Posts

Showing posts with the label Poetess Rehana Qamer

Koi Sunta Hi Nahi Bool Rahi Hon Kab Say

Image
Koi Sunta Hi Nahi Bool Rahi Hon Kab Say . Taiz Andhi Main Khari Dool Rahi Hon Kab Say . Zindagi Kya Hai Faqat Taiz Hawa Ki Khawahish . Jisko Khirki Ki Tarhaa Khol Rahi Hon Kab Say . Koi Milta Nahi Taabeer Batanay Wala . Main Kisi Khawab Main Par-Tool Rahi Hon Kab Say . Zindagi Zaher Bhara Koi Piyaala Hai "Qamer" . Jis Main Misry Ki Dali Ghool Rahi Hon Kab Say . Maa Nay Mere Liay Bandhi Thi Naseehut Jis Main . Us Ghat'ri Ko "Qamer" Khol Rahi Hon Kab Say,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Yun Torti Rahti Hai Baraber Teri Yadain

Image
Yun Torti Rahti Hai Baraber Teri Yadain . Aaina Mera Jism Hai Pather Teri Yadain . Bahir Say To Lagta Hai K Chit-Naar Hon Lekin . Deemak Si Lagi Rahti Hai Ander Teri Yadain . Oroon Pay Tera Haath Teri Chaaon Hai Lekin . Soraj Ki Tarha Hai Mere Sar Par Teri Yadain . Katt Katt K Boht Door Hoi Jaati Hon Tujh Say . Sahil Hai Mera Jism Samander Teri Yadain . Tanhai Parindon Ki Tarhaa Cheekh Rahi Hai . Yaa Shor Machati Hai Mere Ghar Teri Yadain . Ye Dil To "Qamer" Girti Hoi Chatt Ki Tarha Hai . Is Khof Say Ho Jayain Na Bay-Ghar Teri Yadain,,,'*'SA'* . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti

Image
Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti . Kisi Ki Ho K Bhi Dunya Say Katt Nahi Sakti . Mera Ye Dukh Hai K Sahil Pay Aik Laher K Sath . Main Aa Gai Thi Magar Ab Palat Nahi Sakti . Ye Log Q Mujhe Taqseem Karna Chahte Hai . Main Tott Sakti Hon Hisson Main Batt Nahi Sakti . Bandhay Hoay Hai Mere Haath Peeth Par Lekin . Tujhe Gila Hai Main Tujh Say Lipat Nahi Sakti . "Qamer" Main Usko Bolaaon Sahailiyun Main Kya . Usay To Daikh K Ungli Bhi Katt Nahi Sakti,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Kya Usay Qaid Kare Ga Koi Tadbeer K Saath

Image
Kya Usay Qaid Kare Ga Koi Tadbeer K Saath . Kabhi Khushboo Nahi Bandhi Gai Zanjeer K Sath . Larkhyaan Apne Khado Khaal Pay Khush Hai Warna . Log To Ishq Karte Hai Jageer K Sath . Kis Tarha Ab Koi Pahchan Sake Ga Mujh Ko . Meri Sorat Nahi Milti Meri Tasveer K Sath . Wo Mere Dil Say Nikal Kar Jahan Chahe Jaye . Main Usay Ghair Lay Aaogi Tadbeer K Sath . Chaaye K Cup Par Bula Laiti Hon Uski Yadain . Or Phr Khob Guzarti Hai Tasaveer K Saath . Jo Gila Us Say Hai Wo Bhi Nahi Karti . Usk Jate Hi Ulajh Parti Hon Taqdeer K Saath . Marr Bhi Jaaon To Muhabt Nahi Jaye Gi "Qamer" . Dil Ka Kanta Hai Ye Nikle Ga Nahi Teer K Saath,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Pyar Main Pagal Ho Jate Hai

Image
Pyar Main Pagal Ho Jate Hai . Log Mukammal Ho Jate Hai . Tum Ankh Pay Hath Na Rakho . Hum Khud Hi Ojhal Ho Jate Hai . Tanhai Par Jhaari Hai Jab . Khawab Mo'at'tul Ho Jate Hai . Jab Bhi Soraj Daikhne Niklon . Sar Pay Badal Ho Jate Hai . Mera Is Main Dosh Nahi . Log Hi Pagal Ho Jate Hai . Dard Paaneeri Bonay Waalo . Ghar Bhi Jangal Ho Jate Hai,,,'*'SA'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Paayal Pahen K Jhomne Gaane Lagi Hon Main

Image
Paayal Pahen K Jhomne Gaane Lagi Hon Main . Uski Tarf Say Khud Ko Maanane Lagi Hon Main . Anchal Ko Khanch Kar Kabhi Churi Ko Tor Kar . Kis Kis Tarha Khud Ko Satane Lagi Hon Main . Lagta Hai Mujhko Us Say Muhabt Nahi Rahi . Us Say Har Aik Baat Chupane Lagi Hon Main . Q Tujh Say Mera Pyar Chupaya Nahi Gaya . Tujh Main Kisi Ko Q Nazar Aane Lagi Hon Main . Laine Lagi Hon Khud Say Muhabt Ka Intiqam . Tere Sabhi Khaatot Jalane Lagi Hon Main . Logo Ko Is Liay Bhi Meri Fikar Parr Gai . Apna Alag Chiragh Jalane Lagi Hon Main . Jab Uska Saath Day Nahi Sakna Mujhe "Qamer" . Phr Q Kisi Ki Aas Bandhnay Lagi Hon Main,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Ghar K Har Konay Say Aik Jhankaar Si Aai Mujhe

Image
Ghar K Har Konay Say Aik Jhankaar Si Aai Mujhe . Raat Kis Nay Khawab Main Paazaib Pehnaai Mujhe . Aisa Lagta Hai Phr Koi Ujar Jaane Ko Hai . Jab Kahin Bajti Nazar Aai Hai Shahnaai Mujhe . Is Liay Main Loat Aai Hon Samander Daikh Kar . Apni Janib Khainchti Thi Iski Gehrai Mujhe . Khobsorat Thi Wo Titli Is Liay Maari Gai . Meri Maa Ki Ye Kahawat Ab Samjh Aai Mujhe . Itne Din K Baad Jab Bhi Loat Kar Gai Thi Ghar . Apne Bister Par Ajab Boo Ay Hinaa Aai Mujhe . Ab Bhi Kahti Hai Mujh Say Dosti Kar Lay "Qamer" . Ab Bhi Samajhti Hai Mere Ghar Ki Tanhai Mujhe,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Khirkiya Mat Baja Main Nahi Bolti

Image
Khirkiya Mat Baja Main Nahi Bolti . Jaa O Jhoti Hawa Main Nahi Bolti . Chor Day Meri Dahleez Ko Chor Day . Tujh Say Kah Jo Diya Main Nahi Bolti . Mujh Say Ab Meethay Lahjay Main Baat Naa Kar . Mera Dil Bujh Chuka Main Nahi Bolti . Mujhko Malom Hai Jitni Achi Hon Main . Ab Na Batain Bana Main Nahi Bolti . Ab Kisi Chaal Main Nahi Aaon Gi . Chahay Kasmain Utha Main Nahi Bolti . Ye Jo Aik Moor Mere Angan Main Hai . Jab Nahi Bolta Main Nahi Bolti . Mere Paaon Say Dharti Khisaknay Lagi . Jab Bhi Maa Nay Kaha Main Nahi Bolti . Pahle Us K Liay Sab Say Larti Pheeri . Phr Usay Kah Dia Main Nahi Bolti . Ab Safaai Ka Moqa Na Dongi Usay . Jo Howa So Howa Main Nahi Bolti . Meri Chup Ko Bhi Sazish Samajhta Hai Wo . Aay "Qamer" K Khuda Main Nahi Bolti,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Mujhe Ghar Ko Bachane Main Ujarna Par Raha Hai

Image
Mujhe Ghar Ko Bachane Main Ujarna Par Raha Hai . Meri Jaan Hum Ko Majborun Bicharna Parr Raha Hai . Kabhi Logo Kabhi Bachon Say Naa'laa . Mujhe Us K Liay Kis Kis Say Larna Parr Raha Hai . Ye Kis Bay Aab Khit'tay Main Utara Tu Nay Mola . K Mujh Ko Paaon Mitti Pay Ragarna Parr Raha Hai . Main Apni Zaat Main Taqseem Ho Kar Rah Gai Hon . Mujhe Tere Liay Khud Say Larna Parr Raha Hai . Ye Chir'riyaan Ghonslay Ko Chor Kar Jati Nahi Theeen . Inhain Meri Muhabt Main Ujarna Parr Raha Hai . Kabhi Wo Shakhs Hota Tha "Qamer" K Dil Ki Dharkan . Jisay Dahleez Pay Maatha Ragarnaa Parr Raha Hai,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbaar Aaye

Doundh Rahi Hon Tera Thanda Saaya Maa'aye Ni

Image
Doundh Rahi Hon Tera Thanda Saaya Maa'aye Ni . Sath Samander Paar Bhi Hai Aik Sehra Maa'aye Ni . Q Kar Tu Nay Bhaij Dia Khairiron K Sath Mujhe . Ruk Jati To Aa Sakta Tha Ranjhaa Maa'aye Ni . Koi Nahi Samjhane Wala Us Tofaani Ko . Roz Hi Larki Maangta Hai Ik Darya Maa'aye Ni . Bichho Jaisi Ankhon Walo Ko Samjhaye Kon . Teri Dua K Haalay Main Hai Chahra Maa'aye Ni . Jis Ungli Ko Tu Nay Thama Wo Hai Zahr Bhari . Tu Nay Bhi Is Bare Main Sochaa Maa'aye Ni . Jab Bhi Mere Aansoo Nikle Un K Ponchny Ko . Hath Tera Tasveer Say Bahir Aaya Maa'aye Ni . Jis Mosam Ki Khatir Mera Chahra Zard Hoa . Kab Tak Daikhongi Us Ka Rasta Maa'aye Ni . Ghar Main Rah Kar Bhi Hum Ghar Ka Hissa Na Ban Sake . Tera Mera Dukh Hai Kitna Sanjha Maa'aye Ni . Daikh "Qamer" Ny Kya Paya Hai Sik'ay Jor K Bhi . Uski Goo'luck Main Bhi Sanp Aa Baitha Maa'aye Ni,,,'*'SA'*' . ""'Type By,,,'*""' ''*-.SA-Ki-JAN.-*'

Kon Hai Soraj Kon Hai Saaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch

Image
Kon Hai Soraj Kon Hai Saaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Kis Nay Pahle Daman Choraya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Jis Ki Khatir Sahil Sahil Seepiyaan Chuntay Beet Gai . Q Wo Moti Haath Na Aaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Kis Ko Kitna Naam Mila Or Kis Ko Kya Ilzaam Mila . Kis Nay Kiska Waqt Ganwaya Main Bhi Sochon To Bhh Soch . Kis Nay Kitni Aas Bandhaai Kis Nay Kitni Jaan Churaai . Kis Nay Kitna Saath Nibhaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Hum Jo Taa'alluq K Bare Main Sochne Par Majbor Hoay . Jeewan Main Ye Din Q Aaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Uski Batain Sun'nay Wale Tere Jaise Lagte Thay . Kisko "Qamer" Nay Haal Sunaya Main Bhi Sochon Tu Bhi Soch,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti

Image
Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti . Kisi Ki Ho K Bhi Dunya Say Katt Nahi Sakti . Mera Ye Dukh Hai K Sahil Pay Aik Laher K Sath . Main Aa Gai Thi Magar Ab Palat Nahi Sakti . Ye Log Q Mujhe Taqseem Karna Chahte Hai . Main Tott Sakti Hon Hisson Main Batt Nahi Sakti . Bandhay Hoay Hai Mere Haath Peeth Par Lekin . Tujhe Gila Hai Main Tujh Say Lipat Nahi Sakti . "Qamer" Main Usko Bolaaon Sahailiyun Main Kya . Usay To Daikh K Ungli Bhi Katt Nahi Sakti,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye