Husn Wale Wafa Nahi Karte. TaYpEd By TLASH25 Husn Wale Wafa Nahi Karte Ishq Wale Daga Nahi Karte Zulm Karna To Inki Aadat Hai Ye Kisi Ka Bhala Nahi Karte. Jo Nazar Aar Paar Ho Jaye Wohi Dil Ka Qaraar Ho Jaye Apni Zulfon Ka Daal Do Saya Teergi Khushgawar Ho Jaye. Teri Nazron Ko Dekh Paye Agar Shaikh Bhi Mai'gusaar Ho Jaye. Tujhko Dekhe Jo Ik Nazar Wo Rang Chand Bhi Sharamsar Ho Jaye. Aaina Apna Samne Se Hata Ye Na Ho Khud Se Pyar Ho Jaye Bhol Ho Jati Hai Yon Taish Mein Aaya Na Karo. Faasle Khatam Karo Bat Barhaya Na Karo Ye Nigahen, Ye Ishare, Ye Adaen Tauba. In Sharabon Ko Sir-E-Aam Lutaya Na Karo Shaan Gehri Ho To Kuch Aur Haseen Hoti Hai. Saya-E-Zulf Ko Chehre Se Hataya Na Karo Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do. Ay Husn Walo Na Chero Hamen, Hum Sataye Huwe Hain, Buhat Zakham Seene Pe Khaye Huwe Hain...! Sitam Gar Ho Tum Khub Pehchante Hen Tumhari Adaon Ko Hum Jante Hen. Daga Baz Ho Tum Sitam Dhane Wale Farebi Muhbat Men Uljhane Wale Ye Rangeen Kahani Tumhi Ko Mubarak Tumhari Jawani Tumhi Ko Mubarak. Hamari Taraf Se Nigahen Hata Lo Hamein Zinda Rahne Do Ay Husn Walo Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo Hamein Zinda Rehne Do Ay Husn Walo. Zanjeer Men Zulfon Ki Phans Jane Ko Kya Kahiye Diwana Mera Dil Hai, Diwane Ko Kya Kahiye. Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamein Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamein Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Sambhalo Zara Apna Anchal Gulabi Dikhao Na Hans Hans K Ankhen Sharabi Sulook Inka Dunya Me Acha Nahi Hai Haseeno Pe Hum Ko Bharosa Nahi Hai. Uthate Hain Nazren To Girti Hai Bijli Adaa Jo Bhi Nikli, Qayamat Hi Nikli...! Jahan Tum Ne Chehre Se Anchal Hataya Waheen Ehl-E-Dil Ko Tamasha Banaya. Khuda Ke Liye Hum Pe Dorein Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do. Ay Husn Walo Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Aawara Huwi Jati Hain Zulfon Ko Sambhalo Dil Mera Ulajh Jaye Ga Ye Jaal Na Dalo. Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dal6 Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Apni Is Zulf-E-Pareshan Ko Sambhalo Warna Aise Gustaakh Ko Hum Choom Liya Karte Hain. Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Uljha Hai Paaon Yaar Ka Zulf-E-Daraaz Mein Lo Ap Apne Daam Mein Shayad Aa Gaya..! Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Sadawat Karte Ho To Deg-E-JAFA Ka Buhat Ho Tum Khoon Ehl-E-Wafa Ka Ye Nagan Si Zulfen Ye Zehreli Nazren. Wo Pani Na Mange Ye Kisko Bi Das Le Wo Lut Jae Jo Tumse Dil Ko Laga Le Phir hasraton Ka Janaza Uthaye. Hai Maloon Humko Tumhari Haqiqat Muhbat Ke Parde Me Karte Ho Nafrat Kahi Or Ja K Adaen Uchalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Humen Zinda Rehne Do,Ay Husn Walo. Ye Jhoti Numaish Ye Jhoti Banawat Fareb-E-Nazar H Nazar Ki Lagawat Ye Sumbal Se Gesu, Ye Aariz Gulabi Zamane Milaenge Ek Din Kharabi Fana Humko Kar Dena Ye Muskuran Ada Kafirana Chalan Zalimana....! Dikhao Na Ye Ishwa-O-Naz Hum Ko Kisi Aur Pe Zulf Ka Jaal Na Dalo Humen Zinda Rehne Do Ay Husn Walo. Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo. Apni Zulfon Ka Parda Bana Lijiye Husn-E-Masoom Ab Fitnagar Ho Gaya Palken Gir Jaye Gi, Door Jal Jaye Ga Rukh Tumhari Nazar Ka Jidhar Ho Gaya. Hamen Zinda Rahne Do, Ay Husn Walo Hamen Zinda Rehne Do, Ay Husn Walo....! eND. Singer. Nusrat Fateh Ali Khan

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki