Posts

Showing posts with the label Poet Yousif Khursheed

Is Say Pahle K Wo Chala Jaye Usko Jaane Say Rok Lay Koi

Image
Is Say Pahle K . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Is Say Pahle K Wo Chala Jaye Usko Jaane Say Rok Lay Koi,,,-* . Uski Ankhon May Harf Jhalkay Hai Mere Hontho Ko Lafz Day Koi,,,-* . Mashwara Zabt Ka Mujhe Day Kar Wo , Roo Para Tha Kharay Kharay Koi,,,-* . Usko Is Say Garz Nahi Kuch Bhi , Pyar Kaise Bhala Kare Koi,,,-* . Zaiqa Chakh Lia Judai Ka , Zaher Peene Say Q Daray Koi,,,-* . Wo To Sohni Ka Ishq Tha "Yousif" Aaj Ghar Main Bhala Maray Koi,,,-*,,SA,,* . Book Aaino K Apne Dukh Poet Yousif Khursheed

Muhabt Ki Nishani Day Gaya Hai

Image
Muhabt Ki Nishani . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Muhabt Ki Nishani Day Gaya Hai Wo Ashko Ko Rawaani Day Gaya Hai,,,-* . Meri Is Mukhtasar C Zindagi Ko , Boht Lambi Kahani Day Gaya Hai,,,-* . Tabhi To Nafrato Ko Bant'tay Hai Wo Chahat Ki Girani Day Gaya Hai,,,-* . Koi Bhi Jurm To Aisa Nahi Tha Anokhi Moat Jani Day Gaya Hai,,,-* . Sabab Koi Nahi Tha Rothnay Ka Wohi Aahain Yarani Day Gaya Hai,,,-*,,SA,,* . Book Aaino K Apne Dukh Poet Yousif Khursheed

Us Say Rishta Hai Bas Naam Ka

Image
Us Say Rishta Hai . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Us Say Rishta Hai Bas Naam Ka , Is Tarha Ka Rabta Kis Kaam Ka,,,-* . Ye Parinday Lot'tay Hai Kis Tarha , Tum Nay Kab Daikha Hai Manzar Shaam Ka,,,-* . Bachpanay Main Us Nay Aik Wada Kia , Aaj Bhi Hun Muntazir Paigham Ka,,,-* . Aa Khareedaro Ki Basti Main Chalain Waqt Aa Pohncha Mere Nilaam Ka,,,-* . Usko Mohal'lon Ki Hawa Raas Aa Gai Usko Andaza Kahan Aa'laam Ka,,,-* . Chonk Utha Tha Main Kisi Awaz Say , Aik Tasau'war Zaihen Main Tha Baam Ka,,,-* . Aaj Bhi Wo Pyar Say "Yousif" Kahe Raqs Daikho Mai' Kadaay Main Jam Kaa,,,-*,,SA,,* . Book Aaino K Apne Dukh Poet Yousif Khurseed

Apne Wajood Say Kabhi Bahir Nikal K Aa

Image
Apne Wajood Say . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Apne Wajood Say Kabhi Bahir Nikal K Aa , Bahir Ko Aa Raha Hai To Thora Sanbhal K Aa,,,-* . Kitna Sakoot Chanay Laga Kainat Par Chup Ka Libas Aaj To Aay Jan Badal K Aa,,,-* . Nafrat Ka Tooq Phainka Hai Ab Utar Kar , Aana Hai To Pyar K Sanchay Main Dhal K Aa,,,-* . Aasan Rasto Say To Manzil Na Mil Saki , Dushwar Jo Lage Inhi Rasto Pay Chal K Aa,,,-* . Soraj Bhi Aik Umar Jalta Hai Dhoop Main , Aay Chand To Bhi Chandni Ki Loo Main Jal K Aa,,,-*,,SA,,* . Book Aaino K Apne Dukh Poet Yousif Khursheed

Usi Ki Ankhon Main Pyar Kam Hai Yahi To Gham Hai

Image
Usi Ki Ankhon Main . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Usi Ki Ankhon Main Pyar Kam Hai Yahi To Gham Hai,,,-* . Wohi Paraishan Hai Ankh Num Hai Yahi To Gham Hai,,,-* . Wohi To Hai Jis Nay Dard Baichay Hai Aaino Ko,,,-* . Kamal Ye Hai Wo Mohtarum Hai Yahi To Gham Hai,,,-* . Hamain Kahan Uski Ankh Par Dastras Rahi Hai,,,-* . Hamare Andar Kahan Ye Dam Hai Yahi To Gham Hai,,,-* . Us Nay Kal Bhi Mujhe Saza Waar Likh Dia Tha,,,-* . Us K Hathon Main Phr Kalam Hai Yahi To Gham Hai,,,-* . Ishq O Masti Main Naam Jo Mo'tabir Hoa Tha,,,-* . Sar Bhi "Yousif" Usi Ka Khum Hai Yahi To Gham Hai,,,-*,,SA,, . Book Aaino K Apne Dukh Poet Yousif Khursheed