Posts

Showing posts with the label Poet Muzaffar Warsi

Shola Hon Bharakne Ki Guzaarish Nahin Karta.

Shola Hon TaYpEd By  TLASH25 Shola Hon Bharakne Ki Guzaarish Nahin Karta. = Such Monh Se Nikal Jata Hai Koshish Nahin Karta. = Girti Huwi Deewar Ka Hamdard Hon Lekin. = Charhte Huwe Sooraj Ki Parastish Nahin Karta. = Mathey Ke Paseene Ki Mahik Aaye To Dekhein. = Wo Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahin Karta. = Humdardi E Ahbaab Se Darta Hon Muzaffar. = Mein Zakhm To Rakhta Hon Numaaish Nahin Karta...! = Poet By Muzffar Warsi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ab Ke Barsat Ki Rut Aur Bhi Bharkeeli Hai.

Ab Ke Barsat Ki TaYpEd By   TLASH25 Ab Ke Barsat Ki Rut Aur Bhi Bharkeeli Hai. = Jism Se Aag Nikalti Hai Qaba Geeli Hai. = Sochta Hon Ke Ab Anjaam E Safar Kiya Ho Ga. = Log Bhi Kaanch Ke Hain Raah Bhi Pathreeli Hai. = Shidat E Qarb Mein To Hansna Qarb Hai Mera Hath Hi Sakht Hain. = Zanjeer Kahan Dheeli Hai. = Gard Ankhon Mein Sahi Daag To Chahre Pe Nahin. = Lafz Dhundhle Hain Magar Fikar To Chamkeeli Hai. = Ghool Deta Hai Samaat Mein Wo Meetha Lehja. = Kis Ko Maloom Ke Ye Qeend Bhi Zahreeli Hai. = Pehle Rag Rag Se Meri Khoon Nichora Us Ne. = Ab Ye Kahta Hai Ke Rangat Hi Meri Peeli Hai. = Mujh Ko Be Rang Hi Na Kar De Kahin Rang Itne Sabz Mosam Hai. = Hawa Surkh, Fiza Neeli Hai. = Meri Parwaz Kisi Ko Nahin Bhaati To Na Bhaaye. = Kiya Karon Zihan Muzaffar Mera Jibraeeli Hai...! = Poet By Muzaffar Warsi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Kiya Bhala Mujh Ko Parakhne Ka Nateeja Nikla.

Kiya Bhala Mujh TaYpEd By  TLASH25 Kiya Bhala Mujh Ko Parakhne Ka Nateeja Nikla. = Zakham E Dil Ap Ki Nazro Se Bhi Gahra Nikla. = Tor Kar Dekh Liya Aaina E Dil Tu Ne. = Teri Soorat Ke Siwa Aur Bata Kiya Nikla. = Tishnagi Jam Gayi Pathar Ki Tarah Honton Par. = Doob Kar Tere Darya Mein, Mein Piyasa Nikla...! = Poet By Muzaffar Warsi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Dil Abad Hai Ankhain Khali Khali Hai

Image
Dil Abad Hai Ankhain Khali Khali Hai . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Dil Abad Hai Ankhain Khali Khali Hai . Ye Shaklain Baqi Rah Jane Wali Hai . Naiki Bhi Matlab Say Karti Hai Dunya . Baant Rahe Hai Jo Khairaat , Sawali Hai . Kitna Sacha Hai Insaaf Adalat Ka . Chotne Wale Sab Mujrim , Aqbaali Hai . In Sar Oncha Kar K Chalne Walo Nay . Waqt K Pairo Main Dastarain Dali Hai . Apne Apne Zameer Ka Haq Mara Hai . Such Pocho To Hum Sab Istihali Hai . Danishwar To Boht "Muzaffar" Hai Laikin . Kitne "Sar Sayyad" Hai Kitne "Haali" Hai.......*SA* . End . Book Rakh K Dhair Main Phol By Muzaffar Warsi
Image
Bhagte Shakhs Ko Shahsawar Na Maano Ga . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Bhagte Shakhs Ko Shahsawar Na Maano Ga . Choo'roo Ko Main Shab Baidar Na Maano Ga . Isi Shikari Dunya Ka Shagird Hun Main . Itni Aasani Say Haar Na Maano Ga . Nach Nach Kar Matt Bahlao Garebo Ko . Chenkh Ko Payal Ki Jhankar Na Maano Ga . Chaap Ko Maine Andar Atay Daikha Hai . Saaye Ko Hargir Deewar Na Maano Ga . Jabir Sultano Par Jo Tanqeed Kare . Aise Baagi Ko Gaddaar Na Maano Ga . Chaho Kitna Khon Jalao Chirago Main . Qatl O Gharat Ko Tahwar Na Maano Ga . Sab Ka Barabar Haq Hai Musaffar Dunya Par . Taqat War Ko Aajara Dar Na Maano Ga.......*SA* . END . POET Muzaffar Warsi . Book Rakh K Dhair Main Phool

Sach Bolte Fankar Ko Chup Kaise Kia Jaye

Image
Sach Bolte Fankar . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Sach Bolte Fankar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Awaz K Haqdar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Cheekho Ko To Dafna Dia Dewar K Peechay . Girti Hoi Dewaar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Pahna To Gaye Ho Mere Nagmaat Ko Zanjeer . Zanjeer Ki Jhankar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Bikne K Liay Aya Hai Har Aik Khareedar . Lut'te Hoay Bazar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Awaz Daba Kar Meri Wo Soch Raha Hai . Khamoshi Ki Lalkar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Takleef Say Jo Cha'hragard Chenkh Raha Hai . Aise Kisi Beemar Ko Chup Kaise Kia Jaye . Jalte Hoay Anso To Muzaffar Main Bicha Do . Barsat Ki Bochar Ko Chup Kaise Kia Jaye.....*SA* . END . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Husn Ki Apni Wazahat Nahi Karna Ati

Image
Husn Ki Apni Wazahat . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Husn Ki Apni Wazahat Nahi Karna Ati . Galban Isko Muhabt Nahi Karna Ati . Aik Halki C Nazar Say Chatakh Jata Hai . Humko Is Dil Ki Hifazat Nahi Karna Ati . Ansuon Say To Marasim Hai Kisi Ankh Ki Hun . Qahqaho Main Hamain Sharafat Nahi Karna Ati . Q Hamain Ishq K Bazar Main Lay Aaye Ho . Lot To Sakte Hai Tijarat Nahi Karni Ati . Bandhta Hai Wo Baagolo Ko Bhi Zanjeero Say . Usko Dewano Ki Izzat Nahi Karna Ati . Zindagi Say Kabhi Insaf Nahi Kar Sakta . Jisko Zulm Say Bagawat Nahi Karna Ati . Karbalaon Main Utarna To Hamain Ata Hai . Waqt K Haath Pay Baeeyaat Nahi Karna Ati . Parwarish Ki Hai Muzaffar Ki Ajab Qadro Nay . Dushman Jan Say Bhi Nafrat Nahi Karna Ati.....*SA* . End . Book Rakh K Dhair Main Phol By Muzaffar Warsi

Har Qanon Nay Aa Kar Daikhe Mere Tan K Ghaao

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Har Qanon Nay Aa Kar Daikhe Mere Tan K Ghaao . Mere Khon Main Tairr Rahi Hai Har Munsif Ki Naao . Kon Ye Sachai, Insaf, Muhabt Baichne Aya . Khali Jaibo Wale Aa Kar Poch Rahe Hai Bhaao . Piyase Marne Walo K Hontho Tak Koi Na Pochay . Apne Ghr K Agay Sab Kar Laite Hai Chirkao . Gorkano K Shahr Main Rahna Kuch Asaan Nahi . Rahna Hai To Kafan Pahn Kar Qabristano Main So Jaao . Barhte Andhairo Par Jab Bhi Tanqeed Kia Karta Hun . Raat Ki Chatt Par Charh Kar Taare Karte Hai Pathrao . Tahzibo K Saaye Main Zulf Bhi Karta Raha Taraqqi . Yaksa Raha Hai Dono Say Har Lamhe Ka Bartao . Jati Hoi Lahro K Sath Muzaffar Jana Hoga . Paar Utare Gi Ab To Dobne Wali Naao......*SA* . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Dard Bhi Hum Nay Aksar Khareeda Or Sar E Aam Khareeda

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Dard Bhi Hum Nay Aksar Khareeda Or Sar E Aam Khareeda . Dil Main Shamma Muhabt Jalai Aag K Shahr Main Ghr Khareeda . Khon Ki Bound Thi Us Say Mahngi Jitni Kemat Main Khanjar Khareeda . Khudkashi Admeeyat Nay Karli Jab Jahalat Nay Mimber Khareeda . Jur'aatain Baich Kar Zakhm Khaye Aaina Day K Pathar Khareeda . Zindagi Bhar Ki Neendo K Badle Maine Kanto Ka Bister Khareeda . Moat Nay Bhi Meri Laaj Rakh Li Soliyo Nay Mera Sar Khareeda . Jeet Sakta Tha Wo Jang Kaise Jis Nay Lashkar Ka Lashkar Khareeda . Khwahisho Par Na Jana "Muzaffar" Khwahisho Nay Sikandar Khareeda.......*SA* . END . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Pattay Pattay Par Jo Werane Likhe

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* Pattay Pattay Par Jo Werane Likhe . Sab Hamare Naam Dunya Nay Likhe . Uski Mayosi Ka Andaza Karo . Deeda O Dil Ko Jo Baigane Likhe . Jhoom Uthi Hum Ko Rota Daikh Kar . Ansoun K Geet Barkha Nay Likhe . Yousifo K Naam , Namay Ishq Likhe . Har Zamane Ki Zulaikha Nay Likhe . Hosle Say Umar Humne Ki Basar . Daman Dushmam Pay Yarane Likhe . Zindagi Murdo K Hatho Main Rahi . Moat K Nohay Maseeha Nay Likhe . Saghro Say Bhi Chalakta Hai Laho . Waqt Maqtal Ko Bhi Maikhane Likhe . Khak Main Rulti Rahi Sachaiyan . Or Kalam Walo Nay Fasane Likhe . Un Qaseedo K Nahi Hum Zemaydar . Jo Hamare Baap Dada Nay Likhe . Hum To Sarkash Log Hai Hum Nay Sada . Fard Sultani Main Jurmane Likhe . Gile Shikway Hi "Muzaffar" Umar Bhar Dil K Kaghaz Par Tammana Nay Likhe.......*SA* . End . By Muzaffar Warsi

Sada E Huq K Liay Apni Jan Bhi Day Ga

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Sada E Huq K Liay Apni Jan Bhi Day Ga . Koi To Dar Pay Charh Kar Azaan Bhi Day Ga . Burijmaan Hai Jo Kursi Adalat Par . Kat'haire Main Khare Ho Kar Biyan Bhi Day Ga . Sama'atain Hi To Dewar Ka Naseeb Nahi . Koi To Hadsa Usko Zuban Bhi Day Ga . Parha Raha Hai Agar Wo Nisaab Shaam O Sahar . To Hum Ko Koi Imtihan Bhi Day Ga . Pare Ki Sabar Ki Adat Karege Shukar Agar . Hai Jiski Dhop Wohi Saibaan Bhi Day Ga . Bithao To Sahi Azam Safar Ko Kashti Main . Hawa Ka Zor Khule Badbaan Bhi Day Ga . Ye Mulk Asal Main Allah Ki Imanat Hai . Ameen Ban Gay Hum To Amaan Bhi Day Ga . Dilo Main Boay Ga Jo Shakhs Chahatain Apni . Suna Hai Ab Wo "Muzaffar" Lagan Bhi Day Ga . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Dagh Day Kar Saaf Chahra Mangti Hai Zindagi

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Dagh Day Kar Saaf Chahra Mangti Hai Zindagi Lot Kar Bhi Apna Hissa Mangti Hai Zindagi . Din Main Mujh Par Dhoop Ki Dewar Ban Kar Ghir Pare Or Shab Ko Apna Saaya Mangti Hai Zindagi . Aik To Zakhmo Say Chakna Chor Karti Hai Hamain Or Phr Sonay Ka Tamga Mangti Hai Zindagi . Pyar Ka Izhar Bhi Karti Hai Zalim Ki Tarha Monh Par Thapper Day K Boosa Mangti Hai Zindagi . Dosri Dunya Ka Jab Darpaish Hota Hai Safar Moat Say Darasal Waqfa Mangti Hai Zindagi . Kon Ye Usko Sikhata Hai Zabardasti Ka Fun Khainch Kar Dewar Rasta Mangti Hai Zindagi . Lamha E Majod Par Bhi Jinka Koi Haq Nahi Un Say Musatbil Ka Rasta Mangti Hai Zindagi . Khon Say Apne Taal'luq Torne K Waste Ajnabi Logo Say Rishta Mangti Hai Zindagi . Lot'ti Hai Shaam Ko Wapis "Muzaffar" Khali Hath Subah Uth Kar Roz Kharcha Mangti Hai Zindagi . By Muzaffar Warsi

Meri Khushboun Say Na Baach Saka Mere Sar Pay Aag Uchaal Kar

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Meri Khushboun Say Na Baach Saka Mere Sar Pay Aag Uchaal Kar . Wo Aseer Khud Mera Hogaya Mujhe Apni Qaid Main Daal Kar . Mere Khwab Bhi Mere Rut Jagay Safar Hayat Bhi Yun Lage . Kisi Khuffiya Rah Say Jis Tarha Koi Lay Chala Hai Nikal Kar . Jo Tera Sukhan Tere Sath Hai Mere Monh Pay Q Tera Hath Hai . Main Jawab Jis Ka Na Day Sako Koi Aisa Mujh Say Sawal Kar . Tere Is Numaishi Husn Say Mere Aaine Bhi Chatakh Gaye . Mujhe Or Kuch Nahi Chahiay Mera Aitmaad Bahal Kar . Meri Zindagi Hai Wo Aaina Koi Shakal Jis Main Saja Gai . Mujhe Toot Jane Ka Shoq Hai Wo Rakhe Mujhe Sambhal Sambhal Kar . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Khob Hai Dunya K Daryaon Main Hoti Ap Hai

Image
Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Khob Hai Dunya K Daryaon Main Hoti Ap Hai . Kahti Hai Daman Na Bhigay Or Bhigoti Ap Hai . Hum Say Kemat Pochta Hai Wo Hamare Pyar Ki . Husn K Bazaar Ka Anmol Moti Ap Hai . Zindagi Bhi Aisi Maa Hai Jo Kisi Takseer Par . Marti Olaad Ko Hai Or Rooti Ap Hai . Kis Qadar Masoom Hai Kismat Ka Ye Andaz Bhi . Jagne Wale Ko Day Ilzaam Soti Ap Hai . Pyar Kitna Hai Muzaffar Mujh Say Himmat Ko Meri . Booj Meri Peeth Par Rakhti Hai Dhoti Ap Hai . End . Book Rakh K Dhair Main Phool By Muzaffar Warsi

Kashti Main Thay Hum Or Paani

Image
Kashti Main Thay Hum Or Paani . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Kashti Main Thay Hum Or Paani . Sath Hi Nikle , Dum Or Paani . Aik Qabeele Say Wabasta . Dil Or Ankhain Ghum Or Paani . Raqs Kia Us Nay Barish Main . Bars Gai Chum Chum Or Pani . Dil Walo Ko Kar Gaya Zinda . Khon Or Pyas Ilm Or Pani . Mil Nahi Sakte Hum Say Agar Tum . Deed Mila Kar Saam Or Pani . Phol Or Darya Sokh Chale Hai . Kahan Gai Shabnam Or Pani . Alamat Takhleeq Muzaffar . Farzand Adaam Or Pani.......*SA* . END . Poet Muzaffar Warsi

Maar Daine Ki Mujhe Dhamki Na Do

Image
Maar Daine Ki Mujhe Dhamki Na Do . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Maar Daine Ki Mujhe Dhamki Na Do . Lash Hun Main Lash Ko Phansi Na Do . Day Rahe Ho Q Sharafat Ki Qasam . Ik Mazhab Shakhs Ko Gali Na Do . Kitni Sadiya Hum Nay Soo Kar Kaat Di . Cheen Lo Ankhain Magar Lori Na Do . Dard Rakhte Ho Garibo Ka Agar . Ghar Na Do Kapra Na Do Roti Na Do . Kainch Lo Pairo K Niche Say Zameen . Par Na Do Kandha Na Do Seeri Na Do . Kaat Do Sab Aglay Pichle Raste . Haal Do Farda Na Do Maazi Na Do . Apne Peche Phr Chupo Gay Kis Tarha . Aaino Ko Sortain Asli Na Do . Chahte Ho Tum Muzaffar Ko Agar . Bad Dua Dy Do, Dua Jhoti Na Do......*SA* . End . Poet Muzaffar Warsi

Usay Tah Dil Se Chahte Hai Panah Qatil Se Chahte Hain

Image
Usay Tah Dil Se TaYpEd By TLASH25 Usay Tah Dil Se Chahte Hai Panah Qatil Se Chahte Hain, Abhi Hamara safar Hai Jaari Parao manzil Se Chahte Hain. Kabhi Na Chaha Gaya Ho Jin Ko Wo Log Mushkil Se Chahte Hain, Daboya Tagyaniyo Ne Ham Ko Jawab Sahil Se Chahte Hain. Ham Apne Andar Andhera Kar Ke Chiraag Mahfil Se Chahte Hain, Sahoolaton Ki Wasooliyabi, Kathin Marahil Chahte Hain. Agarcha Talwar Hath Mein Hai Sar Muqabil Se Chahte Hain, Ham Apni Sachai Ka Muzaffar Saboot Baatil Se Chahte Hain...! Book Name Rakh Ke Dhair Main Phool.  Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Wohi Khuda Hai lyrics

Image
. *-.____.Hamd.____.-* . Type By,,,,,,,,* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Koi To Hai Jo Nizaam E Hasti Chala Raha Hai,,,,* . Wohi Khuda Hai,,,,,* . Dikhai Bhi Jo Na Day ,,,,,,, Nazar Bhi Aa Raha Hai,,,,,* . Wohi Khuda Hai,,,,,,* . Wohi Hai Mashriq Wohi Hai Magrib Safar Karain Sab Usi Ki Janib,,,,,,* . Har Aaine Main Jo Aks Apna Dikha Raha Hai,,,,,* . Wohi Khuda Hai,,,,,,* . Talash Uski Na Kar Botoon Main,,,,* . Wo Hai Badalti Wohi Ruton Main,,,,,* . Jo Din Ko Raat Or Raat Ko Din Bana Raha Hai,,,,,* . Wohi Khuda Hai,,,,,* . Nazar Bhi Rakhain Samatain Bhi Wo Jan Laita Hai Ni'aatain Bhi,,,,,* . Jo Khana La Shaa'or Main Jaga Raha Hai,,,,,* . Wohi Khuda Hai,,,,,,,,,*SA* . *-.____eNd____.-* . Poet Muzaffar Warsi & Singer Nusrat Fatah Ali Khan

Totey Umeed To TaYpEd By TLASH25 Totey Umeed To Honton Pe Dua Aati Hai Band Karta Hon Darechy To Hawa Aati Hai. *.* Zindagi Dekhna Ye Zulm Huwa Hai Kis Par Kis Tarah Se Meri Chenkhon Ki Sada Aati Hai. *.* Orh Rakha Hai Sharafat Ne Tawaif Ka Badan Raqs Karti Huwi Ankhon Mein Haya Aati Hai. *.* Sar To Kiya Ghar Se Ho Jata Hai Paani Oncha Jab Ghareebon Ke Muhaly Mein Ghata Aati Hai. *.* Ab Zameeron Se Chupa Leti Hai Chehre Dunya Beth Kar Lash'aa Gairat Pe Annaa Aati Hai. *.* Itna Kamtar Bhi Muzaffar Ko Na Samjho Logon Us Se Milne Ke Liye Yaad Khuda Ki Aati Hai...! Book Name. Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send 8001

Dard Ko Shokhi TaYpEd By TLASH25 Dard Ko Shoki Dildar Kaha Karte Hain Kuch Bhi Ho Pyar Ko Ham Pyar Kaha Karte Hain. *.* Dil Andheron Ka Bhi Ham Se Nahi Tora Jata Shab-E- Hijra Ko Bhi Tehwar Kaha Karte Hain. *.* Aise Logon Se Tijarat Ka Sharf Hai Hamko Qatal Gahoon Ko Jo Bazaar Kaha Karte Hain. *.* Hukmurauo Se Talab Karte Hain Jo Haq Apna Unko Tareekh Mein Gaddar Kaha Karte Hain. *.* Masnah Kar Deti Hain Raiya Jin Ke Chehre Aaino Ko Wohi Deewar Kaha Karte Hain. *.* Kar Diya Jaye Unhein Dafan Badan Mein Unke Khoon Ko Bhi Jo Maze Dar Kaha Karte Hain. *.* Izzatein Raas Hain Unko Nahin Aati Hongi Thokro Ko Bhi Jo Dastaar Kaha Karte Hain. *.* Dilon Jan Ki Yahan Lagti Hai Muzaffar Boli Bikne Walon Ko Khareedar Kaha Karte Hain...! Book Name Rakh K Dhair Main Phool. Poet By Muzaffar Warsi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001