Posts

Showing posts from July 24, 2013

Gaye dinon ka chirag lekar kidhar se aya kidhar gaya wo . Ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to heran kar gaya woh . Bas ai moti si chub dikha kar bas aik mithi c dhun suna kar . Sitara sham ban k aya barang khuwab shahr gaya woh . Khushi ki raat ho k gham ka mosam nazar usay dhundhti hai har dam . Wo buu e gul tha ke nagmaa e jaan mere to dil may utar gaya wo . Wo maikaday ko jaganay wala wo raat ki neend urane wala . Yeh aaj kia us k ji main aya kay sham hote hi ghar gia wo . Kuch ab sambhalne lagi hai jan bhi badal chala rang asman bhi . Jo raat bhari thi tal gai hai jo din kadaa tha guzar gaya wo . Shikasta paa raah main khara hun gaye dinon ko bulaa rahaa hon . Jo qaafila mera hamsafar tha misl e gard e safar gaya wo . Na ab wo yaadon ka charhata darya na fursatoon ki udas bharka . Yonhi zara c kasek hai dil main jo zakhm gehra tha bhar gaya wo . Wo jis k shanay pay hath rakh kar safar kia to nay manzilon ka . Teri gali say naa janay kon aaj sar kukaye guzar gya wo . Wo hijar ki raat ka sitara wo ham nafas hum sukhan hamara . Sadaa rahe us ka nam pyaaraa suna hai kal raat mar gaya wo . Bas ek moti si chab dikhakar bas ik mithi c dhun suna kar . Sitaraa e sham ban ke aya barang e khayal e sahar gaya wo . Na ab wo yadon ka charhataa darya na fursuon ki udas barkha . Yun hi zara si kasak hai dil main jo zakham gahraa tha bhar gaya wo . Wo raat ka be mawa musafir wo tera shair wo tera Nasir . Teri gali tak to hum ne dekha phr na jane kidhar gaya wo.......,! . End . Poet NaSiR kAZmI . . Typed by ---------------------- |*__S-Ak-Jan__*| ----------------------

Hasrat hai tumhari deed karein tum aao to hum bhi Eid karain . Kuch dair to dil ko chain mile kuch roz to mann ka phol khile . Kahte hai Eid ki aamad hai ab log bhi kuch taeed karain . Tum aao to hum bhi eid karain . Tum se yeh aik guzarish hai yeh apne dil ki khwahish hah . Aik baar milo,aik baar mile har baar yahi takeed karain . Tum aao to hum bhi eid karain . Jab gham ke badal chaaye thay us waqt bhi tum na aaye thay . Is baar bhi tum aaye ho sab dushman yeh tanfeed karain . Tum Aao to hum bhi eid karain . Maana ke hum dewane hai sab baaton se anjane hai . Jab apne hi begaane hai kya gairon se umeed karain . Tum aao to hum bhi Eid karain.......! . . . Typed by ---------------------- |*__S-Ak-Jan__*| ----------------------

Poet Bashir Badar . Typed by *__S-Ak-Jan__* ~....~ @__Bare tajiron ki sataai hoi, ya dunya hai dulhan jalai hoi__* ~....~ @__Bhari dopahar ka khila phol hai paseenay nay mairi jaan nahai hoi__* ~....~ @__Kiran phol ki pattiyon may dabi, hansi us k hontho par aai hoi__* ~....~ @__Wo chahra kitabi raha samne, bari khobsurat parhai hoi__* ~....~ @__Khushi gham gharibon ki jaise__* ............... Jan G .............. @__Mazaaron pay chaadar charhai ho......!

Eid Aa Gayi Hai Ab Karbala Tarh TaYpEd By TLASH25 Eid Aa Gayi Hai Ab Karbala Ki Tarah Ishq Qaza Hota Hai Ab Ada Ki Tarai. Raat Ki Meharbat Fiza Ki Tarah Koi To Dhondta Hoga Hawa Ki Tarah. Ab Mujh Ko Teri Yaad Aati Hai Bhooli Huwi Qaza Ki Tarah Kiya Koi Itna Pyar Karta Hai, Koi Hota Hai Chand Ki Tarah. Shehar Mein Apki Zarorat Thi, Gum Huwa Ap Bhi Wafa Ki Tarah. Goonjta Hai Kabi Kabi "Farhat" Mere Andar Koi khalal Ki Tarah....! Poet By Farhat Hayder eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Chunri meri zartar bara saja sanwra haar singhaar, Labon pe laali kaan mein baali, Ankh mein kajaal paoun mein payal, Hath mein kangan tum bin magar mere sajan, Na chunri mein damak na choori mein khanak, Pheeki labon ki laali khali aankh ki piyali, Payal meri soyee soyee dil ki dunia khoyee khoyee, Ye rang roop mera ye mera haar singhaar, Sajan tum bin sab bekaar tum jo chale aou, Nazar bhar ke dekh jaou damakne lage chunri meri, Chanak uthe kangan mehak uthe tan'man, Thirakne lage payal meri sulag uthe labon ki laali, Bhar jaye ankh ki changal khali, Tumahre jo eik jhalak paa jaoun, Khatm ho raat aamaavas wali, Chand nikal ayae meri bhi Eid ho jayae........+ Poet Hafiz Khuram TyepeD__ByE. JaaN-E-MaN For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Txt by *_TaNhA_* Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga Ghuroor Lehjay Mein Aa Gaya To Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga.. Ye Barf Mousam Jo Sheher-E-Jaan Mein Kuch Aur Lamhay Thehar Gaya To Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga.. Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag To Karny Lagay Ho Lekin Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga.. Main Janta Hoon Mujhe Yaqeen Hai Agar Kbhi Tu Mujhe Bhula De To Teri Aankhon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga Ye Hum Mohabbat Mein La Ta'alluq Se Ho Rahay Hain To Dekh Lena Duain To Khair Kon Dega Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga.

Txt by *_TaNhA_* Parbatt hain Wohi Saamne JheeLain bhi Makaan bhi.. Hr Simt sE uthta hua YaaDon ka DhuWaan bhi.. Pair'ron TaLLey TanHai k bikhre huwe PatteY, Patton k Kinaron pe Udaasi k NisHaan bhi.. khiLte huwe PhooLon mE cHupa hai koi cHeHra, Wo cHeHra jise Dhoondh nHi sakhti KhiZaan bhi.. Behty huwe JharneY pe hain Thehri hui Aankhain, Thehri hui Aankhon me kaee khwaaB Rawaan bhi.

Txt by *_TaNhA_* Na LikhoOn Khat Na ZuBaani Kalam TuJh SE RahEy.. Kham0Shiy0n Ka YEhi IntQaam TuJh SE RahEy.. RahEy BuS Itnaa Shanaa'Saai Ka Bharm BaaQi.. IShaartan He Dua_O_SalLam TuJh SE RahEy.. Na EhD_E_Tarik Taa'llUQ, Na QurBatEEn PEEham. BusS Aik RaBt_E_MusilsilL, Madaam TuJh sE RahEy.. YEhi RahEn TEry NiShatEr, TEra TarEEQ_ILaaJ. Isi Tarah Gham_E_DilL K0 Dawaam TuJh SE RahEy. Nazr MEin Aks FiShaa'n H0 TEry JamaalL Ki Dh00P. Diyaar_E_Jaa'n MEn Sada RanG_E_Shaam TuJh SE RahEy.. AB IsS SEy Barrh K MuJhEy ChaahiyE Bhi Kiya Aakhir.. Diyaar_E_Fun MEin AGr MEra Naam TuJh SEy RahEy.

Txt by *_TaNhA_* Poet Bashir Badar. . Udas Ankhon Sy Aanso Nahi Nikalte Hain. . . Yeh Mosmon Ki Tarhan Sipiyon Me Palte Hain. . .* *. . .Main Shahrah Nahi Raste Ka Pathar Hun. . . Yahan Sawar B Paidal Utar K Chalte Hain. . .* *. . .Kai Sitaron Ko Me Janta Hun Bachpan Sy. . . Kahien B Jaun Mere Sath Sath Chalte Hain. . .* *. . .Yeh Aik Pairh Hai Aa Is Sy Mil K Ro Lain Hum. . . Yahan Sy Tere Mere Raste Badalte Hain. . .*

TExtEd by *_TaNhA_* Poet: Faiz Ahmad FAIZ April 1975 Bahaar Aai to jesy YakBaar lout aay haiN phir Adam se... Wo Khuaab saary, Shabaab saary! Jo tery hoNtoN pe Mr mity thy... Jo mit k hr baar phir jiye thy... Nikhar gay haiN Gulaab saary! jo teri yaadoN se mushk-boo haiN! jo tery ushaaq kaa lahoo haiN! Ubal parry haiN azaab saary! Malaal-e-ahwaal-e-dostaaN bhi! Khumaar-e-aaghosh-e-MahvashaaN bhi! Ghubaar-e-Khaatir k Baab saary! Tery Hamaary Sawaal saary, Javaab saary! Bahaar aai to khul gay haiN, Naye Siry se hisaab saary... *_TaNhA_*

TExtEd by *_TaNhA_* Aur To Koi Bas Na Chalega Hijr K Dard K Maron Ka Subah Ka Hona Do'bhar Kar Dein Rasta Rok Sitaron Ka Jhoothe Sikon Mein Bhi Utha Dete Hain Aksar Sucha Maal Shaklen Dekh K Sauda Karna Kaam Hai In Banjaron Ka Apni Zuban Se Kuch Na Kahenge Chup Hi Rahenge Ashiq Log Tum Se To Itna Ho Sakta Hai Poocho Haal Becharon Ka Ek Zara Si Bat Thi Jis Ka Charcha Pohuncha Gali Gali Ham Gumnamon Ne Phir Bhi Ehsan Na Mana Yaron Ka Dard Ka Kehna Cheekh Utho, Dil Ka Taqaaza Waza Nibhaao Sab Kuchh Sehna Chup Chup Rahna Kaam Hai Izzatdaron Ka. *_TaNhA_*

TExtEd by *_TaNhA_* 'Rukh Pe Aanso Baha Rahi Ho Tum Kiya Mujhey Aazma Rahi Ho Tum Aaj Sharmain Nam Per Uske Kya Hameen Choor Ja Rahi Ho Tum Guzreen Yuoon Pas Se Ke Ruk Na Sakeen Door Kyuon Hum Se Ja Rahi Ho Tum Kuch To Bolo Ke Yuuon Hi Chup Reh Ker Kyuuon Sitam Hum Pe Dha Rahi Jo Tum Yad Ker Mujh Ko, Meri Jan Dil Ko Roog Kaisa Laga Rahi Ho Tum Meri Aankhoon Ka Pani Pi Pi Ker Or Mujh Ko Rula Rahi Ho Tum Is Shajar Per Jo Nam Like Hain Kyuoon Inhain Ab Mita Rahi Ho Tum Jis Ko Tanha Kiya Tha, Us Jan Per Aaj Kyuuon Haq Jata Rahi Ho Tum Khoon De De Ke Jo Banaya Tha Wo Makan Kyuuon Jala Rahi Ho Tum Raah Se Main Tumhari Hat To Gaya Ab Mujhey Kyuuon Sata Rahi Ho Tum Aankh Main, Main Hoon Lab Pe Or Koi Ye Mujhey Kya Bata Rahi Ho Tum.

TExtEd by *_TaNhA_* Sar-Garm-E-Hayat Ka Baani Guzar Gya... Jis Ka Na Koi Aur Ho Sani Guzar Gya... Tamseel Maen Koi Na Tha Ik Shakhas K Siwa... Apni Suna K Aap Kahaani Guzar Gya....... Main Is K Iztraab Ki Soorat Maen Gumm Huwa... Aankhoon Sy Bar-Shagal Ka Pani Guzar Gya... Har Raat Us Ki Yaad Ka Jalta Hai Ikk Diya..... Dil Ko Jo Day K Daradd Nishani Guzar Gya.... Paaoun Zameen Py Shal Huye Dar Py Tha Us Ka Haath.... Jab Sans Kar'Ke Naqull-E-Makani Guzar Gya... "QATEEL" Daikhta Raha Us K Shabaab Ko... Itny Maen Us Ka Dour-E-Jawani Guzar Gya. *_TaNhA_*

TYpe_by *_.TANHA._* Dil Dukhaaty Rahy, JEE Jalaaty Rahy,, , H0sly Darrd K Aazmaaty Rahy. D00r Itna Na Thi Manizl-E-Aarz00,, , Raasty D00sr0'N K0 Dikhaaty Rahy..* JaanN PEhchaaN Apni Kahan H0 Saki,, , L0g Aaty Rahy L0g Jaaty Rahy. Rang-0-Buu Ki Jagah Dh00l Hy Khaak Hy,, , Ph00l Gulzaar Sy Khaar Khaaty Rahy. Saans LainE Ki Fursat Kahan Thi, Yaad Aany K0 W0 Yaad Aaty Rahy. *_TaNhA_*

TExtEd by *_TaNhA_* _MOMIN_ Dar to mujhe kiska hai k main kuch nahin kehta par hal ye afshan hai k main kuchnahin kahta naseh ye gila hai k main kuch nahin kahta tu kab meri sunta hai k main kuch nahin kahta kuch ghair se honthon main kahe hai pe jo pucho to wahin mukarta hai k main kuch nahin kahta naseh ko jo chahun to abhi thik bana dun par khauf Khuda ka hai k main kuch nahin kahta chup k se tere milne ka ghar walon main tere is waste charcha hai k main kuchnahin kahta ay charagaro qabil-e-darmaan nahin ye dard warna mujhe sauda hai k main kuch nahin kahta har waqt hai dashnaam har ek bat pe tana phir is pe bhi kahta hai k main kuch nahin kahta Momin ba-Khuda sehar bayani ka jabhi tak har ek ko dawa hai k main kuch nahin kahta..

TExtEd by *_TaNhA_* Kal Parastish-e-Ehwaal Jo Ki Yaar Ne Meray Kis Rashk sy Deikha Tha Gham-Khaar Ne Meray Bas ik Tera Naam Chupaany Ki gharz sy Kis Kis Ko Pukaara Dil-e-Bemaar Ne Meray Ya garmi-e-Bazaar Thi Ya Khof-e-Zubaan Tha Phir Beich Diya Mujh Ko Kharidaar Ne Meray Veraani men Barh Kar Thay Bayabaan sy To phir Kiyun Sharminda Kiya hai Dar-o-Divaar Ne Meray Jab Shayari Parda hai FARAZ Apny Janoon Ka. Phir Kiyun Mujhe Ruswa Kiya Ash'aar Ne Meray. Poet_Ahmad Faraz *_TaNhA_*

TExtEd by *_TaNhA_* Haseen Dunia,Haseen Nazaarey, Tumhen MUBARAK, Main Ja Raha H00n Ye Ashk Ly Kr,Ye Abr Sary,Tumhen MUBARAK, Main Apny Daamann Mein Bhar K Saary,Chaman K Kaanty Ly Ja Raha H00n, Ye Motiye Ki Haseen Kaliyaan, Gulaab Saarey,Tumhen MUBARAK, W0 Dekh0 T0faan Bula Raha Hai,Barey Khul00s 0r M0habbat00n Sy.... Bhanwar Dukhon Ka Mujhy Mubarak,Sukhi Kinaarey, Tumhen MUBARAK, Utaar Kar W0 Lehed Mein Boley,0 Merey "DILBAR" Raho Salamat.... Ye Laal Hathon K Alwidai Merey Ishaarey,Tumhen MUBARAK.. *_TaNhA_*

TExtEd by *_TaNhA_* Faisla Ye To Karo Waqt-E-Safar Se Pehle, Aao Ge Shaam Se Pehle Ke Sahr Se Pehle, HusN Taqseem Kiya Jaaye Kidhar Se Pehle, Har Taraf Se Ye Sadaa Aai Idhar Se Pehle, Tere Qadmo'N Ke NishaaN HaiN Meri Chaahat Pe Faqat, Koi Guzra Na Tha Is Rah'Guzar Se Pehle, MuJh Pe Ilzaam-E-Wafa Theek Par Ay WaJh-E-Wafa, Kis Ne Dekha Tha Mohabbat Ki Nazar Se Pehle, HusN MauJood To Tha ApNe Sarapay MeN Adeem, HusN Maloom Na Tha HusN-E-Nazar Se Pehle, Us Ki Surat Bhi To Ek Subha Ki Surat Hai Adeem, Dekh Li Ham Ne Sahar Waqt-E-Sahar Se Pehle...!!

TExtEd by *_TaNhA_* Ibtada_e_ishq hy rota hy kya_ Aagy aagy dekhiye, hota hy kya_ Qafile mein subah k ek shor hy_ Yaani ghaafil ham chaly, sota hy kya_ Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin_ Tukhm-e-khwahish dil men tu bota hy kya_ Yeh nishaan-e-ishq hen jaaty ni_ Daagh chaati k abass dhota hy kya_ Ghairat-e-Yusaf hy ye wqt-e-aziiz_ _MEER_ isko raigaan khota hy kya_

TExtEd by *_TaNhA_* Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi Hosh Udaany Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarab Hai Koi Geet Banti Hai Tere Shehr Ki Bharpoor Hawa Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi Ly Jati Hy Kisi Dehaan Ki Lehrain NASIR Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hy Koi...

Na Koi Rang TxT BY *_TaNhA_* Na Koi Rang Na Hathon Pe Hina Mere Baad Wo Mukmal Hi Siah Posh Hoa Mere Baad Le K Jata Raha Har Sham,Wo Phool Aur Chragh Bs Yahi Usny Kia Jitna Jiyaa Mere Baad Roz Ja Kar Wo Sumandar K Kinary Chup Chap Nao Kaghaz Ki Bahata Hi Raha Mere Baad Uske Honton Se Mera Naam Nikal Jata Tha Jisny Apnaya Use Chorr Dia Mere Baad Ik Parinda Jo Bulata Tha Use Meri Tarha Wo Parinda Bhi Qafs Mein Na Raha Mere Baad Main Ne Girne Na Diye Thy Kbi Anso Uske Shayad Is Wasty Wo Ro Na Ska Mere Baad Main Bhi Waisa Na Raha Uske Bichar Jany Se Koi Usko Bhi Na Pehchan Ska Mere Baad Saari Dunya Ne Use Maal_E_Ghanimat Samjha Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Hoa Mere Baad Uska Hansna Mujhe Bhata Tha So Wo Shakhs Baal Khole Hansta Hi Raha Mere Baad...!

TExtEd by *_TaNhA_* Ksi ki khatir Qarar Khona, Koi Sune ga To Kya Kahe ga? Tmhara Raton Ko Uth K Rona, Koi Sune ga To Kya Kahe ga? Zamana Ehd-E-Shabab Ka hai, Naye Khwab-O-Khyal Ka hai Shab-Bedari Our din ka sona, Koi Sune ga To Kya Kahe ga? Bhanwar Me Tum Mujh ko chor aatay, To mri ulfat Ka Raz rehta Laa K Sahil Pe yun Dubona, Koi Sune ga To Kya Kahe ga? Kaha ye me ne daro KHUDA se,Mra ye dil to dhark rha hy Wo hans k bole Chup raho na, Koi Sune ga To Kya Kahe ga...!

TExtEd by *_TaNhA_* Gila likhoN main agr teri bewafai ka.. Lahu main gharq safeena ho aashnai ka.. ZubaaN hai shukr main qasir shiksta bali k.. K jin ne dil se mitaya khalish rehai ka.. Dimagh jhar gaya aakhir tera na ay namrood!! Chala na paish se kuch bas teri khudai ka.. Mery sajood ki dair o haram se guzri qadr.. RakhoN hoN daaway tery dar pe jehba sai ka.. Kabho na pohnch saky dil se ta'zubaaN yak harf.. Agr bayan kron tal'ae ki na rasai ka.. DikhaoN ga tujhy zahid us aafat e jaaN ko.. Khalaa dimagh main tery hai parsaai ka.. Talab na charkh se kar naan e rahat ay Souda.. Phiray hai aap wo kasaa liye gadai ka....

TExtEd by *_TaNhA_* Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhss, Meri mohabbaton se shanaasa tha aik shakss, Aankhon ko us ke baad sujhayi nahin diya, Aayiney bantta hua guzra tha aik shakhss, Kal phir nazar bacha ke guzarna para humain, Kal phir hamari raah main betha tha aik shakhss, Ik ranj-o-gham ki bheerr muqabil khari thi aur, Hungama-e-hayaat mein tanha tha aik shakhss, Mujhko b dushmanon ki zrurt thi shehr me, Mujhko b apni jaan se piyara tha aik shakhs, Tark-e-Taluqaat py Naadim na tha mgar, Rukhsat hua to toot k roya tha aik shakhs, "TANHA" wo khuwab tha ya haqeeqat khabar nhi, Bas itna yaad hai, kahen dekha tha aik shakhs. *_TaNhA_*

TExtEd by *_TaNhA_* Jab yaar ny uThaa kr zulfon k baal baaNdhy.. Tab me ny apne dil men laakhon Khayaal baaNdhy.. 2 din me ham to riijhe ay vaa_e haal un kaa.. Guzry hen jin k dil ko yaa'n maah-o-saal baaNdhy.. Taar-e-nigaah men us k, Q kar phaNsy na ye dil.. AaNkhon men jis k laakho.n vehshi Ghazaal baaNdhy.. Bhosy ki hy to Khvaahish, par kahiye kyon k us se.. Jis se mizaaj-e-lab par haraf-e-savaal baaNdhy.. Maaro gy kis ko jii se, kis par kamar kasii hy.. Phirty ho Q pyaary talwaar Dhaal baaNdhy.. 2 chaar sher aage, us k paDhy to bolaa.. Mazmuu'N ye tu ny apne kya hasb-o-haal baaNdhy.. "SAUDA" jo un ne baaNdhaa zulfon men dil sazaa hy.. Shairon men us k tu ne kyon Khad-o-Khaal baaNdhy..

TExtEd by *_TaNhA_* US SE KAHNA Aaj b mein wahan gya tha... jahan ahd _e_wafa tum ne bandha tha.- US SE KAHNA Us pathr pe phr mene lakirain khainchi thin. jis path pe tu ne pichalay bras apna hath bichaya tha.. US SE KAHNA Aaj phr mene usi gulab se phool tora hai. jis ki tahni se tum ne mere liye phool tora tha.. US SE KAHNA K muntzir hon mein unhi raaston par aj. k jhan tu ne mera hath choom k chora tha -

Typed by Rainy_Eyes Main na mil sakun jo tum ko meri justaju na karna. Tumhain meri hi qasam h meri arzu na karna. Mujhy jis se thi mohabat, usy thi ajab aadat, kabhi moonh phair lena kabhi guftago na karna. Tumhain meri hi qasam h meri arzu na karna. Maine chaha tha kis ko mera hal kia h dekho, jo kia qasoor maine, wo tum kabhi na karna. Meri ho agar burai to na dena tum safai, mery saath khud ko ruswa na karna. Koi pochy badnasebi ki h inteha jo koi, too meri misal dena,too mujhy namouna karna. Main na mil sakun jo tum ko meri justaju na karna, tumhain meri qasam h meri aarzu na karna.

>TYPED BY< *Rainy_Eyes * ~chalo Hum bicharte hen~ Sulagti dhoop main~ Parak ki purani seaton pr baitay baitay do saye thy~ Un do saayon ky to dil bhi thy~ Wo saaye to hum tum hi thy~ Kia bhool gaye un baaton ko~ Jo hum baith k kia karte thy~ Wo teri hansi ki awazen~ Wo mery zakhmon pr jaisy marham~ Wo tery wade aur dilasy bhi~ Main un pe aumeed ki dorian bandtta tha~ Wo tera mik k bicharna phir~ Mujhy yaad hy wo haqiqat bhi~ Aur phir tera na mujh se kabhi milna~ Mera un seaton pr baith kar akely rona~ Phir yaadon ki ghatle nikal kar~ Un main ashi baaten chunna~ Kush paglon ki baaten thin~ Kush chahat ky sapne bunna~ Aur phir khatam hoe sare qissy jab kaghaz pr tahreer banay~ Main bhoola nhn hon sari baaten~ Magar kia karon unehen yaad karke~

Typed by *_RAINY_EYES_* Aankh se aankh mila baat banata kyun hai. Tu agar mujh se khafa hai to chupata kyun hai. Ghair lagta hai na apnon ki tarah milta hai. Tu zamany ki tarah mujh ko satata kyun hai. Waqt ke saath halat badal jatay hain. Ye haqeqat hai,magar mujh ko sunata kyun hah. Aik mudat se jahan kaflay guzray hi nahi. Aisi rahon par chiraghon ko jalata kyun hai. Unknown poet follow *_RAINY_EYES_*

Aankh Mein Koi Sitara Ho Zarori To Nahi. Typed by *_RAINY_EYES_* Aankh mein koi sitara ho zarori to nahi. Pyar mein koi hamara ho zarori to nahi. Ye haqeqat hai ke mujhe tujhse muhabat hai. Par tere sath guzara ho zarori to nahi. Ye mere dar se jo pholon ki mehek aati hai. Tere aane ka ishara ho zarori to nahi. Doobte waqt ki nazar us pe bhi to par sakti hai. Samne mere kinara ho zarori to nahi. Kam nahi ye ke hai sheher hamara lekin. Sheher mein koi hamara ho ye zarori to nahi. Ho sakta hai khata us ka nishana aye khushi. Teer us ne mujhy mara ho zarori to nahi. Unknown poet Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

*NAAT* Aa Jaye Bulawa Mujhy. Typed by *_RAINY_EYES_* Aa jaye bulawa AQA mujhy tere dar se jis dar ki ghulami ko to jibrel bhi tarse. Paidal hi nikalte hain,masafat ka nahi khauf thakte hi nahi hat to madine ke safar se. Sunat pe teri chalne ka aa jaye qareena,ye abr_e_karam kash mere dasht pe barse. Zarah bhi lage gohar_o _almas se barh kar,dekhe to koi khak_e_arab meri nazar se. Ek mahn hi nahi talib_e_jalwa mere AQA,Har aik muslman tere deed ko tarse. Namoos_e _mohammad ke liye jaan bhi don ga,ho jaon ga waqif main shahadat ke hunar se. Dunya ke faqat chand hi lamhat the guzre,ho aaye payambar mere sadiyun ke safar se. Jo sham_o _sahar salle alla kehta rahe ga,aye ga bulawa use AQA ke nagar se. Kuch khauf nah mujh ko kari dhop ka amjad,saya mujhe milta hah Risalat ke shajar se. Follow *_RAINY_EYES_* Send 8001.

*NAAT* Aane Walo Ye To Batao. Typed by *_RAINY_EYES_* Aane walo ye to batao shehr madina kesa hai. Sar un ke qadmon me rakh kar jhuk kar jeena kesa hai. Gunbaday khazra ke saaye me beth ke tum to aaye ho. Us saaye me rab ke aagay sajda karna kesa hai. Dil aankhon aur rooh tumhari lagti he sehraab mujhy. Dar pe un ke beth ke zamzam peena kesa hai. Diwano aankhon se tumhari pooch to lene do. Waqt e dua rozay pe un ke aansoo bahana kesa hai. Waqt e rukhsat dil ko apne chhor wahan tum aaye ho. Ye batlao ishrat un ke dar se bicharna kesa hai. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Aine Ke Sau Tukre Kar Ke. Typed by *_RAINY_EYES_* Aaine ke sau tukre kar ke hum ne dekhe hain. Ek mein bhi tanha the,sau mein bhi akele hain. Jo bana tha ek sathi,woh bhi hum se chhuta hai. Bewafa nahi jab wo phir kyun hum se rutha hai. Khoyi khoyi aankhon me,aansuon ke mele hain. Us ka haal kya hoga,yahi gham satata hai. Neend bhi nahi aati,dard barhta jata hai. Zindagi ki rahoon mein,log humse khele hain. Har taraf ujala hai,dil mein ek andhera hai. Samne kab aayega,kiun chhupa savera hai. Mera dil jigar dekho,kitne dard jhele hai. Ek mein bhi tanha the sau mein bhi akele hain. Aaine ke sau tukre kar ke hum ne dekhe hain. Movie=Maa Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Baharon Ki Mujh Ko Zarurat Nahi Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Baharon ki mujh ko zaroorat nahi hai. Nazaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Akele chale the,akele chalange. Hazaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Zameen ki ye raunak mujhy bhaa gai hai. Sitaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Mujhy raas aata hai lehron se larna. Kinaron ki mujh ko zaroorat nahi hai. Main janta hoon, haqeqat tumhari. Isharon ki mujh ko zaroorat nahi hai. Wo rahain saath mere yun hi. Saharon ki mujh ko zaroorat nahi hai. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_*

*DUA* Typed by *_RAINY_EYES_* Meri qismat main bhi aisa koi sajda kar de. Jo mere sare gunahon ka madwa kar de. Sari duniya se chura kar mujhy apna kar de. Meri mitti ko bhi"RAB" mere tu sona kar de. Main tera chahne wala hon magar hai hasrat. Jin ko ju chahta hai mujh ko bhi waisa kar de. Ek nazar apne gunahgar pe kar ke Mola. Apni rehmat ka sazawar hamesha kar de. Jis taraf jaon,faqat tere hi jalway daikhun. Shoq_e_ulfat ko mere had se tu zyada kar de. Ameen Sum Amee. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001

Dil Mein Ab Yun Tere Bhooley Howey Gham Aate Hain. Typed by *_RAINY_EYES_* Dil mein ab yun tere bhooley howey gham aate hain. Jaise bichre hue kaabey mein sanam aate hain. Ek ek kar ke hue jate hain diye tere roshan. Meri manzil ki taraf tere kadam aate hain. Raqs_e_meh tez karo,saaz ki leh tez karo. Suye meh_khana safren_e _haram aate hain. Kuch humain tou nahi ehsan uthaney ka dimah. Wo tou jab aate hain mayel be karam aate hain. Aur kuch der na guzre shabe_e _furkat se kaho. Dil bhi kam dukhta hai,woh yaad bhi kam aate hain. Poet Ahmed Faraz. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena. Typed by *_RAINY_EYES_* Ek diya dil mein jalana bhi bujha bhi dena. Yaad karna use roz bhula bhi dena. Kia kahon ye meri chahat hai ke nafrat us ki. Naam likhna bhi mera,likh ke mita bhi dena. Phir na milnay ko bicharta hun tujh se lekin. Murr ke dekhun to palatnay ki dua bhi dena. Khat bhi likhna mayous bhi rehna us se. Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena. Mujh ko rasmon ka takalluf bhi ganwara lekin. Jee mein aaye to ye deewar gira bhi dena. Os se mansoob bhi kar lena purane qissay. Os ke baalon mein naya phool saja bhi dena. Soorat_e _naqsh_e _qadam dasht mein rehna "MOHSIN" Apnay honay se na hone ka pata bhi dena. Poet Mohsin Naqvi. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001. [prem.gzl]

Ek Mudat Se Ye Dil Tujh Ko Sada Deta Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Ek mudat se ye dil tujh ko sada deta hai. Kitna nadan hai ye khud ko saza deta hai. Hum to har sham jalate hain umeedon ke charagh. Jane phir kon usay aa ke bujha deta hai. Tumhari yaad ka ye bbi ajab tamasha hai. Waqt bewaqt... Mujhy tujh se mila deta hai. Main reet_e_arzu pe roz khwab likhta hoon. Wo ban ke moj har ik khwab mita deta hai. Main badnaseeb... Koi raah ka pathar to nahi. Ke jo bhi guzre thokar laga deta hai. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

NAAT lyrics . Zameen Maili Nahi Hoti. *NAAT* Typed by *_RAINY_EYES_* Zameen maili nahi hoti zaman mela nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nah hota. Mohabat kamli wale se wo jazba hai suno logo. Ye jis mann main sama jaye wo mann maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Nabi ke paak langar par jo palley he kabhi unki. Zuban maili nahi hoti,sukhan maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Mere aqaa ki ulfat to badan ko jag magted hain. Kabhi ehl_e _Muhammad ka badan maila nahi hota. Gulon ko chum laite hain sahar'nam shab'nami qatre. Nabi ki naat sum le tu chaman maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Jo naam_e _mustafa chume nahi dukhti kabhi aankhen. Pehn le pyaar jo unka badan maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Main nazan tu nahi fan par,magar "NASIR" Ye dawa hai. Sana_e_ mustafa karne se fan maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Zamin maili nahi hoti zaman maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. END. Follow *_RAINY_EYES_*

Ishq Chupta Nahi. Typed by *_RAINY_EYES_* Ishq chupta nahi chupane tera aashiq hoon main zamane se. Rok na mujh ko paas aane se tera aashiq hoon main zamane se. Ab mujh chor ke na jaana tum dil mera tor ke na jaana tum. Tum to aaye ho manane se kho na jana kisi bahane se jaan jati hai tere jaane se. Tera aashiq hoon main zamane se. Mehboob, Mehboob, Mehboob, Mehboob. Mere mehboob kya tumhe hai khabar, Har jagah tum ko dhoondti hai nazar. Dekh ke tum ko jeeta marta hoon. Har ghari yaad tum ko karta hoon bhool sakta nahi bhulane se,bhool sakta nahi bhulane se. Tera aashiq hoon main zamane se. Ishq chupta nahi chupane se. Rok na mujhko paas aane se. Tera aashq hon main zamane se. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001

Ik Moom Ki Guriya Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Ik moom ki guriya hai ik prem kahani hai. Shaakh hai nazuk si kaliyon ki jawani hai. Wo phool ki tittli hai shola hai ke paani hai. Hai shaan samandar ki lehron ki rawani hai. Wo noor_e_sehar hai ya ik shaam suhani hai. Dekhoon to sapna hai sochon to kahani hai. Kia naam rakhoon uss ka kia baat kahoon uss se. Wo din ka ujaala hai wo raat ki raani hai. Ik moom ki guriya hai ik prem kahani hai. Follow *_RAINY_EYES_* Send 8001.

Jo Meri Aankhon Pe Marta Tha. Typed by *_RAINY_EYES_* Jo meri aankhon pe marta tha. Meri baaton pe marta tha. Na jane shakhs tha kesa? Mujhe khony se darta tha. Wo jb Bhi baat karta tha. Yahi har baar kehta tha. Suno..! Agar main bhool jaoun to. Agar main rooth jaoun to. kabhi wapas na aaoun to. bhula pao ge sab kuch kia. Yun hi hansty raho ge kia. Yun hi sajtay raho ge kia. Yahi baatein thi bas uski. Yehi yaadein hain bas uski. Mujhe maloom hai bas itna. Mujhe wo piyar karta tha! Mujhe khony se darta tha. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001.

