Posts

Showing posts with the label Book Raakh K dhair Main Phool By Muzaffer Warsi

Dil Abad Hai Ankhain Khali Khali Hai

Image
Dil Abad Hai Ankhain Khali Khali Hai . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Dil Abad Hai Ankhain Khali Khali Hai . Ye Shaklain Baqi Rah Jane Wali Hai . Naiki Bhi Matlab Say Karti Hai Dunya . Baant Rahe Hai Jo Khairaat , Sawali Hai . Kitna Sacha Hai Insaaf Adalat Ka . Chotne Wale Sab Mujrim , Aqbaali Hai . In Sar Oncha Kar K Chalne Walo Nay . Waqt K Pairo Main Dastarain Dali Hai . Apne Apne Zameer Ka Haq Mara Hai . Such Pocho To Hum Sab Istihali Hai . Danishwar To Boht "Muzaffar" Hai Laikin . Kitne "Sar Sayyad" Hai Kitne "Haali" Hai.......*SA* . End . Book Rakh K Dhair Main Phol By Muzaffar Warsi
Image
Bhagte Shakhs Ko Shahsawar Na Maano Ga . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Bhagte Shakhs Ko Shahsawar Na Maano Ga . Choo'roo Ko Main Shab Baidar Na Maano Ga . Isi Shikari Dunya Ka Shagird Hun Main . Itni Aasani Say Haar Na Maano Ga . Nach Nach Kar Matt Bahlao Garebo Ko . Chenkh Ko Payal Ki Jhankar Na Maano Ga . Chaap Ko Maine Andar Atay Daikha Hai . Saaye Ko Hargir Deewar Na Maano Ga . Jabir Sultano Par Jo Tanqeed Kare . Aise Baagi Ko Gaddaar Na Maano Ga . Chaho Kitna Khon Jalao Chirago Main . Qatl O Gharat Ko Tahwar Na Maano Ga . Sab Ka Barabar Haq Hai Musaffar Dunya Par . Taqat War Ko Aajara Dar Na Maano Ga.......*SA* . END . POET Muzaffar Warsi . Book Rakh K Dhair Main Phool

Sach Bolte Fankar Ko Chup Kaise Kia Jaye

Image
Sach Bolte Fankar . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Sach Bolte Fankar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Awaz K Haqdar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Cheekho Ko To Dafna Dia Dewar K Peechay . Girti Hoi Dewaar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Pahna To Gaye Ho Mere Nagmaat Ko Zanjeer . Zanjeer Ki Jhankar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Bikne K Liay Aya Hai Har Aik Khareedar . Lut'te Hoay Bazar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Awaz Daba Kar Meri Wo Soch Raha Hai . Khamoshi Ki Lalkar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Takleef Say Jo Cha'hragard Chenkh Raha Hai . Aise Kisi Beemar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Jalte Hoay Anso To Muzaffar Main Bicha Do . Barsat Ki Bochar Ko Chup Kaise Kia Jaye.....*SA* . END . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Husn Ki Apni Wazahat Nahi Karna Ati

Image
Husn Ki Apni Wazahat . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Husn Ki Apni Wazahat Nahi Karna Ati . Galban Isko Muhabt Nahi Karna Ati . Aik Halki C Nazar Say Chatakh Jata Hai . Humko Is Dil Ki Hifazat Nahi Karna Ati . Ansuon Say To Marasim Hai Kisi Ankh Ki Hun . Qahqaho Main Hamain Sharafat Nahi Karna Ati . Q Hamain Ishq K Bazar Main Lay Aaye Ho . Lot To Sakte Hai Tijarat Nahi Karni Ati . Bandhta Hai Wo Baagolo Ko Bhi Zanjeero Say . Usko Dewano Ki Izzat Nahi Karna Ati . Zindagi Say Kabhi Insaf Nahi Kar Sakta . Jisko Zulm Say Bagawat Nahi Karna Ati . Karbalaon Main Utarna To Hamain Ata Hai . Waqt K Haath Pay Baeeyaat Nahi Karna Ati . Parwarish Ki Hai Muzaffar Ki Ajab Qadro Nay . Dushman Jan Say Bhi Nafrat Nahi Karna Ati.....*SA* . End . Book Rakh K Dhair Main Phol By Muzaffar Warsi

Har Qanon Nay Aa Kar Daikhe Mere Tan K Ghaao

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Har Qanon Nay Aa Kar Daikhe Mere Tan K Ghaao . Mere Khon Main Tairr Rahi Hai Har Munsif Ki Naao . Kon Ye Sachai, Insaf, Muhabt Baichne Aya . Khali Jaibo Wale Aa Kar Poch Rahe Hai Bhaao . Piyase Marne Walo K Hontho Tak Koi Na Pochay . Apne Ghr K Agay Sab Kar Laite Hai Chirkao . Gorkano K Shahr Main Rahna Kuch Asaan Nahi . Rahna Hai To Kafan Pahn Kar Qabristano Main So Jaao . Barhte Andhairo Par Jab Bhi Tanqeed Kia Karta Hun . Raat Ki Chatt Par Charh Kar Taare Karte Hai Pathrao . Tahzibo K Saaye Main Zulf Bhi Karta Raha Taraqqi . Yaksa Raha Hai Dono Say Har Lamhe Ka Bartao . Jati Hoi Lahro K Sath Muzaffar Jana Hoga . Paar Utare Gi Ab To Dobne Wali Naao......*SA* . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Dard Bhi Hum Nay Aksar Khareeda Or Sar E Aam Khareeda

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Dard Bhi Hum Nay Aksar Khareeda Or Sar E Aam Khareeda . Dil Main Shamma Muhabt Jalai Aag K Shahr Main Ghr Khareeda . Khon Ki Bound Thi Us Say Mahngi Jitni Kemat Main Khanjar Khareeda . Khudkashi Admeeyat Nay Karli Jab Jahalat Nay Mimber Khareeda . Jur'aatain Baich Kar Zakhm Khaye Aaina Day K Pathar Khareeda . Zindagi Bhar Ki Neendo K Badle Maine Kanto Ka Bister Khareeda . Moat Nay Bhi Meri Laaj Rakh Li Soliyo Nay Mera Sar Khareeda . Jeet Sakta Tha Wo Jang Kaise Jis Nay Lashkar Ka Lashkar Khareeda . Khwahisho Par Na Jana "Muzaffar" Khwahisho Nay Sikandar Khareeda.......*SA* . END . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Pattay Pattay Par Jo Werane Likhe

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* Pattay Pattay Par Jo Werane Likhe . Sab Hamare Naam Dunya Nay Likhe . Uski Mayosi Ka Andaza Karo . Deeda O Dil Ko Jo Baigane Likhe . Jhoom Uthi Hum Ko Rota Daikh Kar . Ansoun K Geet Barkha Nay Likhe . Yousifo K Naam , Namay Ishq Likhe . Har Zamane Ki Zulaikha Nay Likhe . Hosle Say Umar Humne Ki Basar . Daman Dushmam Pay Yarane Likhe . Zindagi Murdo K Hatho Main Rahi . Moat K Nohay Maseeha Nay Likhe . Saghro Say Bhi Chalakta Hai Laho . Waqt Maqtal Ko Bhi Maikhane Likhe . Khak Main Rulti Rahi Sachaiyan . Or Kalam Walo Nay Fasane Likhe . Un Qaseedo K Nahi Hum Zemaydar . Jo Hamare Baap Dada Nay Likhe . Hum To Sarkash Log Hai Hum Nay Sada . Fard Sultani Main Jurmane Likhe . Gile Shikway Hi "Muzaffar" Umar Bhar Dil K Kaghaz Par Tammana Nay Likhe.......*SA* . End . By Muzaffar Warsi

Sada E Huq K Liay Apni Jan Bhi Day Ga

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Sada E Huq K Liay Apni Jan Bhi Day Ga . Koi To Dar Pay Charh Kar Azaan Bhi Day Ga . Burijmaan Hai Jo Kursi Adalat Par . Kat'haire Main Khare Ho Kar Biyan Bhi Day Ga . Sama'atain Hi To Dewar Ka Naseeb Nahi . Koi To Hadsa Usko Zuban Bhi Day Ga . Parha Raha Hai Agar Wo Nisaab Shaam O Sahar . To Hum Ko Koi Imtihan Bhi Day Ga . Pare Ki Sabar Ki Adat Karege Shukar Agar . Hai Jiski Dhop Wohi Saibaan Bhi Day Ga . Bithao To Sahi Azam Safar Ko Kashti Main . Hawa Ka Zor Khule Badbaan Bhi Day Ga . Ye Mulk Asal Main Allah Ki Imanat Hai . Ameen Ban Gay Hum To Amaan Bhi Day Ga . Dilo Main Boay Ga Jo Shakhs Chahatain Apni . Suna Hai Ab Wo "Muzaffar" Lagan Bhi Day Ga . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Dagh Day Kar Saaf Chahra Mangti Hai Zindagi

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Dagh Day Kar Saaf Chahra Mangti Hai Zindagi Lot Kar Bhi Apna Hissa Mangti Hai Zindagi . Din Main Mujh Par Dhoop Ki Dewar Ban Kar Ghir Pare Or Shab Ko Apna Saaya Mangti Hai Zindagi . Aik To Zakhmo Say Chakna Chor Karti Hai Hamain Or Phr Sonay Ka Tamga Mangti Hai Zindagi . Pyar Ka Izhar Bhi Karti Hai Zalim Ki Tarha Monh Par Thapper Day K Boosa Mangti Hai Zindagi . Dosri Dunya Ka Jab Darpaish Hota Hai Safar Moat Say Darasal Waqfa Mangti Hai Zindagi . Kon Ye Usko Sikhata Hai Zabardasti Ka Fun Khainch Kar Dewar Rasta Mangti Hai Zindagi . Lamha E Majod Par Bhi Jinka Koi Haq Nahi Un Say Musatbil Ka Rasta Mangti Hai Zindagi . Khon Say Apne Taal'luq Torne K Waste Ajnabi Logo Say Rishta Mangti Hai Zindagi . Lot'ti Hai Shaam Ko Wapis "Muzaffar" Khali Hath Subah Uth Kar Roz Kharcha Mangti Hai Zindagi . By Muzaffar Warsi

Meri Khushboun Say Na Baach Saka Mere Sar Pay Aag Uchaal Kar

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Meri Khushboun Say Na Baach Saka Mere Sar Pay Aag Uchaal Kar . Wo Aseer Khud Mera Hogaya Mujhe Apni Qaid Main Daal Kar . Mere Khwab Bhi Mere Rut Jagay Safar Hayat Bhi Yun Lage . Kisi Khuffiya Rah Say Jis Tarha Koi Lay Chala Hai Nikal Kar . Jo Tera Sukhan Tere Sath Hai Mere Monh Pay Q Tera Hath Hai . Main Jawab Jis Ka Na Day Sako Koi Aisa Mujh Say Sawal Kar . Tere Is Numaishi Husn Say Mere Aaine Bhi Chatakh Gaye . Mujhe Or Kuch Nahi Chahiay Mera Aitmaad Bahal Kar . Meri Zindagi Hai Wo Aaina Koi Shakal Jis Main Saja Gai . Mujhe Toot Jane Ka Shoq Hai Wo Rakhe Mujhe Sambhal Sambhal Kar . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Khob Hai Dunya K Daryaon Main Hoti Ap Hai

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Khob Hai Dunya K Daryaon Main Hoti Ap Hai . Kahti Hai Daman Na Bhigay Or Bhigoti Ap Hai . Hum Say Kemat Pochta Hai Wo Hamare Pyar Ki . Husn K Bazaar Ka Anmol Moti Ap Hai . Zindagi Bhi Aisi Maa Hai Jo Kisi Takseer Par . Marti Olaad Ko Hai Or Rooti Ap Hai . Kis Qadar Masoom Hai Kismat Ka Ye Andaz Bhi . Jagne Wale Ko Day Ilzaam Soti Ap Hai . Pyar Kitna Hai Muzaffar Mujh Say Himmat Ko Meri . Booj Meri Peeth Par Rakhti Hai Dhoti Ap Hai . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Kashti Main Thay Hum Or Paani

Image
Kashti Main Thay Hum Or Paani . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Kashti Main Thay Hum Or Paani . Sath Hi Nikle , Dum Or Paani . Aik Qabeele Say Wabasta . Dil Or Ankhain Ghum Or Paani . Raqs Kia Us Nay Barish Main . Bars Gai Chum Chum Or Pani . Dil Walo Ko Kar Gaya Zinda . Khon Or Pyas Ilm Or Pani . Mil Nahi Sakte Hum Say Agar Tum . Deed Mila Kar Saam Or Pani . Phol Or Darya Sokh Chale Hai . Kahan Gai Shabnam Or Pani . Alamat Takhleeq Muzaffar . Farzand Adaam Or Pani.......*SA* . END . Poet Muzaffar Warsi

Maar Daine Ki Mujhe Dhamki Na Do

Image
Maar Daine Ki Mujhe Dhamki Na Do . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Maar Daine Ki Mujhe Dhamki Na Do . Lash Hun Main Lash Ko Phansi Na Do . Day Rahe Ho Q Sharafat Ki Qasam . Ik Mazhab Shakhs Ko Gali Na Do . Kitni Sadiya Hum Nay Soo Kar Kaat Di . Cheen Lo Ankhain Magar Lori Na Do . Dard Rakhte Ho Garibo Ka Agar . Ghar Na Do Kapra Na Do Roti Na Do . Kainch Lo Pairo K Niche Say Zameen . Par Na Do Kandha Na Do Seeri Na Do . Kaat Do Sab Aglay Pichle Raste . Haal Do Farda Na Do Maazi Na Do . Apne Peche Phr Chupo Gay Kis Tarha . Aaino Ko Sortain Asli Na Do . Chahte Ho Tum Muzaffar Ko Agar . Bad Dua Dy Do, Dua Jhoti Na Do......*SA* . End . Poet Muzaffar Warsi