*._.*AnKhAiN*._.*Koi chahra hua roshan na ujagar ankhain*._.*Aina dekh rahi thi meri pather ankhain*._.*Le uri waqt ki andhi jinhen apne hamrah*._.*Aj phr dhund rahi hai wahi manzar ankhain*._.*Phut niklin to kai shahar.e.tamanna dube*._.*Ek qatre ko tarasti hui banjar ankhain*._.*Us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai*._.*Apne halkon se nikal aai hai bahar ankhain*._.*Tu nigahon ki zuban khub samjhta hoga*._.*Teri janib to utha karti hai aksar ankhain*._.*Log marte na dar.o.bam se takra ke kabhi*._.*Dekh lete jo "KAMAL" uski samandar ankhain......!*._.*PoetAhmad Kamal.Typed by*__SA-k-Jan__*


Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki