Posts

Showing posts with the label Poet Khalil Ullah Faroqi

Dard Ki Lehar Hai Ghum Ka Tofaan Hai

Dard Ki Lehar TaYpEd By  TLASH25 Dard Ki Lehar Hai Ghum Ka Tofaan Hai. = Aankh Numnaak Hai Dil Paraishan Hai. = Har Taraf Aaj Ibrat Ka Samaan Hai. = Ek Tanbiha Ek Elaan Hai. = Is Museebat Mein Bas Sahara Hai Tera. = Rab'bana Baab E Rehmat Khula Hai Tera. = Maang Ujri Huwi Ghar Ujre Huwe. = Kitni Maan Se Bache Hai Bichre Huwe. = Dekh In Ke Khilone Hai Toote Huwe. = Apne Piyaron Se Piyare Hai Chote Huwe. = Ghum Ki Shiddat Mein Bas Aasra Hai Tera. = RAB'BANA Baab E Rehmat Khula Hai Tera. = Zalzale Zameen Ki Jarein Kaat Di Dekhte Dekhte Sarhadein Kaat Di. = Mout Ne Zindagi Ki Ragein Kaat Di Dard Ne Zabt Ki Sab Hadein Kaat Di. = Rahum Kar Rahum Kar Rahum Shaiwa Tera. = RAB'BANA Baab E Rahmat Khula Hai Tera...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page 159.160. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Tumhein Dekha Nahin Jana Nahin Phir Bhi Ye Lagta Hai.

Tumhein Dekha TaYpEd By TLASH25 Tumhein Dekha Nahin Jana Nahin Phir Bhi Ye Lagta Hai. = Qibla Ek Hai Apna. = Wahi Dard E Judai Hai Wahi Bheegi Huwi Palkein. = Naseeba Ek Hai Apna. = Kisi Se Kuch Nahin Kahna Koi Shikwa Nahin Karna. = Kareena Ek Hai Apna. = Kisi Ki Yaad Se, Weerana Dil Jagmaga Lena. = Khazeena Ek Hai Apna. = Yaqeen Ki Aakhri Had Tak Milan Ki Khush Gumaani Hai. = Nateeja Ek Hai Apna...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name. Muhbat Khush Guma Hai. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dil Buhat Zor Se Dharak Utha

Dil Buhat Zor Se TaYpEd By  TLASH25 Dil Buhat Zor Se Dharak Utha Sansanahat Ragon Mein Dour Gayi. = Kapkapane Laga Badan Saara. = Aur Palkein Jhipkana Bhool Gayi. = Ahd E Paimaan Zabt Toot Gaye. = Hosh Rukhsat Hawaas Choot Gaye. = Kiya Ghazab Thi Bala Thi Wo Ankhein. = Kaisi Aahon Ruba Thi Wo Ankhein. = Mein Samandar Mein Jaise Doob Gaya...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page 158. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001 

Hum Dasht Nasheeno Ko Bhi Ghar Bakhsh Diya Hai.

Hum Dasht TaYpEd By   TLASH25 Hum Dasht Nasheeno Ko Bhi Ghar Bakhsh Diya Hai. = Ek Khuwab Ne Jeene Ka Hunar Bakhsh Diya Hai. = Kamyabi Asbaab Ka Shikwa Nahin Karte. = Ihsaan Ye Kam Hai Ke Safar Bakhsh Diya Hai. = Khush Fehmi Meri Jeet Ko Samjha Hai Meri Haar. = Dil Le Ke Mujhe Deeda Tar Bakhsh Diya Hai. = Us Se Sukhan War Dekha Na Suna Hai. = Jis Ne Mere Lahje Ko Asar Bakhsh Diya Hai...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page. 133. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001 

Parveen Tere College Me Mein

TaYpEd By  TLASH25 Parveen Tere College Me Mein Har Simt Tumhari Khushbu Hai = Wahi Ronaq Hai Wahi Alam Hai Wahi Mela Hai Wahi Moram Hai Wohi Sandul Hai Wahi Kajal Hai Wahi Anchal Hai Wahi Gesu Hai = Parveen Tumhare College Me Har Simt Tumhari Khushbu Hai = Wahi Moj E Ada Wahi Ranj E Hina Wahi Sada Qaba Wahi Chal E Saba Raam E Aaho Hai Wahi Jadu Hai = Parveen Tumhare College Me Har Simt Tumhari Khushbu Hai = Har Chahra Naqsh Tumhara Hai Har Lehje Me Tum Bolti Ho Har Pekar Aks Tumhara Hai Tum Kaano Me Ras Gholti Ho = Awaz Tumhari Khushbu Hai Ye Khushbu Kaisa Jadu Hai = Parveen Tumhare College Me Har Simt Tuuhari Khushbu Hai = Mahol Wahi Tehzeb Wahi Tanzeem Wahi Tarteeb Wahi = USTAD Wahi Adaab Wahi Ankhe Bi Wahi Or Khuwab Wahi = Koi Dilkash Hai Koi Dil Jow Hai = Parveen Tumhard College Me Har Simt Tumhari Khushbu Hai...! = PoetBy Khalil Ullah Faroqi = Book Name Muhbat Khush Guma Hai

Sabak Sabak Se Naqsh The

Sobak Sobak Se TaYpEd By  TLASH25 Sabak Sabak Se Naqsh The Sarapa Nazneen Thi. = Tamaam Lafz Be Hunar Wo Is Qadar Haseen Thi. = Wo Buhat Hi Dil Nasheen Thi Wo Kon Mahjabeen Thi. = Wo Uski Chashm E Neem Da Kah Jab Kabhi Uthi Zara. = Ye Kainaat Tham Gayi Mein Dekhta Hi Rah Gaya. = Hayaat Ka Yaqeen Thi Wo Kon Mahjabeen Thi. = Wo Asmaan Ka Chand Thi Zameen Pe Mera Rasta. = Wo Kehkashaan Ki Humsafar Hamara Kaisa Wasta. = Mein Khaak Wo Nageen Thi Wo Kon Mahjabeen Thi. = Wo Kon Khush Naseeb Hai Jo Le Gaya Hai Ghar Usay. = Ye Zindagi Ka Khel Hai Koi Lote Koi Base. = Suna Khushi Ki Saij Par Wo Hum Ki Hum Nasheen Thi. = Wo Kon Mahjabeen Thi...! = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Poet By Khalil Ullah Farooqi. = Page No. 48.49. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Shaam Ghum Aane Lagi Phir Teri Yaad Aane Lagi.

Shaam Ghum TaYpEd By  TLASH25 Shaam Ghum Aane Lagi Phir Teri Yaad Aane Lagi. = Faisla Ap Ne Khud Kiya Aankh Bhi Dabdabane Lagi. = Us Ne Dekha Tha Kal Ghoor Se Kiya Dua Rang Laane Lagi. = Ek Tabassum Ki Soghat Se Zindagi Muskurane Lagi. = Kaan Mein Kiya Saba Kah Gayi Sharam Kaliyon Ko Aane Lagi. = Barh Gayi Dil Ki Betabiyaan Din Dhala Raat Aane Lagi...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name Muhbat Khush Guma Hai. = Page No. 53 = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Chor Ke Tum Ko Jane Wala Ek Din Lout Ke Aaye To

Chor Ke Tum Ko TaYpEd By  TLASH25 Chor Ke Tum Ko Jane Wala Ek Din Lout Ke Aaye To. = Yaad Ka Aanchal Khushbu Ban Kar Phir Tum Par Lehraye To. = Koi Puraana Zakham Kuraide Meetha Dard Jagaye To. = Guzre Pal Ka Dil Kash Sapna Ankhon Mein Bas Jaye To. = Dil Par Zakham Lagane Wala Marham Le Kar Aaye To. = Maan Ka Sheesha Torne Wala. = Phir Se Jorne Aaye To. = Dhoop Mein Chor Ke Jaane Wala Saaya Ban Ke Aaye To. = Dil Se Dil Ki Raaye Na Pocho Dil Pagal Ho Jaye To. = Chor Ke Tum Ko Jane Wala Ek Din Lout Ke Aaye To...! = Poet By Khalil Ullah Faroqi. = Book Name. Muhbat Khush Guma Hai. = Page No 64.65. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001
Tanhai Ke Sahra TaYpEd By  TLASH25 Tanhai Ke Sahra Mein Yon Chor K Chal Dena. = Choti Si Shikayat Pe Monh Mor K Chal Dena. = Ye Kaisi Muhbat Hai Ye Kaisi Rafaqat Hai. = Kiya Mere Bina Tum Ko Raas Aati Hai Ye Duniya. = Charhta Nahin Seene Mein Chahat Ka Koi Dariya. = Kiya Mujh Se Bhi Barh Kar Hai Rishton Ki Ye Zanjeerein. = Kiya Jan Se Ziyada Hai Dhundhli Si Ye Tasveerain. = Kiya Wo Mere Dil Ka Ek Dard Paraya Hai. = Kiya Tum Se Mera Rishta Asaib Hai Saya Hai. = Ye Kaisi Muhbat Hai Ye Kaisi Rafaqat Hai. = Gar Paas E Wafa Rakh Kar Tum Maan Barha Dete. = Be Los Rafaqat Par Imaan Barha Dete. = Tum Baab E Muhbat Ho Tum Jan E Rafaqat Ho. = Tum Bat Meri Suntein. = Ek Baar To Ruk Jate. = Zanjeer E Ana Az Khud Pairon Se Nikal Aati. = Choti Si Ye Qurbani So Deep Jala Jati...! = Part 2.2 TaYpEd By TLASH25 Ye Sub Hai Magar Tab Bhi Hai Mujh Ko Yaqeen Ab Bhi. = Jo Kuch Bhi Kaha Mein Ne Shikwa Hai Lekin Ye Haqeeqat Hai. = Bus Tum Se Muhbat Thi Aur Tum Se M