Posts

Sub Khaloos Baton Main. TaYpEd By *SHANI_M_B* Sab Khaloos Baton Main. Sab Karam Khayalon Main. Bas Zara Wafa Kaam Hai. Tere Shehar Walon Main. Pehli Baaz Nazron Ne. chaand Bolte Dekha Hum Jawab Kiya Dete. Kho Gaye Sawalon Main. Raat Teri Yadon Ne Dil Ko Is Tarah Chaira. Jaise Koi Chukji Le Naram Naram Gaalon Main. Yun Kisi Ki Aankhon Main Subha Tak Thy Khoye Hum. Jis Tarah Rahe Shabnam Phool K Pyalon Main. Meri Aank K Taare Ab Na Dekh Pao Ge Mohsin. Hum Raat K Musafir Thy Kho Gaye Ujalon Main. Poet. Mohsin Naqvi. END**S Follow *SHANI_M_B* Send To 8001

Unko aaina banaya dhop ka chahra mujhay . Rasta pholo ka sab ko aag ka darya mujhe . Chand chahra,zulf darya, baat khushbo dil chamaan . Ik tumhen de kar khuda na de diya kya kya mujhay . Jis tarha wapis koi le jaye apni chitthiyan . Jane waala is tarha se kar gaya tanha mujhe . Tumne dekha hai kisi meera ko mandir may kabhi . Ik din usne khuda se is tarha manga mujhe . Meri mutti may sulagti rait rakh kar chala gaya . Kitni awaazen diya karta tha ye darya mujhe.....! . Poet Bashir Badar . Typer *__SA-k-Jan__*

Is tarha sath nibhana hai dushwar sa . To bhi talwar sa may bhi talwar sa . Apna rang.e.gzl uske rukhsar ka . Dil chamakne laga hai rukh.e.yar ka . Ab hai tota sa dil khud say benaz sa . Is haweli may lagta tha darbar sa . Khubsorat say pairon may zanjeer ho . Ghr may baitha raho may giraftar sa . May firishto ki sohbat kay like nahi . Hamsafar koi hota gunahgar sa . Guriya gudde ko baicha khareeda gaya . Ghar sajaya gaya raat bazaar sa . Sham tak kitne hathon se guzarun ga may . Chaye khane may urdu kay akhbaar sa . Baat kya hai ke mashhor logon kay ghar . Mout ka sog hota hai tyohaar sa . Zeena zeena utarta hua aaina . Uska lahja anokha khanakdaar sa....! . Poet Bashir Badar . Typer *__SA-k-Jan__*

Shehar Ko Teri. TaYpEd By *SHANI_M_B* Shehar Ko Teri Justaju Hai Bohat. In Dinon Hum Pe Guftagu Hai Bohat. Jab Se Parvaaz K Shareek Mile. Ghar Banane Ki Aarzo Hai Bohat. Dard Reh Reh K Sar Uthata Hai. Kabhi Kam Ho Gaya Kabhi Hai Bohat. Kuch To Wo Yaad Bhi Bohat Aya. Kuch In Aankhon Main Bhi Lahoo Hai Bohat. Peene Wali Aankh Hai Darkar. Aankh Ko Chaand Ka Saboo Hai Bohat. Poet. Parveen Shakir. END**S Follow *SHANI_M_B* Send To 8001

Shaam Ko Sogwaar. TaYpEd By *SHANI_M_B* Shaam Ko Sogwaar Karte Rahe. Hum Tera Intezaar Karte Rahe. Tu To Kaar E Jahan Main Tha Masroof Aur Hum Tujh Se Pyaar Karte Rahe. Kis Leye Vasl Ki Kahani Main. Hijar Ko Hissedar Kar Rahe. Dil Ko Bas Mubtala E Gham Rakha. Wehshaton Ka Shumaar Karte Rahe. Poet. Noshi Gilani. END**S Follow *SHANI_M_B* Send To 8001

Sare Wadon Ko. TaYpEd By *SHANI_M_B* Sare Wadon Ko Bhula Sakta Hon Magar Rehne Do. Main Tumhain Chor K Ja Sakta Hon Magar Rehne Do. Tum Jo Har Mor Pe Keh Dete Ho Alvida. Faisla Main Bhi Suna Sakta Hon Magar Rehne Do. Tum Ne Jo Baat Ki Hai Dil Ko Dukhane Wali. Us Pe Main Shair Suna Sakta Hon Magar Rehne Do. Shar Aye Gi Tumhain Warna Tumhari Batain. Main Tumhain Yaad Dila Sakta Hon Magar Rehne Do. END**S Follow *SHANI_M_B* Send To 8001

Wo kahta hai mohabt may sada milna nahi hota . Main kahti hun mere hote howay bicharne ka nahi sochna . Wo kahta hai jo tum mango to apni jan day donga . Main kahti hun mujhay fil hal apna nam day do . Wo kahta hai kay sar pay esay hi anchal dhaka rakho . May kahti hun kay tum apni nazro ko jhuka rakho . Wo kahta hai kay hare or pelay rang ki choriyan pahno . May kahti hun kay pahnogi agar kismat nay likha to . Wo kahta hai kay maire nam ki mahndi lagao . Main kahti hun lagaon gi agar tum lay kar aao to.....! . Poetess Rabia Basri . Typed by *__SA-k-Jan__*