Jab Tum Sham_e_vida Ka. Typed by *_RAINY_EYES_* Jab Tum Sham_E_Vidaa Ka. Aakhri Manzar Meri Aankhon Ko Soanp Kar. Door Ja Chuki To Main Ne Dekha. K Meray Kurtey K Daaman Per. Tumhari Zulfoon Ka Ik. Reshmi Sa Baal Reh Gaya Hy. Main Woh Baal Choom K. Waheen Kisi Ek Pairr Ki. Jhuki Hui Shakh Pe Bandh Kar. Apne Tareek_O_Shikast Khurda Muqadar K Sath. Loat Aaya Tha! Ab Suna Hai K Loag. Us Pairr Ki Tehniyon Pe. Siyah Dhagey Bandh Kar. Janey Waloon Ki Wapsi Ki. Man'nat Maanty Hain.! Follow *_RAINY_EYES_*

Kabhi Hum Un Se Kabhi wo Hum Se Ruth Jate Hain. Typed by *_RAINY_EYES_* Kabhi hum un se kabhi wo hum se ruth jate hain. Hawa kuch chalti hai aisi ke kinaray chut jate hain. Samandar ki gehrai se bhi hote hen jo gehray. Pal bhar mein qn wo rishte toot jatay hain. Jin pe hota hai bharosa apne ap se barh kar. Wo log dil ki dunia qn loot letay hain. Teer chalte hain jab nafrat ke un ki aankhon se. Dil kanch ke hote hain aksar toot jatey hain. Bara naaz hai mujhy un ki adaon par "dost" Zara zara si Bat par jo ruth jatey hain. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Khwabon Ka Ik Jahan Mujhe De Gaya Koi. Typed by *_RAINY_EYES_* Khwabon ka ik jahan mujhy de gaya koi. Mitti ka ik makan mujhy de gaya koi. Wo dil mein reh gaya hai ke dil se utar gaya. Kitna ajeeb guman mujhy de gaya koi. Sehra pe apne ghar ka pata likh gaya tha wo. Mit'ta howa nishan mujhy de gaya koi. Maah_o _najoom noch ke,soraj bujha diya. Phir sara aasman mujhy de gaya koi. Kishti mein chhaid os ne kia aur us ke baad. Kaaghaz ka badban mujhy de gaya koi. Us ne gulaab haath mein le kar kaha batool. Khushbu ka tarjuman mujhy de gaya koi. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Kabhi Khalwaton Mein Hansa Dia. Typed by *_RAINY_EYES_* Kabhi khalwaton mein hansa dia kabhi mehfilo mein rula dia. Tujhy kia khabar teri yaad ne mujhy kaisay kaisay sata diya. Tujhy kya khabar tere ishq mein kabhi namaz apni qaza hoi. Teri aarzu ne kabhi kabi mujhy mere rab say mila diya. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Koi Dhoond Aisa Humsafar. Typed by *_RAINY_EYES_* Koi dhoond aisa humsafar. Jisay tu apna bana sakay. Tou kahey ke raat hai. Aur woh chandni luta sakay. Tere aansoun ko woh samet le. Ke koi na tujh ko rula sakay. Teri raah main ho jo mushkilain. Apni palkun se wo utha sakay. Tujhy rakh ly apne hisar main. K tujh ko na koi chura sakay. Wo ho tere itna qareeb ke. Kisi ki yaad bhi na tujhy aa sakay. Haan! Koi dhoond aisa humsafar... Jo meri tarah tumhain chah sakay. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Kuch Kehne Ko Jee Chahta Hai,Aaj Rone Ko Jee Chahta Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Kuch kehne jo jee chahta hai,aaj rone ko jee chahta hai. Jaagte mein sab dekh liya yaaro. Ab sone ko jee chahta hai. Teri aankh mein apna aqs dekh kar, kajal hone jo jee chahta hai. Chandni dekh kar hamein bhi chaand hone ko jee chahta hai. Subah se bahut hans liya kya, aankh bhigone ko jee chahta hai. Wo bahut pyar hai magar ab. Juda hone ko jee chahta hai. Tere daag_e_dil dekh kar "MOHSIN" Ab daag dhone ko jee chahta hai. Follow *_RAINY_EYES_*

Song lyrics Mera Dil Bhi Kitna Pagal Hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Mera dil bhi kitna pagal hai ye piyar to tum se karta hai. Par samne jab tum aate ho,kuch bhi kehne se darta hai. O mere sajan,o mere sajan,sajan sajan mere sajan. Mera dil bhi kitna pagal hah. Kitna is ko samjhata hun,kitna is ko behlata hun nadan hai kuch na samajhta hai,din rat ye aahen bharta hai. Mera dil bhi kitna pagal hai. Har pal mujh ko tarpata hai,mujhy saari raat jagata hai is bat ki tum ko khabar nahi,ye sirf tumhi pe marta hai. Mera dil bhi kitna pagal hai. Ye piyar to tum se karta hai. Movie Sajan Follow *_RAINY_EYES_* Send 8001

Kal Raat Bohat Toot Ke Barsa Tha Ye Badal. Typed by *_RAINY_EYES_* Kal raat bohat toot ke barsa ye badal. Aur hum ne bhi ashqon mei bhigo ke aanchal. Ye dil ki lagi chain se rehne de to sochein. Kiun phaila jaata hai meri aankh mein kajal. Is dil se koi puchhe ye zeest kati kyonkar. Jab jaan ye shikasta thi dil gam se tha ghaya. Phir yaad tujhy kar ke ye nain baraste hain. Jab shaam dhale dard ke uthe koi badal. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Kabhi Main Bhi Samajhti Thi. Typed by *_RAINY_EYES_* Kabhi main bhi samajhti thi. Mohabbat abar jaisi hai. Jahan bhar mein barasti hai. Jahan jitni barasti hai. Gulabi phool khilte hain. Magar ab ke ye lagta hai. Ye bilkul ghoot hai sara. Mohabbat aag jaisi hai. Jahan aur jab bhi jalti hai. Sab hi kuch rakh karti hai. Wahan par raakh urti hai. Follow *_RAINY_EYES_ SEND 8001.

Mohabbat Tum Se Hai Ye Maanti Hoon Main. Typed by *_RAINY_EYES_* Mohabbat tum se hai ye maanti hoon main. Chahat bus tumhari hai ye janti hoon main. Aao apni zaat ke us pehlu se milaon tumhain. Main kya hon aur kon hoon ye bataon tumhain. Main apni maan ki tarbiyat mein dhala ik sancha hoon. Apne baba ki umeedon se pur aik khaka hoon mein. Apne bhai ki ghairat hoon ye janti hoon mein. Is ghar ki izat hoo ye maanti hoon mein. To phir behek jaon phir mein,ye mumkin nahi. Rishte aur bhi to hain sirf tum hi to nahi. Mohabbat unhen bhi hai sirf tum ko to nahi. Saima Ismail. Follow *_Rainy_Eyes_* send 8001.

Mere Mohsino Mere Dosto Mujhy Zindagi Ki Dua Na Do. Typed by *_RAINY_EYES_* Mere mohsino mere dosto mujhy zindagi ki dua na do. Main to piyar ke qabil nahi mujhy dil mein itni jagah na do. Mujhy shauq_e_zest na raha mujhy zindagi ne diya hai kya. Main marun ye mujhy ko haq to hai,main jiyun yeh mujh ko saza na do. Wo bane the mere jo humsafar wohi chal diye mujhy chor ke. Main jahan se aaya hoon ghamzada ,mujh phir waheen se sadaa na do. Is zindagi ki shaam ka,mujhy dar tha is anjam ka. Mujhy aik aansoo ki tarah kaheen aankh se tum gira na do. Sajan is dayar mein ik saya_e_diwar main. Main jo so gaya hoon chain se mujhy neend se phir jaga na do. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Mere Charagar Ko Naveed Ho. Typed by *_RAINY_EYES_* Mere charagar ko naveed ho. Wo jo dil mein jeeney ki chah thi. Wo jo dard tha, Wo jo zindagi se judai ka mujhy khof tha. Ussi khouf se mera poor poor zard tha. Wo jo aas thi, Jise thaam kar meri sans chalti thein raat din. Wo jo khwab tha, Jissey khud mein bharney ki chah mein. Meri aankh jalti thi raat din. Mere charagar ko naveed ho, Meri aas aor mere khaab_e_jan. Meri chahtein sabhi jal bujhein. K...wo aor zehar na de mujhe. Main kabhi ki khud se bichar chuki. Kay....main mar chukki. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Main Usey Chor Aai Hoon. Typed by *_RAINY_EYES_* Main usey chhor aai hoon. Main mohabbat ki ibteda aor inteha ke mutaliq nahi janti. Main is ke maani bhi nahi samajhi hoon magar,jis ke bina. Sans lena bhi mumkin nahi tha. Jis ke bicharne k khayal se hi. Dil ki saari ragen toot'ti thein. Wo jis ki kaj addai sahi nahi jati thi. Wo jis ki ek pal ki berukhi se kumla si jati thi. Wo jis ki halki si takleef mujhy bokhla deti hai. Wo jis ki choti ci farmaish puri karney ko kia kia jatan karti thi. Jis ki har baat seh jati thi. Jise roothney nahin deti thi. Aaj us ki aakhri tamana bhi puri kar aai hoon. Haan tum sahi samajhty ho. Main us ke liye,ussey chhor aai hoon. Jis ke na hone se . Mere jewan ke sab rang khatam ho gaye hain. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Poochte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai. Typed by *_RAINY_EYES_ poochte ho to suno kaise basar hoti hai. Raat khairat ki, sadkey ki sahar hoti hai. Sanss barhaney ko to jeena nahi kehty'YA RAB'. Dil hi dukhta hai naa ab aastein tar hoti hai. Jaise jaagi howi aankhon mein chubein kaanch kay khwaab. Raat is tarah deewano'on ki basar hoti hai. Ghum hai dushman mera ghum hi ko dil dhundh'ta hai. Aik lamhay ki judai bhi agar hoi hai. Aik markaz thi talaash, aik bhatakti khushbu. Kabhi manzil kabhi tehmeed_e_safar hoti hai. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Qn Rakhtay Ho Is Tarah. Typed by *_RAINY_EYES_* Qn Rakhtay Ho Is Tarha Mera Khayal K Ab Har Lamha Udaas Rehne Ko G Karta He Q Maante Ho Har Ik Baat Ko Meri K Ab Tum Ko Tum Hi Se Mangne Ko G Karta He Tum Jo Chalo Sath To Koi Shikva Nahi Zindagi Se K Ab To Kanton Pe Bhi Chalne Ko G Karta He Darr He K Is Safar Main Tanha Na Reh Jaon K Ab Umar Bhar Tera Sath Nibhanay Ko G Karta ha. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001.

Sar Se Paon Tak. Typed by *_RAINY_EYES_* Sar se paon tak wo gulabon ka shajar lagta hai. Ba wazo hote hoe bhi choote hoe daar lagta hai. Mein tumhary sath sitaron se guzar sakta hoon. Kitna aasan muhabbat ka safar lagta hai. Mujh mein hi rehta hai dushman jani mera. Khud se tanha milte hoe daar lagta hai. Zindagi tune mujhy kabar se kam kar di hai. Paon phelaon to dewar mein sar lagta hai. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001

Suno Ae Chand Si Larki. Typed by *_RAINY_EYES_* Suno ae chana si larki. Abhi tum keh rahi thi na. Tumhen mujh se muhabat ho nahi sakti. Chalo mana k ye sach hai. Magar ae chand si larki. Mujhy itna batao tum. K jab mosam badalte hain. Gulon main rang bharte hain. To phir kiun muztarib ho kar. Akele pan se ghabra kar. Hawa ko raaz deti ho. Mujhe awaz deti ho. Suno ae chand c larki. Tumhare samne koi mera jub naam leta hai. To phir kiun chonk jati ho. Chalo mana tumhain mujh se muhabat ho nahi sakti. Magar itna samajh lo tum. Jahan chahat nahi hoti. Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota. Mera dawa h chahat main. Jahan nafrat nahi hoti. Wahan aksar ye dekha hai. Agar kuch waqt kat jaye. Samay ki dhool charh jaye. To wehshat bhaj jati hai. Muhabbat jaag jati hai. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_*

Sab Tumharay Liye. Typed by *_RAINY_EYES_* Sab tumharay liye.. Jaan_e_jaan yeh jahaan,yeh zameen aasman. Yeh mere raat din khaak main tere bin. Yeh meri zindagi,dosti,dushmani. Rastay, wastay sab tumharay liye. Tum jo dekho to mere shab_o_roz ko. Koi matlab milay. Tum jo poocho to mere har ik haraf ko. Koi rutba milay koi munsib milay. Tum jo socho mere wastay kuch bhi. Main sitaaron ko muthi main bhar loon ga. Tum agar aik mujh ko awaz do. Main jahan par bhi hoon loat kar aaon ga. Ye mere jism_o_jaan mere sheir_o_ sakhan. Meri tanhayian bazam aarayian. Ab tumhary liye. Sab tumharay liye. Unknown poet. Typed by *_RAINY_EYES_*

Tere Dil Ke Dard Ko Dekh Kar. Typed by *_RAINY_EYES_* Tere dil ke dard ko dekh kar,mere dil mein dard hai kis liye. Ussi aik shakhs ke wastay mere dil mein dard hai kis liye. Meri zindagi ka mutalba wohi aik fard hai kis liye. Na jamal_o_husn ki bazm hai,na jan_o_ishq ka azam hai. Sir_e_dasht raqs mein har ghari,koi bad'gard hai kis liye. Jo likha hai mere naseeb mein kahin tu ne parh to nahi liya. Tera hath sard hai kis liye,tera rang zard hai kis liye. Wo jo tarq_e_rabt ka ehd tha,kahin tootnay to nahi laga. Tere dil ke dard ko dekh kar,mere dil mein dard hai kis liye. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001

Tu Mera Naam Na Pucha Kar. Typed by *_RAINY_EYES_* Tu mera naam na pucha kar. Main teri zaat ka hissa hun. Main teri soch mein shamil hoon. Main teri neend ka qissa hoon. Main tery khwab ka hasil hoon. Main teri yaad ka mehvar hoon. Main teri saans ka jhonka hoon. Tu manzar,main pas_e _manzar hoon. Main lamha hoon,main jazba hoon. Jazbay ka koi naam nahi. Tu mera naam na pucha kar. Poet Mohsin Naqvi. Book Reza_e_hurf. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001.

Tum Mujhy Itna Pyar Kyun Karte Ho ? Typed by *_RAINY_EYES_* Wo puchti hai mujh se,tum mujhy itna pyar kyun karte ho ? Maine kaha ek tamana hai tumhen pane ki. Wo puchti hai har waqt kyun udas rehte ho ? Mene kaha koshish he tumhen har khushi dilane ki. Wo kehte hai har waqat kyun sochte ho ? Mene kaha aadat ho gai he, tumhen khayalon mein apna banane ki. Wo kehti hai kabhi chand bhi chah kar apna hua hai? Mene kaha ek umeed hai is umeed mein zindagi bitane ki. Wo kehti hai main na mili to ? Mene kaha to koshish karonga zindagi mitane ki. Wo kehti hai tumhain kya milega mar kar ? Mene kaha ek umeed agle janam mein tumhain apna banane ki !!! Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Takleef e Hijar De Gai. Typed by *_RAINY_EYES_* Takleef e hijar de gai rahat kabhi kabhi. Badla hai yun bhi rang e mohabat kabhi kabhi. Dil ne teri jafa ko sahara samajh liya. Guzri hai yun bhi hum pe musibat kabhi kabhi. Badla hai yun bhi rang e mohabat kabhi kabi. Takleef e hijar de gai rahat kabhi kabhi. Duniya samajh na le tere gham ki nazaqatein karta hon zer e lab jo shikayat kabhi kabhi. Badla h yun bhi rang e mohabat kabi kabi. Takleef e hijar de gai rahat kabhi kabhi. Hai jis taraf nigah tawaju udhar nahi hoti h berukhi bhi inayat kabhi kabhi. Badla hai yun bhi rang e mohabbat kabhi kabhi. Takleef e hijar de gai rahat kabi kabi. Ayi shab e firaaq to ghabra gaye shaji aati hai zindagi mein qayamat kabi kabi. Badla hai yun bhi rang e mohabbat kabhi kabhi. Takleef e hijar de gai rahat kabhi kabhi. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001.

Talwar Hain Teri Aankhen. Typed by *_RAINY_EYES_ Khanjar hain teri aankhen talwar teri aankhe. Zinda na rehnay hein kiyon ay yaar teri aankhen. Chehre pay to ghussa hai aankhon mein mohabbat hai. Karti hein mere dilbar iqrar teri aankhen. Ye bolti aankhen bhi afsaanay sunati hain. Rakhte hain zuban jaisay ay yaar teri aankhen. Ay nargis_e _mastana allah tujhy rakhay. Rehti hein tasawar mein her baar teri aankhen. Khanjar hain teri aankhen talwar teri aankhen. Zinda na rehnay hein kiyon ay yaar teri aankhen. Singar Austad Nusrat Fattah Ali Khan. Follow *_RAINY_EYES_* send 8001

Use Meri Chup Ne Rula Dia. Typed by *_RAINY_EYES_* Use meri chup ne rula dia. Usay apnay ferda ki fikar thi wo jo mera wakif_e_kaar tha. Wo jo us ki subh_e_urooj thi wohi mera waqt_e_ sawal tha. Kahan jao ge kaha aao ge mein ye poch poch ke thak gaya. Wo jawab mujh ko na de saka wo to khud hi sarapa sawal tha. Meri baat kaise wo manta mera dard wo kaise janta. Wo to fana ke safar me tha use rokna bhi mahal tha. Wo jo us ke samnax aa gaya wohi roshni me naha gaya. Ajab us ka rung_e_jamat tha. Dam_e_ wapsi arey kya hua na wo roshni na wo tazgi. Wo sitara kaise bikhar gaya wo jo apni misal atp tha. Wo mila bhi to sadion ke baad bhi mere lub pe koi gila na tha. Use meri chup ne rula dia jise guftagu me kamal tha. Mere saath lag ke wo ro dia mujhy sirf itna hi keh saka. Jise janta tha mein zindagi wo to mera wehm_o_ khayal tha. Follow *_RAINY_EYES_*

Zameen Maili Nahi Hoti. *NAAT* Typed by *_RAINY_EYES_* Zameen maili nahi hoti zaman mela nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nah hota. Mohabat kamli wale se wo jazba hai suno logo. Ye jis mann main sama jaye wo mann maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Nabi ke paak langar par jo palley he kabhi unki. Zuban maili nahi hoti,sukhan maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Mere aqaa ki ulfat to badan ko jag magted hain. Kabhi ehl_e _Muhammad ka badan maila nahi hota. Gulon ko chum laite hain sahar'nam shab'nami qatre. Nabi ki naat sum le tu chaman maila nahi hota. Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Zabt E Girya Say To Kuch. Typed by *_RAINY_EYES_* Zabt E Girya Say To Kuch Aur Bhi Be,Kal Howay Hum. Phir Jo Tanhaai Main Roye Hain To Jal Thal Howay Hum. Ye Tahzeeb E Dil O Jaan Hai, Mohabat Kya Hai. Tum Ne Dewana Kya Hum Ko Pagal Howay Hum. Zindagi Thi Tera Payman E Wafa Tu Na Tha. Phir To Yun Toot Ke Bikhray Hain Ke Pal Pal Howay Hum. Yaar Agyar Sabhi Ahl E Tamasha Nilay. Kitnay Tanha Thy Ke Jab Dakhik E Zindan Howay Hum. Ye Kahani Kisi Ek Mor Pe Ruk Jati Thi. Tu Howa Shamil E Qisa To Mukamal Howay Hum. Dam Bhi Lainay Na Dya Zabat E Dunya Ne "FARAZ" Phir Jo Mismar Howay Hain To Musalsal Howay Hum. Poet Ahmed Faraz. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001

Zindagi Zindagi se darti hai. Typed by *_RAINY_EYES_* Zindagi zindagi se darti hai. Zindagi zindai pe marti hai. Khafa hoti nahi zindagi zindagi se. Zindagi to zindagi se pyar karti hai. Imtehan ho kaisa bhi zindagi par. Zindagi har imtehan se guzarti hai. Kia jo kisi ne pyar zindagi se kabhi. Apni aaghosh mein usay bharti hai. Bana lon main us ko gar apni zindagi. Jo meri ban kar zindagi jeeti hai. Moonh na mor yun zindagi se. "Kashif" Bari mushkil se ab zindagi bani hai. Follow *_RAINY_EYES_*

Zindagi Is Tarah Se. Typed by *_RAINY_EYES_* Zindagi is tarah se lagne lagi rang ud jaye jo deewaron se. Ab chupane ko apna kuch na raha zakham dikhane lage dararon se. Ab tak sirf tujh ko dekha tha aaj tu kya hah yeh bhi jaan liya. Aaj jab gaur se jujhe dekha hum galat the kahin yeh maan kiya 2. Teri har bhool mein kahin shayad hum bhi shamil hain gunahgaron se. Ab chupane ko apne kuch na raha zakham dikhane lagea dararon se. Aa mere sath mil ke hum phir se apne khwabo ka ghar banate hain. Jo bhi bikhra hai wo samet'te hain dhondkar phis khushi ko laate hain 2. Bojh to zindagi ka kat'ta hai ek duje ke hi saharon se. Zindagi is tarah se lagne lagi rang ud jaye jo dewaron se. Ab chupane ke apna kuch na raha zakham dikhane lage dararon se. Follow *_RAINY_EYES_*

Typed by *_RAINY_EYES_* Ab Dil Ko Sambhalen Ke Ghum_ E_Dil Ko Sambhalen. Fursat Nahi Itni Bhi Ke Do Ashk Hi Baha Len. Be Taab Hun Tum Ne Bhi To Judai Me kisee Ki. Mumkin Ho To Aajao Shab_E_Hijar Mana Lein. Tum Or Karo Zulf_E_Pareshan Ko Pareshan. Hum Bhi Dil_E_Betaab Ko Diwaana Bana Lein. Bethay Hain Is Andaaz Se Mae Kash Sar_e_Mehfil. Saaki Ka Ishara Ho To Saghar Ko Uchalein. Aey Ahl_e_Jun'n Aao Ke Veera'n Han Shab_O_Roz. Ujri Hui Mehfil Ko Pher Eik Baar Jamaa Lein. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001