Gaye dinon ka chirag lekar kidhar se aya kidhar gaya wo . Ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to heran kar gaya woh . Bas ai moti si chub dikha kar bas aik mithi c dhun suna kar . Sitara sham ban k aya barang khuwab shahr gaya woh . Khushi ki raat ho k gham ka mosam nazar usay dhundhti hai har dam . Wo buu e gul tha ke nagmaa e jaan mere to dil may utar gaya wo . Wo maikaday ko jaganay wala wo raat ki neend urane wala . Yeh aaj kia us k ji main aya kay sham hote hi ghar gia wo . Kuch ab sambhalne lagi hai jan bhi badal chala rang asman bhi . Jo raat bhari thi tal gai hai jo din kadaa tha guzar gaya wo . Shikasta paa raah main khara hun gaye dinon ko bulaa rahaa hon . Jo qaafila mera hamsafar tha misl e gard e safar gaya wo . Na ab wo yaadon ka charhata darya na fursatoon ki udas bharka . Yonhi zara c kasek hai dil main jo zakhm gehra tha bhar gaya wo . Wo jis k shanay pay hath rakh kar safar kia to nay manzilon ka . Teri gali say naa janay kon aaj sar kukaye guzar gya wo . Wo hijar ki raat ka sitara wo ham nafas hum sukhan hamara . Sadaa rahe us ka nam pyaaraa suna hai kal raat mar gaya wo . Bas ek moti si chab dikhakar bas ik mithi c dhun suna kar . Sitaraa e sham ban ke aya barang e khayal e sahar gaya wo . Na ab wo yadon ka charhataa darya na fursuon ki udas barkha . Yun hi zara si kasak hai dil main jo zakham gahraa tha bhar gaya wo . Wo raat ka be mawa musafir wo tera shair wo tera Nasir . Teri gali tak to hum ne dekha phr na jane kidhar gaya wo.......,! . End . Poet NaSiR kAZmI . . Typed by ---------------------- |*__S-Ak-Jan__*| ----------------------

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki