Posts

Showing posts with the label Jan E Man Typed Gzls

Kash Hum Bezaban Hote, Na Phir Gham Youn Bayan Hote, Kash Na Hoti Zindagi Ki Samajh, Na Phir Youn Afsane Jawan Hote, Kash Na Khawahish Hoti Kuch Pane Ki, Na Phir Kuch Khone K Gham Yahan Hote, Gar Tor Jata Koi Ashian Humara, Phir Bhi Khoobsorat Sare Samaan Hote, Lut Jati Gar Roshni-E-Zindagi, Phir Bhi Andhere Na Yahan Hote, Tootte Howe Bhi Be Shubha Hote, Kash Hum Bezabaan Hote. For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

>>> FARAIB<<< Bato'n bato'n mein, Tum mujh ko khawab nagar mein latey ho, khawab nagar bhi aisa jis mein, jo chaho mil jata hai, jo socho. Wo pal bhar mein ho jata hai, khawab nagar..... Yeh pyar ' muhabbat khawab nagar mein.....tum aur main lekin thehro ! Khawab nagar tou khawab nagar hi hota hai khawab nagar say bahir bhi chhoti si duniya hoti hai is mein rashtey hotey hein aur dheero naatey hotey hein " kya tum aisa kar saktey ho ? Parso shaam ki chaye pe apney ghar walo'n ko jan e jana mere ghar tak la saktey ho ? Itna wada kar saktey ho..........+ Poetess Saaima Kaamran. For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

( By Saima Kamran ) Mujh Ko Ab Tark e Muhabbat Ki Saza Di Jaye Koi Tazeer Bachi Ho Tou Suna Di Jaye Khud Say Bichhray Hoey Logo Ki Talab Kya Maiyni Gunbad e Zaat Mein Khud Ko Hi Sada Di Jaye Main Nay Girney Ki Ijazat Nahin Deni Khud Ko Chashm o Lab Par Koi Deewar Gira Di Jaye Behar e Zulmaat O Talismaat Say Louti Hoon Abhi Aik Insan Ki Soorat Hi Dekha Di Jaye Main Na Mangoon Gi Usay Ehl e Hawas Ki Manind Us Kay Dil Say Yeh Galt Fehmi Mita Di Jaye Saima Dard Teh e Jaam Agar Kismat Hai Tishnagi Aur Zara Aur Barha Di Jaye. For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Gawahi Kaisay Toot'ti Muamla Khuda Ka Tha , Mera Aur Us Ka Rabta Tou Hath Aur Dua Ka Tha . Gulab Qaimat E Shaguft Shaam Tak Chuka Sakay , Ada Wo Dhoop Ko Hoa, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha . Bikhar Gya Hai Phool Tou Tum Hi Say Puchh Guchh Hoi , Hisaab Baghbaan Say Hai Kiya Dharaa Hawa Ka Tha . Lahoo Chashida Hath Us Nay Choom Kar Dikha Diya Jaza Wahin Mili Jahan Marhala Saza Ka Tha . Wo Barishon Say Kabl Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka , Wo Shehar e Moor Say Na Tha Door Bais Bala Ka Tha . For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Main Aur Harf e Shikwah Ghalat Ay Sanam Ghalat, Vallah Jhoot Hai Ye Khudaa Ki Qasam Ghalat, Ta'areef e Husn Sun Ke Voh Bole Bahut Bajaa, Mazmoon e Shauq Parrh Ke Kahaa Yak Qalam Ghalat, Sun Sun Ke Arz e Haal Ki Taqreer Baar Baar, Kehna Kisi Ka Naaz Se Voh Dam ba Dam Ghalat, Mash'hoor Kis Ka Kehna Hai Jhoota Jahaan Men, Khaata Hai Kon Roz Qasam Par Qasam Ghalat, Bole Voh 'Daagh Aap Hain Jhooton Ke Baadshaah, Ma'ashoq Se Shikayat Jor o Sitam Ghalat, Hooron Se Mileye Khuld Baree'n Ko Sudhaariye, Duniya Men Aap Ka Nahin Hone Ka Gham Ghalat.............+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Mera charchha hua na kis kis main, Main bana ch0rr uski majllis mien, Haaye! kis t0r se banne woh kaam, H0 qadam dil ka darmiyaan jiss mien, Hai kisi ka t0 intizaar tujhe, Aankh milti hai tairi nargis mien, Dil ka veeraana h0 gaya laikin, Ab bhi hai tairi aarz0o ess mien, Dill e baitaab k tarrapne se, Aa gaii jaan jissm be'hiss Mien, Hum sitam se bhi khush hen aay zallim, W0h sitam k0i luttf ho jiss mien, Aankh uski sabaa ne daikhni hai, Daal dii khaak chasham e narggis mien, Tm pe aashiq na hon to kis pr hon, Tm main j0 baat hai w0h hai kis mien, Gar kaha tum galle se mill jaao, Mill gaya Zeher k0n sa ess main. For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Song lyrics Aye kaash Na Doobay Souraj Hi Muhabat jo, Koi Geet Na Gounjay ha koi Aah Na Nikire ha, Darti Haan Sawali Thi Aakaash Sada Ouncha ho, Insaf Aahi Ya Rab Ya Tamasha Ho, Mahndi na Rachaai Su Na Saij Sajaai su, Sab khoon Muhabat san Shadi to Nahai su, Sathi Na Panhnja Ghum ko Tun May Na Rahe Dum ko, Wo jan Jism day Do Ay Roop karo Sadke, Aye kaash Na Doobay Suraj Hi Muhabat Jo, Koi Geet Na Gounjay Ha koi Aah Na Nikire Ha............+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Sunnatte main band dariicha khol diya krna, Raat ki aankh mien sooraj ghool diya krna, Zakhmon k mehngy ya'quut chhrurra laina, Unn k baddle aansoo tol diya krna, Jin mien "jhootte such" se dil behlaate ho, Unn mien sucha jhoot bhi bol diya krna, Jab jab piyaar ki ashrafiyaa'n barsaana hon, Mere haathon mien kashkhol diya krna, Jiss shab meri saalgira ka maatam ho, Zakhm koi uss shab anmol diya karna, Khatt, tasviiren, phool kitaaben mohsin ki, Bhool ki rait pe rol diya krna........+ Poet Mohsin Naqvi For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Woh Haath Kissi Aur Ke Haathoon Mein Ajeeb Lagte Hain, Jin Haathoon Ki Tooti Then Choorriyan Mere Haathoon Mein, Woh Qismat Ki Lakeerain Ajeeb Lagti Hain, Jin Lakeeron Ko Taqdeer-e-mohabat Likhi Thien Meri Masoom Unglion Ne, Main Unhain Kaise Bhool Jaoun Jo Rehti Hain Meri Saans Saans Mein, Wo Kaanch Ke Ghar Woh Mehal-e-Taaj Woh Mumtaz-e-Hoor, Haaye Ghum-e-Judaai Kaise Bhool Jaoun Main, Jin Ke Haathoon Ki Khushbu Se Meri Dharkan Deewani Thien, Ab Sehara-e-Dosh Par Beth Kar Kia Deewangi Karna, Wassi" Woh Haathoon Ki Khushbu Woh Sageet-e-Bahar Kissi Aur Ka Muqadar Tehrain..............+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Sabhi Ko Khuda Ki Khudaai Ne Maara Sabhi ko Khuda Ki Khudaai Ne Maara, Mujhe Yaar Teri Judaai Ne Maara Mujhe Yaar Teri Judaai Ne Maara, Judaaaiii Ne Maara Ho o oh Mujhe Yaar Teri Judaai Ne Maara, Tu Jaan-e-Ghazal Hai Tu Jaan-e-Wafa Hai Tu Jaan-e-Ghazall Hai Tu Jaan-e-Wafa Hai Magar Yeh Zamaana Bara Bewafa Hai Magar Yeh Zamana Bara Bewafa Hai, Zamaane Ki Iss Bewafaai Ne Maara Mujhe Yaar Teri Judaai Ne Maara, Mujhe Raat Din Youn Teri Yaad Aai Tere Nam Ki Maine Bhi Hai Duhaai Tere Naam Ki Iss Duhaai Ne Maara Mujhe Yaar Teri Judaai Ne Maara, Mohabat Pe Iss Ne Ye Qayamat Dhaai Haya Iss Zamaane Ko Hargiz Na Aai Zamaane Ki Iss Be'Hayaai Ne Maara Mujhe Yaar Teri Judaai Ne Maara, Sabhi Ko Khuda Ki Khudaai Ne Maara Mujhe Yaar Teri Judaai Ne Maara...............+ TypeD__ByE.....+ JaaN-E-MaN For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001 '""""""GuRiIia"""""

Poetess Noshi Geellaani ! TypeD__ByE.......+ ""' JaaN-E-MaN "" Uss Ke Aanay Ki Khabar Suntay Hii Tayari Ki Me Ne, Jee Bhar Ke Gulaabo'n Ki Khareedari Ki Me Ne, Haalat-E-Hijjar Me Fil'Haal Sukoo'n Milnay Laga, Nasha-E-Dard Ne Awaaz'n Bhaari Ki, Wanra Ye LoG Mujhe Tujh Se Juda Kar Detay, Daa'Nasta Muhabbat Mein Ada'Kaari Ki Me Ne, IshQ Mein Mera Bhi DeewaanGi Maslak Hou'n, Jaha'n Mein Iss Waastay Majnu'n Ki Taraf'Daari Ki Me Ne, Phooll Khiltay Hii Koii Bichrra Huwa Yaad Aaya, Khush Honay K Mosam Me Bhi Azza'Dari Ki Me Ne................+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Iss mekade men Ishq wo tanha sharab hai. Peena hai jiska zahar na peena azaab hai. Sab se maze ki neend mere shab ki neend thi. Sab se haseen khawab meri din ka khawb hai. Pariyon ke roop-o- rang na shahzadiyon se dhang. Lakhon men phir bhi aik wahi intekhab hai. Na khush ho wo ke khush ho wahi husn ka sama. Chera kabhi gulab kabhi maahtab hai. Sare tamashe dekh chuka hon. Is Mulk ka ilaaj hi bas inqalaab hai.................+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Qasar e shahi se ye hukum saadir hwa, larkany chalo, warna thane chalo! apne honto ki khushbu lutane chalo, geet gaane chalo, warna thane chalo! muntzr hain tmhare sh!kar waha, kaif ka hai samaa apne jalwo se mahfil sajane chalo, muskrane chalo, warna thane chalo hakmo ko buht tm pasand aye ho, zihan pe chhai ho jisam ki loo se shamyen jalane chalo, gum bhulane chalo, warna thane chalo.....................+ For More poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

"Faisal Haashmi" Naye Bartan Bana Raha Hun Main, Soyi Matti Jagaa Raha Hun Main, Acha Lagta Hai Mujh Ko Aag Ka Rang, Geelay Pattay Jala Raha Hun Main, Mailii Jaaye Namaz Par Baitha, Apna Chehra Chupa Raha Hun Main, IK Jazzeera Mujhe Puqaarta Hai, IK Kashti Bana Raha Hun Main, Main Ne IK Ainay Mein Dekha Tha, Harf-E-Tazaa Utha Raha Hun Main, Ab Meri Guftagu Taamaam Huwi, Apnay Hujray Mein Ja Rah Hun Main...................+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

>>>KUNDAN<<< Poet Sir Shok TypeD__ByE......+ "" JaaN-E-MaN "" Kundann Sa Badann, Jaise Dehkay Chaman, Sharbati Bilori Naiyan, jhoomay Beech Bajaar, Aur Barish k Phowaar, Dil Mein Pee Ki Lagan, Kaisi? Jagee jagan, Bazam e Shola sukhan, Geet Gay Malhaar, Aur Barish Ki Phowaar, Bheegi Mastaani Latt, Maar Daalay gi Matt, Khol Akhiyon k Patt, charhta Jay Bukhaar, Aur Barish ki phowaar, Surkh Honton Pe Sadaf, Jiiya Mangay Hadaf, Lag Na Jay Qazaf, Manwa Jhoomay Lachaar Aur Barish ki phowaar, Goray Chittay se Angg, Kamar Patlii Patang, Mann Mein Uthe Tarang, Chhinn'ta Jay Qaraar, Aur Barish ki phowar, Bheegi Shaam Ho Amar, Mujhko Bahon me Jakar, Marne Pehly Se kuch kar Sir Shok Par Aetbaar, Aur Barish ki Phowaar Ae Haseen khoobru, Tu Meri Justaju Main Teri Aarzu Kar Le Sola Singhaar Aur Barish ki Phowaar.......+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

>>> HAN KAR DE <<< Poet Sir Shok TypeD__ByE.......+ ""' JaaN-E-MaN ""' Ek Baar Tu Haan kar De Mera Hai Tu Mera Hai, Phir Daikh Tu Dunya ko kaise Main Bataun gi, Tu kehta Hai Logon ko Wafa Miltee Nahi Jag Mein, Phir Daikhe gi wo Dunya kaisi Main Nibhaun gi, Barson se Sambhali Hain Band kaliyan Dareecho Mein, Phir Daikh Tum Lena kaise Main khilaun gi, kehtein Hain Jo Tum ko Tum Aam Se Larkay Ho, phir Daikh Tu Un ko kaisi Main Sunaaun gi, Ek Wada karo Mujh se Tum Chorr to Na Jawo Gay, Phir Daikh Tum Lena Main Wapis Nahi Aaoun gi, Teri Banhon Mein Marna Hai Tere Sath Hi Jeena Hai, kisi Gair ko Jhoola Hai Na Jhoolun na Jhulaun gi, Gar Soukan pasand Aaye Tum "shok" se ly aana, Chupkay se Guzar Jaun gi Roun gi Na Rulaun gi............+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

>>>MASSTIYAN<<< Jo Hona Hai So Hona Hai, Piyar to Phir Bhi Hona Hai, Jub tak ye Dil Dharkay Ga, Shola Hawa Mein Bharkay Ga, Shor Badan Mein Hona Hai, Jo Hona Hai so Hona Hai, Burhya ne Charkha kaatna Hai, Chanda ne Faasla Naapna Hai, Dhaagay ne sui Pirona Hai, Jo Hona Hai So Hona Hai, Barish mein Piyar ki Massti hai, Nagin ki Tarha ye Dassti Hai, Nigahon Mein Yar Salona Hai, Jo Hona Hai so Hona Hai, Aag Lagi Hai Nas Nas Mein, Dil Nahe Apne Bas Mein, Tan Man Phuwaar Mein Dhona Hai, Jo Hona Hai So Hona Hai, Pani ko Tarsa Hamara Chaman Piyar se Piyara kanwara Badan, Amrat Jal Se dhona Hai, Jo Hona Hai So Hona Hai, Chahay Lakh Deevaren Uth Jaein, Chahay Lakh Talvarein Uth Jaein, Pagal Pareet Ne anan fanan, Beej Wafa ka bona Hai, Jo Hona Hai so Hona Hai..............+ Poet Sir Shok. TypeD__ByE.........+ JaaN-E-MaN For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Teri Yad Aati Hai TaYpEd By TLASH25 Jab Tak Gham Ke Parvat Apni Jagah Se Hil Na Jaye Aur Hum Mil Na Jaye Koi Faryad Na Karna Tu Mujhko Yad Na Karna Tu Mujhko Yad Na Karna. Haai Kiya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti Haai Kiya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti. Teri Yaad Aati Hai Teri Yaad Aati Hai. Jab Tak Apne Armanon Ke Gulshan Khil Na Jaye Aur Hum Mil Na Jaye Neenden Barbad Na Karna Tu. Tu Mujhko Yaad Na Karna Tu Mujhko Yaad Na Karna. Haai Kya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti Haai Kya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti. Teri Yaad Aati Hai Teri Yaad Aati Hai. Haai Aag Lage Rasmon Ko Men Tor Don Sub Qasmon Ko Bus Ginti Jaa Tu Zakhmon Ko Jitne Zakham Lage Hain Jab Tak Sare Sil Na Jaye Aur Hum Mil Na Jaye Koi Faryad Na Karna. Tu Mujhko Yaad Na Karna Tu Mujhko Yaad Na Karna Haai Kya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti Haai Kya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti. Teri Yaad Aati Hai Teri Yaad Aati Hai. Prem Hai Koi Rog Ya Jogi Ka Jog Pyar Ke Dushman Log. Oo.. Aaa.. Prem Hai Koi Rog Ya Jogi Ka Jog Pyar Ke Dushman Log. Jab Tak Kanton Pe Chalte Ye Paanv Chhil Na Jaye Aur Hum Mil Na Jye Koi Faryad Na Karna. Tu Mujhko Yaad Na Karna Tu Mujhko Yaad Na Karna. Haai Kya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti Haai Kya Karon Honton Pe Faryad Aati Hai Nahi Rukti. Teri Yaad Aati Hai Teri Yaad Aati Hai. Ho Ho Ho...! eND. Follow Tlash25 Send To 8001

>>>TASSKEEN<<< Paigam Aya Hai kisi ka Ekhtasaar se, Wo Buhat Tang Hai Apne Jigari Yar se, Hairaan kun Manaazar ki Tamseel Chal Pari, Hazaaro Ubhar Gaye Hain Adad o Shumaar Se, Wo Jis ki Tammana Mein Laasho Se Phaand Gaye, Q Barh Gaye Hain Darmiyan khalafshaar se, Ek Noha kina'n ki Tarz se Raqsa'n Thi Zindagi, Khadsha Para Hai Mout ka Ab Socho Vichaar se, Jo Mere Aah Pe Larzaan Raha Kabhi, Main Q Na Bilbalaun Is ki Pukaar se, Jiski Muhtaaj Rehti Thi Raaton ko Chandani, Jiske Labon Se Phoot,te Thay Sholay Chanaar se, Uryan Badan ko Dekh kar kaliyan karen Naqaab, Chanchal Hwaen Mast Hon Bos o kinaar se, Waday Wafa k Tere Sub Usko Yaad Hain "Shok" Rakhta Hai Abhi Tawaqoaat Wo Ek Beemaar Se, Shayd Hamari Mout Se Taskeen Usko ko Ho, Paigaam Aya Hai Ussi Ka Ekhtasar Se................+ Poet Sir Shok. TypeD__ ByE.........+ JaaN-E-MaN For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Dil He Na Mere Pas Mera Khali Nahe Seena, Jise Us Ne Lutaya Tha Ye Wo Hi He Kameena, Ujalat Me Youn Lapka Tha Uske Ek Ishare Par Us Ne Bhi Youn Rakh Lia Jaise Angoothi Me Nageena, Poochiye Na Lazat Shab o Roz Rahi Musalsal Bekhudi Raha Karti Thi Taari Har Jaa Har Zeena, Us Gulbadan Pe Lutae jo khoye khoye se Log hain Inhy dekh k na Hansa karo, Ye Dua hai Rab-e-Rahim se Teri Taazgi ko Khizan na ho, Ye BHahar Tujhse Jala kray Sada Muskuratena.........+ Poet Sir Shok TypeD__ByE.......+ JaaN-E-MaN FolloW JaaN-E-MaN Send to 8001