Posts

Showing posts from December 20, 2014

Kahte Hai Ye Zaair Say Ewaan Madinay K,

Kahte Hai Ye Zaair Say Ewaan Madinay K, Sultano K Sultan Hai Sultan Madinay K . Tehzeeb Nirali Hai Tehzeeb Madinay Ki, Insaan Anokhay Hai Insan Madinay K . Is Arz E Muqad'das Par It'ra K Na Chal Itna, Adaab Aray Kuch To Pahchaan Madinay K . Ehraam Ziyarat Ka Tu Bandh To Lay Pahle, Ho Jayain Gay Khud Raste Asaan Madinay K . Aa Jaon Kisi Sorat Nisbat K Tasal'sul Main, Darban Hi Mujhe Rakh Lain Darban Madinay K . Ab Loat K Kya Jayain Shahr E Shah E Bat'ha Say, Is Fikar Say Baithay Hai Mehman Madinay K . Ya Rab Main Kisi Heelay Pohchun Dar E Rahmat Par, Lay Kr Hi Na Mar Jaon Armaan Madinay K . Dil Main Ho Bandhi Jaise Ik Aas Shifat Ki Hai Ummat E Aasi Par Ahsaan Madinay K . Har Hukam E Nabi Samjho Ta Shaam E Abad Nafiz, Tanseekh Say Baa'la Hai Farmaan Madinay Ka . Kuch Pas Na Ho Jis Ko Adaab E Risalat Ka, Us Shakhs Say Afzal Hai Haiwan Madinay

Sainkro Aa K Rahe Dil Main Gumaan Sari Raat,

Sainkro Aa K Rahe Dil Main Gumaan Sari Raat, Sach Kaho Tumne Guzari Hai Kahaan Sari Raat.* . Har Nafs Par Hai Teri Aahat Ka Gumaan Sari Raat, Dil Raha Hai Teri Janib Nigraan Sari Raat.* . Justaju Main Teri Thak Haar K Baitha Na Gaya, Dil Jo Dharka To Rahe Ashk Rawaan Sari Raat.* . Ghair Ki Bazm Main Ganimat Ka Bahana Mil Gaya, Phr To Lag Paye Na Taalo Say Zubaan Sari Raat.* . Do Ghari Bhi Hai Ganimat Mere Ghr Main Rukna, Main Kahan, Ap Kahan, Or Kahaan Sari Raat.* . Wo Sar E Shaam Zara Dair Ko Aa Nikle Thay, Jagmagata Hi Raha Mera Makaan Sari Raat.* . Chand Taaron Main Teri Shakal Nazar Aati Hai, Hijar Main Wisaal Ka Rahta Hai Samaan Sari Raat.* . Raat Bhar Rukh Bhi Idhar Ka Na Kiya Us Nay "Naseer", Khawab Kya, Zeest Rahi Hum Pay Giraan Sari Raat....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E

Barhao Or Na Tum Bad'hawasiyan Meri,

Barhao Or Na Tum Bad'hawasiyan Meri, Ghata Saako To Ghata Do Udasiyan Meri.* . Meri Aana Say Barhain Khud Shanasiyan Meri, Daabo Gai Mujhe Na Sipasiyaan Meri.* . Wo Dushmani, Kah Raha Jis Pay Dosti Ka Gumaan, Na Kaam Aa Sakeen Mardum Shanasiyan Meri.* . Kafan Bhi Ho Ga Mera Pak Saaf Or Naaya, Rahain Gi Qabar Main Bhi Khush Libasiyan Meri.* . Main Un Ka Hun Main Unhi Ki Tlash Main Goum Hun, Faraib Day Na Mujhe Khush Shanasiyan Meri.* . Ada Ho Ya K Haaya, Bay Rukhi Ho Ya K Khafa, Unhain Hai Naaz Kah Sab Hai Ye Daasiyan Meri.* . "Naseer" Ik Jhalak Husn Ki Thi Hoosh Rubaa, Barhaa Gaya Hai Koi Bad Hawasiyan Meri....*SA* . Type By....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab

Furqat Main Nafs Nafs Saza Hai,

Furqat Main Nafs Nafs Saza Hai, Allah...! Tera Hi Aasra Hai.* . Sehra Main Sakoon Mil Raha Hai, Ahsaan Ye Aay Janoon Tera Hai.* . Aasaan Kab Ibtada E Ulfat, Azaar O Aalam Ki Intiha Hai.* . Bay Had'do Hisaab Uski Bakhshish, Ab Bhi Jo Khata Na Ho Khata Hai.* . Pholon Say Yagangat Hai Mujh Ko, In Main Mera Khoon Doorta Hai.* . Qurbat Main Thi Saaz Dil Ki Laay Or, Furqat Main Kuch Or Hi Nawa Tha.* . Pamaal E Khizaan Zaror Hoga Jo Phool Bahaar Main Khila Hai.* . Pehchan Saka Na Wo Hamain Bhi, Us Nay To Kamaal Kar Diya Hai.* . Kis Kis Ko Sunao Haal Ghum Ka, Har Shakhs "Naseer" Pochta Hai....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab
Wafa Ho Kar Jafa Ho Kar Haaya Ho Ho Kar Adaa Ho Kar, Samaye Wo Mere Dil Main Nahi Maloom Kya Ho Kar.* . Mera Kahna Yahi Hai Tu Na Rukhsat Ho Khafa Ho Kar, Ab Agay Teri Marzi Jo Bhi Tera Mud'da Ho Kar.* . Na Wo Mehfil Na Wo Saqi Na Wo Sager Na Wo Bada, Hamari Zindagi Ab Reh Gai Hai Bay Maza Ho Kar . MA'AAZ-ALLAH Ye Alam But'ton Ki Khud Numai Ka, K Jaise Chaa Hi Jayaingay Khudai Par Khuda Ho Kar.* . Bahr Sorat Wo Dil Walon Say Dil Ko Cheen Lete Hai, Machal Kar, Muskura Kar, Roth Kar, Tun Kar Khafa Ho Kar.* . Na Choro Sath Mera Hijar Ki Shab Dobty Taaro, Na Phairo Mujh Sy Yun Ankhain Mere Ghum Ashna Ho Kar.* . Inhain Phr Kon Janchay Kon Tolay Ga Nigahon Main, Agar Kantay Rahain Gulshan Main Pholon Say Juda Ho Kar.* . Mere Dil Nay Haseeno Main Maze Lotay Muhabt K, Kabhi Is Par Fida Ho Kar Kabhi Us Par Fida Ho Kar.....*SA* .Jahan Say Wo Hamain Halki Si Ik Awaaz

Masnad E Naz Pay Jab Wo Sitam Ijaad Aaya,

Masnad E Naz Pay Jab Wo Sitam Ijaad Aaya, Toot Kar Aik Jahaan Bar Sar E Faryaad Aaya.* . Kaam Imaan K Akhir Mera Al'haad Aaya, Daikh Kar Us Butt E Kafir Ko Khuda Yaad Aaya.* . Unki Mehfil Main Ye Jaane Ka Natija Nikla, Main Gaya Shaad Magar Load K Na Shad Aaya.* . Amd O Raft Ki Us Bazm Main Sorat Ye Rahi, Ba Sar O Chashm Gaya Hamil E Faryaad Aaya.* . Aik Jaan Or 2 Qulb Bhi Rahe Hai Hum Tum, Haaye Kya Dour Tha Tum Ko Bhi Kabhi Yaad Aaya.* . Qatal Honay K Liay Maine Jhuka Di Gardan, Muskurata Hoa Is Shaan Say Jal'laad Aaya.* . Hum Boht Roay Hai Sai'yaad K Ghar Main Ghir Kar, Chaar Tinkon Ka Nashainam Jo Hamain Yaad Aaya.* . Justaju Main Teri Jo Shakhs Gaya Shaad Gaya, Jo Tere Shaher Say Aaya Barbad Aaya.* . Itna Itra'ain Baharon Pay Ahl E Gulshan, Hum Bhi Thay Maa'il E Parwaaz Kah Sai'yad Aaya.*SA* . Kaar Farma Hai Kisi Mosal'at E Khaas

Ishq Ki Kahani Tumhein Bhi Suna Dete Hain.

Ishq Ki Kahani TaYpEd By   TLASH25 Ishq Ki Kahani Tumhein Bhi Suna Dete Hain. = Hum Pe Jo Beeti Hai Tumhein Bhi Bata Dete Hain. = Ek Shakhs Ko Dil O Jaan Se Chaha Tha Hum Ne. = Bichar Gaya Par Usay Ab Bhi Dua Dete Hain. = Pata Nahin Wo Khush Hai Ab Bichar Ke Ya Nahin. = Us Ki Yaad Mein Kabhi Kabhar Ansoo Hum Bhi Baha Dete Hain. = Kabhi Koi Kaw'wa Aa Bethta Hai Mere Ghar Ki Chatt Par To. = Shayad Wo Aa Jayein Us Ki Rahguzar Bhi Saja Dete Hain. = Dastaan E Ghum Hum Sunayein Tum Mein Hai Hosla To Batao Ameer JEe. = Hum Beeti Dastan Gar Batayein To Jiger Walon Ko Bhi Rula Daite Hain...! = Poet By Ameer Ali Shah. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

. Hum Hi Nahi Un Pay Fida Or Bhi To Hai,

Hum Hi Nahi Un Pay . Type By....-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Hum Hi Nahi Un Pay Fida Or Bhi To Hai, Kuch Log Zindagi Say Khafa Or Bhi To Hai.* . Andaz Bay Rukhi K Siwa Or Bhi To Hai, Fitnay Tumhare Dum Say Baapa Or Bhi To Hai.* . Paband E Rasm O Rah Muhabt Hum'he Nahi, Zanjeer'yaan E Zouq E Wafa Or Bhi Hai.* . Ro Ro K Kah Raha Hai Koi Dastaan E Ghum, Hans Kar Wo Kah Rahe Hai Juda Or Bhi To Hai.* . Gouncho Ki Shugaft Main Goum Ho Gai Sabaa, Sahn E Chaman Main Tang Kaaba Or Bhi To Hai.* . Fir'on Par Hi Khatam Nahi Qissa E Aanna, Bar-Khud Ghalat Boht Say Khuda Or Bhi To Hai.* . Maine Kaha Jo Us Say K Yousif Ada Hai Tu, Sharma K Us Nay Mujh Say Kaha Or Bhi To Hai.* . Main Hi Nahi Kashta E Taig E Sitam "Naseer", Un Ki Gali Main Mere Siwa Or Bhi Hai....*SA* . Poet:- Peer Naseer O Deen Naseer Shah Book:- Paimaan E Shab

Ye Kaya Kah Gaye Mujh Ko Kahte Kahte,

Ye Kaya Kah Gaye . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Ye Kaya Kah Gaye Mujh Ko Kahte Kahte, Bhala Kah Gaye Wo Buraa Kahte Kahte.* . Kaheen Ye Na Ho Aankh Bhar Aaye Qasid, Meri Dastan E Wafa Kahte Kahte.* . Utha Tha Main Kuch Un Say Kahne Ko Lekin, Zuban Ruk Gai Baar'ha Kahte Kahte.* . Wo Suntay Magar Aay Hajoom E Tamanna, Hum'he Kho Gaye Mud'da Kahte Kahte.* . Zamane Ki Agoosh Main Ja Pare Hum, Zamane Ko Na Ashna Kahte Kahte.* . Pilaye Ga Saqi To Peeni Paray Gi, Kisi Din Rawa Na Rawa Kahte Kahte.* . Nigahain Jhukeen Lab Hilay, Muskuraye, Wo Chup Ho Gaye Jaane Kya Kahte Kahte.* . Adhori Rahi Dastan E Muhabt, Jahan Say Koi Uth Gaya Kahte Kahte.* . "Naseer" Aaise Ash'ar Unko Sunao, Wo Sharmain Bhi Marhaba Kahte Kahte....*SA* . Poet:- Peer Naseer O Deen Naseer Shah Book:- Paimaan E Shab

Nazar Main Nahi Ab Ghomta Paimaana Barson Say,

Nazar Main Nahi . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Nazar Main Nahi Ab Ghomta Paimaana Barson Say, Kasam Khaanay Ko Bhi Daikha Nahi Maikhana Barson Say.* . Na Peene Ko Mili Ik Ghount Bay Bakana Barson Rahe, Nahi Ab Kaar-Farma Jur'at E Rindana Barson Say.* . Sar E Sehra Jidhar Daikho Udasi Hi Udasi Hai, Idhar Aaya Nahi Shayad Dewana Barson Say.* . Kabhi Khalwat Kabhi Jalwat, Kabhi Hasna Kabhi Rona, Martab Kar Rahe Hai Hum Bhi Ik Fasana Barson Say.* . Ye Takleef E Qadam Boosi, Ye Andaaz E Pazeerai, Hamara Muntazir Tha Gaalbun Werana Barson Say.* . Muyassar Aai Kya Humko Gadai Ap K Dar Ki, Guzarti Hai Humari Zindagi Shahana Barson Say.* . Wo Apni Zaat K Sehra Main Shayad Tera Jo Ya Hai, Nazar Aaya Nahi Ahbaab Ko Dewana Barson Say.* . "Naseer" Ab Apni Ankhain Uth Nahi Sakti Kisi Janib, Mere Paish E Nazar Hai Ik Tajal'li Khana Barson Say....*SA* . Poet:-

Tera Khayal Rahe Teri Arzo Bhi Rahe,

Tera Khayal Rahe Teri Arzo Bhi Rahe, Ye Dil Tera Hai Kabhi Is Main Aa K To Bhi Rahe.* . Wofor E Shoq Main Chahat Ki Abro Bhi Rahe, Tlash E Yar Bhi Rahe Apni Justaju Bhi Rahe.* . Ye Do Ghari Ki Rafaqat Nahi Muhabt Hai, Haaya To Husn Ka Zaiwar Hai Guftagu Bhi Hai.* . Jamal E Haq Meri Ankhon Ka Noor Ban K Raha, Agarcha Meri Nigaho Main Khu'baro Bhi Rahe.* . Tere Bagair Kabhi Ma'ay Ka Naam Tak Na Liya, Hazaar Jaam Chale Samne Saabu Bhi Rahe.* . Khuda Kare K Tujhe Bhi Ghum E Muhabt Ho, Tamaam Umar Giraftaar E Ishq Tu Bhi Rahe.* . Mujhe Ye Dhun Hai K Mehfil Main Koi Ghair Na Ho, Usay Ye Zid K Main Bhi Rahun Aa'duo Bhi Rahe.* . Suna Hai Unki Mulakat Ko Gaye Thay "Naseer", Mile Wo Ap Say Ap K Roo Ba Roo Bhi Rahe....*SA* . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Peer Naseer O Deen Naseer Shah Book:- Paimaan E Shab

Hans Diay Chaman Main Gul Kis Liay Khuda Jane,

Hans Diay Chaman Main Gul Kis Liay Khuda Jane, Kya Kaha Baharon Nay Baat Ye Saaba Jane . Wo Hamain Alag Samjhay Wo Hamain Juda Jane, Hum Jinhain Zamane Main Aashna Jane . Ik Chupi Hoi Shay Ki Asal Koi Kya Jane, Dard E Dil Ka Qissa Hai Kon 2sra Jane . Hum To Ap Par Sadqay Ap Hum Say Baigana, Ibtada Main Ye Alam Intiha Khuda Jane . Main To Hosh Kho Baitha Daikh Kar Dum E Zeest, Aaine Pay Kya Guzri Aaina Jane . Us Nigah Par Humko Aitbar E Marhum Hai, Jo Khalish Barha Rakhay Zakhm Hi Laga Jane . Hum Nay Unsay Jab Pocha Kya Hoa Hamara Dil, Hans K Chup Rahe Pahle Phr Kaha Khuda Jane . Tere Dar K Tukro Ny Jis Gada Ko Pala Ho, Wo Kisi Ko Kya Jane Wo Kisi Ko Kya Jane . Ap Q Hoay Muztar Ap Q Paraishan Hai, Hum Pay Jo Guzri Hai Hai Apki Bala Jane . Khalq Ki Nigahon Main Main Bara Sahi Lekin, Ap Q Bura Samjhay Ap Q Bura Jane . Ye Sharf "Naseer" Uski Bargah Main Kya Kum Hai, Wo Teri Dua Sun Lay Tera Mud'da