Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena. Typed by *_RAINY_EYES_* Ek diya dil mein jalana bhi bujha bhi dena. Yaad karna use roz bhula bhi dena. Kia kahon ye meri chahat hai ke nafrat us ki. Naam likhna bhi mera,likh ke mita bhi dena. Phir na milnay ko bicharta hun tujh se lekin. Murr ke dekhun to palatnay ki dua bhi dena. Khat bhi likhna mayous bhi rehna us se. Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena. Mujh ko rasmon ka takalluf bhi ganwara lekin. Jee mein aaye to ye deewar gira bhi dena. Os se mansoob bhi kar lena purane qissay. Os ke baalon mein naya phool saja bhi dena. Soorat_e _naqsh_e _qadam dasht mein rehna "MOHSIN" Apnay honay se na hone ka pata bhi dena. Poet Mohsin Naqvi. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001. [prem.gzl]

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga