Posts

Poet . Razab Tabrez . Ujla Hai Magar Sach Kahon Masoom Nahi Hai. Kafan Ko Apna Dar Abhi Maloom Nahi Hai. Apni Nazar Ne Dekhi Faqat Maut Hasina. K Jis K Peeche Koi Bhi Hajoom Nahi Hai. Main Bhi Chalaon Ism To Bimar Gee Uthen. Niyat Zaror Hai Magar Mazmoom Nahi Hai. Ik Tara Mujh Pe Toot Gira Neend K Doran. Ye Khuwab Khas Lagta Hai amoom Nahi. Khaqi Khamir Ho Ho K Bhi Kun Gul Se Dor Hon. Ye Esa Raaz Hai Jis Ki Dhoom Nahi Hai. Fitrat Pe Paida Hota Hai Fitrat Ki Dain Hai. Bacha Kisi Mazhab Se Kuch Mosoom Nahi Hai. Chahe Saza Kharid Lo Ya Mang Lo Jaza. Malik To Apni Zaat Main Maqsoom To Nahi Hai. Nabi Ka Adal Sach Hai Magar Ye Bhi Suna Hai. Aeysha K Jesi Laadli Kalsoom Nahi Hai. Shab E Meraj Vasal K Ehsas Ka Byan. Ik Qalb Siwa Warq Par Raqoom Nahi Hai. Ghazal Pe Tum Iman Dharo Kuch Gunah Nahi. RAZAB Hai Koi Mahir E Najoom Nahi Hai. Poet. Razab Tabrez.

PoEt: RaZaB TaBReaZ+" QaZaaQ AnkHen GuLaaL CheHRa, BadaN pE SaLwaT NisHan ko TaRse+" LiapT'Ta AncHaL SimaT'Ta Daman, LaMs mEin Tere imaan ko TarSe+" LacHeeLi BaaHen UtHen to Tere BadaN ko Ese KamaN kar Den+" Har Ik QaFi haR Ik KaviTa,AsaR mE TeRe Byan ko TarSe+" : Koi Humi aGHosH-E-NiswaaN+" : Mere MacHaLte GHayoOr JazBe,Dua mE Teri Aman ko TarSe+" : Wo NeeLi Nas mE SyaaL Jesi,NasHay ko JaPti Nabz ki MaaLa+" : ShaRaB ! Jese GaHak ko DhunDe, KhumaR SoOd-O-Zyan ko TarSe+" : ShaRaR sE uLjHa AGan se KheLa,Ye ShoQ AkhiR ko laUt aaYa+" : TwaF-E-ZahiR to kar Lia aB, NaZaRa DeeD-E-NeHaan ko TarSe+" : SaBHi sE MakHfi KhuDi pE AfsHa, RaZaB ! BaTa De yE RaaZ kya hAi+" : QaReeNa aB yE BaeeD kaR De, JaZaB bHi aB to Ayaan ko TaRse.

Usay Yad Kar K Na Dil Dukha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Kahan Lot Kar Koi Aye Ga Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Naai Subah Hai,Naai Shaam Hai, Naya Shahr Hai, Naya Naam Hai . Jo Chala Gaya Usay Bhol Ja Jo Chala Gaya Wo Chala Gaya . Koi aye Ga Koi Jaye Ga, Koi Jaye Ga Koi Aye Ga . Suno Raston Ki Suno Sada, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Tere Pas Tera Habeeb Hai Jo Mila Wo Naseeb Hai . Koi Phool Kahta Hai Muskura Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Mujhe PatJhar Ki Kahanian Na Suna Suna K Udaas Kar . Naye Mosamon Ka Pata Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya . Yahan Atbaar o Yaqeen Hai Oa Haqeeqaton Ki Zameen Hai . Zara Dair Ka Khwab Tha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya........! . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Main Ne Teri Ankhon Main Parha Allah Hi Allah . Sab Bhool Gaya Yaad Raha Allah Hi Allah . Phoolon Main Basi Chandni Ratoon Ki Namazain . Khushbo Hi Sitaron Ki Dua Allah Hi Allah . Pairon Ki Safain Paak Farishton Ki Qatarain . Khamosh Paharon Ki Nida Allah Hi Allah . Badal Ki Ibadat Hai Barasta Ho Paani . Ansoo Ki Gzl Hamd o Sanah Allah Hi Allah . Aik Phool Ne Konain Ki Dolat Mujhe Day Di . Ansoo Say Hathaili Par Likha Allah Hi Allah . Aik Naam Ki Takhti Ka Mujhe Shok Howa Tha . Pani Par Hawa Nay Likha Allah Hi Allah . Wo Sorah e YASEEN Kah Kafoor Ki Khushboo . Mahke Howe Phoolon Ki Rida Allah Hi Allah........! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Kahain Chand Rahon Main Kho Gaya kahain Chandni Bhi Bhatak Gai . Main Charag Wo Bhi Bhoja Hoa Meri Raat Kaise Chamak Gai . Kabhi Ujla Ujla Sa Naam Hun Kabhi Khoya Khoya Kalam Hun . Mujhe Subah Kirno Say Bhar Gai Sham Pholon Say Dhak Gai . Tujhe Bhol Jane Ki Koshish Ka Kabhi Kamyab Na Saki . Teri Yaad Shakh e Gulab Hai Jo Hawa Chali To Lachak Gai . Tere Hath Say Mere Pyar Tak Wahi Intazar Ki Piyas Hai . Mere Naam Ki Jo Sharab Thi Kahain Raste Main Chalak Gai . Kabhi Hum Mile Bhi To Kya Mile Wohi Doriyan Wohi Fasle . Na Kabhi Hamare Qadam Barhay Na Kabhi Tumhari Jhijhak Gai . Meri Dastan Ka Urooj Tha Teri Palkon Ki Chaon Main . Mere Sath Tha Tujhe Jagna Teri Ankh Kaise Jhipak Gai........! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Kon Aya Raste Aaine Khana Hogaye Raat Roshan Hogai Din Bhi Suhane Hogaye . Q Hawaili K Ujarne Ka Afsos Karo Sainkaro bay Ghar Parindo K Thikane Hogaye . Jao In Kamro K Aainay Utha Kar Na Phaink Do Bay Adab Kah Rahe Hai Hum Purane Hogaye . Ya Bhi Mumkin Hai Kah Maine Usko Pahchana Na Ho Ab Usay Daikhe Howe Kitne Zamane Hogaye . Meri Palkon Par Yah Ansoo Pyar Ki Toheen Thay . Uski Ankhon Say Giray Moti K Dane Hogaye.......! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|

Ya Zard Patton Ki Barish Maira Zawal Nahi . Mere Badan Par Kisi Dosre Ki Showl Nahi . Udas Hogai Ik Fakhta Chahakti Hoi . Kisi Ne Qatal Kiya Hai Yah Intaqal Nahi . Tamam Umar Gareebi Main Bawaqar Rahe . Hamare Ahad Main Aisi Koi Misal Nahi . Main Asman Ka Tota Hoa Sitara Hun . Kahn Mili Thi Yah Dunya Mujhe Khayal Nahi . Wo Laa Shareek Hai Uska Koi Shareek Nahi . Wo Bemisal Hai Uski Koi Misal Nahi . Koi Khoshi Ho Main Apni Hadon Main Rahta Hun . Mera Malal Bhi Had Say Sada Malal Nahi.........! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar . Typed By |*__S-Ak-Jan__*|