Typed by
*__SA-k-Jan__*
.
Patthar ke jigar waalon Gham main vo ravaani hai
Khud raah banaa legaa bahataa hua pani hai
phuulon men Gazal rakhanaa ye raat kii raanii hai
is men terii zulfon kii be-rabt kahaanii hai
ek zahan-e-parenshaaN men vo phuul saa cheharaa hai
patthar kii hifaazat men shiishe kii javaanii hai
kyon chaaNdanii raaton men dariyaa pe nahaate ho
soye hue paanii men kyaa aag lagaanii hai
is hausalaa-e-dil par ham ne bhii kafan pahanaa
haNs kar koii puuchhegaa kyaa jaan gavaanii hai
rone kaa asar dil par rah rah ke badalataa hai
aaNsuu kabhii shiishaa hai aaNsuu kabhii paanii hai
ye shabanamii lahajaa hai aahistaa Gazal paDhanaa
titalii kii kahaanii hai phuulon kii zabaanii hai
.
Poet
Bashir Badar
Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Comments