Posts

Showing posts from December 11, 2014

Hamain Jab K Apna Bana Liya To Hai

Hamain Jab K Apna Bana Liya To Hai . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Hamain Jab K Apna Bana Liya To Hai Rabt Kis Liay Hum Say Kum . Ye Hijaab Kya, Ye Guraiz Q Rahain Samnay To Wo Kum Say Kum . Gham E Arzo, Gham E Justaju, Gham E Imtihan, Gham E Jism O Jaan . Meri Zindagi Ki Bisaat Kya Meri Zindagi To Hai Gham Say Kum . Ye Maqaam Naaz O Niyaaz Hai Mera Dil Hi Mehrum E Raaz Hai . Wo Nawaztay Hai Baa Musal'lat Hamain Altifaat O Karam Say Kum . Tere Astaan Ka Fakeer Hun Magar Ap Apni Nazeer Hun . Mere Shan E Fakar Jahan Main Na Mile Gi Shoukat E Jum Say Kum . Ye Kaha Gaya, Ye Suna Gaya, Ye Likha Gaya, Ye Parha Gaya . Na Jafa Hoi Kabhi Tum Say Kum Na Wafa Hoi Kabhi Hum Say Kum....'*'SA'*' . Wohi Nisbatain Wohi Rifaatain Wohi Ronaqain Wohi Azmatain . Mere Dil Main Jab Say Hai Wo Makeen Nahi Ye Makaan Bhi Harum Say Kum . Tere Abroun Ki Haseen Kamaan Nazar Aa Rahi Hai Falak Nishaan . Na Karishma Koos E Kaza Say Kum Na Kas

Tere Pind O Naseehat Muhtasib Wo Kya Samjhtay Hai

Tere Pind O Naseehat Muhtasib . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Tere Pind O Naseehat Muhtasib Wo Kya Samjhtay Hai . Qayamat Ko Jo Unka Wada E Farda Samjhtay Hai . Nahi Hai Ahtiyat E Lab Kushai Ro Ba Ro Un K . K Ahl E Dil Zuban E Deeda E Meena Samjhtay Hai . Jo Gul K Aaine Main Daikh Sakte Hai Rukh E Gulshan . Wo Arbab E Nazar Qatray Ko Bhi Darya Samjhtay Hai . Koi Dar Parda Kis Say Chal Raha Hai Kon Si Chalain . Samjh Har Chandd Naqis Hai Magar Itna Samjhtay Hai . Na Pocho Kuch K Kya Kuch Day Diya Daine Wale Nay . Bara Ho Laakh Koi Hum Kisi Ko Kya Samjhtay Hai . Bazahir Khush Thay Jo Kal Tak Hamari Gul Fishani Par . Wo Apne Bhi Hamain Ab Rah Ka Kanta Samajhtay Hai....'*'SA'*' . Tere Dhokay Main Aanay Wale Nahi Aay Nifaaq E Aa'ra . Tere Bartao Ko Hum Khob Aay Dunya Samjhtay Hai . Nazar Unki Nahi Uthti Sar E Mahfil Meri Janib . K Wo Mere Lab E Khamosh Ka Mansha Samjhtay Hai . Jo Niklain Justaju Ka Shoq Lay Kar

Phr Mang Phr Mang

Phr Mang Phr Mang . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Tu Rab Ka Banda Hai Phr Mang Phr Mang Rab Tera Daata Hai Phr Mang Phr Mang . Us K Dar Say Manga Hai Gul E Anbiya Nay Aas'haab O Olaad E Khair Ul Wara Nay . Shah O Gada Or Sab Ooliya Nay To Sochta Kya Hai Phr Mang Phr Mang . Mahdod Hai Garcha Tere Wasaail La Taq'tawa Ka Agar Hai Tu Qail . Mayoos Na Baith Ghabra Na Saa'il Ye Dar Hamara Hai Phr Mang Phr Mang . Ghairat Bari Shaay Hai Aay Abr E Ruswa Dar Dar Pay Na Ja Us K Dar Ka Hoja . Ghairon K Ehsaan Kab Tak Gawara Q Us Ko Bhoola Hai Phr Mang Phr Mang . Har Aan Daiti Hai Rahmat Sadain Wo Tera Malik Hai Kar Iltajain . Us Nay To Kee Ghair Par Bhi Aatain Tu Phr Bhi Apna Hai Phr Mang Phr Mang . Hai Sab K Sab Jin O Insan Banday Wo Maizban Us K Mahmaan Banday . Kuch Apni Oqaat Pahchan Banday To Uska Mangta Hai Phr Mang Phr Mang....'*SA*' ",, " Hai Uski Takhleeq

Dil Hai Betaab Or Nazar Hai Bay Chain

Dil Hai Betaab Or Nazar Hai Bay Chain . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Dil Hai Betaab Or Nazar Hai Bay Chain Shaam Bay Chain Hai Shajar Bay Chain . Band Ankhon Main Hai Khuda Betaab Ankh Kholon To Hai Bashar Bay Chain . Rooh Main Mustaqil Hai Thahra Hoa Raat Ka Akhri Paher Bay Chain . Jaane Kis Cheez Ki Kaami Hai Yahan Jaane Q Kar Sab Nagar Bay Chain . Daikh Kar Zalimo K Naizon Ko Honay Lagta Hai Mera Sar Bay Chain . Daikh Kar Pinjron K Darwazay Ho Gaye Panchiyun K Par Bay Chain . Jaane Ab Kis Tarha Sakoon Mile Aik Hi Ghar Hai Or Ghar Bay Chain.....'*'SA'*' . Poet Farhat Abbas Shah Book Kahan Ho Tum

Dard Or Gham Ki Nai Laher Ghulay

Dard Or Gham Ki Nai Laher Ghulay . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Dard Or Gham Ki Nai Laher Ghulay Khoon Main Roz Mere Zaher Ghulay . Teri Khatir Mera Dil Jal Jaye Tere Dukh Main Ye Mera Shaher Ghulay . Shaher Main Shaam Pighal Jati Hai Dasht Main Hijar Ki Dopaiher Ghulay . Dil Main Kitne Hai Zamane Totay Rooh K Daiher Main Hai Daiher Ghulay . Aik Muddat Say Saron Par Apne Sang Pighlay Na Tera Qaiher Ghulay.....'*'SA'*' . Poet Farhat Abbas Shah Book Kahan Ho Tum

Ab K Bars Bhi Hogai Mere SAATH ANOKHI

Ab K Bars Bhi Hogai Mere Saath ANOKHI . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Ab K Bars Bhi Hogai Mere Sath Anokhi . Pichlay Bars Bhi Aai Thi Barsat Anokhi . Main Dewana Waar Dharak Utha Nagri Main . Us Nay Aahista Say Ki Ik Baat Aanokhi . Tere Jaisi Siftain Kabhi Na Mileen Kisi Main . Tere Jaisi Kabhi Na Daikhi Zaat Anokhi . Ab Ki Baar To Sabar Bhi Bay Sabri Say Haara . Ab Ki Baar Lagai Dukh Nay Ghaat Aanokhi . Khud Par Kaabu Pa Kar Jeet Gaye Dunya Say . Hum Nay Apne Hathon Khaai Maat Anokhi . Jitne Banto Utnay Barhtay Jate Hai Ghum . Ye Dolat Aai Hai Mere Haath Anokhi . Jab Ye Chand Sitaray Hum Say Roth Gaye Thay . Tumhain Kabhi Yaad Aai Hai Wo Raat Aanokhi.......'*SA*' . Poet Farhat Abbas Shah Book Kahan Ho Tum

RO Diya Main To Wo Hansaa Kuch Or.

RO Diya Main To Wo Hansaa Kuch Or. . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Roo Diya Main To Wo Hansaa Kuch Or Ban Gai Dard Ki Fizaa Kuch Or . Or Hi Kuch Suna Hai Logon Nay Keh Gai Hai Mujh Hawa Kuch Or . Itne Kum Ansoun Say Kya Hoga Aay Meri Aankh Ki Ghata Kuch Or . Mukhtalif Pahluon Pay Baat Chali Or Tha To Hamain Laga Kuch Or . Hai Tumhara Karam Abhi Kuch Kam Aay Khuda Aay Mere Khuda Kuch Or.....'*'SA'*' . Poet Farhat Abbas Shah Book Kahan Ho Tum

Moat Ka Aitbaar Kar Laite

Moat Ka Aitbaar Kar Laite . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Moat Ka Aitbaar Kar Laite Do Ghari Intizaar Kar Laite . Dard Monh Phair Kar Nahi Jata Dard Hi Ikhtiyaar Kar Laite . Loat Kar Phr Yahi Howa Karta Tum Kisi Say Bhi Pyar Kar Laite . Aay Mere Dil Kabhi Kabhi Koi Shaam Hi Khush Gawar Kar Laite . Jhoot Ki Nokri Say Bahtar Tha Khud Ko Bay Rozgaar Kar Laite.....'*'SA'*' . Poet Farhat Abbas Shah Book Kahan Ho Tum

Hijar Jari Hai Or Jewan Hai

Hijar Jari Hai Or Jewan Hai . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Hijar Jari Hai Or Jewan Hai Bay Qarari Hai Or Jewan Hai . Khuwahishon K Ajeeb Mosam Main Aah O Zari Hai Or Jewan Hai . Mustaqil Taig Raigaani Ki Zarb Kaari Hai Or Jewan Hai . Dard Nay Mo'tabir Kia Mujh Ko Burdbari Hai Or Jewan Hai . Ishq K Samnay Meri Dil Ki Inkisaari Hai Or Jewan Hai . Aik Aik Pal Hoa Garaan Mujh Par Sans Jari Hai Or Jewan Hai . Halat Ab Apni Aik Muddat Say Iztaraari Hai Or Jewan Hai.....'*'SA'*' . Poet Farhat Abbas Shah Book Kahan Ho Tum