Posts

Showing posts from September 6, 2013
TxT by *_TaNhA_* Es Se PehlE K Mohabbat Bhi Khasaara H0 Jaye. Ao Mil Baithain K YE Waqt Humara H0 Jaye. Aik 2 Din ME Bhalaa Do Tu Yehi BEhtar Hai, Kahin Aysa Na H0 Jaan Se Pyara H0 Jaye. Ishq Hai K0i Baazi Nahi Khaili Hum Ne. Khail Lagta Hai Tu AA0 Dubara H0 Jaye. Hum Ne Kal Raat Khuda Se YE Duayen Ki Hain, K Tum Jis Shakhs K0 Chah0 W0 Tumhara H0 Jaye. W0 Mohabat K Smandar ME Bhanwar Ban K Mila, MEri Khawahish Hai Kahin D00r Kinara H0 Jaye.
TxT by *_TaNhA_* Kuch na Kehny ka bhi Charcha hi hua, Gham Ta'aluq ka Tamasha hi hua, Har Talab Zilat_E_Khuddari thi, Tum na thy Sath! Ye Acha hi hua, Log Mil Mil k Bichar jaaty hain, HamSafar Toot'ta Patta hi hua, Jab na Aankho'n sy Lahu bhi Tapky, Dard Thehra hua Dariya hi hua, Husn_E_Duniya hy Khyalo'n ka Sadaf, Rang bhi Aankh ka Parda hi hua, Har Sitam Hans k Saha hy "Naheed" Dil bhi Pathar ka Namoona hi hua, Poetes: "Kishwar Naheed
TxT by *_TaNhA_* Mast Aankhon Ki Hiraasat Mein Chaley Aaye Hein, Be_Eemaa'n Log Hifaazat Mein Chaley Aaye Hein, Yoon Laga Humko Us k Dil Mein Utar Kar Jaise, Baadshah Apni Riyaasat Mein Chaley Aaye Hein, Takhta_e_Daar Pe Pohnchy Hein To Ab Sochtey Hein, Hum Kahan Uski hi Chaahat Mein Chaley Aaye Hein, Hum Ko Is Jang K Asbaab Nahi Hein Maloom, Hum To Bas Shauq-e-Shahadat Mein Chaley Aaye Hein.
TxT by *_TaNhA_* Aake sajjada nashee qais hua mere baad. Na rahi dast mein kaali koi jaa mere baad. Chaak karna hai isi gham se girebaan_e_kafan. Kaun khole ga tere bande_kaba mere baad. Wo hawa khahe chaman hoon ke chaman mein har suba. Pahle main jaaja tha aur baad_e_saba mere baad. Tez rakhna sare_har khaar ko aye dasht_e_junoon. Shaayad aa jaye koi aabla pa mere baad. Mooh pa rakh daaman_e_gul royenge murgaan_e_chaman. Har rawish khaak uraaegi sabaa mere baad. Baad marne ke meri qabar pe aaya woh mir. Yaad aayi mere isaah ko dawaa mere baad. Sigar_ Mehdi Hassan
TxT by *_TaNhA_* Ashk Apna K Tumhara Nhi Dekha Jata, Abr Ki Zadw Me Sitara Nhi Dekha Jata, Apni Shah'rag Ka Lahu Tann Me Ravaa'n Hai Ab Tak, Zair-e-Khanjar Koi Pyara Nhi Dekha Jata, Mauj Darr Mauj Ulajhne Ki Havas Be Maani, Doobta Ho To Sahara Nhi Dekha Jata, Tere Chehre Ki Tapish Thi K Palat Kar Dekha, Warna Suuraj To Dobara Nahi Dekha Jata, Aag Ki Zidd Me Na Ja Phir Se Bharak Sakti Hai, Raakh Ki Teh Me Sharara Nahi Dekha Jata, Zakhm Aankhon K Bhi Milte The Kabhi Dil Wale, Ab To Abru Ka Ishara Nahi Dekha Jata, Kya Qayamat Hai K Dil Jis Ka Nagar Hai, Dil Pe Us Ka Bhi Ajara Nahi Dekha Jata Mohisn Naqi
TxT by *_TaNhA_* Inhi Khush_Gumaaniyon Me Kahen Jaan Sy Na Jao, Wo Jo Chaara_Gar Nahi Hai Usy Zakhm Na Dhikhao, Ye Udasiyon K Mousam, Kahen Rayegaan Na Jaye, Kisi Zakhm Ko Kuredo, Kisi Dard Ko Jagao, Wo Kahaniyan Adhori, Jo Na Ho Sakein Gi Pori, Unhein Main Bhi Kiyon Sunaon, Unhein Tum Bhi Kiyon Sunao, Mere Hamsafar Purane, Mere Ab Bhi Muntazir Hai, Tumhein Saath Chhorna Hai, To Abhi Sy Chhor Jao, Ye Judaaiyon K Rassty, Bari Door Tak Gaye Hain, Jo Gaya Wo Phir Na Lauta, Meri Baat Maan Jao, Kisi Bewafa Ki Khatir, Ye Junon "Faraz" Kab Tak, Jo Tumhein Bhula Chuka Hai, Usy Tum Bhi Bhol Jao,,!!
TxT by *_TaNhA_* Yad Aa K Reh Gaye, Zamaany Wafao'n K, Sho'aLy Jaga K ChaL Diye Jh0nky Hawaao'n K, Har Ek Qadam Pe TaLkhi-E-Daoraa'n Ki Dhoop Thi, Thy Hum Bhi Us GaLi Mein TLabgaar Chhaanvo'n K, Karty Rahy Jo Chaand Sitaaro'n Ki Rehbari, Kuch Log Muntzir Hain Unhi Rehnumaao'n K, Be'Chaargi-e-Zeest Ka Daman Na Bhar Saka, Hum Ne Luta Diye Hain Khazaany Duaao'n K, TaJdeed-e-Zaoq, 'Saghar'-o-Meena Ki Bat Kr, Badly Huy Hain Rang, Chaman Ki Fizaao'n K.!