Posts

Showing posts from January 9, 2014
Chal musafir battiyan jalne lagin  aasmani ghantiyan bajnay lagi  . Khil raha hai sham ka kala gulab  .  Zard sokhi pattiyan jharne lagin .  Surkh, dhaani, sabz, neeli, doodhiya .  Sham aai battiyan jalne lagin .  Din kay sare kapre dhilay hogaye .  Raat ki sab choliyan kasne lagin  . Jhilmilati kashtiyan chalne lagin  . Raat ki talaab kay aaina may jhilmilati   kashtiyan chalne lagin  . Doob jayenge sabhi darya pahaar  . Chandni ki naddiyan charhne lagin .  Band karlo dar dareechae khirkiyan  . Phr hawa may sitiyan bajnay lagin .  Zamano kay baagh par chaai ghata  . Oori oori larkiyan hansne lagin.....!  . Poet Bashir Badar .  Typed By  *__SA-k-Jan__*

Udasi ka yah patthar ansuon say nam nahi hota .

Udasi ka yah patthar ansuon say nam nahi hota .  Hazaron jugnuon say bhi andhaira kam nahi hota . Kabhi barsat may shadab belain sokh jati hai . Hare podon kay girne ka koi mosam nahi hota .  Bohat say log dil ko is tarha mahfoz rakhte hai . Koi barish hoya kaghaz zara bhi nam nahi hota .  Bicharte waqt koi badgumani dil may aa jati hai  .  Usay bhi gham nahi hota mujhay bhi gham nahi hota .  Ya ansoo hai inhain pholon may shabnam ki tarha rakhna .  Ghazal ahsas hai ahsas ka matam nahi hota....!  . Poet Bashir Badar .  Typed By  *__SA-k-Jan__*

Muqadas Ankh Mein Us Ki Yeh Kesa

Typed by TLASH25  Muqadas Ankh Mein Us Ki Yeh Kesa Pyar Dekha Tha Kabhi  Hum Ne B Apne Robaru Ek Chand Dekha Tha .  Huseen Sandal Say Hoontun K Khud-o-khan Aisy Thay.  Jaise Chandni Mein Khushbu Bikhar Jaye.  Woh Huntun Par Tabussum Ka Taj Rakhti Thi.  Kabhi Na Khulta Tha Jo Woh Raaz Rakhti Thi .  Udas Ki Ghari Mein Hum Jab Us K Saath Chaltay Thay.  Us K Sheereen Lehjay Mein Hazarun Phool Khiltay Thay . Wo Aisa Chand Tha Jis Ki Kabhi Pandra Nahin Dekhti. Muqaddas Aankh Mein Uski Yeh Kaisa Pyar Dekha Tha? Haseen Shah'kar Dekha Tha! Kabhi Hum Ne Apne Ru'Baru Ek Chand Dekha Tha...!