Maqrooz Ke Bigray Howay Khayalat Ki Manind Majboor Ke Honton Pe Sawalat Ki Manind Dil Ka Teri Chahat Mein Ajab Haal Howa Hai Sailab Se Barbad Makanat Ki Maanind Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Manind Dil Roz Sajata Hun Mein Dulhan Ki Tarah Gham Roz Chalay Aatay Hain Baarat Ki Maanind Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind Os Shakhs Se Milna"Mohsin" Mera Mumkin Hee Nahi, Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind............+ For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga