Isi Sarhad Pe Kal Dooba Tha Suraj Ho K 2 Do Tukre.
Isi Sarhad Pe Kal TaYpEd By TLASH25 Isi Sarhad Pe Kal Dooba Tha Suraj Ho K 2 Do Tukre. = Isi Sarhad Pe Kal Zakhmi Huwi Thi Subah E Aazadi. = Ye Sarhad Khoon Ki Ashkon Ki Aahon Ki Shararon Ki. = Jahan Boi Thi Nafrat Or Talwarain Ugaayi Thi. = Mein Is Sarhad Pe Kab Se Muntazir Hon Subah E Farda Ka. = Yahan Mahbob Ankhon K Sitare Tilmilaye Thay. = Yahan Mashooq Chahre Ansuon Mein Jhilmilaye Thay. = Yahan Beton Se Maa Piyari Behan Bhai Se Bichari Thi. = Ye Sarhad Jo Lahu Peeti Hai Angare Ugalti Hai. = Humari Khaak K Seene Pe Nagin Ban K Chalti Hai. = Saja Kar Jang K Hathiyar Medan Mein Nikalti Hai. = Ye Sarhad Phool Ki Khushbu Ki Rangon Ki Baharon Ki. = Watan K Aarizon Pe Zulf Ki Manind Lahrati...! = Dhanak Ki Tarah Hansti Nadiyon Ki Tarah Bal Khati. = Mehkti Jagmagati Ek Dulhan Ki Maang Ki Surat. = Jo Balon Ko Do Hison Mein To Takseem Karti Hai. = Magar Sindoor Ki Talwar Se Sandal Ki Ungli Se. = Ye Sarhad Dilbaron Ki As