Raat Hai ANdheri Boht, Ik Diya Hi Jalaa De Koi, MaiN BarsoN Ka Jaaga HuN, MuJhe Sulaa De Koi, Mere Ghar Ke AaNgaN MeN Khari Hai Udaasi Per Phailaye, MaiN MuNtazr HuN Us Bahaar Ka Jo GulshaN MeN Phool Khila De Koi, MaiN Ik Shikasta Paa Musafir, MaNzil ANjaaN, Raaste Be NishaaN, RahbaroN Se Na Sahi MuJhe, RahzaNoN Se Hi Mila De Koi, Jo Meri A'qbat Ko SaNvaar De, Meri Rooh Ko Jo Qaraar De, Mere Kirdaar Ko Nikhaar De, Mere Dost Aisi Dua De Koi, MaiN Is Liye Har Ek Ko Gham ApNa SuNaya NahiN Karta, K Sar-E-Aam Tera Naam Shaher MeN Tamasha Na BaNa De Koi, Koi Kar Paida Yazeed Phir, Koi La Qayamat Ki Ghari, Ham Bhi EmaaN AazmayeN ApNa, HameN Qarbbala De Koi, SuNa Hai K Tere MaikhaNe MeN Aa Kar Mit Jata Hai Har Gham, M0hsin Bhi Dukh Bhool Jaye ApNa, Jaam Aisa Pilaa De Koi. For More Poetry Follow JaaN-E-MaN Send to 8001

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga