Shabnam kay ansu phol par yah to wahi qissa hua . Ankhain mairi bhigi hoi chahra taira utra hoa . Ab in dino mairi ghazal khushbo ki ik tasveer hai . Har lafz ghunche ki tarah khil kar taira chahra hoa . Shayad use bhi lay gaye achay dino kay kafilay . Is bagh may ak hi phol tha tairi tarah hasta hoa . Har chez hai bazar may is hath lay us hath day . Izzat gai shohrat gai ruswa huay charcha hua . Mandir gaye, masjid gaye, peero faqeero say milay . Ik usko panay kay liay kya kya kiya kya kya hua . Anmol moti pyar kay dunya churakar lay gai . Dil ki hawaili may in dino koi darwaza tha tota hua . Barsat may dewar.o.dar ki sari tahrirain mitain . Dhoya bohat mita nahi taqdeer ka likha hua....! . Poet Bashir Badar . Typed by *__SA-k-Jan__*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki