Khwabon Ka Ik Jahan Mujhe De Gaya Koi. Typed by *_RAINY_EYES_* Khwabon ka ik jahan mujhy de gaya koi. Mitti ka ik makan mujhy de gaya koi. Wo dil mein reh gaya hai ke dil se utar gaya. Kitna ajeeb guman mujhy de gaya koi. Sehra pe apne ghar ka pata likh gaya tha wo. Mit'ta howa nishan mujhy de gaya koi. Maah_o _najoom noch ke,soraj bujha diya. Phir sara aasman mujhy de gaya koi. Kishti mein chhaid os ne kia aur us ke baad. Kaaghaz ka badban mujhy de gaya koi. Us ne gulaab haath mein le kar kaha batool. Khushbu ka tarjuman mujhy de gaya koi. Unknown poet. Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki