Posts

Showing posts with the label *__SA-k-Jan__* TYpEd GhZS

Mohabt Ka Guman Hota Boht Hai K Ab Lafz Bhi Ruswa Boht Hai . Udasi Ka Sabab Main Kya Btaon Gali Kochon Main Sannata Boht Hai . Na Milne Ki Kasam Kha K Bhi Main Ne . Tujhe Har Rah Main Dhounda Boht Hai . Ya Ankhain Or Kiya Dekhain Kisi Ko . In Ankhon Ne Tujhe Daikha Boht Hai . Najane Q bachaa Rakhe Hai Ansoo . Abhi Shayad Mujhe Rona Boht Hai . Tujhe Maloom To Hoga Mere Hamdam . Tujhe Ek Shakhs Ne Chaha Boht Hai.......! . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Tum Bhi Kam Naseeb Pe Kuch Kam Nigah Ki . Usne To Khair Apni Zindagi Tabah Ki . Hum Dono Dunya Dar Nahi Hai Is Liay . Sorat Koi Nazar Nahi Ati Nibah Ki . Pather Samjh K Tum Jise Tukra K Chal Diay . Is Dil Pe Thi Nigah Boht Mehr O Mah Ki . Uski Nazr Main Payar Gunah e Azem Hai . Tofeeq Day Khuda Unhain Aese Gunah Ki . Halat Bewafai Pe Majbor Kar Gaye . Warna Use Bhi Chah Boht Thi Nibah Ki . Apne Ko Rashk e Meer Samjhte hai Badar G . Gumrah Kar Gai Hai Sada Wah Wah Ki........! . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Tum Bhi Kam Naseeb Pe Kuch Kam Nigah Ki . Usne To Khair Apni Zindagi Tabah Ki . Hum Dono Dunya Dar Nahi Hai Is Liay . Sorat Koi Nazar Nahi Ati Nibah Ki . Pather Samjh K Tum Jise Tukra K Chal Diay . Is Dil Pe Thi Nigah Boht Mehr O Mah Ki . Uski Nazr Main Payar Gunah e Azem Hai . Tofeeq Day Khuda Unhain Aese Gunah Ki . Halat Bewafai Pe Majbor Kar Gaye . Warna Use Bhi Chah Boht Thi Nibah Ki . Apne Ko Rashk e Meer Samjhte hai Badar G . Gumrah Kar Gai Hai Sada Wah Wah Ki........! . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Ye Chandni Bhi Jin Ko Chutay Hoay Darti Hai . Dunya Unhi Pholon Ko Peron Main Masalti Hai . Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai . Jis Daal Pe Bethay Ho Wo Tot Bhi Sakti Hai . Labon Main Chingari Jese Koi Rakh Jaye . Yun Yad Teri Shab Bhar Seeny Main Sulagti Hai . Aa Jata Hai Khud Khench Kar Dil Seenay Say Patrii Par . Jab Raat Ki Sarhad Se Ek Rail Guzarti Hai . Aansu Kabhi Palkon Par Ta Dair Nahi Rukte . Urr Jate Hai Ye Panchi Jab Shakh Lachakti Hai . Khush Rung Parindo K Loat Anay K Din Aye . Bichre Howe Milte hai Kab Barf Pighalti Hai.........! . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Gham Chupate Rahe Muskurate Rahe . Mehfilon Mehfilon Gun Gunaate Rahe . Ansuon Se Likhi Dil Ki Tahreer Ko Phol Ki Pattiyon Se Sajate Rahe . Ghazlen Kumhalaa Gain Nazmen Murjha Gain . Geet Sanvalaa Gaye Saaz Chup Ho Gaye . Phr Bhi Ahl e Chaman Kitne Khush Zauq The . Naghma E Fasl E Gul Gun Gunate Rahe . Teri Sanson Ki Khushbo Labon Ki Mehak . Jaane Kesi Haawaen Uraa Lai Thi . Waqt Ka Har Qadam Bhi Behakta Raha . Paaon Bhi Dagmagaate Rahe . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Ajnabi Parriyon K Saaye Se Mohabt Hai Boht . Ghar Se Niklo To Ya Dunya Khubsorat Hai Boht . Raat Taaron Se Ulajh Sakti Hai Zarron Say Nahi . Raat Ko Maloom Hai Jugnu Main Himmat Hai Boht . Mukhtasir Baaten Karo BeJAA Wazaahat Mat Karo . Ye Naa'ii Dunya Hai Bachon Main Zahaanat Hai Boht . Kis liay Hum Dil Jalain Raat Din Mahnat Karain . Kya Zamana Hai Bure Logon Kh Izzat Hai Boht . 7 Sandoqon Main Bhar Kar Dafan Kar Do Nafratain . Aj K Insan Ko Muhabt Ki Zarorat Hai Boht........! . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Usne Door Rahne Ka Mashwara Bhi Likha hai . Sath Hi Mohabt Ka Wasta Bhi Likha Hai . Usne Ye Bhi Likha Hai K Mere Ghar Na Aana . Saaf Saaf Lafzo Me Ghar Ka Pata B Likha . Kuch Haroof Likhay Hai Zabt Ki Naseehat Main . Kuch Haroof Main Usne Hosla Bhi Likha Hai . Shukriya Bhi Likha Hai Dil Se Yaad Karne Ka . Dil Se Dil Ka Hai Kitna Faasla Bhi Likha Hai . Kya Usse Likhain Mohsin Kya Usse Kahain Mohsin . Jis Ne Kar Ke Bejan Phr Jan E Jaan Bhi Likha Hai.......! . Poet# Mohsin Naqvi . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Raat Ankhon Main Dhali Palko Pay Ansoo Aye . Hum Hawa Ki Tarha Ja K Usay Choo Aye . Us Ka Dil Dil Nahi Pather Ka Kalaija Hoga . Jis Ko Pholo Ka Hunar Ansoo Ka Jadoo Aye . Bas Gai Hai Mere Ehsas Main Yah Kaisi Mahak . Koi Khushbo Main Lagao Teri Khushbo Aye . Khobsorat Hai Boht Dunya K Jhothay Wade . Phool Kaghaz K liay Kanch K Baazo Aye . Us Nay Choo Kar Mujhe Pather Say Phr Insan Kiya . Muddaton Bad Mairi Ankhon Main Ansoo Aye.......! . Poet# Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Ajab Mosam Hai Mere Har Kadam Pay Phool Rakhta Hai . Muhabt Main Mohabt Ka Farishta Sath Chalta Hai . Har Ansoo Main Tasveer Jhilmilati Hai . Tumhain Ankhain Batain Gi Dii'yon Main Kon Jalta Hai . Main Jab So Jaon In Ankhon Pay Hont Rakh Daina . Yaqeen Aa Jaye Ga Palkon Talay Bhi Dil Dharakta Hai . Bara Hokar Kahain Mandir Kahin Masjid Banae Ga . Ya Bacha Dekhna School Jane Se Darta Hai......! . Poet# Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Wo Shakh Hai Na Phool Agar Titliyan Na Hon . Wo Ghr Bhi Koi Ghr Nai Jahan Bachiyan Na Hon . Palkon Say Ansuon Ki Mahak Ani Chahiay . Khali Hai Asman Agar Badliyan Na Hon . Dushman Ko Bhi Khuda Aisa Makaan Na Day . Taza Hawa Ki Kahin Jis Main Khirki Na Ho . Main Pochta Hun Wo Mairi Gali Main Aye Q . Jis Dakiay K Pas Teri Chithiyan Na Hun........! . Book KhUdA HaFiZ . Poet# Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Aag Lahra Kay Chali Hai Isay Anchal Kardo . Tum Mujhe Rat Ka Jalta Hoa Jangal Kar Do . Chand Sa Misra Akaila Hai Mere Kaghaz Par . Chaatt Pay Aa jao Maira Misra Mukammal Kar Do . Main Tumhain Dil Ki Siyasat Ka Hunar Daita Hun . Ab Usay Dhoop Bana Do Mujhe Badal Kardo . Apne Aghan Ki Udasi Say Zara Baat Karo . Neem K Sokhe Howe Pair Ko Sandhal Kar Do . Tum Mujhe Chor K Jao Gaye To Mar Jaon Ga . Yun Karo Jane Say Pahle Mujhe Pagal Kardo.......! . Book KhUdA HaFiZ . Poet# Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Main Kab Kahta Hum Wo Acha Boht Hai Magar Usne Mujhe Chaha Boht Hai Khuda Usk Shahr Ko Mahfoz Rakhe Ya Bachon Ki Tarha Hasta Boht Hai Main Har Lamhe Main Sadiyan Daikhta hun Tumhare Sath Ek Lamha Bohat Hai Mera Dil Barishon Main Phool Jaisa Ya Bacha Raat Ko Rota Boht Hai Wo Ab Lakhon Dilon Say Khailta Hai Mujhe Pahchan Lay Itna Boht Hai. . Poet Bashir Badar . Typer |*__S-Ak-Jan__*|

Wo Jahan Thay Wahin Khare Hun Gay Jo Kisi Baat Par Urray Hun Gay Palnoon Main Kahin Pare Hun Gay Kal Jo Soraj Boht Bare Hun Gay Ab Na'ay Zahan Or Ayen Gay Imtihanam Bhi Kaare Hon Gay Tajdaron Kay Sar Charhe Hire Aaj Paposh Main Jare Hun Gay Ak Chote Say Saiban K Liay Umar Bhar Dhoop Say Lare Hun Gay Main Utha Kar Gzl Bana Donga Lafz jitne Gire Pare Hun Gaye 7 Rangon K Sath Tajmahal Ak Dewar Main Jare Hun Gay Dhoop Kab Tak Mujhe Satay Gi kal Mere Pair Bhi Bare hn Gay Kitne Lahje Bashir Badar Hoay Apne Peeon Par Kab Khare Hun Gay . Poet Bashir Badar . Typer |*__S-Ak-Jan__*|

Achi Ankhain Sache Dil Poja Karen . Aa Sanam Khano Main Hum Sajda Kare . Phool Jaise Khobsorat Zakhm Hai . Zindagi Say Kya Gila Shikwa Karen . Jab Wo Aye Ga Zamana Aye Ga . Hum Akele Hai Akele Kya Karain . Aao Janaa Badalon K Sath Sath . Dhoop Jati Hai Kahan Pecha Karain . Palkan Palkan Raat Bhar Shabnam Chuni . Qatra Qatra Jor Kar Darya Karen . Door Jain Door Say Batain Karen . Pas Ayen Pas Say Daikha Karen . Poet# Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Ya Maza Lainay Ka Mosam Phr Kahan . Rahmaton Ki Raat Hai Sajda Karen . Mohabt Pani Pani Hai Meri Pani Ki Basti Hai . Samandar Parr Karne K Liay Kaghaz Ki Kashti Hai . Dilon K Khana Wirani Ka Yun Matam Nahi Karte . Jahan Badal Nahi Hote Wahan Rahmat Barasti Hai . Mohabt K Khariday "Jan G" Uper Say Ate Hai . Mohabt Zindagi Day Kar Agar Mil Jaye Sasti Hai......! . Poet# Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Mujhe Hadson Ne Saja Saja K Boht Haseen Bana Diya . Mera Dil Bhi Jaise Dulhan Ka Hath Ho mahndiyon Say Racha Diya . Wahi Shahr Hai Wahi Raste Hai Wahi Ghr Hai . Magar Us Darechay Say Pochna Us Darakht Anaar Ka Kya Hoa . Mere Sath Jugnu Hai Or Jugnu Ki Is Safar Main Bisaat Kya . Ya Chirag Koi Chirag Hai Na Jala Hoa Na Bhuja Hoa . Wahi Khat Kah Jis Pe Jaga Jaga Do Mahakte Hothon K Chand Thay . Kisi Bholi Barsi Si Taaq Pay Tah Ghird Hoga Daba Hoa........! . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Khush Rahe Ya Udaas Rahe Zindagi Tere As Pas Rahe . Aik Parinda Udaas Baitha Tha Sham K Saaye Aas Pas Rahe . Zindagi Bhi Ajeb Darya Hai Zindagi Bhar Usi Ki Piyar Rahe . Raat K Baad Raat Aaye Gi Hath Main Chand Ka Gilas Rahe . Jab Bhi Kasnay Laga Aatar Diya Us Badan Pay Kai Libas Rahe . Zindagi K Liay Zarori Hai Har Haqeqat Main Kuch Qiyas Rahe . Is Zameen Par Kai Khazane Hai Is Zameen Par Zara C Ghass Rahe . Aj Hum Sab K Sath Khob Hanse Or Phr Dair Tak Udas Rahe . Aik Sitare K Intazar Main Ghum Shakh Par Phol Badhawas Rahe . Poet Bashir Badar . Typer .-"*"-.-"*"-.-"*"-. |*__S-Ak-Jan__*| *.*._.**._.**._.*.*

Gulab Ankhain Sharab Ankhain . Noor Hi Noor Hai Wo Noor C Ankhain . Us Anjeel Say Chahre Pe Zaboor C Ankhain . Kabhi Nazar Main Balaa Ki Shokhi . Kabhi Sarapa Hijab Ankhain . Kabhi Chupati Hai Raaz Dil K Kabhi Hai Dil Ki Kitab Ankhain . Kisi Nay Daikhi To Jheel Jaisi Kisi Ne Paain Sharab Ankhain . Woh Aye To Log Mujh Se Bole Hazoor Ankhain Janab Ankhain . Ajeeb Tha Guftagu Ka Alam Sawal Koi Jawab Ankhain . Yeh Mast Mast Bemisal Ankhain Nashay Se Har Dam Nidhal Ankhain . Uthain To Hosh o Hawas Cheenen Giren To Kar Dain Kamal Ankhain . Koi Hai In K Karam Ka Talib Kisi Ka Shook e Wisal Ankhain . Na Yun jalain Na Yun Satain Karen To Kuch Ye Khayal Ankhain . Hain Jeene Ka Ik Bahana yaro Ye Rooh Parwar Jamal Ankhain . Daraz Palkain Gzl Ankhain Musawri Ka Kamal Ankhain . Shrab Rab Ne Haram Kardi Magr Rakhi Hai Halal Ankhain . Hazaro In Say Qatal howe Khuda K Bande Sambhal Ankhain.....! . Typer |*__S-Ak-Jan__*|

@__Main to maqtal may bhi qismat ka sikandar nikla__@ +..++..+ @__Ya qurra e faal maire naam ka aksar nikla__@ +..++..+ @__Tha jinhain za'aam wo darya bhi mujhhi may dobay__@ +..++..+ @__Main sahra nazar ata tha samandar nikla__@ +..++..+ @__Main nay us jaan e bahara ko boht yaad kiya__@ +..++..+ @__Jab koi phol meri shakh e hunar par nikla__@ +..++..+ @__Shahar walon ki muhabt ka qayal hon magar__@ +..++..+ @__Main ne jis hath ko choma wahi khanjar nikla__@ +..++..+ @__To yahin yaar gaya hai meray buzdil dushman__@ +..++..+ @__Mujh tanha k muqabil taira lashkar nikla__@ +..++..+ @__Main sahra e muhabt ka musafir tha__@ +..++..+ +++FArAz+++ +..++..+ @__Ik jhonka tha k khushbo k safar par nikla......! +..++..+ Book Pas E Andaz Mosam +..++..+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Wo shakal wo lalay ki c kiyari nahi bholay @+.+.+.@ Agboor main jo sham guzari nahi bholay @+.+.+.@ Sorat thi kah hum jaise sanam saaz bhi gum thay @+.+.+.@ Morat thi kah hum jaise baichare nahi bholay @+.+.+.@ Ab uska tagaful bhi gawara kah abhi tak @+.+.+.@ Hum tark e mulakat ki khuwari nahi bholay @+.+.+.@ Yaron ki khataon pay nazar hum nay na rakhi @+.+.+.@ Or yaar koi bhol hamari nahi bholay @+.+.+.@ Khilaat k liay harf ka soda nahi karte @+.+.+.@ Kuch log abhi wahzaih hamain nahi bholay @+.+.+.@ Daane ki hawas la na saki daam may mujh ko @+.+.+.@ Yah mairi khata maire shikari nahi bholay @+.+.+.@ Hum apne tak lakh zikhud rafta hon laikin @+.+.+.@ Youn hai kah koi baat tumhari nahi bholay @+.+.+.@ Ik lub'aat e hindi nay +.FaRAz+. Ab k likha hai @+.+.+.@ Radha ko kabhi kishan morari nahi bholay.....! . @+.+.EnD+.+.@ . Book Pas E Andaz Mosam @+.+.+.@ Poet Ahmad Faraz @+.+.+.@ Typed by *__SA-k-Jan__*