Posts

@__Main to maqtal may bhi qismat ka sikandar nikla__@ +..++..+ @__Ya qurra e faal maire naam ka aksar nikla__@ +..++..+ @__Tha jinhain za'aam wo darya bhi mujhhi may dobay__@ +..++..+ @__Main sahra nazar ata tha samandar nikla__@ +..++..+ @__Main nay us jaan e bahara ko boht yaad kiya__@ +..++..+ @__Jab koi phol meri shakh e hunar par nikla__@ +..++..+ @__Shahar walon ki muhabt ka qayal hon magar__@ +..++..+ @__Main ne jis hath ko choma wahi khanjar nikla__@ +..++..+ @__To yahin yaar gaya hai meray buzdil dushman__@ +..++..+ @__Mujh tanha k muqabil taira lashkar nikla__@ +..++..+ @__Main sahra e muhabt ka musafir tha__@ +..++..+ +++FArAz+++ +..++..+ @__Ik jhonka tha k khushbo k safar par nikla......! +..++..+ Book Pas E Andaz Mosam +..++..+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Wo shakal wo lalay ki c kiyari nahi bholay @+.+.+.@ Agboor main jo sham guzari nahi bholay @+.+.+.@ Sorat thi kah hum jaise sanam saaz bhi gum thay @+.+.+.@ Morat thi kah hum jaise baichare nahi bholay @+.+.+.@ Ab uska tagaful bhi gawara kah abhi tak @+.+.+.@ Hum tark e mulakat ki khuwari nahi bholay @+.+.+.@ Yaron ki khataon pay nazar hum nay na rakhi @+.+.+.@ Or yaar koi bhol hamari nahi bholay @+.+.+.@ Khilaat k liay harf ka soda nahi karte @+.+.+.@ Kuch log abhi wahzaih hamain nahi bholay @+.+.+.@ Daane ki hawas la na saki daam may mujh ko @+.+.+.@ Yah mairi khata maire shikari nahi bholay @+.+.+.@ Hum apne tak lakh zikhud rafta hon laikin @+.+.+.@ Youn hai kah koi baat tumhari nahi bholay @+.+.+.@ Ik lub'aat e hindi nay +.FaRAz+. Ab k likha hai @+.+.+.@ Radha ko kabhi kishan morari nahi bholay.....! . @+.+.EnD+.+.@ . Book Pas E Andaz Mosam @+.+.+.@ Poet Ahmad Faraz @+.+.+.@ Typed by *__SA-k-Jan__*

@@@@@@@@@@ Bin Baas ki ik Shaam @@@@@@@@@@ .-"+"-. Ya akhri sa'aat sham ki hai . Ya sham jo hai mahjori ki . Ya sham apno say dori ki . Us sham ufq k honthon par . Ya lali hai zahrili hai . Us sham ne meri ankhon say . Sahba e tarb sab pee li hai . Ya sham aaqb tanhai ki . Patt jhr ki hawa barfeeli hai . Us sham ki rangaat rangeeli hai . Us sham faqt awaz tairi . Aise sunai daiti hai awaz dikhai daiti hai . Ya sham sa'aat ki sham hai ya sham bhi taire naam ki hai......! .-"+"-. Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Gaye dino main muhabt mizaj uska tha . Wo shahar e yaar aqleem e harf main aya to . Maira dast e nagar takht o taaj uska tha . Main kya btao kah Q usne bewafai ki . Magar yahi kah kuch aisa mizaj uska tha . Hamain bhi dukh hai dil e zinda k mar jane ja . Kisi k pas magar kab ilaj uska tha . Laho lohan tha main or adal ki maizan jhuki thi janib e qatal k raaj uska tha . Tujhay gila hai kah dunya ne phair li ankhain . +++FaRaZ+++ . Ya to sada say riwaj uska tha.....! *.-.* Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Gaisu e shaam main aik sitara aik khaya dil main liay phrte hai tumhara aik khayal . Baam e falak par soraj chand sitare thay hum nay biyaaz e dil pay utara aik khayal . Kabhi to unko bhi daikho, jin logo nay umar gawai or sanwara aik khayal . Yaad k shahar k shor say kale koson door dasht e faramoshi say pukara aik khayak . Yun bhi howa hai kah dil k muqabil ik dunya thi phr bhi na haara,phr bhi na haara aik khaya . Mujh par zarb pari,to khalkat ne daikha meri bajay para para aik khayal . Hum masafat, aik udasi, aik +++FaRaZ+++ aik tamasha,aik sharara,aik khayal........! *..**..* Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Wohi ishq tha jo kabhi janon usay rozgar bana diya . Kahin zakhm baich k aa gaye kahin shair koi suna diya . Wahi hum kah jin ko aziz thi darr e abro ki chamak dhamak . Yahi hum kah rozay siyah main zarr e daag e dil bhi lota diya . Kabhi youn bhi tha kah hazar teer e jigar main thay to dukhi na thay . Magar ab ya hai kah kisi maharban k tapaak ne bhi rula diya . Kabhi jo khud ko tot'tay phot'tay bhi daikhay thay hazeen na thay . Magar aj khud pay nazar pari to shakist e jaan ne rula diya . Koi nama dilbar e shahar ka kah gzl giri ka bahana ho . Wahi harf e dil jisay muddaton say ahl e dil nay bhola diya.....! *..**..* Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Jis tarha koi kahe . Tere shahar say jab rakht e safar bandh lia . Dar o dewar pay hasrat ki nazar kya karte . Chand kajlaai hoi sham ki dahleez pay tha . Us ghari bhi tere mahjor safar kya karte . Dil thaher jane ko kahta tha magar kya karte . Hum ne jab wadi e gurbat may kadam rakha tha . Jis tarha yaad e watan aaye thay samjhane ko . Kuch is tarha ki kaifiyat e jaan aj bhi hai . Jis tarha koi qayamat ho guzar jane ko . Jis tarha koi kahe phr say palat aane ko.......! . Book Pas E Andaz Mosam +..++..+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*