Chuti Sharab Per TaYpEd By TLASH25 Milti Hai Khu-E-Yar Se Nariltihab Mein Kafir Hun Gar Na Milti Ho Rahat Azab Mein. Kab Se Hun Kya Bataon Jahan-E-Kharab Mein Shab Haye Hijr Ko Bhi Rakhon Gar Hisab Mein. Ta Phir Na Intzar Mein Neend Aye Umar Bhar Ane Ka Ahad Kar Gaye Aye Jo Khuwab Mein. Qasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhon Main Janta Hun Jo Wo Likhenge Jawab Mein. Mujh Tak Kab Un Ki Bazm Mein Aata Tha Daur-e-Jam Saqi Ne Kuch Mila Na Diya Ho Sharab Mein. Jo Munkir-E-Wafa Ho Fareb Uspe Kya Chale Kyun Badguman Hun Dost Se Dushman K Bab Mein. Main Muztarib Hun Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se Dala Hai Tum Ko Waham Ne Kis Pech-O-Tab Mein. Main Aur Hizz-e-Wasl, Khudasaz Bat Hai Jan Nazar Deni Bhul Gaya Iztirab Mein. Hai Tewri Chari Hui Andar Naqab Ke Hai Ik Shikan Pari Hui, Tarf-E-Naqab Mein....! Lakhon Lagao, Ik Churan Nigah Ka Lakhon Banao, Ik Bigarna Itab Mein. Wo Nala Dil Mehn Khas K Bar Bar Jag Na Paye Jis Nale Se Shigaf Pare Aftab Mein. Wo Shehr Mudda Talbi Mein Na Kam Aaye Jis Shehr Se Safina Rawaan Ho Sarab Mein. " GALIB CHUTI SHARAB, PAR AB BHI KABHI KABHI PEETA HUN ROZ-E-ABR-O-SHAB-E-MEHTAB MEIN.......! Poet By Mirza Galib eND. Follow Tlash25 Send To T001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga