Aankh Mein Koi Sitara Ho Zarori To Nahi. Typed by *_RAINY_EYES_* Aankh mein koi sitara ho zarori to nahi. Pyar mein koi hamara ho zarori to nahi. Ye haqeqat hai ke mujhe tujhse muhabat hai. Par tere sath guzara ho zarori to nahi. Ye mere dar se jo pholon ki mehek aati hai. Tere aane ka ishara ho zarori to nahi. Doobte waqt ki nazar us pe bhi to par sakti hai. Samne mere kinara ho zarori to nahi. Kam nahi ye ke hai sheher hamara lekin. Sheher mein koi hamara ho ye zarori to nahi. Ho sakta hai khata us ka nishana aye khushi. Teer us ne mujhy mara ho zarori to nahi. Unknown poet Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki