Poet Mohsin Naqvi. TaYpEr by *SHANI_M_B* Talab Ko Ajar Na Don Fiqr.e.Reh Guzar Na Kron.* . Safaf Mein Ab K Howa Ko Bhi Humsafar Na Kron.* . Ubharte Dobte Soraj se Tor Lon Rishta.* . Mein Sham Urh K So Jaon Aur Sahir Na Kron.* . Ye Mere Dard Ki Dolat Meri Mataye Firaq In Ansoon Ki Wazahat Mein Umar Bhar Na Kron.* . Ujar Shab Ki Khalash Ban k Mein Kho Jaon.* . Mein Chandni Ki Tarah Khud Ko Dar Badar Na Kron.* . Wo Ek Pal Ko Dekhai To De Kahein Mohsin.* . Mein Jaan Gunwa Kar Bhi Us Pal Ko Mukhtisar Na Kron.* . END**S

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki