbaab Ka Shikwa Nahin Karte. = Ihsaan Ye Kam Hai Ke Safar Bakhsh Diya Hai. = Khush Fehmi Meri Jeet Ko Samjha Hai Meri Haar. = Dil Le Ke Mujhe Deeda Tar Bakhsh Diya Hai. = Us Se Sukhan War Dekha Na Suna Hai. = Jis Ne Mere Lahje Ko Asar Bakhsh Diya Hai...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page. 133. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001 

Parveen Tere College Me Mein

TaYpEd By  TLASH25 Parveen Tere College Me Mein Har Simt Tumhari Khushbu Hai = Wahi Ronaq Hai Wahi Alam Hai Wahi Mela Hai Wahi Moram Hai Wohi Sandul Hai Wahi Kajal Hai Wahi Anchal Hai Wahi Gesu Hai = Parveen Tumhare College Me Har Simt Tumhari Khushbu Hai = Wahi Moj E Ada Wahi Ranj E Hina Wahi Sada Qaba Wahi Chal E Saba Raam E Aaho Hai Wahi Jadu Hai = Parveen Tumhare College Me Har Simt Tumhari Khushbu Hai = Har Chahra Naqsh Tumhara Hai Har Lehje Me Tum Bolti Ho Har Pekar Aks Tumhara Hai Tum Kaano Me Ras Gholti Ho = Awaz Tumhari Khushbu Hai Ye Khushbu Kaisa Jadu Hai = Parveen Tumhare College Me Har Simt Tuuhari Khushbu Hai = Mahol Wahi Tehzeb Wahi Tanzeem Wahi Tarteeb Wahi = USTAD Wahi Adaab Wahi Ankhe Bi Wahi Or Khuwab Wahi = Koi Dilkash Hai Koi Dil Jow Hai = Parveen Tumhard College Me Har Simt Tumhari Khushbu Hai...! = PoetBy Khalil Ullah Faroqi = Book Name Muhbat Khush Guma Hai

Sabak Sabak Se Naqsh The

Sobak Sobak Se TaYpEd By  TLASH25 Sabak Sabak Se Naqsh The Sarapa Nazneen Thi. = Tamaam Lafz Be Hunar Wo Is Qadar Haseen Thi. = Wo Buhat Hi Dil Nasheen Thi Wo Kon Mahjabeen Thi. = Wo Uski Chashm E Neem Da Kah Jab Kabhi Uthi Zara. = Ye Kainaat Tham Gayi Mein Dekhta Hi Rah Gaya. = Hayaat Ka Yaqeen Thi Wo Kon Mahjabeen Thi. = Wo Asmaan Ka Chand Thi Zameen Pe Mera Rasta. = Wo Kehkashaan Ki Humsafar Hamara Kaisa Wasta. = Mein Khaak Wo Nageen Thi Wo Kon Mahjabeen Thi. = Wo Kon Khush Naseeb Hai Jo Le Gaya Hai Ghar Usay. = Ye Zindagi Ka Khel Hai Koi Lote Koi Base. = Suna Khushi Ki Saij Par Wo Hum Ki Hum Nasheen Thi. = Wo Kon Mahjabeen Thi...! = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Poet By Khalil Ullah Farooqi. = Page No. 48.49. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Shaam Ghum Aane Lagi Phir Teri Yaad Aane Lagi.

Shaam Ghum TaYpEd By  TLASH25 Shaam Ghum Aane Lagi Phir Teri Yaad Aane Lagi. = Faisla Ap Ne Khud Kiya Aankh Bhi Dabdabane Lagi. = Us Ne Dekha Tha Kal Ghoor Se Kiya Dua Rang Laane Lagi. = Ek Tabassum Ki Soghat Se Zindagi Muskurane Lagi. = Kaan Mein Kiya Saba Kah Gayi Sharam Kaliyon Ko Aane Lagi. = Barh Gayi Dil Ki Betabiyaan Din Dhala Raat Aane Lagi...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page No. 53 = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Chor Ke Tum Ko Jane Wala Ek Din Lout Ke Aaye To

Chor Ke Tum Ko TaYpEd By  TLASH25 Chor Ke Tum Ko Jane Wala Ek Din Lout Ke Aaye To. = Yaad Ka Aanchal Khushbu Ban Kar Phir Tum Par Lehraye To. = Koi Puraana Zakham Kuraide Meetha Dard Jagaye To. = Guzre Pal Ka Dil Kash Sapna Ankhon Mein Bas Jaye To. = Dil Par Zakham Lagane Wala Marham Le Kar Aaye To. = Maan Ka Sheesha Torne Wala. = Phir Se Jorne Aaye To. = Dhoop Mein Chor Ke Jaane Wala Saaya Ban Ke Aaye To. = Dil Se Dil Ki Raaye Na Pocho Dil Pagal Ho Jaye To. = Chor Ke Tum Ko Jane Wala Ek Din Lout Ke Aaye To...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name. Muhbat Khush Guma Hai. = Page No 64.65. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Agar Kunj Rou Hai Anjum Asmaan Tera Hai Ya Mera

Agar Kunj Rou TaYpEd By  TLASH25 Agar Kunj Rou Hai Anjum Asmaan Tera Hai Ya Mera. = Mujhe Fikar E Jahan Kiyon Ho Jahan Tera Hai Ya Mera. = Agar Hangama Haye Shoq Se Hai La-Makan Khali. = Khata Kis Ki Hai Ya-Rab La Makaan Tera Hai Ya Mera. = Aay Subah Inkar Ki Juraat Huwi Kiyon Kar. = Mujhe Maloom Kiya Wo Raazdaan Tera Hai Ya Mera. = Muhammad (S.A.W.W) Tera Jibraaeel Bhi Quraan Bhi Tera. = Magar Ye Harf E Shereen Tarjumaan Tera Hai Ya Mera. = Isi Kokaab Ki Taabani Se Hai Tera Jahaan Roshan. = Zawal E Aadam Khaki Ziyaan Tera Hai Ya Mera...! = Poet By Allama Iqbal. = Book Name Baal E Jibreel. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ek Mitti K Dhair Par Mera Naam Ho Ga.

Ek Mitti K Dhair TaYpEd By  TLASH25 Ek Mitti K Dhair Par Mera Naam Ho Ga. = Phir Har Pal Rona Tera Kaam Ho Ga. = Karne Hai Jitne Sitam Kar Lejiye Hazoor. = Aisa Nahin Phir Koi Gulaam Ho Ga. = Ek Sitam Aur Bhi Karna Mere Marne Se Zara Pahle. = Nikaal K Dil Baich Dena Acha Daam Ho Ga...! = Poet By Sarfraz Ahmad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Taig Chalane Ka Shoq Hai.

Taig Chalane Ka TaYpEd By  TLASH25 Taig Chalane Ka Shoq Hai. = Sar Urane Ka Shoq Hai. = Wo Jo Hai Ek Haseen Larki Usay Aankh Larane Ka Shoq Hai. = Aankhon Mein Kajal Lagane Ka Shoq Hai. = Zulfon Mein Gajra Lagane Ka Shoq Hai. = Wo Jo Hai Ek Haseen Larki Usay Deewanon Ko Satane Ka Shoq Tha. = Phool Torne Ka Shoq Hai Titliyon Ko Pakarne Ka Shoq Hai. = Wo Jo Hai Ek Haseen Larki Usay Gulshan Mein Khelne Ka Shoq Hai. = Mehndi Lagane Ka Shoq Hai. = Surkhi Lagane Ka Shoq Hai. = Wo Jo Hai Ek Haseen Larki Usay Ban'ne Sawarne Ka Shoq Hai. = Mahboob Se Khafa Hone Ka Shoq Hai. = Manane Phir Khud Rone Ka Shoq Hai. = Wo Jo Hai Ek Haseen Larki "Jiger". = Usay Hadood E Jaan Mein Rahne Ka Shoq Hai...! = Poet By Sarfraz Ahmad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001
Tanhai Ke Sahra TaYpEd By  TLASH25 Tanhai Ke Sahra Mein Yon Chor K Chal Dena. = Choti Si Shikayat Pe Monh Mor K Chal Dena. = Ye Kaisi Muhbat Hai Ye Kaisi Rafaqat Hai. = Kiya Mere Bina Tum Ko Raas Aati Hai Ye Duniya. = Charhta Nahin Seene Mein Chahat Ka Koi Dariya. = Kiya Mujh Se Bhi Barh Kar Hai Rishton Ki Ye Zanjeerein. = Kiya Jan Se Ziyada Hai Dhundhli Si Ye Tasveerain. = Kiya Wo Mere Dil Ka Ek Dard Paraya Hai. = Kiya Tum Se Mera Rishta Asaib Hai Saya Hai. = Ye Kaisi Muhbat Hai Ye Kaisi Rafaqat Hai. = Gar Paas E Wafa Rakh Kar Tum Maan Barha Dete. = Be Los Rafaqat Par Imaan Barha Dete. = Tum Baab E Muhbat Ho Tum Jan E Rafaqat Ho. = Tum Bat Meri Suntein. = Ek Baar To Ruk Jate. = Zanjeer E Ana Az Khud Pairon Se Nikal Aati. = Choti Si Ye Qurbani So Deep Jala Jati...! = Part 2.2 TaYpEd By TLASH25 Ye Sub Hai Magar Tab Bhi Hai Mujh Ko Yaqeen Ab Bhi. = Jo Kuch Bhi Kaha Mein Ne Shikwa Hai Lekin Ye Haqeeqat Hai. = Bus Tum Se Muhbat Thi Aur Tum Se M

Dil Ko Rah Rah Ke Ye Andeshe Darane Lag Jayein.

Dil Ko Rah Rah TaYpEd By  TLASH25 Dil Ko Rah Rah Ke Ye Andeshe Darane Lag Jayein. = Wapsi Mein Use Mumkin Hai Zamane Lag Jayein. = Jeet Jayein Gi Hawaein Ye Khabar Hote Huwe. = Tez Aandhi Mein Charaghon Ko Jalane Lag Jayein. = Jun Tahi-Damanon Ke Hath Khazane Lag Jayein. = Jab Wo Mil Jaye To Wo Baat Chhupane Lag Jayein. = So Nahin Payein To Sone Ki Duaein Mangein. = Nend Aane Lage To Khud Ko Jagane Lag Jayein. = Phir Se Aankhon Mein Tere Khuwab Na Aane Lag Jayein. = Aur Phir Hum Bhi Nazar Tujh Se Churane Lag Jayein. = Har December Usi Wehshat Mein Guzara Ki Kahin. = Tum Mere Shahr Mein Aaye To Mujhe Aisa Laga. = Us Ko Dhondein Use Ek Baat Batane Ke Liye. = Itni Takheer Se Mat Mil Ki Hamein Sabar Aa Jaye...! = Poet By Rehana Rohi. = Book Name Ishq Zaad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Jo Sahifon Mein Likhi Hai Wo Qayamat Ho Jaye.

Jo Sahifon Mein TaYpEd By  TLASH25 Jo Sahifon Mein Likhi Hai Wo Qayamat Ho Jaye. = Gar Muhbat Dil E Insan Se Bhi Rukhsat Ho Jaye. = Dev'taon Ki Tarah Un Se Aqeedat Ho Jaye. = Apne Jaise Kisi Zalim Se Muhbat Ho Jaye. = Bad'dua Usne Mujhe Di Hai K Rohi Tujh Ko. = Rafta Rafta Mujhe Tanhai Ki Aadat Ho Jaye. = Kahin Aisa Na Ho K Tanha Yonhi Rahte Rahte. = Aasmanon Ke Khuda Tujh Ko Bhi Herat Ho Jaye. = Tu Zameenon Pe Utar Kar Jo Guzare Ek Din. = Kuch Bashar Aise Bhi Hote Hai K. = Jin Se Mil Kar Muhbat Ho Jaye...! = Poet By Rehana Rohi = Book Name. Ishq Zaad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Masroofiyat Usi Ki Hai Fursat Usi Ki Hai.

Masroofiyat Usi TaYpEd By  TLASH25 Masroofiyat Usi Ki Hai Fursat Usi Ki Hai. = Is Sar Zameen E Dil Pe Hukoomat Usi Ki Hai. = Milta Hai Wo Bhi Tark E Taaluq Ke Ba Wajood. = Mein Kiya Karon Ke Mujh Ko Bhi Aadat Usi Ki Hai. = Jo Umar Us Ke Sath Guzari Usi Ki Thi. = Baqi Jo Bach Gayi Hai Musafat Usi Ki Hai. = Hota Hai Phir Kisi Pe Usi Ka Gumaan Mujhe. = Lagta Hai Har Kisi Mein Shabaahat Usi Ki Hai. = Wo Jis Ke Haq Mein Jhooti Gawahi Bhi Mein Ne Di. = Roohi Mere Khilaf Shahadat Usi Ki Hai...! = Poet By Rehana Rohi. = Book Name Ishq Zaad. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai Dil Ki Dava Kiya Karon

Mere Dil Mein Tu TaYpEd By  TLASH25 Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai Dil Ki Dava Kiya Karon Dil Bhi Tu Hai Jan Bhi Tu Hai. = Tujh Pe Fida Kiya Karon Khud Ko Kho Kar Tujh Ko Pa Kar. = Kiya Kiya Mila Kiya Kahon Tera Ho Ke Jeene Mein Kiya Kiya. = Aaya Maza Kiya Kahon. = Kaise Din Hain Kaisi Ratein Kaisi Fiza Kiya Kahon. = Meri Ho K Tune Mujh Ko Kiya Kiya Diya Kiya Kahon. = Meri Pahlo Mein Jab Tu Hai Phir Mein Dua Kiya Karon. = Dil Bhi Tu Hai Jan Bhi Tu Hai Tujh Pe Fida Kiya Karon. = Hai Ye Dunia Dil Ki Dunia Mil Ke Rahen Ge Yahan. = Loten Ge Ham Khushiyan Har Pal Dukh Na Sahen Ge Yahan. = Armanon Ke Chanchal Dhare Aise Bahen Ge Yahan. = Ye To Sapnon Ki Janat Hai Sab Hi Kahen Ge Yahan. = Ye Dunia Mere Dil Mein Basi Hai Dil Se Juda Kiya Karon. = Dil Bhi Tu Hai Jan Bhi Tu Hai Tujh Pe Fida Kiya Karon...! = Poet By Kaifi Azmi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Itna To Zindagi Mein Kisi K Khalal Pare.

Itna To Zindagi TaYpEd By  TLASH25 Itna To Zindagi Mein Kisi K Khalal Pare. = Hansne Se Ho Sukoon Na Rone Se Kal Pare. = Jis Tarah Hans Raha Hon Mein Pee Pee K Ashk E Gham. = Yon Doosra Hanse To Kaleja Nikal Pare. = Ek Tum K Tum Ko Fikar E Nasheeb O Faraz Hai. = Ek Hum K Chal Pare To Bahar Hal Chal Pare. = Muddat K Bad Us Ne Jo K Lutf K Nigah. = Jee Khush To Ho Gaya Magar Ansu Nikal Pare. = Saqi Sabhi Ko Hai Gham E Tashna Labi Magar. = May Hai Usi K Naam Pe Jis K Ubal Pare...! = Poet By Kaifi Azmi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Jhuki Jhuki Si Nazar Beqarar Hai K Nahin.

Jhuki Jhuki Si TaYpEd By   TLASH25 Jhuki Jhuki Si Nazar Beqarar Hai K Nahin. = Daba Daba Sa Sahi Dil Mein Piyar Hai K Nahin. = Tu Apne Dil K Jawan Dharakano Ko Gin K Bata. = Meri Tarah Tera Dil Beqarar Hai K Nahin. = Wo Pal K Jis Mein Muhbat Jawan Hoti Hai. = Us Ek Pal Ka Tujhe Intizar Hai K Nahin. = Teri Umeed Pe Thukra Raha Hon Dunia Ko. = Tujhe Bhi Apne Pe Ye Aitbar Hai K Nahin...! = Poet By Kaifi Azmi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001