Posts

Showing posts from June 23, 2015

|._._.-.Rotiyaan.-._._.|

|._._.-.Rotiyaan.-._._.| . Type By...-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Jab Adami K Pait Main Ati Hai Rotiyan . Pholi Nahi Badan Main Samati Hai Rotiyan . Ankhain Pari Rukhon Sy La-Daiti Hai Rotiyan . Seene Upar Bhi Haath Chalati Hai Rotiyan . Jitne Maze Hai Sab Ye Dikhaati Hai Rotiyan . Roti Sy Jis Ka Naak Talak Pait Hai Bhara . Karata Phire Hai Kya Wo Uchhal Kod Ja Ba Ja . Divaar Phaand Kr Koi KoTha Uchhal Gaya . Thaaththa Hansi Sharaab Sanam Saqi Is Siwa . 100 100 Tarah Ki Dhoom Machati Hai Rotiyan . Jis Ja Py Haandi Chulhaa Tav'waa Or Tanoor Hai . Khaaliq Ki Qudraton Ka Usi Ja Zahoor Hai . Chulhay K Aage Aanch Jo Jalti Hazoor Hai . Jitne Hai Noor Sab Main Yahi Khaas Noor Hai . Is Noor K Sabab Nazar Aati Hai Rotiyan . Aave Tave Tanoor Ka Jis Ja Zubaan Py Naam . Ya Chakki Chuulhy Ka Jahaan Gulzaar Ho Tamaam.....'*SA*' . Wahan Sr Jhuka K Kijiye Dandavat Or Salaam . Is Waste K Khaas

Bas Is Qadar Hai Khulasa Meri Kahani Ka

Bas Is Qadar Hai Khulasa Meri Kahani Ka . K Ban K Toot Gaya Aik Hubaab Pani Ka . Mila Hai Saqi To Roshan Howa Hai Ye Mujh Pr . K Haz'zaf Tha Koi Tukra Meri Kahani Ka . Mujhe Bhi Chehre Pay Ronaq Dikhai Daiti Hai . Ye Mojza Hai Tabeebo Ki Khush Bayani Ka . Hai Dil Main Aik Hi Khawahish Wo Doob Jane Ki Hai . Koi Shabab Koi Husn Hai Rawani Ka . Libas Hashar Main Kuch Ho To Or Kya Hoga . Bujha Sa Ik Chanaka Teri Jawani Ka . Karam K Rang Nihayat Ajeeb Hote Hai . Sitam Bhi Aik Tarfa Hai Meherbani Ka . "Adam" Bahaar K Mosam Nay Khud Kushi Kar Li . Khula Jo Rang Kisi Jism E Argawani Ka.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Mujhko Ahwal E Gulistaan Pay Hansi Aati Hai

Mujhko Ahwal E Gulistaan Pay Hansi Aati Hai . Argawal Poush Bayabaan Pay Hansi Aati Hai . Mahjabeeno Sy Ye Daryaaft To Kar Do Unko . Q Mere Chak E Garaiban Pay Hansi Aati Hai . Hai Bharam Uska Bhi Qaa'im Teri Angrai Tak . Wus'at E Alam E Imkan Pay Hansi Aati Hai . Aa To Jata Hai Magr Darr K Chala Jata Hai . Ehtiyaat E Ghum O Doraan Pay Hansi Aati Hai . Badshahi Ny Bana Dala Hai Haiwan Usko . Mujhko Badbakhti E Sultan Py Hansi Aati Hai . Aaj Phr Uska Bura Haal Hai Mere Baa'is . Aaj Phr Sorat E Darbaan Pay Hansi Aati Hai . Mere Mazhab Main To Mal'lah Usay Kehte Hai . Jisko Tagyani O Tofaan Pay Hansi Aati Hai . Zindagi Par Yun Aata Hai Khunda Jaise . Aik Baagoly Ko Bayaban Pay Hansi Aati Hai . Kya Tamasha Sa Bana Dala Hai Zalim Nay "Adam" . Baaz Oqaat To Yazdaan Pay Hansi Aati Hai.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book

So K Aaise Nigaar Uthta Hai

So K Aaise Nigaar Uthta Hai Jaise Abr E Bahaar Uthta Hai . Jo Bhi Uthta Hai Uski Mehfil Say Khasta O Dil Figaar Uthta Hai . Do Ghari Or Dil Lobhata Ja Q Khafa Ho K Yaar Uthta Hai . Aaj Ki Raat Khair Say Guzray Dard E Dil Baar Baar Uthta Hai . Hosh Main Ho To Maikaday Say "Adam" Kab Koi Bada Khawaar Uthta Hai......'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Muhbt Khobsorat Khawahisho Ki Deep Mala Hai

Muhbt Khobsorat Khawahisho Ki Deep Mala Hai . Ye Wo Aqleem Hai Jis Main Ujala Hi Ujala Hai . Mile Dunya Main Tum Mujh Ko To Pocha Maine Yazdaan Say . Hamain Dunya Main Bhaija Hai K Dunya Sy Nikala Hai . Maa Jis Ny Mere Saihen E Dil Main Paaon Rakha Tha . Nihayat Dil Ruba Bay Intiha Oosaaf Wala Hai . Alag Rehna Tera Aay Mehjabeen Mujh Say Nahi Mumkin . Kah San'aat-Kaar Nay 1 Dhaat Sy Dono Ko Dhala Hai . Nazar Mujh Par Mak'kar Dalnay Ka Zulm Matt Farma . Kah Pahle Waar Ko Hi Maine Mushkil Say Sanbhala Hai . Faqeeron K Doraye Par "Adam" Qil'lat Hai Kis Shay Ki . Pari Wash Hai Baharain Hai Sorahi Hai Piyala Hai......'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Unka Waqf E Sawal Ho Jana

Unka Waqf E Sawal Ho Jana Mera Tasveer E Haal Ho Jana . Ab Wo Aain To Aay Dil E Nadaan Pyar Say Pamal Ho Jana . Dard Ka Aik Hi Madawa Hai Dard Ka La Zawaal Ho Jana . Pahle Qaim To Kar Misali Koi Bad E Azaa Bay Misaal Ho Jana . Mojzay Ka Yahi Nishaan Hai "Adam" Baithay Baithay Kamaal Ho Jana.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Jaam Jab Gulfarosh Hota Hai

Jaam Jab Gulfarosh Hota Hai Kisko Toba Ka Hosh Hota Hai . Saa'tah K Shor Sy Na Ghabrain Teh E Darya Khamosh Hota Hai . Jitni Makhmor Hai Teri Ankhain Is Qadar Kis Ko Hosh Hota Hai . Sadq Kitni Bhi Qeemti Shay Ho Jhoot Firdos E Goosh Hota hai . Pehli Pehli Muhabato Main "Adam" Kitna Josh O Kharosh Hota Hai......'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Wo Chashm E Dil Faraib Jo Mil Kr Palat Gai

Wo Chashm E Dil Faraib Jo Mil Kr Palat Gai . Dunya Was'ee Ho K Dobara Simat Gai . Aik Jhalak Dikha K Chupa Lon Wo Gul Badan . Tasveer Samne Say Koi Jaise Hatt Gai . Mujh Ko Kis K Kaan Main Kuch Kehte Daikh Kar . Sheshay Say Bay Daraig Surahi Lipat Gai . Darya To Apni Aam Rawish Par Tha Mojzun . Munjhi Ki Pukhta Kari Say Kashti Ulat Hai . Bay Nag O Naam Ho K Hoi Yun Khushi . Jaise K Paaon Say Koi Zanjeer Katt Gai.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Main Talkhiyon Main Shahed Rachata Chala Gaya

Main Talkhiyon Main Shahed Rachata Chala Gaya . Hansta Hasata Peeta Pilata Chala Gaya . Hote Rahe Naseeb Kuch Aise Haseen Faraib . Main Khud Kushi Ka Jashan Manata Chala Gaya . Mujh Ko Kisi K Aane Ka Itna Yaqeen Tha . Shab Kat Gai Main Ghar Sajata Chala Gaya . Dunya Meri Khushi Ko Boht Ghourti Rahi . Main Zindagi Ka Saaz Bajata Chala Gaya . Aik Harf Bhi Na Uska Wo Garcha Samjh Sakay . Main Apni Baat Unko Sunata Chala Gaya . Shak Hai K Rahzano Main Sharafat Thi Bay Hisaab . Warna Main Kaise Bachta Bachata Chala Gaya . Tofan K Rahem Pr Then Faqeron Ki Kashtiyan . Tofan Hi Kashtiyon Ko Chalta Chala Gaya . Wo Rafta Rafta Jaam Pilatay Chale Gaye . Main Rafta Rafta Hosh Main Aata Chala Gaya . Kitne Kushada Kab Thay Ahbab Aay "Adam" . Jo Bhi Mila Wo Ankh Bachata Chala Gaya......'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Marhala Jo Bhi Zindagi Ka Hai

Marhala Jo Bhi Zindagi Ka Hai Rasta Yaar Ki Gali Ka Hai . Hum Ko Nashaad Rakh K Asooda.? Maajra Sab Teri Khushi Ka Hai . Wo Adawat Karain To Bismillah Un Say Rishta Jo Dosti Ka Hai . Moat To Aik Bay Zarar Shay Hai Ghao Jo Bhi Hai Zindagi Ka Hai . Kya Jaga Kis Ko Aa Gai Hai Pasand Dil Main Aasthaan Aik Pari Ka Hai . In Siyah Rang Kakilon Main "Adam" Kitna Tofaan Roshni Ka Hai.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Teri Zulfon Say Jugnu Iktibaas E Noor Karta Hai

Teri Zulfon Say Jugnu Iktibaas E Noor Karta Hai . Ye Banjara Isi Ban Main Thakawat Door Karta Hai . Khurd Jo Kuch Bhi Karti Hai Hadood E Rasm K Andar . Janon Jo Kuch Bhi Krta Hai Bila Dastoor Karta Hai . Jo Khair Andhaish Bhi Dono Ka Hai Wo Kis Sakhawat Say . Mujhe Badnam Karta Hai Tumhain Mashhor Karta Hai . Mujhe Toba Ka Pora Ajar Milta Hai Isi Saa'at . Koi Zohra Jabeen Peene Par Majboor Karta Hai . Wo Hans Kar Baat Kar Lain To Kafi Sy Ziada Hai . Pari Zaadon Say Jhagra Kab Koi Mazdoor Krta Hai . Nazar Bazi Ko Arbaab E Khurd Kuch Bhi Kahain Lekin . Ye Rangeen Mashgala Dil Ko Boht Masroor Karta Hai . Diay Jate Thay Dil Tohfay Ki Sorat Main "Adam" Pahle . Par Ab Kon Aisi Sasti Cheez Manzoor Karta Hai.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Siwa Is K Kya Dosri Baat Hogi,

Siwa Is K Kya Dosri Baat Hogi Tumhain Jeet Hogi Hamain Maat Hogi . Asar Hai To Yak Lakht Hoga Numayaa, Kashish Hai To Forun Mulakaat Hogi . Mere Dosto Ki Dil Azariyon Main, Meri Behtri Ki Koi Baat Hogi . Teri Zulf Elaan Farma Rahi Hai, Bari Mosla Daar Barsaat Hogi . "Adam" Umar Rafta Nay Jaana Kahan Hai Wo Baithi Kareeb E Kharaabat Hogi.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Bari Bay-Tahasha Sharabain Yahi Hai

Bari Bay-Tahasha Sharabain Yahi Hai . K Ankhon Say Ankhain Hum'aail Rahi Hai . Mujhe Jis Gurr Ki Zarorat Hai Us Say . Samandar Ki Gehraiyan Bhi Tahai Hai . Zabano Ki Bas Main Kahan Hai Wo Batain . Jo Sarkaar K Abru'on Nay Kahi Hai . Mera Haal Ab Door Rah Kar Na Pocho . Meri Jaan Par Parchaiyaan Chal Rahi Hai . Karam To "Adam" Bakht Main Hi Nahi Tha . Jafain Bari Chaashni Say Sahi Hai.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Nazar Ki Betabi Sy Yun Maamor Kar Dalo

Nazar Ki Betabi Sy Yun Maamor Kar Dalo . Kah Inko Ehtaraam E Ishq Par Majboor Kar Dalo . Muhabt Karne Wali Aankh Bhi Mazdoor Hoti Hai . Kabhi To Kuch Hisaab E Ujrat Mazdoor Kar Dalo . Hamain Bhi Dost Dushman Ka Pata Chal Jaye Thora Sa . Hamari Moat Ki Jhoti Khabr Mashhor Kar Dalo . Kaleem E Muhtaram Ab Rab Zameen Par Kum Utarta Hai . Munasib Hai K Tum Tark E Khayal E TOOR Kar Dalo . Muhabt Ki Sadaqat Ko Parakhny Main Jhijhak Kaisi . Chur'ri Main Paish Karta Hon Shak Tum Door Kar Dalo . Mere Dil Par Gulabi Honth Rakh Do Ta K Je Uthay . Ye Fouri Rehm Ki Darkhast Hai Manzoor Kar Dalo . Tahi Sheshay To Bilkul Bad Dua Maloom Hote Hai . Jo Sheesha Bhi Tahi Ho Usko Chakna Choor Kar Dalo.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Jo Arzo Bhi Dil Main Thi Ik Jaam Ban Gai

Jo Arzo Bhi Dil Main Thi Ik Jaam Ban Gai . Honthon Tak Aate Aate Tera Naam Ban Gai . Toti Kuch Or Ada Say Sisakti Hoi Umeed . Halki Si Aik Sorat E Araam Ban Gai . Din Ki Shadeed Dhoop Main Bhi Jab Khuli Wo Zulf . Aik Ras Bhari Mehkti Hoi Shaam Ban Gai . Harjai Hogai To Muhabt Bhi Aik Dum . Bazaar Ki Haseena Badnaam Ho Gai . Jurrat Khata Ki Garcha Bari Na'tawaan Si Thi . Masloob Ho K Kisi Khush Injaam Ban Gai . Jurm Uski Ankh Ka Tha Magr Kis Tipaak Say . Meri Nigah Ilzaam Ban Gai . Ye Aik Kaam Zeest Nay Behter Kiya "Adam" . Aik Dil Faraib Silsila E Daam Ban Gai.....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Dost Dil K Masle Main Mere Kaam Aain Gay Kya

Dost Dil K Masle Main Mere Kaam Aain Gay Kya . Aik Pagal Ko Kai Nadan Samjhain Gay Kya . Soliyaan Lakhon Bhi Hon Haail To Arbaab E Nazar . Meh-Washon Ko Daikhnay Say Baaz Aa Jayain Gay Kya . Allah Allah Apne Dewano Say Itni Bay-Rukhi . Aj Hum Par Ap Pather Bhi Na Barsain Gay Kya . Ap K Bas Main Apni Zulf E Barhum Bhi Nahi . Ap Meri Uljhanain Suljhain Gay Kya . Is Qadr Ghul Mil Na Jao Un Sy Pehli Martaba . Ghr Pasand Aaya To Phr Wo Chor Kr Jayain Gay Kya . Rang E Barhum Bhi Agr Hoga To Phr Bhi Rang Hai . Phol Murjha Bhi Gaye To Phol Mar Jayain Gay Kya . Koi Na Koi To Akhir Aa Hi Jaye Ga . Dosto K Qehet Sy Dushman Mar Jayain Gay Kya . Baat Krne Par Wo Amada To Hai Thore Boht . Ye Nahi Yaksaan Juz Irshaad Farmain Gay Kya....'*SA*' - Itna Lamba Or Bhayank Din Katay Ga Kis Tarha . Hashr K Mele Main Kuch Qawaal Bhi Jayain Gay Kya . Sahibaan E Jaah O Sarwat Ap Khud Qilaash Hai . Ap Us Maskeen Ki Imdad Farmain Gay Kya . Q Lipat Jayain Na Tum Say

Bila Khof Qulb O Jiger Chaak Kar,

Bila Khof Qulb O Jiger Chaak Kar, Hamari Zarorat Ka Idraak Kar . Qayamat Ka Mafhoom Madhum Hai Kuch, Zara Zaib E Tan Taiz Poshaak Kar . Ye Chandni Si Bahain Ye Pholon Sy Lab, Kisi Din Inhain Meri Imlaak Kar . To Mohtaat Hai Aay Mere Seem Tun, Kaba Khol Or Sair Aflaak Kar . Shikari Nahi Goo "Adam" Wo Haseen, Nishana Lagata Hai Kya Taaak Kar....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Dunya K Zorr Pr Na Tere Iltifat Pr,

Dunya K Zorr Pr Na Tere Iltifat Pr, Main Ghour Kr Raha Hon Kisi Or Baat Pr . Daikha Hai Muskura K Jo Us Mehjabeen Ny, Joban Sa Aagaya Zara Waqiat Pr . Dete Hai Hukam Khudhi Mujhe Bolny Ka, Phr Tokty Hai Ap Mujhe Baat Baat Pr . Main Janta Hon Tum Bare Safaak Ho Magr, Insan Ko Ikhtiyar Nahi Hadsaat Pr . Jeena Hai 4 Roz To Aay Sahib E Khurd, Gehri Nazar Na Daal Faraib E Hayat Par . Aaisi Haseen Batain Hoi Bhi Hai Sach Kabhi, Main Kis Tarha Yaqeen Karon Teri Baat Par . Gultaan Thi Kainaat Usi Rung Main "Adam", Jis Rang Ki Nagah Pari Kainaat Par....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Jurm Ka Jab Bhi Irtikab Howa,

Jurm Ka Jab Bhi Irtikab Howa, Kitna Khush Qulb E Na Muraad Howa . Kibriya Main Bhi Kuch Kashish Na Rahi, Is Qadr Qehet E Aitmad Howa . Itni Taleem Day Rahi Thi Khird, Dil Ko Koi Sabaq Na Yaad Howa . Hogaye Zulm Sy Nidarr Hum "Adam", Zulf Ka Kuch To Insidaad Howa....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Jaam Pr Hi Na Sirf Taal Hamain,

Jaam Pr Hi Na Sirf Taal Hamain, Ankharyon Sy Bhi Kr Kuch Nihaal Hamain . Jab Say Daikha Hai Teri Zulfon Ko, Achay Lagte Hai Kalay Jaal Hamain . Hum Bhi Ghar Baar Rakhne Wale Hai, Itni Khawari Say Mat Nikaal Hamain . Teri Yaadon Ko Bhool Jaane Tak, Maar Day Ga Tera Khayal Hamain . Charah Gar Kya Dohra Hai Dhokay Main, Saaf Keh Day Hamara Haal Hamain . Hum Galat Hi Thek Hai Rehber, To Kisi Rah Par Na Daal Hamain . Lag Gai Bad-Dua Khushi Ki "Adam", Mil Gaya Dard E Zawaal Hamain....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Khuli Wo Zulf Jo Pehli Jabeen Raat Hoi

Khuli Wo Zulf Jo Pehli Jabeen Raat Hoi . Uthi Wo Ankh To Takhleeq Kainaat Hoi . Khuda Nay Gurr To Diya Alam E Wajood Magar . Sajawato K Bina Orton Ki Zaat Hoi . Thi Itni Batain Dilon Main K Jab Moqa Mila . Na Un Say Baat Hoi Na Mujh Say Baat Hoi . Dil E Tabah Ko Kuch Or Kr Gai Zakhmi . Wo Aik Nazr Jo Gunahgar E Iltifaat Hoi . Hayaat O Moat Ki Gharat Gari Ka Haal Na Poch . Jo Moat Ban Na Saki Wo "Adam" Hayat Hoi....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Khushi Ye Hai K Aaduu Ka Bhi Sar Phata Nikla

Khushi Ye Hai K Aaduu Ka Bhi Sar Phata Nikla . Khuda Ka Shukar Kr Tu Sakht Bewafa Nikla . Nazar Milaty Howay Un Say Sharm Aati Hai . Main Jisko Sidq Samjha Tha Mud'da Nikla . Isi Ko Kahte Hai Barto Rast Baazi Ka . Dikhai Kuch Diya Or Baad Main Tu Kya Nikla . Main Chor Aaya Tha Masjid Main Shaikh Ko Lekin . Wo Pechay Pechay Mere Maikada Main Aa Nikla . Jawab Lana Tha Qasid Nay Kya Mere Khat Ka . Wo Ap Uski Muhabt Main Mubtala Nikla . Haram Main Sang Tha Insaan Main Pyar Ka Ras . Jaga Jaga Ka Tamad'dun Juda Juda Nikla . Faqiha Shahr Ki Janib Gaye To Thay Sofi . Mgar Wo Admi Mere Mazaaq Ka Nikla . Jo Rahnuma Tha Wo Toheen Rehbari Tha "Adam" . Jo Rahzun Tha Wo Kumbakht Rehnuma Nikla....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Baat Ka Koi Faisla Na Howa

Baat Ka Koi Faisla Na Howa Shukar Hai Khon Ka Mud'da Na Howa . Ishq Nay Gar Hazaar Jaal Bunay Husn Dhokay Main Mubtala Na Howa . Khuld Ko Apna Ghr Mat Samjho Daikhna Garohaan Khula Na Howa . Maang Baithay Thy Hum Dua Aik Din Phr Kabhi Aisa Hosla Na Howa . Kuch To Hota Hai Thek Ho Ya Ghalat Phr Bura Kya Agar Bhala Na Howa . Wo To Bay Hud Kareem O Mushfiq Thay It'tifaqun Mera Bhala Na Howa . Kya Howa Ye Na Poch Aay Hum Dum Balkah Sirf Itna Poch Kya Na Howa . Dard Ki Bhi Dawa Hoi Hai Kabhi Dard Wo Kya Jo La Dawa Na Howa . Maine Chaira Tha Dil Lagi Say Usay Wo Bhi Kuch Soch Kar Khafa Na Howa . Koh Kunn Nay Wo Rameet Qaim Ki Phr Koi Jurm Wafa Na Howa . Tu Salamat Rahe Bakhair Rahe Kya Howa Tu Agar Mera Na Howa . Haaye Us Mehjabeen Ka Hijar "Adam" Jo Juda Ho K Bhi Juda Na Howa....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Chara

Aik Shab Is Tarha Jiay Hote,

Aik Shab Is Tarha Jiay Hote, Lab Tere Sab Say See Liay Hote . Wo Mile Bhi To Ik Jhijhak Si Rahi, Kaash Thori Say Hum Piay Hote . Koi Naiki To Yaad Reh Jati, Zulm Hi Khul K Kuch Kiay Hote . Shay Jaga Par Hi Thek Lagti Hai Tum Sarapa Mere Liay Hote . Ba-Khuda Tu Gale Laga Laita Kitne Sajde Tujhe Kiay Hote . Zeest Par Rehm Aa Gaya Warna Hum To Kuch Or Bhi Jiay Hote . Humko Kehti To Hum Nay Sheereen Ko Shahr Tameer Kr Diay Hote . Toba Ka Is Main Kya Ziyaan Tha "Adam" Honth To Gele Kar Liay Hote....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Ehsaan Is Qadar Na Jatao Jan E Man

Ehsaan Is Qadar Na Jatao Jan E Man . Jana Hi Chahte Ho To Jao Jan E Man . Chup Chaap Baithna Farasat Ka Khoon Hai . Bolo Bolao Dhoom Machao Jan E Man . Dawat Fiqya E Shahr Ko Daine Say Behtr . Anbaar Botlon Ka Lagao Jan E Man . Maine Ye Kab Kaha Hai K Ghr Par Nahi Thay Tum . Bay Faida Kasam Na Uthao Jan E Man . Is Hadsay Say Jaan Nikal Jaye Gi Meri . Anchal Na Apna Mujh Say Churao Jan E Man . Ruswa Karo "Adam" Ko Kisi Or Dhang Say . Jhoti Kahaniyaan Na Banao Jan E Man....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard

Saqi K Gaisoun Ki Hawa Kha Raha Hon Main

Saqi K Gaisoun Ki Hawa Kha Raha Hon Main . Or Is Hawa K Saath Kaheen Ja Raha Hon Main . Khat K Siwa Wajod Do Alam Tha Bay Nishaan . Is Mehveet Say Tera Khat Parhta Raha Hon Main . Nikla Tha Us Haseen K Ta'aaqub Main Bay Khabr . Ab Tak Is Nashay Main Chal Ja Raha Hon Main . Jhoti Tasal'liyon Ka Bhi Ab Itna Qehet Nahi . Aay Roz E Mehshr Tujh Pay Yaqeen La Raha Hon Main . Is Simt Khainch Lai Thi Dil Ki Tarap Mujhe . Barhum Na Ho Thehrta Nahi Ja Raha Hon Main . Pehle Main Na'saahon K Sitam Ka Shikaar Tha . Ab Apni Jaan Pay Ap Ghazab Dha Raha Hon Main . Jata Hun Bazm E Mahshr Main Is Be Dil K Sath . Jaise Kisi Raqeeb K Ghar Ja Raha Hon Main . Dair O Haram Ki Gird Boht Door Reh Gai . Shayad K Maikaday K Qareeb Aa Raha Hon Main . Dil Torr Kr Chale Bhi Gaye Wo "Adam" Magr . Un K Salook Par Abhi Lehra Raha Hon Main...*SA* - - Type By...-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad..-* - Poet Abdul Hameed Adam Book

Kal Kaheen Tujh Say Bhi Acha Tera Bimaar Na Ho

Kal Kaheen Tujh Say Bhi Acha Tera Bimaar Na Ho . Itne Sangeen Tagaful Ka Gunahgaar Na Ho . Zindagi Main Bhi Sakon Dhundhtay Ho Diwano . Zindagi Kya Hai Jo Chalti Hoi Talwaar Na Ho . Ap Ki Baat K Mafhom Kai Hote Hai . Ap Ki Haan Kaheen Hum Maaeni Inkaar Na Ho . Raat Ko Nisf Say Zaaid Magr Darr Ye Hai . Is Gaye Waqt Bhi Darbaan Kaheen Bay Daar Na Ho . Barhami Main Jo Halawat Hai Sajawat Main Kahaan . Zulf Hi Kya Hai Jo Ashfita O Khum Daar Na Ho . Shamma Main Kya Hai Jo Daita Hai Patangay Ko Faraib . Us K Parday Main Tera Shola E Rukhsaar Na Ho . Khulq Ruk Jaye Gi Na Gaah Tamashay K Liay . Mujh Say Is Darja Khafa Sar E Bazaar Na Ho . Dil Ko Lay Aata Hon Bazaar Say Wapis Har Roz . Is Tarha Ka Bhi "Adam" Qehet E Kharidaar Na Ho....'*SA*' - - Type By.....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* - Poet:- Abdul Hameed Adam Book Charah E Dard