Posts

Showing posts from December 18, 2013

aye gham-e-di kya karun aye vahashat-e-di kya karun

Image
Shahar ki raat aur main nashaad-o-nakara phirun jag_magaati jaagati sadakon pe avaara phirun. Ghair ki basti hai kab tak dar badar mara phirun Jhil_milate qum_qumon ki raah mein zanjir si raat ke haathon mein din ki mohani tasvir si Mere sine par magar chalti hui shamashir si aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Ye rupahali chhaaon ye aakaash par taaron ka jaal jaise suufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal Aah lekin kaun jaane kaun samajhe ji ka haal aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Phir Wo toota ik sitaara phir wo chhuuti phool_jhadi jaane kis ki goad mein aaye ye moti ki ladi Hook si sine mein uthi chot si dil par padi aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Raat hans hans kar ye kahti hai ke maikhane mein chal phir kisi shah_naaz-e-laalaarukh ke kaashyane mein chal Ye nahin mumkin to phir aye dost viraane mein chal aye gham-e-dil kya karun aye vahashat-e-dil kya karun Har taraf bikhari hui ranginiyan raanaiyan har qadam par