Siyahiyn ke bane harf harf dhote hai . Ye log raat may kaghaz kahan bhigote hai . Kisi ki raah may dahliz par diye na rakho . Kiwad sukhi hui lakriyo ke hote hai . Chirag pani may mujon say pochte honge . Wo kon log hai jo kashtiyan bhigote hai . Unhi may khelne ati hai bereya roohein . Wo ghar jo laal hari daftiyon ke hote hai . Qadeem qasbon may jaisa sukon hota hai . Thake thakaye hamare buzurg sote hai . Chamakti hai kain sadiyon may ansuon ki zamin . Ghazal ke shair kahan roz roz hote hai....! . Poet Bashir Badar . Typed By *__SA-k-Jan__*

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki